10

Telangana Aur Desh Ki Taza Khabrein 18 October | Bandh, By-Election, Haadsaat & Scandal

Khufiya camera mamla, Telangana Bandh, Jublie Hills by-election, farzi mulazmeen, rishwat, aabshaar haadsa aur Philippines mein zalzala.


Hyderabad mein khufiya camera mamla, Telangana Bandh 18 October, schools aur exams postpone. Jublie Hills by-election 11 November, Congress ummeedwaar Naveen Yadav ne parchaa daakhil kiya, MIM ne hissa na lene ka faisla. Constable ki maut, Telangana mein farzi mulazmeen ka scandal. Nalgonda mein rishwat officer giraftaar, Chittoor aabshaar haadsa, Diwali se pehle naaqis khurdooni ashiya, Akola mein kashidgi phailane ki koshish, Philippines mein 6.2 shiddat ka zalzala.

Telangana aur desh ki taaza khabre: Bandh, by-election, haadsaat, farzi mulazmeen, rishwat aur 6.2 shiddat ka zalzala.


Telangana aur Hyderabad ki Khabrein


Jublie Hills By-Election -11 November Ko Chutti

  • Hyderabad ke Jublie Hills Assembly halqe mein 11 November ko zimni intikhab by-election ke liye polling hogi. 
  • Is din halqe ke hudood mein aane wale sarkaari dafaatir aur taaleemi idaaron mein chutti rahegi. Riyasati Chief Secretary K. Ramakrishna Rao ne Jume ke roz is silsile mein rasmi ehkaamaat jaari kiye.
  • Jublie Hills zimni intikhab ke liye naamzadgiyon ka amal jaari hai. 21 October tak nomination file karne ki aakhri tareekh hai, is wajah se mukhtalif siyasi jamaaton ke ummeedwaar apne kagzaat jama kara rahe hain.
  • Yeh by-election Maganti Gopinath ke achanak intiqaal ke baad ho raha hai. Congress, BRS, BJP samet sabhi badi siyasi jamaatein seat jeetne ke liye bharpoor intikhabi muhim chala rahi hain.
  • Polling 11 November ko hogi, jabki 14 November ko voton ki ginti aur nataij ka elaan kiya jayega.


Congress Ummeedwaar Naveen Yadav Ne Parchaa Daakhil Kiya

  • Jublie Hills zimni intikhab ke liye Congress ke ummeedwaar Naveen Yadav ne aaj apna parchaa naamzadgi daakhil kar diya. Woh bade juloos ke saath Returning Officer ke daftar pahunche.
  • Is mauqe par Wuzra Punam Prabhakar, J. Vivek Venkat Swamy, saabiqa Rukne Rajya Sabha V. Hanumantha Rao, Rukne Rajya Sabha Anil Kumar Yadav, Mayor Hyderabad J. Vijayalakshmi, saabiqa Rukne Parliament Mohammed Nazeeruddin aur kai doosre party neta bhi maujood the.
  • Parchaa daakhil karne ke baad kaarkunon ne aatishbaazi ki aur Naveen Yadav ne voters se mulaqaat ki. Yousufguda Check Post se Srinagar Colony tak juloos ki wajah se traffic mein khalal pada aur sadkon par rush nazar aaya.


