10

Telangana & Hyderabad Latest News, Sher, Elections, Rozgaar, Housing, Gaza Updates

Asifabad sher, Telangana elections, rozgaar mela, Indiramma housing, Hyderabad airport sona, Jubilee Hills by-election aur Gaza Trump updates.


Asifabad mein sheron ki sargarmiyan badh gayi, awaam ko mohotat rehne ki salah. Telangana mein Local Body elections ke liye 2 bachchon ki shart khatam. Raja Singh par sakht karwai ki maang. Hyderabad ka naujawan Russia-Ukraine jung mein dhakela gaya. Universities mein nasha rokne ke liye task force, Indiramma Housing, BC reservation, rozgaar mela, Telangana bandh, borewell se paani, OSD bartaraf, Hyderabad airport sona, Jubilee Hills election, exams results, social media par qanooni karwai, nashe mein gaadi, chicken licensing, JDU candidates, trains mein patakhe, Trump ka Gaza bayan.

Telangana aur Hyderabad ke latest news highlights: sher, elections, rozgaar mela, housing scheme, Hyderabad airport, Jubilee Hills by-election aur Gaza updates.


Telangana aur Hyderabad ki Khabrein


Degree Courses Ke Instant Exams Ke Results Jaari 

Osmania University ke Controller of Examination, Professor Shashikant ne elaan kiya hai ke University ke tamaam Degree Courses ke Instant Exams ke dobara check kiye gaye nataij ab jaari kar diye gaye hain.

Inme BA, BBA, BCom, BSc aur doosre courses ke 6th semester ke exams shaamil hain. Students apne results Osmania University ki official website www.osmania.ac.in par dekh sakte hain.


Telangana Ke Ulama Aur Mashaikh Ka Mutalaba: Raja Singh Par Sakht Karwai Ki Maang

Hyderabad mein Paigambar-e-Islam ï·º ki shaan mein gustakhi par Ulama, Mashaikh, awaami numaindon aur daanishwaron ka ek waft Director General Police Telangana Shivdhar Reddy se mila aur sakht karwai ka mutalaba kiya.

Waft ne Goshamahal ke MLA Raja Singh ke khilaaf yaad-daasht pesh karte hue kaha ki woh baar-baar Musalmanon ke mazhabi jazbaat ko majrooh kar rahe hain aur nafrat phaila rahe hain, jisse aman ko khatra ho sakta hai. 

Unhone maang ki ke Raja Singh ke khilaaf IPC ki dhara 298, 295-A, 153-A, 552 aur IT Act ke tahat fauri taur par case darj kiya jaaye. Saath hi unki giraftari bhi jaldi ki jaye taaki kanoon ki khilaaf-warzi ko roka ja sake.

Ulama aur Mashaikh ne yeh bhi kaha ke karwai mein deri logon ke etmaad ko kamzor karegi aur firqaana ham-aahangi ko nuqsaan pahuncha sakti hai.


Social Media Par Chhote Bachchon Ke Saath Gair Ikhlaqi Mawaad Par Sakht Qanooni Karwai Hogi 

Commissioner Police Hyderabad V. C. Sajjanar ne kaha hai ke views aur likes ke chakkar mein social media par chhote bachchon ke saath gair ikhlaqi immoral mawaad upload karne walon ko sakht action ka samna karna padega.

Unhone apne social media message mein poocha hai ki aise videos post karke banane wale log samaaj ko kya paigham de rahe hain? Commissioner ne wazeh kiya ke ye sirf bachchon ke huqooq ki khilaf-warzi nahi, balki kanoon ke mutabiq jurm bhi hai. 

Bachchon ko aise mawaad ka hissa banana unki zindagi aur izzat ko nuksan pohanchana hai. Unhone kaha ke jo log aise ghair-munasib inappropriate mawaad banayenge ya upload karenge, unke khilaaf sakht qanooni karwai ki jayegi.

Commissioner ne shehriyon se darkhwast ki hai ke agar unhein social media par aise videos nazar aayein toh foran mutallqa police ko bataen, ya National Cyber Crime Portal par complaint file karen, ya Helpline Number 1930 par shikayat karein.


Hyderabad Ka Naujawan Zabardasti Russia-Ukraine Jang Mein Dhakela Gaya

Hyderabad ke ek naujawan ko zabardasti Russia-Ukraine ki jang mein bhej diya gaya. Usne ek video message mein wahan ki puri haqiqat batai aur madad ki appeal ki.

