- Get link
- X
- Other Apps
10
- Get link
- X
- Other Apps
Telangana & Hyderabad updates: Musa & Manjira Nadi water levels, Hyderabad bus crowd, Shamshabad wildlife, KTR & AAP statements, CPI retirements, Prakasam Barrage, Vijay ₹20L aid, Nepal leaders passports.
Hyderabad mein MGBS se bus services dobara shuru, JBS par bheed, Musa Nadi kinare saanp-magarmacch dekhe gaye. Manjira aur Musa Nadi mein paani ka level badha, Musa Nadi development me no compromise, GHMC safai aur relief ka aaghaaz. Shamshabad Airport par jungli janwar baramad. KTR ne Congress ko nakaam qarar diya. AAP ne Chaderghat me ₹2L compensation demand. CPI ne 75+ leaders retire, Prakasam Barrage se paani chhodda, Actor Vijay ne ₹20L aid announce, Nepal ke 5 leaders ke passports suspend.
Telangana aur Hyderabad ki Khabrein
Hyderabad Bus Services
Hyderabad Imiliban Bus Depot (MGBS) se districts ke liye bus service phir se shuru ho gayi hai. Kal subah se hi RTC staff ne Imiliban Bus Depot MGBS me jama hua kichad saaf kiya. Uske baad MGBS se dobara bus service chalu kar di gayi. Abhi ke liye, bus station musafiron se bhara hua dikh raha hai.Musi Nadi ki barish aur flood ki wajah se MGBS paani me doob gaya tha. Isi wajah se yahan se chalne wali bus services ko temporary taur par doosre jagahon se chalaya gaya.
Kuch din ke liye Aramghar, LB Nagar, Uppal aur JBS se districts ki taraf bussen bheji gayi thi. Ab jab bus service phir se MGBS se start ho gayi hai, musafiron ne khushi dikhayi hai.
Jubilee Bus Station Par Bheed
Hyderabad ke Jubilee Bus Station (JBS) me musafiron ka hujoom dikh raha hai. Dussehra festival ke chalte Secunderabad ke Jubilee Bus Station yaani JBS me musafiron ki ginti barh gayi hai.Chuttiyon ke wajah se zyada log apne gaon aur native places ki taraf ja rahe hain. Is wajah se JBS musafiron se puri tarah bhara hua hai. Haal hi me hui heavy barish ki wajah se MGBS se North Telangana ke liye bussen chal nahi rahi thi. Isi wajah se JBS se nikalne wale musafiron ki ginti me achanak kaafi izafa ho gaya.
RTC officials extra bussen chala rahe hain aur musafiron ko takleef na ho iske liye proper arrangements kiye gaye hain.
Musa Nadi Ke Kinare Saanp Aur Magarmacch
Musa Nadi ke kinare rihaishi ilaakon me saanp aur magarmacch nazar aaye. Heavy barish ke baad Osman Sagar aur Himayat Sagar ke gates khole gaye, jiske baad Dariya Musa paani se bhar gaya.Bahadurpura area ke Asad Baba Nagar, Kishan Bagh, Mahmood Nagar aur Chaderghat ke Shankar Nagar, Musa Nagar aur Rasoolpura ke log saanp, bichhoo aur doosre rengne wale janwaron ke aane ki wajah se pareshan ho gaye.
Dono reservoirs ke catchment areas me tez barish ke baad paani zyada bhar gaya tha. Iske chalte Dariya Musa paani se full ho gaya aur reptiles ki jhonkne ki jagah paani me doob gayi. Is wajah se ye janwar nadi ke kinare se colonies aur gharon ke paas aa gaye.
Asad Baba Nagar ke ek resident Shakeel ne kaha, Humne pehli baar mohalle me ek mungus dekha. Isse dekh kar log ghabra gaye aur local police ko inform kiya.
Dariya Musa saanpon ki kai species ka ghar hai, aur reptiles kabhi kabhi nadi me dikhte rehte hain. Nandi Muslaigowda ke ek local resident Nizam ne kaha, Hum Musa me aksar magarmacch dekhte hain. Unhone nadi ke kinare char rahe janwaron par attack kiya. Khushkismati se abhi tak kinare khelte bacchon par koi hamla nahi hua.