MIM Ka Jublie Hills Chunav Mein Hissa Na Lene Ka Faisla

  • Jublie Hills ke zimni intikhab mein Majlis-e-Ittehadul Muslimeen MIM ne hissa na lene ka faisla kiya hai. MIM ke Sadar aur Hyderabad ke Rukne Parliament Barrister Asaduddin Owaisi ne kaha ke party ne halqe ki tarraqqi ko madde nazar rakhte hue ye faisla liya.
  • Owaisi ne kaha ke Jublie Hills mein yeh zimni intikhab hai, aur Revanth Reddy ki hukoomat ke abhi 3 saal baqi hain. Party ne apne arkaan-e-assembly, kaarkun, senior leaders, Eragadda ke corporator aur muqami logon se mushawarat ke baad hissa na lene ka faisla kiya. Unka kehna tha ke, is halqe mein log achhe ummeedwaar ko vote denge.
  • Barrister Owaisi ne apne daure ke dauran sahafiyon se baat cheet mein kaha ke BRS ko 10 saal ka mauqa mila lekin woh is halqe ko khaatir khwah tarraqqi nahi de sake. Unhone kaha ke yeh ek seat se na hukoomat girne wali hai na banne wali, isliye halqe ki tarraqqi ko zyada ahmiyat di gayi hai.
  • Is dauran Congress ke ummeedwaar Naveen Yadav ne Owaisi se mulaqaat kar ke unka aashirwad bhi liya. Owaisi ne Naveen Yadav ko salah di ke woh Hindu-Muslim sab tabqon ko saath lekar chalein.
  • Jublie Hills mein ab takriban 3,98,870 voters registered hain. Owaisi ne kaha ke yeh voters kisi ek shakhsi jazbaat ke nahi balki tarraqqi se marboot hain, aur woh ummeed karte hain ke yahan ke log ek achha faisla lenge.


Khufiya Camera Ka Mamla

  • Hyderabad ke Madhura Nagar–Jawahar Nagar area mein ek darawna waqya saamne aaya. Malik Makaan ne kirayedaar khaatoon ke bathroom mein chupke se khufiya camera lagaya.
  • Tafseelaat ke mutabiq, Ashok Yadav naam ke makaan maalik ne ek electrician ki madad se yeh kaam kiya. Is makaan mein ek 23 saal ki shaadi shuda khaatoon apne shauhar ke saath rehti thi aur private job karti thi. 
  • 4 October ko jab bathroom ka bulb kharab hua toh khaatoon ne Ashok Yadav ko bataya. Usne electrician ko bulwaya aur bulb theek karwane ke sath hi bulb holder ke andar ek chhupa hua camera lagwa diya.
  • Baad mein Ashok ne is camera se khaatoon ke nahane ke waqt ki videos record ki. 13 October ko bulb holder se achanak ek screw gir gaya. Khaatoon ne shauhar ko check karne ko kaha. Jab holder khola gaya toh andar camera dekh kar dono shock ho gaye. 
  • Fauran Ashok Yadav se baat ki gayi lekin usne maamla halke mein liya. Jab unhone police shikayat ki dhamki di toh Ashok ne dhamkaya ki electrician Chintu - jo pehle jail kaat chuka hai - wapas aakar unko nuksaan pahuncha sakta hai.
  • Is dhamki ke baad mutasira joda seedha police ke paas pahucha. Police ne Ashok Yadav ko giraftar karke pooch taach ki jismein usne camera lagane ka i’tiraaf kiya. Electrician Chintu abhi farar hai aur uski talaash jaari hai. Is camera ki video social media par viral ho gayi hai aur logon mein gussa aur khauf ka mahaul hai.
  • Pehele aise cases hotels ya hostels mein aate the, lekin ab gharon mein bhi aise waqyaat badh rahe hain. Log keh rahe hain ki kiraye ke ghar mein shift hone se pehle bathrooms aur bedrooms ke lights aur holders ko achhi tarah check karna chahiye, taaki aise khatarnaak harkaton se bach sakein.


Constable Ki Maut - Mulzim Ka Qaatileena Hamla

  • Nizamabad mein ek sanasan khaiz waqya pesh aaya jahan ek mulzim ne police par qaatileena hamla kar diya. Is hamle mein ek Constable ki maut ho gayi.
  • Zaraye ke mutabiq, Mohammed Nagar Colony ka rehne wala Riyaaz ke khilaaf sarqe ke kai muqadmaat darj the. Aaj CCS Sub-Inspector Vitthal aur Constable Vinod ne use giraftar kiya aur Police Station le ja rahe the.
  • Vinayak Nagar ke paas pohanchte hi Riyaaz ne apne paas maujood khanjar se Constable par hamla kar diya. Beech bachav karne par usne Sub-Inspector par bhi waar kiya. Dono police afsar zakhmi ho gaye.
  • Constable Vinod ko Pramod Hospital le jaate waqt uski maut ho gayi. Is hamle ke baad Riyaaz faraar ho gaya. Police ne uski talash ke liye khaas teams bana di hain aur area mein search operation shuru kar diya gaya hai.