Barrister Asaduddin Owaisi, Sadar Majlis-e-Ittehadul Muslimeen aur Hyderabad ke MP ne Wazir-e-Khaarija ko khat likh kar is naujawan ki ba-hifaazat waapsi ka mutalaba kiya hai.

Tafseelaat ke mutabiq, Mohammad Ahmed Saqi ki biwi ne bataya ke unke shauhar naukri ki talaash mein Russia gaye the. 

Wahan pahunchte hi unhe zabardasti door ke ilaqon mein bhej diya gaya, hathiyaron ki training di gayi aur border par jang ke liye rawaana kar diya gaya.

Naujawan ne apne video message mein kaha ke woh ab border par hai, jang jaari hai, aur uske saath ke 25 logon mein se 17 mar chuke hain. Usne hukoomat se apni ba-hifaazat waapsi ki appeal ki hai.


Asifabad Mein Sheron Ki Sargarmiyan Badh Gayi, Awaam Ko Mohotat Rehne Ki Salah

Asifabad zille ke Tadoba aur Tipeshwar National Park se sher ab zyada ghoom rahe hain, is wajah se logon ko mohotat rehne ka mashwara diya gaya hai.

Forest Officer Neeraj Kumar ne bataya ki Sirpur ke Dahigaam ilaake, Atkal Pahaad, Asifabad ke aas-paas aur doosre ilaqon mein sheron ki ginti aur movement mein izafa dekha gaya hai. 

Unhone kaha ki forest team sheron ki nishaan-dehi aur nigrani mein lagatar kaam kar rahi hai. Charwahon, kisaanon, mazdooron aur mukaami logon ko salah di gayi hai ke woh sher se door rahein aur savdhaani bartein. 

Unhone ye bhi bataya ki sardiyon ke mosam mein sheron ki harkatein zyada ho jaati hain, isliye logon ko aur bhi zyada chaukas rehna chahiye.


Telangana Sarkar Ka Bada Faisla, Local Body Elections Mein 2 Bachchon Ki Condition Khatam 

Telangana Hukumat ne ek bada aur taarikhi faisla lete hue Local Body Elections mein candidates ke liye do bachchon ki shart ko khatam kar diya hai.

Wazir-e-Talato Tallukaat Amma P. Srinivas Reddy ne press conference mein bataya ki Chief Minister Revanth Reddy ki leadership mein hui Cabinet meeting mein yeh aham faisla liya gaya. 

Unhone kaha ki pehle jin logon ke do se zyada bachche hote the, unko elections mein hissa lene ke liye na-ahal qaraar diya jaata tha. 

Lekin ab riyasat mein aabaadi par kaafi had tak control ho chuka hai, isliye ab is rule ko rakhnay ki zaroorat nahi hai. Cabinet ne mil kar is shart ko officially khatam kar diya hai.


Universities Mein Nasha Rokne Ke Liye Task Force Team 

Riyasat mein Engineering Colleges, Osmania University aur JNTU campuses mein nasha manshiyat ke istemaal ko rokne ke liye khaas Task Force team banayi ja rahi hai. Yeh team college ke intezamaat ke saath milkar kaam karegi taake students ko nasha se bachaya ja sake.

Iske ilawa professors aur talaba ke saath milkar ek khaas nigrani ka nizam tayaar kiya ja raha hai, jiska raahnuma Vice-Chancellor aur Registrar honge. 

Affiliated engineering colleges mein in intizaamaat ke liye college ke representatives zimmedar thehraye jayenge.

Yeh qadam isliye uthaya ja raha hai kyunki shehar ke kuch ilaqon mein engineering colleges ke andar students ke nasha karne aur uski kharid-o-farokht ke waqiyat samne aaye hain. 

Agar talaba nasha karte rahenge to unka mustaqbil khatre mein pad sakta hai. Isliye ek group bana kar khufiya taur par maloomat ikatha ki jayegi, jisse nasha karne wale talaba ki pehchaan ho sake. Pehchaan hone ke baad unki pehli counselling ki jayegi.

College mein talaba ki hazri par bhi tawajju di ja rahi hai aur is maamle mein walidain se bhi baat-cheet ki jayegi. 

Osmania University aur JNTU ke har campus mein 5 se 10 khufiya groups banaye jayenge aur in groups ki ittlaaat bhi khufiya rakhi jayengi. Manshiyat se paak riyasat banane mein yeh qadam ek aham aur zaroori iqdam hai.


