10

Telangana & Hyderabad News Roundup 2025: Bridge, Dawakhana, Vande Bharat, Flotilla & More

Hyderabad aur Telangana ki taaza khabrein: Falaknuma Bridge, Osmania Dawakhana, Zebra zoo wapas, Vande Bharat updates, Sky Cable Car project, Metro security aur Israeli flotilla protests.


Falaknuma Over Road Bridge ka uddghatan, Governor aur Wazir-e-Aala ne Gandhi Ji ko khiraaj pesh kiya. Telangana ke sabik Wazir Ram Reddy Damodar Reddy ka inteqal. Anganwadi bachon ka 4 mahine se uniform intezar. Osmania Dawakhane ki nai imarat ki taameer shuru. Sky Cable Car project ko manzoori. Zebra zoo mein 37 saal baad wapas. Metro mein ₹3.5L cash rok, Vande Bharat train ruk gayi. Medak mein tenduye ki maujoodgi, Telangana mein 30% zyada baarish. JNU Raavan putle par hungama, Israeli flotilla par 200 giraftar, duniya bhar mein ehtejaj.


elangana aur Hyderabad ke taaza khabrein: Falaknuma Over Road Bridge, Osmania Dawakhana, zebra zoo, Vande Bharat train aur samundri flotilla protests.

Telangana aur Hyderabad ki Khabrein

Falaknuma Over Road Bridge ka Uddghatan 

Falaknuma Over Road Bridge ka aaj iftetah hua. Hyderabad ke purane sheher mein, Chanda Gutta aur Engine Bowli ke traffic problems ko kam karne aur logon ki aamad-o-raft ko aasaan aur mehfooz banane ke liye, Falaknuma Bridge se connected yeh Road Over Bridge 52 crore 3 lakh ke kharche se banaya gaya hai. Iska iftetah aaj Jumme ki subah kiya gaya.

Is iftitahi taqreeb mein Wazir Incharge Punam Prabhakar, AIMIM President aur Hyderabad MP Asaduddin Owaisi, GHMC Vijayalaxmi aur doosre mehmanon ne shirkat ki. Rukn-e-Assembly MLA Bahadurpura Mohammed Mubeen ne media ke zariye yeh tafseelat share ki.


Governor aur Wazir-e-Aala Telangana ka Gandhi Ji ko Khiraaj 

Gandhi Jayanti ke mauke par Hyderabad mein Bapu Ghat pohanchkar Governor Telangana Jashan Verma, Wazir-e-Aala Revanth Reddy aur Telangana sarkar ke waziron ke alawa aham shakhsiyat ne Gandhi Ji ko puri izzat aur khiraaj-e-aqidat pesh kiya. 

In qaideen ne Bapu Ghat par phool chadhaye aur desh ke liye Gandhi Ji ki khidmat ko yaad kiya. Inki desh ke liye ki gayi khidmat ki tarif ki gayi. Is mauke par maujood qaideen ko bhi unke naqshe qadam par chalne ki talqeen ki gayi.


Telangana ke Sabik Wazir Ram Reddy Damodar Reddy Chal Baseh 

Congress ke senior qaid aur sabik Wazir Ram Reddy Damodar Reddy ka 73 saal ki umar mein dehaant ho gaya. Chahar Shambe ki raat Hyderabad ke AIG Hospital mein unhone aakhri saans li. Woh kuch arse se aleel the.

Damodar Reddy 1952 mein paida hue aur talib-e-ilmi ke daur se hi siyasat mein sakriya rahe. Woh Tungaturthi aur Suryapet Assembly halqon se kai martaba Rukn-e-Assembly muntakhib hue aur do dafa riyasati kabina mein Wazir bhi rahe.

Unke inteqal par riyasat ke Wazron aur kai sarkari qaideen ne gehra ranj-o-gham ka izhaar kiya. Marhoom ka jist-e-khaaki Jumme ko Suryapet ke Red House mein aawami deedar ke liye rakha jaayega, aur 4 October ko Thungaturthi mein aakhri rusumaat ada ki jaayengi.


