Desh Duniya Ki Khabrein : Chivvla Hadsa, SIR Update, Hyderabad Crime, Aur Gaza Mein Taleem Ka Aaghaz
News Round-up Ek Nazar ma
Desh duniya mein aaj kai aham khabrein surkhiyon mein hain - Telangana ke Ranga Reddy hadse ki tehqeeqat aur imdaad ka elan, Mid Day Meal workers ka Chalo Hyderabad program, Jubilee Hills zimni intekhab ki tayyari, Hyderabad mein naujawan ka qatl, aur Gaza mein firebandi ke baad schools ka dobara aaghaz.
Telangana aur Hyderabad ki Khabrein
Jubilee Hills Zimni Intekhab
KTR Ka Road Show Mansookh, Nayi Taareekhon Ka Elan Jald
Bharat Rashtra Samithi ke Working President K. T. Rama Rao ka road show Jubilee Hills ke Yusufguda Division mein hona tha, lekin shadeed baarish ke chalte ise mansookh kar diya gaya.
KTR ne kaha ki baarish ke bawajood road show ke liye badi taadaad mein logon ka aana unke liye hausla afzai ka sabab hai. Unhone apne bayaan mein kaha ki woh jald hi muqaami logon se mulaqat karenge.
Unhone yeh bhi bataya ki road show ki nayi taareekhein jald hi elaan ki jaayengi taaki campaign dobara puri taqat ke saath shuru ki ja sake.
Jubilee Hills Zimni Intekhab Ki Tayyaari Tez
BRS Ne Intekhaabi Muhim Mein Daala Poora Zor
Jubilee Hills ke zimni intekhabaat mein ab sirf ek hafta baaqi hai aur Bharat Rashtra Samithi apni intekhaabi muhim mein poori taqat se judi hui hai. Party ke Working President K. T. Rama Rao 9 November tak lagataar road shows karenge.
Meetings Aur Rally Ka Schedule
Yusufguda ke ilaawa BRS 4 November ko Subhashniguda, 5 November ko Vengal Rao Nagar aur 6 November ko Erragadda mein intekhaabi meetings karegi. KTR 9 November ko Shekhar se Borabanda tak ek bade bike rally mein bhi hissa lenge.
KCR Ke Shamil Hone Ki Umeed
Kuch reports ke mutabiq Party Supremo K. Chandrashekar Rao bhi intekhaabi muhim ke aakhri marhale mein shaamil ho sakte hain.
Congress Ke Liye Badi Aazmaish
Yeh zimni intekhab hukmraan Congress ke liye bhi ek badi aazmaish ban gaya hai, jo BRS se ye seat jeetne ke liye poori koshish kar rahi hai. Yeh intekhab is saal June mein BRS ke MLC Maganti Gopinath ke inteqaal ke baad zaroori hua.
Chivvla Ke Paas Khaufnaak Sadak Hadsa
Chivvla ke kareeb ek bahut bada sadak hadsa hua jismein 19 logon ki zindagi khatam ho gayi. Ek RTC Bus aur concrete se bhare truck ki takkar ho gayi. Takkar itni zabardast thi ke bus ke tukde ud gaye aur kai log concrete ke neeche dab gaye.
Marne walon mein ek sirf 40 din ki chhoti bacchi aur dono drivers bhi shaamil the. Yeh bus Tandur se Hyderabad ja rahi thi jab yeh haadsa hua.
Kaise Hua Ye Bhayanak Hadsa
Zaraaye ke mutabiq Tandur depot ki RTC bus subah 5 baje Tandur se Hyderabad ke liye nikli thi. Is bus mein lagbhag 72 musafir sawar the. Subah kareeb 7 baje Hyderabad Bijapur National Highway Number 63 par Mirzagoda aur Khanapur road ke beech ek tez raftaar truck jo concrete se bhara hua tha usne bus ko saamne se takkar maar di.
Truck Driver Ne Koshish Ki Par Hadsa Ho Gaya
Bataya ja raha hai ki truck driver ne road par ek gadhe se bachne ki koshish ki aur truck beqaboo ho gaya. Aankhon dekhe gawahon ke mutabiq takraar ke waqt ek tez dhamaka hua. Takkar itni zabardast thi ke bus ke tukde ud gaye aur concrete ka saara load bus par gir gaya. Kai musafir concrete ke neeche dab gaye aur bus ke andar har taraf concrete bikhar gaya.