Manjira Nadi Ki Satah Mein Izafa
Telangana ke Medak district me Manjira Nadi ki satah me unusual izafa dekha gaya hai. Ye nadi Hyderabad-Medak Road ko Papanapeta Mandal ke Yellapur gaon me Edupayala Mandir se connect karti hai. Filhaal nadi me 1.5 lakh cusecs se zyada paani aa raha hai.Authorities ne Singoor Project ke 10 gates khol kar 90,000 cusecs paani release kiya hai. Sangareddy aur Medak districts me heavy barish ki wajah se Singoor ke neeche ke ilaakon me paani ka flow aur tez ho gaya hai. Safety ke liye authorities ne road par traffic bandh kar diya.
Nadi, Edupayala ke paas ke teen pulon par bhi overflow kar gayi hai, jisse transport aur logon ki aamad-o-raft par asar pada hai.
Musa Nadi Ki Taraqqi Par Koi Samjhauta Nahi
Ghareeb mutasir logon ke liye alternative rihaish ka intazam kiya jayega. Chief Minister Revanth Reddy ne announce kiya hai ki Musa Nadi Development Project se mutasir hone wale sabhi ghareebon ke liye rihaish ka alternative intazam hoga aur zarurat padne par double bedroom houses bhi provide karne ke liye government tayyar hai.Chief Minister Revanth Reddy ne aaj Amberpet me develop kiye gaye Bathukamma Kunta reservoir ka inauguration kiya, jahan bade scale par Bathukamma program organize hua. Unhone Hyderabad ke liye banaye ja rahe 39 Sewage Treatment Plants (STPs) ka foundation stone bhi rakha.
Amberpet me Bathukamma Kunta par illegal encroachments hatakar, wahan development aur beautification ka kaam kiya gaya, jisse ye jheel bahut khoobsurat tayyar hui hai.
Is mauqe par CM ne kaha ki Musa Nadi ke kinare illegal encroachments ko hata kar ise develop kiya jayega aur mutasir ghareebon ke liye alternative housing provide hogi.
CM ne Bathukamma Kunta ko Congress leader B. Hanumath Rao ke naam se dedicate karne ki MLA Venkatesh ki suggestion se sehmat hote hue Hyderabad ke In-charge Minister Poonam Prabhakar aur GHMC Commissioner ko is silsile me zaruri steps lene ki hidayat di.
Shamshabad Airport Par Jungli Janwar Baramad
Hyderabad ke Shamshabad Airport par ek passenger ke luggage se illegal foreign wild animals baramad hue. Customs officials ne ek musafir ke saamaan se ghair qanooni aur rare jungli janwar pakde.Reports ke mutabiq, Saturday shaam Indigo flight se Bangkok se Shamshabad aane wale Lokesh Ja Chandran ke behavior par shak hua. Is par unka luggage check kiya gaya. Checking ke dauran uske saamaan se 8 leopard geckos, ek grill lizard aur do saron wala ek turtle baramad hua.
Officials ne in janwaron ko zabt karke accused ke khilaaf Wild Life Protection Act ke tahat case register kar diya. Baad me in wild animals ko ek aur flight ke zariye wapas Bangkok bhej diya gaya.
Congress Hukumat Yaqeen Dehaniyon Ko Poora Karne Mein Nakaam - KTR
BRS ke working president K. T. Rama Rao (KTR) ne Congress government par sakht tanqeed karte hue kaha ki woh apni chhoti-moti promises poore karne me fail rahi hai. Sunday ko Rama Rao ne Jubilee Hills Assembly area ke Shaikpet me Samata Colony ka visit kiya, jahan party ke senior leader aur BRS MLC D. Sravan bhi maujood the.Unhone colony ke residents se mulaqat ki aur Baagi Cards distribute kiye. Unhone highlight kiya ki Congress Party apne promises complete karne me nakam rahi hai. Colony me media se baat karte hue unhone kaha ki log keh rahe hain, Humein dobara KCR hukumat chahiye.
Residents, khaaskar mahilaen, safai, drainage aur sadkon ki halat par shikayat kar rahi hain. Garbage bhi sirf 4 din me ek baar uthaya ja raha hai.
Rama Rao ne kaha ki Chief Minister A. Revanth Reddy ko shehar ki problems par dhyan dena chahiye, jo recent floods se affected hai.
Future City naujawan apne hi efforts se banayenge, unhone kaha. Unhone kaha ki Baagi Cards Jubilee Hills Assembly ke har ghar me distribute kiye jayenge. Rama Rao ne logon se appeal ki ki agle local elections me BRS ko vote dein.