Anganwadi ke Bachon ko 4 Mahine se Uniform ka Intezar 

Tandur ke Anganwadi School ke bachon ko abhi tak uniform nahi diya gaya. Taleemi saal shuru hue takreeban 4 mahine ho chuke hain. Bachche besabri se uniform ka intezar kar rahe hain. Bachon ke walidain ka kehna hai ki unhe uniform pichle saal diya gaya tha, lekin is martaba kaafi taakhir ho gayi hai.

Walidain ne mutalba kiya hai ki uniform jald faraham kiya jaaye taaki bachche josho-kharosh ke saath Anganwadi ja saken. Zile ke Tandur, Vikarabad, Parigi aur Korangal halqon mein muta’allaqa Anganwadi marakiz ke daire-e-ikhtiyar mein 32,583 bachche hain. Center mein aane wale 3 se 6 saal ke bachon ko uniform taqseem kiya jaayega.

District Rural Development Department ke zere ehtemaam khawateen groups ko kapda faham kiya jaayega aur iski silai ki jaayegi. Ek jode ki silai ke liye 80 se 100 rupaye ada kiye jaayenge. Hukumat ke mutabiq kapda mukammal na aane ki wajah se taakhir hui hai.

Anganwadi teachers ka kehna hai ki uniform na hone ki wajah se bachche mukhtalif qism ke kapde pehan rahe hain. Agar unhe uniform milega toh bachon mein dilchaspi paida hogi. 

CDPO Sri Lakshmi ne bataya ki zile headquarter mein bachon ke liye uniform ka kapda aa chuka hai. Ise bahut jald mandalon mein taqseem kar diya jaayega aur khawateen groups ko silai ki zimmedari di jaayegi.

Osmania Dawakhane ki Nai Imarat ke Taameerati Kaamon ka Aghaaz 

Dawakhane Osmania ki nai imarat ki taameer ka aaj Dussehra ke mauke par mazhabi rusumaat aur khusoosi pooja ke saath aaghaaz hua.

Gosham Mahal Stadium par hukumat ne Dawakhane Osmania ki nai imarat ka sang-e-buniyad rakhne ke baad kaamon ki zimmedari Megha Engineering and Infrastructure Company Limited ko di.

Chief Minister Reddy ne Dawakhane Osmania ki nai imarat ka sang-e-buniyad rakhkar 2000 bistaron par mushtamil asli sahulaton wala dawakhana taameer karne ka elaan kiya tha. Hukumat se sang-e-buniyad ke baad tenders mein Megha Engineering and Infrastructure Company ne nai imarat ki taameer ka theka hasil kiya.

Company ke Director K. Goverdhan Reddy ne aaj Dussehra ke mauke par Gosham Mahal Stadium mein khusoosi pooja karte hue taameerati kaam ka aghaaz kar diya. 

Unhone media se baat karte hue kaha ki hukumat ne jo waqt muqarrar kiya hai, uske mutabiq kaam mukammal kiya jaayega aur Osmania Dawakhane ki nai imarat ko asli corporate dawakhane ke tarz par taameer kiya jaayega, jahan tamaam asli sahulaten maujood rahengi.


Saat Gumbad aur Qile Golconda ke Darmiyan Sky Cable Car Project ko Manzoori 

Saat Gumbad aur Qile Golconda ke darmiyan Overhead Sky Cable Car Project ki taameer ke liye Hyderabad Metropolitan Development Authority (HMDA) ko hukumat se manzoori mil gayi hai. 

Is Heritage Area mein sayahat ko farogh dene ke liye cable car ki taameer ki tajaveez kaafi arse se pending thi, jabki Tourism Department ne saal 2021 mein iski manzoori di thi.

HMDA ke mutabiq 1.5 km taweel yeh ropeway project aawami aur khaangi shirakatdari se taameer kiya jaayega, jisse HMDA par maali bojh kam hoga. 

HMDA ne feasibility study ke liye tenders talab kiye the, jo Real Estate Consultancy Firm Knight Frank ko diya gaya. Yeh company 3-4 mahine mein tafseeli report taiyar karegi.

Ohdedaaron ne kaha ki yeh ropeway in do heritage sites ke darmiyan raasta faraham karega aur safar mein aasani paida karega. Feasibility report ke baad ek tafseeli project report taiyar ki jaayegi. Is project ki taqmeena lagat takreeban 100 crore hai.