Hadse Ke Dil Dukhane Wale Manazir
Gawahon ne apne mobile phones se hadse ke manazir record kiye jismein nazar aa raha tha ki kai musafir aadhe se zyada concrete mein dhase hue the. Kuch log madad ke liye cheekh rahe the aur kuch ne wahi apni jaan gawa di.
Rescue Operation Aur Zakhmiyon Ki Haalat
Police aur rescue teams ko khabar milte hi turant wahan bheja gaya. Teen JCB machines ki madad se malbe mein phanse logon ko nikaalne ka kaam shuru hua. Hadse mein dono gaadiyon ke drivers ki bhi maut ho gayi.
Bus ki lady conductor ne bataya ki use samajh nahi aaya kya hua bas ek tez raftaar truck ne unki bus ko takkar maar di. Bus mein zyada tar students teachers sarkari mulazim aur police ke afsar the jo Sunday ki chhutti ke baad Hyderabad laut rahe the. Zakhmiyon ko Chivvla aur Hyderabad ke hospitals mein ilaaj ke liye bheja gaya.
Police Ka Bayan Aur Traffic Jam
Police ke mutabiq kai logon ki haalat abhi bhi naazuk hai aur marne walon ki taadaad badh sakti hai. Hadse ke baad Hyderabad Bijapur Highway par lambi traffic jam lag gayi aur kai kilometer tak gaadiyan atak gayin. Cyberabad ke Police Commissioner Avinash Mohanty aur kai senior officers ne wahan pahunch kar rescue operation ka jaiza liya.
Netagon Ka Dukh Bhara Bayan
Rashtrapati Draupadi Murmu Nayab Rashtrapati C P Radhakrishnan Wazir e Azam Narendra Modi aur Barrister Asaduddin Owaisi ne is hadse par apna gehra dukh zahir kiya aur marne walon ke parivaaron ke liye hamdardi jatayi.
Dardnaak Dastanein – Chivvla Hadse Ki Kahaniyan
Chivvla road accident ne kai dard bhari kahaniyan chhod di hain. Is hadse ne kuch hi palon mein kai parivaaron ki zindagi ulat kar rakh di. Koi apni shaadi ke baad nayi zindagi shuru kar raha tha, toh koi maa apni beti ko sasural rawana kar rahi thi. Koi ghar mein naye mehmaan ka intezaar kar raha tha, toh koi maa apni bachiyon ke liye rashan ka soch rahi thi.
Yeh hadsa aise zakhm de gaya hai jo kabhi nahi bhulaye ja sakte. Bacche yateem ho gaye, maa-baap chale gaye. Yeh waqiat insani jazbaat ko hila dene wale hain.
Maa Aur Do Mahine Ki Bacchi Ki Dardnaak Maut
Is hadse mein Saaleha aur uski do mahine ki bacchi dono ki maut ho gayi. Un dono ki tasveer social media par viral ho gayi jismein maa ki god mein uski bacchi ki laash dikh rahi thi. Yeh manzar dekh kar har kisi ki aankhen bhar aayi.
Saaleha sirf 20 saal ki thi. Uski shaadi pichle saal Waseem se hui thi jo Hyderabad ke Sai Nagar ke rehne wale hain. Saaleha kuch din ke liye apne mayke Indira Nagar Tandur aayi thi aur subah apne sasural wapas ja rahi thi.
Wo apni chhoti bacchi ke saath bus mein sawar thi jab yeh hadsa hua. Maa aur beti dono ki maut ne dono khandaanon mein gahra gham chhod diya.
Teen Behnon Ki Zindagi Ka Aakhri Safar
Ek aur dard bhari kahani Gandhi Nagar Tandur ke Ilaiya Goud ke ghar se judi hai. Unki teen betiyan ek saath is hadse mein mar gayin.
Yeh teenon ladkiyan Engineering ke First Year, Second Year aur Third Year mein padh rahi thin. Ilaiya Goud peshe se driver hain aur unhone apni betiyon ko mehnat se taaleem dilayi thi taaki unka mustaqbil behtar ho.
Kal jab teenon behne Hyderabad ke liye nikli, woh safar unka aakhri safar ban gaya. Nandini Tanusha aur Sahapriya teenon ki maut ho gayi. Unki chauthi behan jo bus mein nahi thi ab tak yakeen nahi kar pa rahi hai ke uski teenon behne ab zinda nahi rahi.