Rishwat Lete Fire Station Officer Giraftaar -Nalgonda

  • Nalgonda mein Fire Station ke Officer A. Satyanarayana Reddy ko rishwat lete hue range haathon giraftaar kar liya gaya.
  • Zaraye ke mutabiq, ek shakhs jo patakhon ki dukaan ke liye aarzi license lene aya tha, usse No Objection Certificate, NOC ke badle ₹8,000 rishwat li gayi. 
  • Shikayat kunindey ne is maamle par Anti-Corruption Bureau ACB se ruju kiya, jiske baad hukkaam ne officer ko giraftar kiya.
  • Mamle ki mazeed tafteesh jaari hai aur ACB rishwat lene wale network ki bhi jaanch kar rahi hai.


Telangana Bandh Ka Aagaaz raha

  • Telangana mein 42% BC reservation ke mutaalbe par BC tanzeemon ne Bandh For Justice ke naam se Telangana Bandh ka elaan kiya. 
  • Is bandh ko Congress ke saath lagbhag sabhi siyasi jamaaton, taajir tanzeemon, taaleemi idaaron aur kaarobari tabqon ne support diya.
  • Subah se hi bandh ka asar dikhne laga. RTC buson ko depot se nikalne nahi diya gaya, jiski wajah se poore riyasat mein RTC services band ho gayi. 
  • Asla aur belur RTC services sirf Hyderabad ke MGBS tak mehdood rahi. Rajendra Nagar, Dilsukh Nagar jaise kai depots mein busen band rahi.
  • JBS, MGBS, Rajendra Nagar samet tamaam ilaqon mein BC tanzeemon aur mukhtalif party ke leaders ne RTC depots ke saamne dharne diye aur zor daar naare lagaye
  • Mehboob Nagar mein saabiq wazir Srinivas Goud aur BRS qaaid ne bhi protest mein hissa liya. Unka kehna tha ki Congress hukoomat ke ghalat faisle ki wajah se BC reservation par amal nahi hua, jisse awam mein narazgi hai.
  • Taajir aur kaarobari tabqon ne bhi bandh ko support kiya. Bazaar, dukaanen aur idaaron mein talay pad gaye aur aam zindagi bilkul thamm gayi. RTC busen band hone ke baad log sadkon par pareshaan nazar aaye aur apni manzil tak pahunchne ke liye private gaadiyon ka sahara liya.


Aaj Telangana Bandh raha -18 October

  • Telangana mein aaj, 18 October ko BC tanzeemon ki Joint Action Committee JAC ne riyasat bhar mein Telangana Bandh manane ka elaan kiya gaya thaa. Iska maqsad Majalis-e-Muqami intakhabat mein pasmanda tabqaat ko 42% tahaffuzaat reservation dilane ke liye hukoomat par dabao banana hai.
  • Pehle Riyasat Hukoomat ne 42% reservation ke liye ek G.O. Government Order jaari kiya tha, lekin High Court aur Supreme Court ne ise rok diya kyunki yeh 50% ki hadd se zyada tha. 
  • Isi wajah se BC tanzeemon ne bandh ka faisla liya. Bandh ke dauraan school, college, RTC bus services aur private kaarobar mutaasir honge, jabki medical stores khule rahenge.
  • Is bandh ko Congress, BRS, BJP aur Telangana Jagruti samet sabhi badi siyasi jamaaton ka support haasil hai. Isse hukoomat par qanooni aur aai’ini hal nikalne ka pressure aur badh gaya hai. 
  • BC Leader aur Rukne Rajya Sabha R. Krishnaiah ne awam se appeal ki hai ki woh apne tijarti aur kaarobari idaare razaakaaraana taur par band rakhein aur BC tabqaat ke mutaalbe ka saath dein.
  • Yeh bhi yaad rahe ki Congress Hukoomat ke G.O. ko High Court ne kala-dum qaraar diya tha aur Supreme Court ne bhi is faisle ko barqaraar rakha. Isi ke khilaaf JAC ne bandh ka aaghaaz kiya hai.
  • Director General Police B. Shivdhar Reddy ne sabhi siyasi jamaaton aur tanzeemon se appeal ki hai ki bandh pur-aman taur par manaya jaye
  • DGP ne ek press note ke zariye intibah diya hai ki ghair qanooni sargarmiyon ya khalal paida karne ki koshish par sakht kaarwai ki jayegi.