Zebra ko Zoo mein Laane ka Khwab 37 Saal Baad Mukammal 

Hyderabad ke Nehru Zoological Park ka zebra ko zoo mein wapas laane ka purana khwab 37 saal baad poora hua. Teen zebra, jismein do nar aur ek maada hain, jinki umrein 1.5 se 3 saal ke darmiyan hain, Chahar Shambe ko Zoo Park mein laye gaye. 

Filhaal inhe 10 din ke lazmi quarantine mein rakha gaya hai aur 6 October ko aawam ke dekhne ke liye khol diya jaayega.

Zebra aakhri martaba 1987 mein the. Tab se Nehru Zoological Park ke hukkaam inhe wapas laane ki koshish kar rahe the. 

Curator Jay Visantha ne bataya ki zebra Radha Krishna Trust se laya gaya hai. Unhone kaha ki naye janwaron ke liye khusoosi enclosures taiyar kiye gaye hain jo khule aur band dono tarah se sahi hain.


Metro Train mein ₹3.5 Lakh Cash ke Saath Safar ki Koshish - Security ne Roka 

Hyderabad ke Jubilee Hills Check Post Metro Station par zyada raqam ke saath safar karne ki koshish karne wale musafir ko talakh tajurbe ka saamna karna pada, aur woh mayoosi ke saath ghar wapas chala gaya.

Tafseelat ke mutabiq guzishta roz Jubilee Hills Check Post Metro Station par talashi ke dauran security mulazimeen ko ek shakhs ke paas ₹3.5 lakh naqad mili. Reserve Bank ke qawaid ke mutabiq safar ke dauran zyada se zyada ₹2 lakh naqad rakhne ki ijaazat hai. 

Is tarah, is shakhs, jiski shinakht nahi ho pai, ko talakh tajurbe ke baad ghar wapas jaane par majboor hona pada.

Telangana ke Mahbubabad mein Vande Bharat Train Achanak Ruk Gayi 

Telangana ke Mahbubabad mein takhneeki kharabi ki wajah se Vande Bharat Train takreeban 20 minute ruk gayi. 

Visakhapatnam se Secunderabad jaane wali is train mein signal ka masla paida hua, jiski wajah se yeh train achanak 20 minute tak ruk gayi. Is waqiye se musafiron mein tashweesh ki lehar daud gayi.

Ohdedaaron ne musafiron ki fikr door karte hue kaha ki toofani hawaon ki wajah se railway gate ke qareeb signal ka masla paida hua, jiske natije mein train ruk gayi. 

Thodi der baad yeh masla hal ho gaya aur train apni manzil ki taraf rawana ho gayi. Musafiron ne rahat ki saans li.

Zile Medak mein Tenduye ki Maujoodgi se Sansani 

Telangana ke Medak zile mein Tenduye ki maujoodgi ki ittela se sansani phail gayi. Muqami logon ke mutabik Tupuran Mandal ke janglaat ilaqe mein guzishta teen din se tendua ghoom raha hai. 

Is wajah se aaspaas ke log kheton mein jaane se khaufzada hain. Unhone Mehakma-e-Janglaat ke hukkaam se mutalba kiya hai ki jangli janwar ko pakda jaaye.

Mehakma-e-Janglaat ke hukkaam ne pehle hi hidayat di hai ki log raat ke waqt akele kheton ki taraf na jaayen.

Telangana mein Maamool se 30% Zaa'id Baarish Record 

Hyderabad ke Mehakma-e-Mausmiyat ne kaha hai ki guzishta saal Telangana mein maamool se 30% zyada baarish record ki gayi hai. Mehakma-e-Mausmiyat ke ohdedaar Dharma Raju ne bataya ki jabki June mein maghribi monsoon barwaqt riyasat mein daakhil hua, June aur July ke mahinon mein shadeed baarish ki kami rahi. Unhone kaha ki August aur September ke mahinon mein maamool se zyada baarish record hui.

Narayanpet zile mein maamool se 76% zyada baarish hui, jabki Nalgonda mein baarish 14% kam rahi.


Desh ki Khabrein

JNU mein Raavan ke Putle par Umar Khalid aur Sharjeel Imam ki Tasaveer Lagaane par Hungama 

Delhi ke Jawaharlal Nehru University (JNU) mein Raavan Dahan ki taqreeb ke dauran zabardast hungama hua. ABVP ka ilzaam hai ki baayein baazoo ke talaba ne Raavan Dahan ke dauran joote phenke aur taqreeb mein khalal dala.