AAP GHMC Team Ka Chaderghat Daura: ₹2 Lakh Muawze Ka Mutalba
Aam Aadmi Party (AAP) GHMC team ne Chaderghat ki barish se mutasir bastiyon ka daura kiya aur ₹2 lakh muawze ka mutalba kiya. Aaj AAP GHMC ki team ne Chaderghat ke affected bastiyon ka muaina kiya. Media se baat karte hue netaon ne bataya ki ilaake ke logon ko bohot bada nuksaan uthana pada.Khushkismati se koi jaan ka nuksaan nahi hua, lekin hukumat ke actions ki wajah se kai zindagiyan khatre mein daali gayi.
Muqami logon ke mutabiq unhein pehle koi advance notice nahi diya gaya aur raat ke waqt achanak paani chodh diya gaya. Aaj tak aisa pehli dafa hua hai ke ek saath 26 gates khol diye gaye aur paani ki satah 8 foot tak badh gayi. Iss achanak surat-e-haal se muqami log bohot gusse mein hain.
Mutasireen ne bataya ki gharon ka kaafi samaan kharab ho gaya — anaaj doob gaya, safai ka samaan kharab hua, bacchon ki kitaabein, baste aur zaroori kaghzaat bhi gayaab ya kharab ho gaye. Kayi ibadatgah bhi nuksan se bach nahi paayi.
Logon ne roti hui bataya ki chote bacchon ko le kar bhaagna pada. Hamila khawateen, buzurg aur beemar afraad bhi mushkil halat mein phans gaye.
AAP ke leader Mohammad Majid ne hukumat se darkhwast ki hai ki jaise pehle flood-affected ko fi-ghar ₹10,000 diye gaye the, waise is martaba bhi imdaad di jaye. Lekin is dafa hukumat ki ghalat policy ki wajah se nuksaan hua hai, isliye har mutasir ghar ko ₹2 lakh muawza diya jaye taaki kuch ta'laf poori ki ja sake. Varna yeh mamla tez ehtijaj ki soorat le lega.
Musa Nadi Ki Satah Mein Kami GHMC Safai Ka Aaghaaz
Musa Nadi ki paani ki satah mein noticeable kami dekhne ko mili. GHMC ne safai ka kaam shuru kar diya. Chaderghat, Kishan Bagh aur Narsingi ke affected ghar wapas hone lage hain.Musa Nadi ke paani ki satah kam hone ke baad Chaderghat mein keechad, mitti aur darakht ki tooti hui shakhein dekhi gayi. Paani ke saath saath gandagi aur kachra bhi samne aaya.
GHMC ke sanitation workers ne affected areas mein safai aur kachra, keechad aur malbe ka intazam kiya. GHMC ke zariye bataya gaya hai ki jab tak situation normal nahi hoti, ye safai ka kaam jaari rahega.
GHMC ke workers jarasim kash spray bhi kar rahe hain taaki logon ko diseases se bachaya ja sake. Musallam Bagh Bridge par bhi keechad aur malbe ki safai chal rahi hai. GHMC ki taraf se affected families ko snacks provide kiye gaye.
Special medical teams bhi tainaat ki gayi hain taaki public health ko ensure kiya ja sake aur bimariyon ko roka ja sake.
Chaderghat, Kishan Bagh aur Narsingi ke families apne ghar wapas hone lage hain. Musa Nadi ke dono taraf ke areas affected hue the kyunki Osman Sagar aur Himayat Sagar ke gates khol kar paani release kiya gaya tha.
Dono reservoirs ke surrounding areas, including Vikarabad me heavy rainfall ke baad paani ki satah mein izafa hua.
Kamela ke resident Shaikh Sameer ne kaha, Darwaze kholne se paani ka level rapidly badh gaya. Hum raat mein mushkil se apni jaan bachaye.
Authorities ne timely warning nahi di, jisse logon ke samaan ko nuksaan hua. Sunday ko kai families wapas aa gaye aur apne ghar ki safai shuru ki. Bacchon ko apna samaan safe jagah transfer karte dekha gaya, jabki mard aur khawateen ne mil kar ghar ki safai me hissa liya.
Ek local resident Mohammad Mateen ne kaha, Log keh rahe hain ki agle kuch din tak wapas na aayein. Hum shaadi ya relatives ke paas kaise jaayein, jabki hamare ghar paani mein doobe hain aur khud kamai se kharidi cheezein kharab ho gayi hain.