Maa Halaak Baap Zakhmi Teen Bacche Mehfooz
Telangana ke Ranga Reddy zila ke Chivvla ke paas hua yeh khaufnaak road accident sab ke liye ek dardnaak misaal ban gaya. Khabron ke mutabiq Mirzapur ke paas ek RTC bus ko concrete se bhari truck ne takkar maari aur truck ka load bus par gir gaya.
Is haulnaak hadse mein 19 logon ki maut ho gayi aur kai log zakhmi hue. Ek maa ki maut wahi ho gayi jabki uska shauhar buri tarah zakhmi ho gaya. Lekin unke teen bacche karishmaati taur par bach gaye.
Police ne turant rescue operation shuru kiya aur malbe mein dabey musafiron ko nikaala. Bacche apne maa-baap ke liye rote hue wahan baithe dikhayi diye, jisse manzar aur bhi dardnaak ban gaya.
Hadse mein bus driver aur pichhli seat par baithe kai musafir bhi mar gaye. Marne walon mein ek 10 mahine ka chhota baccha bhi shaamil tha. Kai log concrete ke neeche dab kar dum tod gaye. Lekin bus ki conductor Radha is hadse se zinda bach gayi.
Driver - Dastgir Baba Ki Bahaduri,
Bahadur Driver Dastgir Baba Ki Kahani
Bus driver Dastgir Baba ne ek baar musafiron ki jaan bachakar sabka dil jeet liya tha. Lagbhag dedh saal pehle Vikarabad ke Ananthagiri pahadi se neeche utarte waqt unki bus ke brake achanak fail ho gaye the. Us waqt unhone himmat aur hosle se bus ko sambhala aur sab musafiron ki jaan bachayi thi.
Badqismati se ab wahi bus ek aur hadse ka shikaar ho gayi aur isi hadse mein Dastgir Baba ki maut ho gayi. Unki kahani ne sabko dukh mein daal diya hai.
Bhai Ka Bayan – Jisne Jaan Bachayi Usne Apni Kho Di
Marhoom driver ke bhai Javed ne dukh zahir karte hue kaha ki jis insaan ne ek waqt musafiron ki jaan bachayi thi aaj wahi bus uski maut ka sabab ban gayi. Unhone kaha ki ye sach bahut dardnaak hai aur bardasht ke bahar hai. Javed ne Hukoomat se appeal ki hai ki Dastgir ke parivaar ko madad di jaaye taaki unke khandaan ko sahara mil sake.
Chief Minister Ka Izhar e Dukh
Ranga Reddy zila ke Chivvla mandal mein hue is khaufnaak hadse par Chief Minister A Revanth Reddy ne gehra dukh zahir kiya. Unhone senior afsaron ko hadse ke muqaam par pahunchkar madad aur bachav ka kaam shuru karne ka hukm diya.
Chief Minister ne Chief Secretary K Ramakrishna Rao aur DGP Ravi Gupta ko bhi hidaayat di ki zakhmi logon ko behtar ilaaj ke liye turant Hyderabad bheja jaaye aur poori soorat e haal par khud nazar rakhi jaaye.
Sarkari Kadam aur Hukoomat Ke Faisle
Zakhmiyon Ke Ilaaj Aur Sarkari Action
Hukoomat ne hukm diya hai ki zakhmiyon ke ilaaj par shakhsi taur par nigrani rakhi jaaye. Chief Secretary aur DGP ko kaha gaya hai ki sabhi zakhmi musafiron ka ilaaj behtar facilities ke saath ho.
Chief Minister ne yeh bhi kaha hai ki rescue operation aur medical madad mein kisi bhi tarah ki deri na ho.
Muawza Aur Sarkari Imdaad Ka Elan
Wazir e Transport Ponnam Prabhakar ne Chivvla aur Mirzagoda ke beech hue bus truck takkar ke waqiye par tehqeeqat ke liye ek aala satah ki team banayi hai. Wazir ne Chivvla Hospital pahunchkar zakhmiyon se mulaqat ki aur unke ilaaj ki tafseel li.
Unhone marne walon ke khandaan ko 7 lakh rupaye ka ex gratia muawza dene ka elan kiya jismein 5 lakh Hukoomat aur 2 lakh RTC taraf se diye jaayenge. Zakhmiyon ko 2 lakh rupaye ki imdaad milegi.