Dar-haqeeqat, Raavan ke jis das sirron wale putle ko jalaya gaya, unmein Umar Khalid aur Sharjeel Imam samet kai logon ki tasveeren lagi thi. Waazeh rahe ki Umar Khalid aur Sharjeel Imam par Delhi fasadaat ke saazish ke ilzaam ka case zere sama'at hai.

Dar-asna, JNU Students' Union (JNUSU) ne ek bayaan jaari karke ABVP par siyasi faayde ke liye mazhab ka istehsaal karne ka ilzaam lagaya. JNUSU ne kaha ke ABVP ne JNU ke sabik talaba Umar Khalid aur Sharjeel Imam ko Raavan ke taur par dikhaya, halanki dono pichle 5 saalon se jail mein hain aur muqaddame ka saamna kar rahe hain.

JNUSU ne sawaal uthaya hai ki ABVP aawami taur par Umar aur Sharjeel par kaise ilzaam laga sakti hai, jabki maamla adalat mein zere iltwa hai. JNUSU ne kaha hai ke Hindustan aur beruni mulkon ke danishwaron aur insani huqooq ke karkunon ne bhi in maamlaat par tashweesh ka izhaar kiya hai.

JNUSU ne poochha hai ki agar ABVP ko waqai khauf hai, to isne Nathuram Godse ke chehre ko Raavan ke taur par kyun nahi dikhaya? Kya woh ise dehsatgard nahi samajhte the? Students' Union ne yeh bhi sawaal uthaya ke ismat-dari aur qatl ke mujrim Ram Rahim ko kyun nahi dikhaya gaya.


Videsh ki Khabrein

Israeli Hamle ke Bawajood Samundri Flotilla Rawan Dawa, Mushtaq Ahmed Samet 200 Giraftar - Duniya Bhar mein Ehtejaj 

Israeli Forces ne Gaza imdaad le jaane wale Global Samundri Flotilla par hamla karke Sweden ki mahauliyaati karkun Greta Thunberg, Pakistan se ta'alluq rakhne wale sabik Senator Mushtaq Ahmed samet 37 mumalik se ta'alluq rakhne wale 200 karkunon ko girftar kar liya, jiske baad duniya bhar mein ehtejaj shuru ho gaya.

Girftariyon ke bawajood, Global Samundri Flotilla ke 30 jahaaz mission ki takmeel ke liye Gaza ki taraf rawan hain. Sabik Senator Mushtaq Ahmed Khan Pakistani waft ki qayaadat kar rahe the. Inhe Israeli afwaaj ne jahaaz par chadhai karte waqt hiraasat mein le liya.

Social media platform 'X' par Pak-Falasteen Forum ne likha ki Senator Mushtaq Ahmed Khan ko Israel ne girftar kar liya hai. Group ne mazeed kaha ki sirf ek jahaaz, mubassir kashti, bach nikalne mein kaamyaab hua, jiski zimmedari maalumaat ikattha karna aur wapas jaana tha. Hamare mandub Syed Ghadeer Nizami mubassir kashti par sawar the aur unhone Senator Mushtaq Ahmed Khan ke jahaaz par Israeli kaarwai ki ittela di.

Tarjumaan Global Samundri Flotilla ka kehna hai ki Israeli afwaaj ne flotilla mein shaamil 37 mumalik ke 200 se zaa'id afraad ko hiraasat mein le liya hai.

Global Samundri Flotilla ke Tarjumaan Saif Abu Qasheeq ne Instagram par mission update jaari ki, jismein tasdeeq ki gayi ke Israeli afwaaj ne samundar mein 13 kashtiyon ko rok liya. In kashtiyon mein 37 mumalik ke 201 se zyada afraad the, jinmein Spain ke 30, Morocco ke 22, Italy ke 22, Turkey ke 21 aur Malaysia ke 12 shaamil the.