Schools Aur Exams Postpone - Telangana Bandh Ka Asar

  • Aaj 18 October Saturday ko BC tanzeemon ke Telangana Bandh ke pesh-e-nazar, schools aur kuch universities ke exams postpone kar diye gaye hain.
  • Telangana Recognised School Management Association TRSMA ne BC tanzeemon ki darkhwaast par aaj schools bandh rakhne ka faisla kiya hai. Yeh faisla 42% BC reservation ke mutaalbe ke liye bandh ke support mein liya gaya.
  • Osmania University ne bhi 18 October ke tamaam exams multawi postpone kar diye hain. Registrar ne kaha ki in exams ki nayi tareekh baad mein elaan ki jayegi.
  • Isi tarah, Kakatiya University ne bhi kuch exams postpone karne ka faisla kiya hai. LLB, B.Tech, M.Sc. 5 Saala Integrated Course, Biotechnology, Chemistry, M.Tech aur CLI Distance Education ke exams ab baad mein honge. Controller of Exams, Prof. K. Rajendra ne kaha ki nayi tareekhen jald batayi jayengi.
  • Taaham, university ke baaki exams schedule ke mutabiq hi honge. Talaba ko salah di gayi hai ki mazeed maloomat ke liye Kakatiya University ki sarkaari website Kakatiya University check karein.


Telangana Mein Farzi Mulazmeen - BRS Hukoomat Ka Scandal

  • Telangana mein ek badi bad-unwani ka waqya saamne aaya hai. BRS ke 10 saal ke daur-e-hukoomat mein mukhtalif sarkaari mahakkaat mein takriban 1 lakh bogus mulazmeen ki nishan-dehi hui, jinke naam par ₹15,000 crore ghair qanooni taur par nikale gaye.
  • Zaraye ke mutabiq, Mahakma-e-Finance aur doosri tehqeeqi agencies ki ibtedaai report mein pata chala ke kai mulazmeen amalan maujood nahi hain, magar unke naam par har mahine sarkaari khazane se lakhon rupaye tankhwah nikaale ja rahe the. 
  • Is tarah saal ke hisaab se ₹1,500 crore nikaale gaye, jisse 10 saal mein ₹15,000 crore ka nuksaan hua. Reports ke mutabiq, yeh jaalsaazi munazzam network ke zariye ki gayi, jisme kuch siyasi qaideen aur aala ohdedaar bhi shamil the.
  • Iske baad hukoomat ne mukhtalif mahakkaat mein outsourcing aur contract mulazmeen ka data dobara check karna shuru kiya aur farzi mulazmeen ki tankhwah October se rokne ka faisla kiya.
  •  Ibtedaai report ke mutabiq, 4 lakh outsourcing mulazmeen darj hain, jisme sirf 2 lakh haqeeqi taur par kaam kar rahe hain aur baaqi lakhon ke naam jaali aur ghair fa’aal paaye gaye.


Congress Par Harish Rao Ka Hamla - Seedhi Baat

  • Saabiq wazir aur Siddipet ke Rukne Assembly Harish Rao ne Congress hukoomat par sakht tanqeed ki. Unka kehna hai ke hukoomat ne jo intikhabi waade kiye the, unko poora karne mein nakaam rahi - isliye woh sawaal utha rahe hain ke kis baat ki jeet ka jashn manaya ja raha hai.
  • Harish Rao ne Telangana Bhavan mein media se baat karte hue kaha ki pichhle 23 mahine mein Congress hukoomat ne 6 zamaanaton aur 420 intikhabi waadon me se kisi par amal nahi kiya. Woh tanzeeh andaaz mein puchte hain,
  • kya hukoomat kamzor afraad ko wazeefe se mehroom rakhne par jashn mana rahi hai,
  • Ya phir khawateen ko mahana ₹2,500 na dene par celebrate kar rahi hai,
  • Kya Rythu Bandhu ko nazarandaaz, qarz maafi na dena, aur berozgaar naujawaanon ko naukriyan na dena ko khushi ki baat maan liya gaya hai,
  • Harish Rao ne aur bhi kaha ke Congress hukoomat taleem, samaaji behtari aur taraqqi ke mamlaat mein poori tarah nakam rahi hai. 
  • Unka kehna tha ke koi bhi tabqa aisa nahi jise Congress ne mayoos na kiya ho. Unhone zor dekar kaha ke BRS sarmaya-kaaron, sanatkaron, real estate taajiron aur ghareeb awam ke saath khadi hai.
  • Harish Rao ne awam ko yaqeen dilaya: agar hukoomat aapko pareshan kar rahi hai to hamein bataiye -hum aapka tahaffuz karenge. Unhone yeh bhi kaha ke Telangana Bhavan ke darwaze awam ke liye hamesha khule rehte hain.