Indiramma Housing Scheme Mein Nalgonda Zilla Ka Doosra Muqaam 

Indiramma Housing Scheme ki amlaavari mein Nalgonda zille ne riyasat bhar mein doosra muqaam haasil kiya. Is shandaar kaarkardagi par Zilla Collector ne odedaaron ko shabashi di aur mubarakbaad pesh ki.

Apne sahafati bayan mein unhone bataya ke State Housing Department ke Managing Director P. Gautam ne bhi Nalgonda Zilla Administration ko mubarakbaad di. 

Hyderabad mein hue ek khaas program ke dauraan P. Gautam ne Nalgonda Housing Department ke Project Director Rajkumar ko unki behtareen kaarkardagi ke liye ek laptop aur taarifi sanad se nawaza.

Sarkari adad-o-shumaar ke mutabiq, Indiramma Scheme ke tahat Nalgonda zille mein 19,650 makaan allot kiye gaye, jinmein se 17,247 makaan ki manzoori ho chuki hai. 

Ab tak 13,581 makaan ki grounding mukammal ho gayi hai jabki 10,116 makaan mukhtalif marahil mein hain. Sirf Maah-e-September mein zille mein 5,919 makaan zameen-bos kiye gaye aur ₹80 crore ki raqam mustafideen ko di gayi.

Riyasati satah par scheme ke mukhtalif pehluon ka jaayza liya gaya jismein Nalgonda ne dehi aur shehri dono satah par zabardast kaarkardagi dikhate hue doosra muqaam haasil kiya. Narayanpet zilla pehla muqaam hasil karne mein kamiyab raha.


Supreme Court Ne Telangana Sarkar Ki BC Reservation Wali Darkhwaast Kharij Kar Di 

Supreme Court ne Telangana Hukumat ki darkhwaast mustarad karte hue hukoomat ko madaali local intakhaabaat mein purane reservation system ke mutabiq amal karne ka hukm diya hai.

Telangana Hukumat ne BC Reservation se mutalliq High Court ke faisle ko challenge karte hue Supreme Court mein SLP Special Leave Petition daayar ki thi, lekin adalat ne use radd kar diya. Supreme Court ne wazeh taur par kaha hai ke hukoomat ko elections mein maujooda qawaneen aur purane reservation ke daayre mein hi amal karna hoga.

Is faisle ke baad Telangana Sarkar ko elections mein diye gaye 42% BC tahaffuzat, reservation ko khatam karna padega. Ye faisla aane wale local body elections par seedha asar dalega.


18 October Ke Telangana Bandh Ko Congress Ki Puri Taa’eed 

Sadar Pradesh Congress Committee ke Mahesh Kumar Goud ne BC tabqaat ke 42% tahaffuzaat ke liye 18 October ko BC tanzeemon ke Telangana Bandh ki puri taa’eed aur himayat ka elaan kiya.

BC tanzeemon ki JAC ke qaaid R. Krishnaiah ki leadership mein BC tanzeemon ke qaideen Gandhi Bhavan pahunch kar Mahesh Kumar Goud se mile aur Bandh ki support ki appeal ki. Mahesh Kumar Goud ne Congress ki taraf se is Bandh ki taa’eed ka elaan kiya.

Mushtarika press conference mein Mahesh Kumar Goud ne kaha ke Congress BC tabqaat ko 42% tahaffuzaat faraham karne ke apne ahad par paaband hai. 

Rahul Gandhi ki khwahish ke mutabiq Chief Minister ne riyasat mein jaat-paat survey karaya aur Assembly mein BC tahaffuzaat ke liye do qawaaneen taiyaar kiye, jo ab Markazi Hukumat ke paas pending hain. Congress BC tahaffuzaat ke maamle mein sanjeeda hai.

Unhone yeh bhi kaha ke election aur siyasat alag hain, aur tamaam jamaton ko siyasat se upar uth kar tahaffuzaat ke liye muttahid hokar jiddo-jehad karne ki appeal ki gayi hai.


Berozgaar Naujawanon Ke Liye Khusoosi Rozgaar Mela hua 

Zilla Rozgaar Afsar Mr. E. S. Nag Tripathi ne bataya hai ke Nalgonda zille mein berozgaar naujawanon ke liye ek khaas Rozgaar Mela mun’aqid kiya gaya thaa.