Abu Qasheeq ne kaha ki girftariyon ke bawajood group ka mission jaari hai aur jahaaz ab bhi Bahr-e-Room ke raaste Gaza ka muhasra todne ke liye rawan hain. Unhone kaha ki takreeban 30 jahaaz ab bhi qaabiz afwaaj ke fauji jahaazon se bachte hue Gaza ke saahil tak pahunchne ki koshish kar rahe hain. Abu Qasheeq ne kaha ki woh pur-azm hain, pur-josh hain aur har mumkin koshish kar rahe hain taaki subah savere muhasra tod kar ikatthe pahunch saken.

Doosri jaanib, Israel ke flotilla par hamle aur insani huqooq karkunon ki girftariyon ke khilaaf duniya bhar mein ehtejaj shuru ho gaya. Italy, Greece, Spain, Brazil, Colombia, Argentina aur doosre mumalik mein log sadkon par nikal aaye aur dharne de rahe hain. Yeh ehtejaj Global Samundri Flotilla ke appeal par shuru kiya gaya. Istanbul mein Israeli sifar-khane ke samne shehriyon ne badi taadaad mein ehtejaj kiya aur Israel ke khilaaf naarebazi ki.

Antim Shabd 

aur Telangana se taaza khabrein – naye projects, historic events, traffic updates, wildlife news aur international protests sab cover.

----------------------------------------------------------------------------

Also read related news

Table of Content

Daily News

Telangana & India News: Bathukamma, RTC Safar, KTR Campaign, Rahul Gandhi Dhamki, Andhra Pradesh Waqia, Doha Hamla


----------------------------------------------------------------------------

Careers 

2. Maharashtra Police Bharti 2025: Age Limit Mein Chhoot, 15,631 Vacancies Jail Aur Police Vibhag Mein

3. Telangana Revenue Department Jobs 2025: 217 New Posts Approved – Latest Update (11 Sept 2025)

4. Telangana Doctors Recruitment 2025 | 1623 Specialist Posts Apply Online

5. Telangana Govt Job Calendar 2025 Reschedule | 60,000 Sarkari Naukri Ek Saal Me, 1 Lakh Do Saal Me

6. TSRTC Recruitment 2025: Apply Online for 1,743 Driver & Mechanic Posts in Telangana RTC

----------------------------------------------------------------------------

Sarkari Updates Admission aur Exams


TSPSC Group 2 Certificates Verification 2025: 4th Schedule 23-25 September

Telangana Me Caste Certificate Lena Hua Easy – MeeSeva Naya System 2025

----------------------------------------------------------------------------

Hyderabad Updates


----------------------------------------------------------------------------

Scam aur Deepfake

----------------------------------------------------------------------------

Weather Updates TG



----------------------------------------------------------------------------

Telangana News





----------------------------------------------------------------------------

Telangana Schemes

Revanth Anna Ka Sahara Scheme 2025 Telangana Govt ₹1 Lakh Financial Aid for Fakir & Dude Kula Communities | Apply Online

Kiase check Indiramma Illu Status for home

Kaise Apply kare indiramma illu Scheme basic eligiblity

----------------------------------------------------------------------------

How to Apply Schemes Guide


----------------------------------------------------------------------------

Bharat Updates




Maharashtra Heavy Rain 2025: 11 Halaak, Mumbai-Thane Red Alert

Supreme Court Notice on Umar Khalid & Sharjeel Imam Bail Pleas | Delhi Riots UAPA Case 2025

Infections aur Health


----------------------------------------------------------------------------

Bharat Schemes

----------------------------------------------------------------------------

GST Reform

----------------------------------------------------------------------------

Videsh News

H-1B Visa Fees Update 2025: Sirf Ek Baar Payment, Naye Applicants Ke Liye


Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur YouTube video ka content credit pura Shaik Omer ko jata hai. Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.

🔗 Connect With Bharat Batao

🖊️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.

📌 Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:

  • Telangana News 2025
  • Hyderabad News
  • Falaknuma Over Road Bridge
  • Osmania Dawakhana Construction
  • Vande Bharat Train Updates
  • Zebra Zoo Hyderabad
  • Sky Cable Car Project Telangana
  • Metro Train Cash Incident
  • Medak Tenduye Sighting
  • Telangana Heavy Rain 2025
  • JNU Raavan Putla Controversy
  • Israeli Flotilla 200 Arrests
  • Gandhi Jayanti Hyderabad
  • Ram Reddy Damodar Reddy Death
  • Anganwadi Uniform Delay
  • Comments