Aabshaar Par Haadsa - Chittoor

  • Andhra Pradesh ke Chittoor zilla ke Palamaner Rural Mandal mein Kalyanaru Aabshaar par ek afsosnaak haadsa pesh aaya, jisme ek naujawaan Younus paani ke bhanwar mein gharq ho gaya.
  • Tafseelaat ke mutabiq, Younus apne doston ke saath sair aur tafreeh ke liye aabshaar gaya tha. Josh mein aakar usne paani ke tez bhaon mein chalang lagayi, lekin woh neeche maujood khatarnak bhanwar mein phans gaya aur paani ki gehraai mein ghaayab ho gaya.
  • Hairat-angez baat yeh hai ke yeh dardnaak lamha doston ke mobile camera mein qaid ho gaya. Video mein Younus ko paani mein koodte aur bhanwar mein gum hote dekha ja sakta hai.
  • Guzarishta roz se Fire Brigade aur mahakme ke ghota-khor musalsal talaash mein masroof hain, magar ab tak Younus ka koi suraagh nahi mila. Is waaqye ne ilaqe mein gham aur shok ki lehar dauda di hai.


Desh ki Khabrein 


Naaqis Khurdooni Ashiya -Diwali Se Pehle Bazaaron Mein Tehqeeq

  • Diwali ke mauqe par bazaaron mein naaqis aur muzir-e-sehhat khurdooni ashiya ki bharmaar ho gayi hai. Mulk bhar mein Mahakma-e-Food Safety ki taraf se isko mehfooz banane ke liye kaarwaiyan tez kar di gayi hain.
  • Delhi, Gorakhpur, Ghaziabad aur kai doosre shehron mein nakli mithaiyan aur khurdooni ashiya zabt ki gayi. Kaarwaiyon ke dauraan badi miqdaar mein aisi cheezen milin jo insaani sehat ke liye nuqsaandeh sabit ho sakti hain.
  • Mahakma ne awam se appeal ki hai ke sirf mehfooz aur saaf-suthri cheezain hi kharidein, taake Diwali ke mauqe par koi sehat ka risk na ho.


Kashidgi Phailane Ki Koshish -Akola

  • Vidarbh ke Akola mein ek waqya pesh aaya jahan kuch logon ne Gau maans ke naam par mahoul kharab karne ki koshish ki. Bajrang Dal ke kaarkunon ne khud hi ek dukaan par chhaapa maar diya, bataya ja raha hai ke wahan gaay ka gosht becha ja raha tha.
  • Ittila ke mutabiq, Baispur ilaqe mein kisi ne Bajrang Dal walon ko bataya ke ek dukaan mein gaay ka gosht farokht ho raha hai. Bajrang Dal ke log wahan pohanche aur dukaan par chhaapa maara. 
  • Is dauran muqami log bhi jamaa ho gaye aur dono taraf se taana-tani shuru ho gayi. Baat badhne par dono girohon ke darmiyan tasaadum aur jhagde ki soorat paida ho gayi aur logon ne naare bhi lagaye. Kuch wakton ke baad pathravi bhi hui.
  • Police ko ittila milte hi woh mauqe par pohanchi aur jhagde mein shamil afraad ko qaboo mein liya. Jin logon ko City Police Station le jaya gaya, wahan BJP, Bajrang Dal aur Vishwa Hindu Parishad ke supporters ne bheed jama kar ke naare lagaye. 
  • Jawaab mein kuch Muslim naujawanon ne bhi naare lagaye. Khabar milte hi Congress ke Rukne Assembly Sajid Khan Pathan aur doosre siyasatdaan bhi police station pohanche.
  • Police ne baad mein yeh kaha ke wo confirm nahin kar sakte ke kin logon ko giraftar kiya gaya hai, aur zyada tafseeli bayan abhi jaari nahin hua. Police ne yeh bhi keh diya ke dono taraf aamne-samne the, lekin unhone maar-peet hone ki baat se inkaar kiya hai.