Yeh mela Employment Office, Zilla Rozgaar Daftar Nalgonda mein tha. Is mauqe par mukhtalif private companies ke representatives bhi shaamil thee aur naujawanon ke liye mulazimat ke mauqe faraham kiye gaye. Umeedwaron ki maahana tankhwaah ₹10,000 se ₹25,000 tak gaye thee.

Mulazimat ke liye ahl umeedwaron ki taleemi qabiliyat SSC ya ITI honi chahiye thaa. Umar ki hadd 18 se 35 saal rakhi gayi thi. Jismaani taur par maazoor afraad, jaise locomotor disability ya sunne/bolne mein kamzori rakhne wale bhi darkhwaast dey sakee.

Umeedwar apne tamaam original certificates ke saath Zilla Rozgaar Daftar Nalgonda mein haazir hona tha. Mazeed tafseelaat ke liye phone number 7893420435 ya 7095612963 par raabta karein.


15 Saal Purane Borewell Se Achaanak Paani Nikal Pada 

Warangal zille ke Katil gaon mein ek anokha waqiya hua. 15 saal pehle khudwaye gaye borewell se achaanak paani ubalkar bahar aane laga, jise dekh kar kisaan hairaan reh gaya.

Kiran naam ke kisaan ne bataya ki usne 15 saal pehle apni ek-ekad araazi ke liye 200 feet gehra borewell khudwaya tha, lekin us waqt ek boond bhi paani nahi nikla, isliye usne borewell ko chhod diya tha. 

Ab barson baad isi borewell se waafir miqdaar mein paani nikalne laga. Kiran ne is khushi ka izhaar bhi kiya.


Wazir-e-Janglaat Konda Surekha Ke OSD Suman Badunwani Ke Ilzaam Mein Bartaraf

Badunwani aur cement companies ke maalikaan ko raqam ke liye dhamkaane jaise ilzaamaat ke baad Telangana ki Wazir Konda Surekha ke daftar mein OSD ke taur par kaam kar rahe N. Suman ko hukoomat ne ohde se bartaraf kar diya.

Is faisle ke baad Wazir ke ghar ke bahar dramai halaat paida ho gaye. Zaraye ke mutabiq, Hyderabad ki Task Force Police Suman ki talaash mein Wazir Surekha ke Warangal waqei rihaish-gaah pahunchi, jiski wajah se ilaake mein achaanak hungaama aur kasheedgi phail gayi.

Police ne bataya ke Suman par badunwani aur settlement se mutalliq kai ilzaamaat hain aur guzishta teen din se usse raabta karne ki koshish ki ja rahi thi. 

Ab tak Suman ke khilaaf koi FIR darj nahi hui, lekin jab bhi woh dastiyab honge, un par lagaye gaye ilzaamaat ki mukammal tahqiqaat ki jaayegi.

Is police action ke khilaaf Konda Surekha ki beti ne shadeed ehtejaj kiya aur isey BC Leader ko badnaam karne ki saazish qarar diya.


Hyderabad Airport Par ₹2 Crore Se Zyada Ka Sona Pakda Gaya

Hyderabad ke Shamshabad Airport par Revenue Intelligence ke afsar ne ek musaafir se bhaari miqdaar mein sona baramad kiya.

Kuwait se Sharjah ke raaste Hyderabad aane wale is musaafir ke bag se 1,798 gram ke saat sone ke tukde mile, jinki maaliyat taqreeban ₹2 crore 37 lakh hai. Mulzim ko hiraasat mein le kar tafteesh shuru kar di gayi hai.


Jubilee Hills By-Election Mein Congress Party 50,000 Votes Ke Faraq Se Kaamyab 

Sadar Telangana Pradesh Congress Committee, Mahesh Kumar Goud, ne kaha ke Assembly halqa Jubilee Hills mein Congress Party ki jeet pakki hai. BRS aur BJP sirf apne wajood ka muzahira kar rahe hain. 

Yeh by-election Congress ki do saal ki behtareen kaarkardagi aur BRS ke 10 saal ke pasmaandagi ke khilaaf hai. Awaam ko faisla karna hai ke woh taraqqi chahte hain ya pasmaandagi.