Ponnam Prabhakar ne kaha ki Hukoomat zakhmiyon ke ilaaj ki poori zimmedari le rahi hai aur unki madad har mumkin taur par ki jaayegi.
Wazir Ka Bayan – Siyasi Faayda Nahi Madad Zaroori Hai
Wazir e Transport ne kaha ki is gham ki ghadi mein koi bhi siyasi faayda uthana afsosnaak hai. Unhone siyasi partyon se appeal ki ki woh bayanaat dene ke bajaye Hukoomat ke saath milkar madad karein.
Unhone kaha ki yeh hadsa sadak ki kam chauhdai aur tipper driver ke galat route lene ki wajah se hua. Ponnam Prabhakar ne RTC MD Nagi Reddy se phone par baat karke unhe turant muqaam e hadse par pahunchne ka hukm diya.
Wazir Sridhar Babu aur Mahender Reddy ke saath milkar Ponnam Prabhakar ne Chivvla Hospital mein zakhmiyon se mulaqat ki aur doctors se kaha ki postmortem jald khatam karke laashen unke parivaaron ko di jaayein.
Tehqeeqat Aur Aindaa Ke Iqdamat
Ponnam Prabhakar ne kaha ki RTC Police aur Health Department ke afsar milkar zakhmiyon ki madad kar rahe hain. Tehqeeq ke baad agar kisi ki ghaflat sabit hoti hai toh unke khilaf karwai ki jaayegi.
Unhone kaha ki aindaa is tarah ke haadsaat se bachne ke liye ek nayi yojna tayyar ki jaayegi taaki logon ki jaan surakshit rahe.
Hadse Ki Tehqeeqat
Bus Aur Tipper Ke Khilaaf Kai Challan Darj The
Tehqeeqat ke dauraan yeh baat saamne aayi hai ki RTC bus hadse se judi kuch hairaan kar dene wali tafseelat samne aayi hain. Police ke mutabiq is bade hadse mein shamil RTC bus aur tipper truck dono par pehle se kai traffic challan darj the.
Tehqeeqat mein maloom hua hai ki hadse ka shikar hone wali RTC bus par 2305 rupaye ke challan the jabki tipper truck par 3270 rupaye ke challan lage hue the. Yeh bhi samne aaya hai ki dono gaadiyon ke pehle bhi chhote haadse ho chuke the.
Police adhikaarion ka kehna hai ki aise waqiyaat mein laaparwahi aur suraksha niyamon ki ulanghna sabse badi wajah banti hai. Police ne dono gaadiyon ke malik aur drivers ke baare mein tafseeli report tayyar karke mazeed tehqeeqat shuru kar di hai.
Haadsaat Ki Roktham Ke Liye Action Plan
Ponnam Prabhakar Ki Hidaayat
Transport Minister Ponnam Prabhakar ne uchch adhikaarion ke saath Zoom meeting karke haadsaat ki roktham ke liye zaroori kadam uthane ki hidaayat di. Is meeting mein Special Chief Secretary Vikas Raj Commissioner Transport Almavarthi aur doosre adhikaari bhi shaamil hue.
Ponnam Prabhakar ne kaha ki riyasat mein badhte traffic haadsaat chinta ka vishay ban gaye hain aur transport department ke adhikaariyon ko chahiye ki woh suraksha ke liye sakht aur asardar kadam uthayein taaki aise haadsaat par kabu paaya ja sake.
Mustaqil Action Plan Par Zor
Ponnam Prabhakar ne kaha ki sirf haadse ke baad ehtiyaati kadam uthana kaafi nahi hai balki hamesha ek mustaqil action plan bana kar us par sakhti se amal karna zaroori hai. Unhone kaha ki awaam ke taawun se traffic niyamon ka palan karna aur road safety ko behtar banana asaan hoga.
Unhone yeh bhi hidaayat di ki transport department doosre departments ke saath mil kar ek mazboot action plan tayyar kare aur ret kankar aur taameeri saamaan le jaane wale trucks par khaas nazar rakhe.
Wazir-e-Transport ne school buses aur private buses ki raftaar par bhi kabu paane ki salah di. Unhone kaha ki aam taur par dekha gaya hai ki tipper aur truck drivers zyada raftaar se gaadi chala kar haadsaat ka sabab ban jaate hain.
