- Get link
- X
- Other Apps
10
Telangana Hyderabad ki Taza Khabrein : Accident, Telangana Protest, Bihar Election Update Aur Nepal Mein Tabahi
- Get link
- X
- Other Apps
Hyderabad se Nepal tak aaj ke din ki 10 badi khabrein,ORR accident, pangolin trade arrest, RTC kiraya izafa, Bihar polls aur Nepal floods.
Hyderabad ORR par 6 cars takkar, Telangana mein pangolin ki khaal ki tijarat par giraftari. CM ne Musi Nadi project par December se amal ka hukm diya. Indira Park mein Gaza protest, Daanam Nagender ne isteefe ki afwahen jhutla di. Raja Singh par FIR darj, Vijayawada-Hyderabad highway par traffic jam, RTC kiraye par Telangana Jagruti ne radd-e-amal ki demand, Bihar election mein EIR poore mulk mein naafiz, Nepal mein floods aur landslides se 42 logon ki maut.
Telangana aur Hyderabad ki Khabrein
Hyderabad: Outer Ring Road Par 6 Cars Ki Takkar
Hyderabad ke Outer Ring Road par 6 cars mein takkar ho gayi. Hyderabad ke Himayat Sagar ke paas ORR par ek road accident hua. Jahan ek ke baad ek 6 cars tak takkar ho gayi.Bataya ja raha hai ki aage ja rahi car ne achanak brake lagaya, jiski wajah se yeh accident hua. Yeh waqiya Shamshabad se Gachibowli jaane wale raaste par hua. Is wajah se lagbhag 2 km tak traffic jam ho gaya.
Ittala milte hi Patrolling aur Rajendra Nagar Police site par pahunchkar traffic ko manage kiya. Khushkismati se airbags khul jaane ki wajah se sab passengers safe rahe.
Telangana: Pangolin Ki Khaal Ki Ghair Qanooni Tijarat Mein Mulawis Afraad Giraftar
DRI Hyderabad Zonal Unit ke officers ne Hanamkonda mein aaj karwai ke dauran 6.53 kg Pangolin ki khaal ki protective layer ko zabt kiya aur is silsile mein 4 afraad ko giraftar kar liya. Yeh log Pangolin ki khaal ki ghair qanooni tijarat mein mulawis the. Bataya ja raha hai ki paanch Pangolin ki khaal se yeh layers banayi gayi thi.Pangolin duniya bhar mein sabse zyada smuggle kiye jaane wale janwaron mein se ek hain. Inhe khaas taur par unki khaal ki protective layers ke liye target kiya jaata hai, jo China aur South-East Asia ke bazaaron mein traditional medicine ke liye smuggle ki jaati hain. Is janwar ka shikar ya tijarat poori tarah se mamnoo hai. International level par bhi Pangolin aur isse bani cheezon ki tijarat banned hai.
Zabti ke baad DRI officers ne 4 mulzim aur zabt shuda samaan ko Hanamkonda ke Forest Range Officer ke hawale kar diya, taaki inke khilaf Wild Life Protection Act 1972 ke tehat mazeed tahqiqat ki jaa sake.
Moosi Nadi Tarqiyati Mansoobe Par December Se Amal-Aawari: CM Ki Hidaayat
Chief Minister Revanth Reddy ne ohdedaron ko hidayat di hai ki Moosi Nadi Tarqiyati Mansoobe par December se amal-aawari ka aaghaz kiya jaaye. CM ne Moosi Nadi Tarqiyati Project ke pehle marhale ke kaamon ka ohdedaron ke saath meeting mein jaayza liya.Pehle marhale ke kaamon ke liye ₹5641 crore ki zaroorat hogi aur 493 acre araazi ko develop kiya ja sakta hai. Project ki completion ke liye hukumat ne zyada tar loan par paisa ikhatta kiya hai aur baaki funds ke liye deegar sources bhi use kiye jaayenge.
Asian Development Bank ne project ke liye ₹4100 crore ka financial support approve kiya hai. Riyasati hukumat ₹1541 crore ka intezam karegi aur baaki raqam financial institutions se li jaa sakti hai. Moosi Nadi Tarqiyati Mansoobe ka maqsad nadi ko saaf aur paak karna aur paani ke flow ko ensure karna hai.
Moosi Nadi ki development se aas paas ke areas mein flood ki situation ko control kiya ja sakta hai. Hukkaam ne pehle marhale mein 493 acre araazi ko develop karne ka target set kiya hai, jismein 340 acre private owners ki aur 153 acre sarkari idaaron ki hai. Hukumat ne project ke tehat pehle marhale mein Osman Sagar se Bapu Ghat 11 km stretch ko develop karne ka plan banaya hai.