Kishan Bagh ke Asad Baba Nagar me bhi same situation hai. Kayi houses paani mein doobe hain, jiski wajah se log dusri jagah shift hone par majboor ho gaye. Sunday ko kuch families wapas ho gaye, jabki kai log abhi bhi government ki help ke wait me hain.
CPI Mein 75 Saal Umar Ke Qaydeen Ko Ohdon Se Sabak Dosh Karne Ka Faisla
CPI ne party ke qaydeen jo 75 saal ke ho gaye hain, unko ohdon se sabak dosh karne ka faisla kiya hai. Punjab ke Chandigarh mein hua CPI ke Qaumi Aamla ka meeting me ye decision liya gaya ke naujawanon ko party me important positions dene ke liye, 75 saal ya usse zyada umar ke qaydeen ko retire kar diya jaye.Is faisle ke tahat CPI ke Qaumi Secretary Dr. K. Narayana ko ohde se sabak dosh kar diya gaya hai. Unhein CPI ke Control Commission ka Sadar muqarrar kiya gaya hai. Media se baat karte hue Dr. Narayana ne kaha ki Chandigarh meeting me 75 saal complete karne wale qaydeen ne apni retirement ki appeal di thi, jisse approve kar liya gaya.
75 saal ki umar ki limit me party ke Qaumi General Secretary D. Raja ko istisna diya gaya hai. D. Raja ko dusri term ke liye Qaumi General Secretary select kiya gaya hai. Party ke internal affairs manage karne ke liye Control Commission ka setup kiya gaya hai, jiska Sadar Dr. K. Narayana honge.
Committee ke members ka announcement baad me hoga. Dr. Narayana ne kaha ki woh responsibility ke saath sabak doshi par satisfied hain aur political age ke issue par zyada comment nahi karenge.
Prakasam Barrage Se Paani Chhodda Gaya
Andhra Pradesh ke Prakasam Barrage mein flood situation jaari hai. Iske madde nazar authorities ne second-level alert issue kiya hai. Yahan 5.62 lakh cusecs paani ka flow record kiya gaya, aur utni hi quantity mein paani release kiya gaya.
Paani 69 gates ke zariye release kiya gaya. Local public ko authorities ne caution karte hue warning di hai. Officials ne highlight kiya hai ke dariya ke kinare rehne wale log mohtaat rahein. Krishna River ke flood-prone mandals mein control rooms bhi establish kiye gaye hain.
Desh ki Khabrein
Actor Vijay Ki Janib Se ₹20 Lakh Muawze Ka Elaan
Actor Vijay ki taraf se ₹20 lakh muawze ka elaan. TVK Party ke leader Vijay Thalapathy ne Karur mein bhagdad ke wajah se halak hone walon ke families ke saath hamdardi ka izhar kiya aur unke heirs ko ₹20-20 lakh financial aid dene ka elaan kiya.Unhone social media post mein likha, "Kal Karur mein jo na-yaqeeni waqiya hua, is par main ghamgeen hoon. Is dukh bhari surat mein apno ko kho dene ka sadma main kaise bayan karoon.
Vijay ne ye bhi likha, Aap sabke chehre mere zehan mein ubhar rahe hain. Apni mohabbat aur support dikhane wale logon ke baare mein soch kar mera dil aur bhi maghmoom ho jaata hai.
Unhone mazeed kaha, Aap sabke liye gehri hamdardi ka izhar karte hue main is gham mein aapke saath hoon. Yeh nuqsaan aisa hai jiska koi badla nahi. Phir bhi, aapke families ke ek member ke taur par main un sab zakhmi aur victims ke heirs ko ₹20 lakh dena chahta hoon aur jo zakhmi hain aur ilaaj mein hain, unhein ₹2-2 lakh dena chahta hoon.
Qabil-e-zikr hai ki 27 September ki shaam Karur mein Vijay ki rally ke dauran bhagdad mach gayi, jismein 39 log halak aur 51 zakhmi ho gaye. Marne walon mein 17 khawateen, 13 mard aur 9 bacche the, jinmein 5 ladkiyan aur 4 ladke shaamil the.
Videsh ki Khabrein
Nepal Ke Saabiq Wazir-e-Azam Samet Paanch Leaders Ke Passport Mansookh
Nepal ke former Prime Minister K. P. Sharma Oli samet 5 leaders ke passport mansookh. Kathmandu chhodne par pabandi.Nepal ki Jaan-ji Tehreek ke dauran young protesters par hui firing ki investigation ke liye banaye gaye Adalati Commission ne former PM K. P. Sharma Oli aur dusre 5 key leaders ko bina permission Kathmandu chhodne par pabandi lagayi hai.