Congress mein BRS ke khaatoon qaideen ki shumooliyat ke mauqe par khitaab karte hue Mahesh Kumar Goud ne kaha ke Chief Minister Revanth Reddy Assembly elections mein Congress ke intakhaabi waadon ko poora karne mein aham kirdar ada kar rahe hain. Waadon ke mutabiq:

  • 40 lakh naye ration cards jaari kiye gaye

  • Khawateen ko RTC buson mein muft safar ki suhulat di gayi

  • 200 unit tak makaanat ko muft barqi sarbaraahi

  • ₹500 mein gas cylinder faraham kiya ja raha hai

Unhone kaha ke Jubilee Hills halqa mein 85% ghareeb awaam hai aur unki taraqqi aur behbood ke liye Hukumat ki taraf se bade paimane par iqdaamaat liye ja rahe hain. Mahesh Kumar Goud ko yaqeen hai ke Naveen Yadav 50,000 voton ke farq se kaamyabi haasil karenge.


Nashe Ki Halat Mein Gaadiyan Chalaane Walon Ke Khilaaf Muhim: 12 Muqaddamaat Darj 

Hyderabad ke Champapet aur Santosh Nagar ilaake mein nashe ki halat mein gaadiyan chalate hue kuch log pakde gaye. Kal raat chalaai gayi is khaas muhim ke dauraan police ne 12 muqaddamaat darj kiye. Pakde gaye afraad ko counselling ke baad adaalat mein pesh kiya jaayega.

Mohammad Asif, Inspector, Traffic Police Station Santosh Nagar ne bataya ke yeh muhim senior odedaaron ki hidayat par chalai gayi. 

Police ne shehriyon se appeal ki hai ke nashe mein gaadi na chalayein aur apni aur doosron ki zindagi bachaayein.

Hyderabad City Police ne din aur raat dono waqt nashe mein gaadi chalaane walon ke khilaaf muhim mein shiddat paida kar di hai aur kanoon ki khilaaf-warzi karne walon ke khilaaf sakht karwai ki jaayegi.


Desh ki Khabrein


Chicken Ke Karobaar Mein Naya Licensing Nizaam Laane Ka Andhra Pradesh Sarkar Ka Faisla

Andhra Pradesh mein chicken ki dukaanon se mutalliq ek aham faisla liya gaya hai. Hukumat ne be-qaaydiyon aur ghair-qanooni sargarmiyon par rok lagane ke liye naya licensing nizaam mutaarif karne ka elaan kiya.

Riyasati Meat Development Corporation ke mutabiq is nizaam ka maqsad chicken ke karobaar mein shaffafiyat paida karna hai. Iske tahat har chicken shop ke liye license haasil karna laazmi hoga. License ke zariye poori supply chain par nazar rakhi jaayegi – poultry farm se murghiyan kahan se aa rahi hain aur dukaan-daar inhein kin logon ko farokht kar rahe hain, sab record mein mehfooz kiya jaayega.

Maazi mein meat mafia se mutalliq hone waali be-qaaydiyon ki tahqiqaat karke zimmedaaron ke khilaaf kaarwai ki gayi thi. Ab hukumat ne hotel aur restaurant ke muntazimeen ko hidayat di hai ke woh sirf tasleem-shuda aur license-yaafta chicken shops se hi gosht khareedein.

Isse baasi ya istamaal-shuda murghon ki farokht par mukammal pabandi aayegi. Chicken dukaanon se paida hone wale fuzle ko machhliyon ki khuraak ke taur par istemaal karne wale mafia ke khilaaf bhi sakht karwai ki jaayegi.


JDU Ke Tamaam Umeedwaron Ka Elaan 

Bihar ke Chief Minister Nitish Kumar ki party JDU ne 101 seats ke liye apne umeedwaron ke naam ka elaan kar diya hai, jahan woh is election mein muqaabla karegi.

Inmein se aadhe se zyada umeedwar pasmanda tabqaat aur intehaai pasmanda tabqa se hain. Iske ilawa 4 Musalman umeedwar bhi shamil hain.


Trains Mein Patakhe Aur Aatish-geer Mawaad Le Jaane Par 3 Saal Qaid 

Tyohaar ke mausam mein mehfooz safar ko yaqeen banane ke liye Railway ne trainon mein patakhon aur aatish-geer mawaad ke naql-o-hamal ke kai waqiyaat ke baad stations aur trains par tahreeb-kaari ke khilaaf jaanch shuru kar di hai.

Diwali ke dauraan trainon mein patakhe, dhamaaka-khez mawaad ya kisi bhi aatish-geer mawaad ke saath safar karne par sakht kaarwai ki jaayegi. Musafir aksar patakhe, petroleum masnooaat, gas cylinder, mitti ka tel, maachis, choolhe, lighter waghera le jaate hain, jo safar ke dauraan mamnoo hain.