Gaza Mein Jaari Mazaalim Ke Khilaf Indira Park Par Ehtejaaji Dharna
Israel mukhalif tanzeem BDS ke Palestine ke haq mein aur Gaza mein zaalimana karwaiyon ke khilaf ehtejaj mein hazaaron talba aur NGO ke kaarkunon ne hissa liya aur Indira Park ke paas zabardast muzahira kiya. Gaza aur Palestine par mazaalim aur Hindustan ki khamoshi par afsos ka izhaar karte hue insaaniyat ke liye Israel ke khilaf jaddo-jehad mein shiddat paida karne ka azm dikhaya.Boycott Divestment Sanction (BDS) tehreek se ehtejaj mein badi ta’dad mein Communist kaarkun, mukhtalif universities ke talba aur NGO ke kaarkunon ne hukumat ki policy ke khilaf awaz uthai aur Falasteeni mazloom awam se solidarity ka izhaar kiya. Unhone kaha ki Qurra-e-arz par sirf ek Falasteeni riyasat hai, jo na sirf defai taur par jung ke halaat ka saamna kar rahi hai, balki mazhabi taur par bhi pressure ka shikar hai.
Hazaaron naujawanon ne Israel aur Netanyahu ke khilaf naare lagaye aur Falasteen ki support aur awam mein awareness badhane par zor diya.
BDS tanzeemon aur talba jaddo-jehad-karon ne media se baat karte hue kaha ki masla-e-Falasteen ko galat tareeke se pesh karke ise kisi khaas mazhab se jodne ki koshish ki ja rahi hai, jabki yeh masla sirf Musalmaanon ka nahi, balki poore insaniyat ke liye sochne ka masla hai.
Is sensitive masle ko samajhte hue Israel Gaza aur West Bank ke logon par jo zulm ho raha hai, uski tareekh mein koi misaal nahi milti. Ehtejajiyon ne United Nations aur international human rights organizations ki khamoshi par bhi hairat ka izhaar kiya.
Isteefe Se Mutalliq Hyderabad Ke Rukn-e-Assembly Daanam Nagender Ka Bayaan
Saabiq Riyasati Wazir aur Hyderabad ke MLA Daanam Nagender ne is afwah ko kharij kiya hai ki woh MLA ke ohde se isteefa de rahe hain.
Unhone wazeh kiya hai ki isteefe se mutalliq chal rahi afwah’en bilkul bebuniyaad hain. Unhone kaha, "Mai MLA ke ohde se isteefa nahi de raha hoon. Mujhse nafrat rakhne wale log is tarah ki jhooti campaign chala rahe hain. Isteefe se mutalliq afwah par koi yakeen na karein.
Maloon Raja Singh Ke Khilaf Ishte'al Angezi Ka Muqaddama Darj
Shaan-e-Risalat Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam mein gustaakhana bayaan par Shalibanda Police ne Hyderabad ke Goshamahal ke maloon Rukn-e-Assembly Raja Singh ke khilaf Ishte'al Angezi ka ek muqaddama darj kar liya hai.Fateh Darwaze ke saakin Mohammad Ahmed ne Shalibanda Police se shikayat darj karwai. Jismein bataya gaya hai ki Dussehra ke mauke par Raja Singh ne Madhya Pradesh mein khitaab mein Muslim tabqe ko nishaana banaakar taqreer ki aur Shaan-e-Risalat mein gustaakhana alfaz ka istemaal kiya.
FIR mein yeh bhi likha gaya hai ki taqreer mein Raja Singh ne kaha I Love Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam ka banner lekar ghoomna toh tumhara ek bahana hai, Hindu tumhara nishana hai.
Islami Tareekh ko bhi Raja Singh ne nishaana banate hue Shaan-e-Risalat mein gustaakhana alfaz ka istemaal kiya.
Is bayaan ko YouTube par dekhkar Mohammad Ahmed ne shikayat mein bataya ki maloon Rukn-e-Assembly musalsal puraman fizaa ko disturb karne wale firqa-parast bayanaat dete hain aur iske khilaf sakht karwai ki jaaye. Police ne kayi dafa muqaddama darj karke tehqeeqat ka aaghaz kiya.
Dussehra Ke Baad Waapsi: Vijayawada to Hyderabad National Highway Par Traffic Jam
Vijayawada se Hyderabad ke National Highway par bade paimane par traffic jam dekha gaya kyunki Dussehra tyohaar manane ke baad Andhra Pradesh ke kai khaandaan Hyderabad waapas aa rahe hain.Yeh khaandaan Dussehra ki chhuttiyan manane ke liye apne gaon aur aabaai muqamaat gaye the. Inki waapsi par is route par cars, RTC buses aur deegar private gaadiyon ki zyada ta’dad dekhi gayi, jisse traffic bade paimane par jam ho gaya.