Ranga Reddy Hadse Ke Mehlookin Ka Postmortem
Telangana ke Ranga Reddy zila ke Chivvla mein hue khaufnaak sadak hadse ke mehlookin ka postmortem Osmania Hospital mein karne ka faisla liya gaya. Hukoomat ne laashon ko Osmania Hospital bhejne ke baad postmortem ke liye poora intezam kar liya hai.
Aala adhikaariyon ne nirdesh diya hai ki Osmania Hospital ke doctors ke saath Gandhi Hospital ke forensic experts bhi postmortem mein hissa lenge. Gandhi Hospital se doctors ki ek khaas team Osmania Hospital pahunch chuki hai.
Zakhmiyon ke behtareen ilaaj ke liye Gandhi Hospital mein ek alag ward tayyar kiya gaya hai. Doctors ne bataya ki mutaasireen ke pahunchte hi ilaaj ke liye saare intezaamat poore kar liye gaye the aur unke health condition par lagataar nigrani rakhi ja rahi hai.
Mid Day Meal Aur Siyasat
Chalo Hyderabad Program Ab 24 November Ko Hoga
Telangana Mid Day Meal Scheme Workers Union ka Chalo Hyderabad program jo pehle 12 November ko hona tha, ab 24 November ko mun’aqid hoga. Union ke Sadar Prem Pavani ne bataya ki program ki tareekh badalne ka faisla is liye liya gaya hai kyunki workers ke kai masail abhi tak hal nahi hue.
Workers Ke Masail Aur Hukoomat Se Gila
Prem Pavani ne kaha ki Mid Day Meal scheme ke tehat naashte ke bills ab tak ada nahi kiye gaye. Unhone yeh bhi kaha ki hukoomat ne jo ₹10,000 dene ka waada kiya tha, woh abhi tak poora nahi hua.
Unhone kaha ki is baar ke Chalo Hyderabad protest mein har zila se takreeban 200 workers shaamil honge taaki apne mutalbaat ko buland awaaz mein uthaya ja sake aur hukoomat par amal daramad ke liye dabao banaya ja sake.
Desh ki Khabrein
Rashtrapati Aur PM Ne Zahir Kiya Dukh
Rashtrapati aur Wazir-e-Azam ne is khaufnaak hadse par gehra dukh zahir kiya. Barrister Owaisi ne bhi apna ranj bayan kiya. Telangana ke Zila Ranga Reddy mein Chivvla ke paas Friday subah hua yeh hadsa itna khatarnaak tha ke kam se kam 19 logon ki maut ho gayi aur 20 se zyada log zakhmi ho gaye. Marne walon mein ek sirf 40 din ki chhoti bacchi bhi shaamil thi.
Taaziyat Aur Imdaad Ka Elaan
PM Narendra Modi Ka Izhaar-e-Ranj
Telangana ke Chivvla mein hue khaufnaak sadak hadse par Wazir-e-Azam Narendra Modi ne gehra dukh zahir kiya. Unhone kaha ki woh hadse mein jaan gawaane walon ke parivaron ke saath poori hamdardi mein hain aur zakhmi logon ki jald sehatyaabi ke liye dua-go hain.
Unhone elaan kiya ki hadse mein jaan gawaane walon ke parivaron ko ₹2 lakh har ek ke hisaab se aur zakhmi afraad ko ₹50,000 har ek ke hisaab se maal-e-imdaad di jaayegi.
Sone Mein Girawat, Chaandi Mein Tezi
Aaj Ke Saraafa Bazaar Ke Daam Mein Tabdeeli
Hindustan ke Saraafa Bazaaron mein Peer ke din qeemti dhaaton ki qeematon mein nayi tabdeeli dekhi gayi. All India Sarafa Association ke mutabiq, Sone ki qeemat mein ₹300 ki girawat aayi hai jabki Chaandi ₹1,000 mehngi ho gayi hai.
Naye Daam
Is tabdeeli ke baad Darul Hukoomat Delhi mein 99.9% khaalis 24-carat ke 10 gram Sone ki qeemat ₹1,25,300 rahi. Wahi doosri taraf Chaandi ₹1,54,000 fi-kilo tak pahunch gayi hai.
Market Mein Halchal
Bazaar ke maahireen ke mutabiq, global market mein demand aur dollar ke utar chadhav ke sabab sone ke daam mein halka farq dekha gaya hai. Saath hi festive season ke kareeb aane se chaandi ki demand mein izafa hua hai, jis se iske daam tez hue hain.
