10

PM Modi ki Appeal: Swadeshi Products Apnayein | GST Reforms se Bachat Utsav

PM Modi ne GST reforms ke saath deshvasiyon se appeal ki ki woh Swadeshi products apnayein. Tax chhoot se ₹2.5 lakh crore ki bachat hogi.

Prime Minister Narendra Modi ne apne Sunday ke radio bhashan mein janta se appeal ki ki woh Swadeshi products ko apnayein. Nayi GST reforms ke saath unhone kaha ki gharon aur dukano ko Swadeshi ki Pehchan banana desh ke liye ek bachat aur aatmnirbharta ka raasta hai.

PM Modi urging people to adopt Swadeshi products with GST reforms announcement

Gharon ko Swadeshi ki Pehchan Banayein – PM Modi ki Appeal

New GST Reforms ke Saath Made in India par Zor

Prime Minister Narendra Modi ne apne Sunday ke radio bhashan mein deshvasiyon se appeal ki ki woh Swadeshi yani (desi) products ko apnayein aur gharon ko Swadeshi ki Pehchan banayein.

Unhone kaha ki 22 September, Sharada Navratri ke pehle din se nayi GST reforms lagu ho rahi hain, jo desh ke liye ek naye Bachat Utsav ka raasta kholti hain.

PM Modi ne kaha ki jo bhi cheez kharidi jaye, woh ‘Made in India’ honi chahiye, jismein hamare naujawano ki mehnat aur paseena shamil ho.

GST Reforms: “Bachat Utsav”

Pradhan Mantri ke mutabiq, Income Tax aur GST mein di gayi chhoot se janta ek saal mein ₹2.5 lakh crore tak ki bachat kar sakti hai.

  • GST Rates mein kami

  • Rules ki simplification

  • Chhote vyapariyon yani Small Bussinessman aur MSME ko fayda

Yeh reforms cottage industries aur small businesses ke liye game-changer sabit ho sakte hain.

Aatmanirbhar Bharat ki Raah

PM Modi ne apne sambodhan mein kaha:

 Tarakki-yafta Bharat ka raasta Aatmnirbharta se guzarta hai. Desh ki zarurat ke liye cheezein desh ke andar hi banani chahiye.

Unhone yeh bhi highlight kiya ki MSME sector aur local industries ko boost milega jab log imported items ki jagah Swadeshi aur local products ko preference denge.


Note:  Nayi GST reforms ke saath, Modi ji ne ek baar phir Vocal for Local aur Aatmanirbhar Bharat ka sandesh diya hai. Yeh reforms sirf tax simplification nahi balki ek aisa kadam hai jo desh ki economy ko majboot karte hue logon ko apne desi products par garv karne ke liye inspire karta hai.

------------------------------------------------------------------------------------

Also read related news

Table of Content

Daily News





1.Telangana Sarkar ne TomCom Company ke zariye 18 Naujawan Germany bheje – Skill Development ka naya kadam

2. Maharashtra Police Bharti 2025: Age Limit Mein Chhoot, 15,631 Vacancies Jail Aur Police Vibhag Mein

3. Telangana Revenue Department Jobs 2025: 217 New Posts Approved – Latest Update (11 Sept 2025)

4. Telangana Doctors Recruitment 2025 | 1623 Specialist Posts Apply Online

5. Telangana Govt Job Calendar 2025 Reschedule | 60,000 Sarkari Naukri Ek Saal Me, 1 Lakh Do Saal Me

6. TSRTC Recruitment 2025: Apply Online for 1,743 Driver & Mechanic Posts in Telangana RTC


------------------------------------------------------------------------------------

Sarkari Updates Admission aur Exams

Infections aur Health

------------------------------------------------------------------------------------

Bharat Updates







------------------------------------------------------------------------------------

Videsh News


------------------------------------------------------------------------------------

Scam aur Deepfake

Hyderabad Updates


Weather Updates TG



Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur . Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.

🔗 Connect With Bharat Batao

🖊️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.

📌 Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources

  • PM Modi GST reforms 2025
  • Swadeshi products campaign
  • Made in India preference
  • Aatmanirbhar Bharat initiative
  • MSME aur small business support
  • GST tax simplification
  • Bachat Utsav Modi speech

Comments