Chityal, Choutuppal aur Pantangi Toll Plaza ke paas traffic bohot zyada jam ho gayi. Car aur deegar gaadiyan ek ke peeche ek qataar mein nazar aayi. Doosri taraf RTC aur private buses mein musafireen ka bhi hujoom tha. Police ne traffic ko smoothly chalane ka kaam kiya.
RTC Bus Kiraye Mein Izaafe Ke Faisle Ko Fauri Waapas Liya Jaye, Telangana Jagruti
Greater Hyderabad hudood mein city buson ke kiraayon mein izafa ke faisle par Telangana Jagruti ke Working Sadar Ellaru Singh ne shadeed radd-e-amal ka izhaar kiya aur hukumat se is faisle ko fauri taur par waapas lene ka mutalba kiya.Banjara Hills mein waaqe Telangana Jagruti ke daftar mein party qaideen ke saath press conference karte hue Roop Singh ne kaha ki Congress hukumat ek taraf khawateen ko muft safar ki scheme ka dhindora peet rahi hai, doosri taraf buson ki ta’dad kam karke aam awam ke safar ko mushkil bana diya hai. Unhone kaha ki hukumat ne buson ki ta’dad badhaane ke bajaye awam par bhaari kiraayon ka bojh daal diya hai. Tyohaaron ke mauke par extra charges vasool karne ke baad ab tyohaar khatam hote hi sheher mein kiraye mein zabardast izafa kar diya gaya hai.
Unhone sawaal uthaya ki jab har stop par ₹10 extra kiraya liya jaaye, toh rozaana mazdoori karne waale ya aam shehriyon ka kya haal hoga? Roop Singh ne kaha ki RTC buson mein safar karne wale zyada tar gareeb aur middle-class log hote hain aur in par is tarah ka financial bojh daalna bilkul munasib nahi. Intekhabaat ke dauran bade vaade karne wali Congress party ikhtedaar mein aate hi awam par mehengaai ka bojh daal rahi hai.
Unhone kaha ki CM Revanth ki galat policy ki wajah se Telangana riyasat ki soorat-e-haal bigadti jaa rahi hai. Kiraye mein yeh izafa aam awam ke liye aur mushkilaat paida karega. Roop Singh Nayak ne wazeh kiya hai ki agar hukumat ne bus kiraye mein izafa karne ke faisle ko fauri taur par waapas nahi liya, toh Telangana Jagruti awaami satah par bade paimane par ehtejaj organise karegi.
Desh ki Khabrein
Bihar Election Par Chief Election Commissioner Gyanesh Kumar Ki Press Conference, Kaha, EIR Poore Mulk Mein Naafiz Hoga
Bihar Assembly Intekhabaat ki taiyaariyon se mutalliq Election Commission ne bade elanaat kiye hain. Har booth par 100% webcasting ki jaayegi.Voter list durust karne ka kaam mukammal ho chuka hai aur voting ka naya nizaam naafiz kiya gaya hai. Bihar Assembly Intekhabaat ki taiyaariyon par Election Commission ne press conference karke tafseeli maalumaat faraham ki hai. Chief Election Commissioner Gyanesh Kumar ne kaha ki Bihar Assembly ki muddat-e-kaar 22 November ko khatam ho rahi hai aur isse pehle election mukammal ho jaayenge.
Is dauran Commission ne kai naye iqdamaat ka elaan kiya hai, jinhein aayindah mulk bhar mein naafiz kiya jaayega. Press Conference ke aaghaz mein Election Commission ne bataya ki Bihar mein EIR ka amal kamyaabi se mukammal ho chuka hai.
Is dauran BLO ne voter list ko durust karne ka kaam achhi tarah se anjaam diya hai. CEC ne kaha ki ab mulk ke kisi bhi polling station par 1200 se zyada voter nahi honge. Isse intekhabi amal aasaan ho jaayega. Chief Election Commissioner ne kaha ki is martaba Bihar mein 100% webcasting ki jaayegi. Tamaam voting stations par nigraani ke cameras lagaye jaayenge.
Iske alawa ek One-Stop Digital Platform bhi naafiz kiya jaayega, jo ummeedwaron aur officers ko real-time maalumaat faraham karega. Har ummeedwar ko voting booth ke 100 meter ke andar ek agent tainaat karne ki ijaazat hogi.