Videsh ki Khabrein


Philippines Mein Zalzala - 6.2 Shiddat

  • Junoobi Philippines ke Surigao Del Norte soobe mein Jume ki subah Richter Scale par 6.2 ki shiddat ka zalzala aaya. Yeh ittla Philippine Mahakma-e-Aatish Fishaan Pahadon aur Mahakma-e-Zalzaliyaat ne di.
  • Report ke mutabiq, zalzala subah 7:03 par hua. Asal markaz General Luna ke 13 km junoob-mashriq mein, 10 km gehraai mein tha. Zalzale ke jhatke Mindanao ke padosi soobon aur wasta Philippines mein bhi mehsoos kiye gaye.
  • Fauri taur par, halaaqaton ya nuqsaan ki koi ittla nahi mili. Philippines Ring of Fire ke saath waaqif hai, isliye jazeere mein aksar zalzale hote rehte hain. Filhaal zalzale se kisi jaan ya maal ko nuqsaan nahi hua.


Antim Shabd

Yeh tamam waqiyat Telangana aur desh-bahir ke taaza haalaat ko darshaate hain - khufiya camera, bandh, by-election, farzi mulazmeen, rishwat, haadsaat aur zalzale. Awam ko jaankari aur ehtiyaat baratna zaroori hai. Har citizen ko apni suraksha aur haqooq ke liye hoshiyaar aur satark rehna chahiye.


Related Post: 


Also read news

Table of Content


Sarkari Updates Admission aur Exams

Telangana TGEAMCET 2025 Counselling Schedule Released Full guide

TG-SET December 2025: Osmania University State Eligibility Test Details



TSPSC Group 2 Certificates Verification 2025: 4th Schedule 23-25 September

Telangana Me Caste Certificate Lena Hua Easy – MeeSeva Naya System 2025


Hyderabad Updates

Jubilee Hills Zimni Chunav 2025: Final Voter List Jaari, 3.98 Lakh Voters Darj


Weather Updates TG



Telangana News







Telagana Schemes



Bharat Updates




Maharashtra Heavy Rain 2025: 11 Halaak, Mumbai-Thane Red Alert

Supreme Court Notice on Umar Khalid & Sharjeel Imam Bail Pleas | Delhi Riots UAPA Case 2025

Rahul Gandhi ne Voter List Irregularities Par Uthaye Sawal, Kaha Democracy Par Attack


Infections aur Health


Bharat Schemes


GST Reform


Videsh News

H-1B Visa Fees Update 2025: Sirf Ek Baar Payment, Naye Applicants Ke Liye

🔗 Connect With Bharat Batao

🖊️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.


Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.
📌 Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:
👉 More Updates:
🔗 Sarkari Updates | Scam Report | Career & Jobs | Weather Alerts
  • Telangana Bandh 18 October
  • Khufiya Camera Mamla Hyderabad
  • Jublie Hills By-Election 2025
  • Congress Ummeedwaar Naveen Yadav
  • MIM Jublie Hills Chunav
  • Constable Ki Maut Nizamabad
  • Telangana Farzi Mulazmeen Scandal
  • Rishwat Lete Fire Station Officer Nalgonda
  • Harish Rao Congress Par Hamla
  • Chittoor Aabshaar Haadsa
  • Diwali Naaqis Khurdooni Ashiya
  • Akola Kashidgi Phailane Ki Koshish
  • Philippines Zalzala 6.2 Shiddat
  • Telangana Taza Khabrein

Comments