Kai Ilaaqon Mein Toofan Aur Baad Ka Khatra
Mehkama-e-Mausmiyat Ne Jaari Ki Nayi Peshgoi
Hindustan ke Mehkama-e-Mausmiyat ne apni nayi peshgoi mein kaha hai ke aane waale chand dinon mein kai ilaakon mein toofan, tez baarish aur baad ka khatra barh gaya hai. Sath hi, bijli girne ke waqiyaat ke imkaan bhi zyada bataye gaye hain.
Naya Hawaon Ka Nizaam Himalaya Se Mutasir
Mahir-e-Mausmiyat ke mutabiq, 4 November se ek naya maghribi hawaon ka nizaam Himalaya ke maghribi ilaakon tak pahunch raha hai, jiske sabab se darja-e-haraarat mein bil-tadreej kami dekhi jaayegi aur mausam thanda hota jayega.
Hawa Ke Dabaav Aur Mausam Ki Taja Soorat
Mehkama ke mutabiq, Shumal Mashriq Bahr-e-Arab mein hawa ke kam dabaav ka ilaaka ab kamzor pad gaya hai, lekin toofan ki gardish ab bhi maujood hai.
Isi dauraan, Khaleej-e-Bangal ke mashriqi saahilon aur Myanmar ke qareeb bhi kam dabaav ka nizaam fa’al hai, jo agle 24 ghanton mein Bangladesh aur Myanmar ke saahil ke mutawaazi shumal maghrib ki taraf badhne ki umeed hai.
Dilli Mein Mausam Ka Haal
Dilli mein aasmaan aam taur par saaf rahega, lekin smog aur halki dhund ke imkaan se inkaar nahi kiya ja sakta.
🌀 Mausmiyat ke maharin ne awaam ko hidaayat di hai ke tez baarish aur bijli girne ke waqt zaroori ehtiyaati tadabeer ikhtiyar karein.
Voter List Ki Nazar-Saani Ka Amal Shuru
Uttar Pradesh Samet 12 Riyasaton Mein Aaj Se SIR Ka Aagaaz
Uttar Pradesh samet 12 riyasaton mein aaj se Special Intensive Revision (SIR) ka amal rasmi taur par shuru ho gaya hai. Is dauraan voter list ki tasdeeq aur saaf-safai ki jaayegi taaki daftar mein maujood tamam voter details ko durust aur updated banaya ja sake.
Election Commission ke mutabiq, SIR ke zariye duplicate entries, ghalat details aur na-maujood voters ke naam list se hataye jaayenge, jabki naye eligible voters ke naam shamil kiye jaayenge.
Opposition Parties Ki Sakht Mukhalifat
4 November se shuru hone wale is amal par Opposition Parties ne apni mukhalifat ka izhar kiya hai. Congress, TMC aur DMK ne Election Commission se is process ko “ghair-zaroori” qarar dete hue kaha ke yeh voters ko pareshan karne ka naya tareeqa hai.
Maghribi Bangal se lekar Tamil Nadu tak mukhtalif siyasi jamaaton ne mutaleba kiya hai ke SIR ke dauraan voter suppression na ho aur tamam tashweeshat ka daur karte hue shafaaf aur insaafpar mubni revision ki jaaye.
🖊️ About the Author
Bharat Batao Team
Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.
Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.📌Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:
- Chivvla road accident
- Ranga Reddy hadsa
- RTC bus truck takkar
- Dastgir Baba maut
- ex gratia muawza
- Ponnam Prabhakar action plan
- zakhmiyon ka ilaaj
- traffic challan details
- SIR voter list update
- voter list ghar ghar ginti
- Opposition protest SIR
- TMC Mamata march
- DMK Supreme Court challenge
- Congress Rahul Gandhi ilzaam
- AAP Sanjay Singh daaway
- Samajwadi Party demand
- Jubilee Hills zimni intekhab
- KTR road shows
- Hyderabad qatl ka waqiya
- Guru Nanak Jayanti Nagar Kirtan
- Women World Cup 2025 jeet
- Gaza schools reopening
- sone ki qeemat update
- Mid Day Meal workers protest
- News Round-up Ek Nazar ma
- Hinglish news
- Hindi hinglish news

Comments
Post a Comment