Videsh ki Khabrein
Nepal Mein Shadeed Baarish, Sailaab Aur Landsliding Ki Wajah Se Taqreeban 42 Logon Ki Maut
Shadeed baarish, sailaab aur landsliding ki wajah se Mashriqi Nepal mein kaafi tabahi machi hui hai. Ab tak taqreeban 42 logon ki maut ho chuki hai aur paanch laapata hain. Sabse zyada amwaat Ilam ziley mein hui, jahan 37 afraad landsliding ki zad mein aa gaye.Kharab mausam ki wajah se Tribhuvan Bainulaqwami Hawai Adde par gharelu parwaazein mansookh kar di gayi hain. Kathmandu, Bharatpur, Janakpur, Bhadrapur, Pokhara aur Tumlingtar se aane waali parwaazein filhal band hain. Nepali Fauj, Police aur Musallah Police Forces jangi paimane par imdadi karwaiyon mein masroof hain. Bazariye helicopter Ilam ziley ke chaar logon ko rescue kiya gaya, jinmein ek haamila khatoon bhi thi.
Inhe Dharan ke asptaal mein daakhil karaya gaya hai. Wazeh hai ki Nepal ke paanch subohon Koshi, Madhesh, Bagmati, Gandaki aur Lumbini mein musalsal baarish ho rahi hai. Baarish ki wajah se Kathmandu mein teen dinon tak gaadiyon ki aamad-o-raft par rok laga di gayi hai.
Nepal ki Disaster Management Authority ne Kathmandu mein gaadiyon ke aamad-o-raft par paabandi laga di hai. Logon se appeal ki gayi hai ki woh bil-a-zaroorat lambi doori ka safar na karein.
Antim shabd
Yeh sab aham khabrein aaj ke din Hyderabad, Telangana, aur dusre ilaaqon se judi raheen — jahan siyasat, tabahi, aur awaami masail ek saath surkhiyaan bana rahe hain.
----------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------
Also read related news
Table of Content
Daily News
Telangana & India News: Bathukamma, RTC Safar, KTR Campaign, Rahul Gandhi Dhamki, Andhra Pradesh Waqia, Doha Hamla
----------------------------------------------------------------------------
Careers
2. Maharashtra Police Bharti 2025: Age Limit Mein Chhoot, 15,631 Vacancies Jail Aur Police Vibhag Mein
3. Telangana Revenue Department Jobs 2025: 217 New Posts Approved – Latest Update (11 Sept 2025)
4. Telangana Doctors Recruitment 2025 | 1623 Specialist Posts Apply Online
5. Telangana Govt Job Calendar 2025 Reschedule | 60,000 Sarkari Naukri Ek Saal Me, 1 Lakh Do Saal Me
6. TSRTC Recruitment 2025: Apply Online for 1,743 Driver & Mechanic Posts in Telangana RTC
----------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------
Sarkari Updates Admission aur Exams
TSPSC Group 2 Certificates Verification 2025: 4th Schedule 23-25 September
Telangana Me Caste Certificate Lena Hua Easy – MeeSeva Naya System 2025
----------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------
Hyderabad Updates
----------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------
Scam aur Deepfake
----------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------
Weather Updates TG
----------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------
Telangana News
----------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------
Telangana Schemes
Kiase check Indiramma Illu Status for home
Kaise Apply kare indiramma illu Scheme basic eligiblity
----------------------------------------------------------------------------
How to Apply Schemes Guide
----------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------
Bharat Updates
Maharashtra Heavy Rain 2025: 11 Halaak, Mumbai-Thane Red Alert
I Love Muhammad ﷺ’ Posters Par 21 Cases, 38 Arrests aur 1,324 Named
Supreme Court Notice on Umar Khalid & Sharjeel Imam Bail Pleas | Delhi Riots UAPA Case 2025
----------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------
Infections aur Health
----------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------
Bharat Schemes
----------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------
GST Reform
----------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------
Videsh News
H-1B Visa Fees Update 2025: Sirf Ek Baar Payment, Naye Applicants Ke Liye
Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur YouTube video ka content credit pura Shaik Omer ko jata hai. Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.
🔗 Connect With Bharat Batao
🖊️ About the Author
Bharat Batao Team
Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.
📌 Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:
- Hyderabad ORR Accident
- Telangana Pangolin Trade Arrest
- Musi River Development Project
- Indira Park Gaza Protest
- Danam Nagender Resignation News
- Raja Singh FIR Hyderabad
- Vijayawada Hyderabad Traffic Jam
- RTC Bus Fare Hike Telangana
- Bihar Election Gyanesh Kumar Press Conference
- Nepal Floods and Landslides
Comments
Post a Comment