Yeh order Supreme Court ke Retired Justice Gauri Bahadur Karki ki sadaarat mein formed Commission ne issue kiya hai.
Saath hi, K. P. Sharma Oli aur kuch aur leaders ke passports bhi suspend karne ki hidayat di gayi hai. Commission ke hukm ke mutabiq jin 5 logon ko bina permission Kathmandu se bahar nahi jaane diya jayega, unmein:
-
Former PM K. P. Sharma Oli
-
Former Home Minister Ramesh Lekhak
-
Current Home Secretary Go Gurnamani Doudai
-
Androoni Intelligence Department ke head Buddhiraj Thapa
-
Kathmandu ke former District Magistrate Chhabiraj Jaal
In sab par strict monitoring rakhi jayegi aur Commission ki permission ke bagair Kathmandu se bahar nahi ja sakte. Nepal Police, Musallah Police, Army aur National Investigation Department ko daily monitoring aur reporting ka bhi hukm diya gaya hai. Commission ne kaha ki yeh step Jaan-ji Tehreek ke dauran hue violent incidents ki impartial investigation ko ensure karne ke liye zaroori hai.
Antim shabd:
Hyderabad aur Telangana se le kar Maharashtra, Andhra aur Nepal tak latest updates – bus services, flood, wildlife, political decisions aur relief measures – sab cover kiye gaye hain. Musafiron, affected families aur awaam ke liye relief aur safety pe focus hai, saath hi political aur social developments bhi highlight kiye gaye hain.
-------------------------------------------------------------------
Also read related news
Table of Content
Daily News
------------------------------------------------------------------------------------
Careers
------------------------------------------------------------------------------------
Careers
2. Maharashtra Police Bharti 2025: Age Limit Mein Chhoot, 15,631 Vacancies Jail Aur Police Vibhag Mein
3. Telangana Revenue Department Jobs 2025: 217 New Posts Approved – Latest Update (11 Sept 2025)
4. Telangana Doctors Recruitment 2025 | 1623 Specialist Posts Apply Online
5. Telangana Govt Job Calendar 2025 Reschedule | 60,000 Sarkari Naukri Ek Saal Me, 1 Lakh Do Saal Me
6. TSRTC Recruitment 2025: Apply Online for 1,743 Driver & Mechanic Posts in Telangana RTC
------------------------------------------------------------------------------------
------------------------------------------------------------------------------------
Sarkari Updates Admission aur Exams
TSPSC Group 2 Certificates Verification 2025: 4th Schedule 23-25 September
Telangana Me Caste Certificate Lena Hua Easy – MeeSeva Naya System 2025
KNRUHS MBBS & BDS Provisional Merit List 2025 Out – Check Final List, Objections & Counselling Dates------------------------------------------------------------------------------------
KNRUHS MBBS & BDS Provisional Merit List 2025 Out – Check Final List, Objections & Counselling Dates
------------------------------------------------------------------------------------
Hyderabad Updates
------------------------------------------------------------------------------------
Scam aur Deepfake
------------------------------------------------------------------------------------
Weather Updates TG
------------------------------------------------------------------------------------Telangana News
Dussehra Holidays ke Bawajood Hyderabad ke Private Schools mein Online Classes, Sarkar ne Di Warning
Dussehra Holidays ke Bawajood Hyderabad ke Private Schools mein Online Classes, Sarkar ne Di Warning
------------------------------------------------------------------------------------
------------------------------------------------------------------------------------
Kiase check Indiramma Illu Status for home
Kaise Apply kare indiramma illu Scheme basic eligiblity
------------------------------------------------------------------------------------
How to Apply Schemes Guide
------------------------------------------------------------------------------------
Bharat Updates
------------------------------------------------------------------------------------Infections aur Health
------------------------------------------------------------------------------------
Infections aur Health
------------------------------------------------------------------------------------Bharat Schemes------------------------------------------------------------------------------------
GST Reform
------------------------------------------------------------------------------------
Bharat Schemes
------------------------------------------------------------------------------------
GST Reform
------------------------------------------------------------------------------------
------------------------------------------------------------------------------------
Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur YouTube video ka content credit pura Shaik Omer ko jata hai. Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.
🔗 Connect With Bharat Batao
🖊️ About the Author
Bharat Batao Team
Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.
📌 Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:
Comments
Post a Comment