Railway Act, 1989 ki mukhtalif dafaat ke mutabiq, train mein safar ke dauraan aatish-geer aur dhamaaka mawaad le jaana qaabil-e-saza jurm hai. Iski saza: ₹1,000 tak jurmana, 3 saal tak qaid, ya dono ho sakti hai.


Videsh ki Khabrein


Israel, Gaza Mein Dobara Karwai Kar Sakta Hai, Trump 

Amrici Sadar Donald Trump ne kaha hai ki agar Filisteeni mazahmati tanzeem Hamas jangbandi muaahide ki sharaayet par amal karne mein naakaam rahi, toh Israel Gaza mein dobara kaarwai kar sakta hai.

CNN se guftagoo mein Trump ne wazeh kiya ke agar Hamas muaahide ke mutabiq amal na kare, toh Israel ko Gaza mein fauji kaarwai ki ijaazat hai aur woh Hamas ko dobara sakht jawab de sakta hai. Faisla Hamas ki taraf se muaahide par amal-daraamad par munhasir hai.

Trump ne kaha ke jo kuch Hamas ke saath ho raha hai, woh bahut jald theek kar diya jaayega. White House mein pehle bhi unhone kaha tha ke Hamas ko samajh lena chahiye ke Amrica koi khel nahi khel raha, aur hathiyaron ka masla mehdoood waqt mein hal hona chahiye.

Amrici Sadar ne pehle bhi Hamas ko dhamki dete hue kaha tha ke agar woh iqtidaar chhode nahi, toh isey safa-e-hasti se mita diya jaayega.

Isi dauraan, senior Amrici musheer ne kaha ke Gaza se yarghaamaliyon ki lashon ki baazyabi ke liye koi peeche nahi hat raha, aur zyada se zyada lashon nikaalne ke liye koshishen jaari hain. Gaza mein bain-ul-aqwaami fauj ke liye bhi mansooba-bandi chal rahi hai.


Antim shabd

Yeh tamam khabrein Telangana, Hyderabad aur desh bhar ke logon ke liye aham updates aur jaankariyan faraham karti hain, jo awaam ko mohotat rehne, faida uthane aur suraksha ka khayal rakhne mein madadgar sabit hongi.


Related Post: 


Also read news

Table of Content


Sarkari Updates Admission aur Exams

Telangana TGEAMCET 2025 Counselling Schedule Released Full guide

TG-SET December 2025: Osmania University State Eligibility Test Details



TSPSC Group 2 Certificates Verification 2025: 4th Schedule 23-25 September

Telangana Me Caste Certificate Lena Hua Easy – MeeSeva Naya System 2025


Hyderabad Updates

Jubilee Hills Zimni Chunav 2025: Final Voter List Jaari, 3.98 Lakh Voters Darj


Weather Updates TG



Telangana News







Telagana Schemes



Bharat Updates




Maharashtra Heavy Rain 2025: 11 Halaak, Mumbai-Thane Red Alert

Supreme Court Notice on Umar Khalid & Sharjeel Imam Bail Pleas | Delhi Riots UAPA Case 2025

Rahul Gandhi ne Voter List Irregularities Par Uthaye Sawal, Kaha Democracy Par Attack


Infections aur Health


Bharat Schemes


GST Reform


Videsh News

H-1B Visa Fees Update 2025: Sirf Ek Baar Payment, Naye Applicants Ke Liye



Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.

🔗 Connect With Bharat Batao

🖊️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.

📌 Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:

👉 More Updates:
🔗 Sarkari Updates | Scam Report | Career & Jobs | Weather Alerts
  • Asifabad sher updates
  • Telangana local body elections
  • Raja Singh karwai
  • Russia-Ukraine Hyderabad youth
  • Universities nasha task force
  • Indiramma Housing Scheme Nalgonda
  • BC reservation Telangana Supreme Court
  • Berozgaar Rozgaar Mela
  • Telangana bandh 18 October
  • Borewell se paani
  • Wazir-e-Janglaat OSD bartaraf
  • Hyderabad Airport sona pakda
  • Jubilee Hills by-election Congress
  • Degree Courses instant exam results
  • Social Media par bachchon ke liye qanooni karwai
  • Nashe mein gaadi chalana
  • Chicken licensing Andhra Pradesh
  • JDU candidates Bihar
  • Trains mein patakhe aur aatish-geer
  • Israel Gaza Trump bayan

Comments