- Get link
- X
- Other Apps
10
Telangana & India Ki Taaza Khabrein: Hyderabad Firing, Sarkari Naukriyan, Anganwadi Updates & International News
- Get link
- X
- Other Apps
Hyderabad firing, CM Revanth 1L jobs, Anganwadi, Indiramma, Insta stunt, cab attack, Madhavi BJP, P. Saroja, Punjab law, monsoon, London crash, Trump-Putin.
Malakpet park firing mein ek aadmi halaak, Nampally ke 7 saal band makaan se insaani dhaancha mila. CM Revanth Reddy ne 2 saal mein 1 lakh sarkari naukriyan ka elan kiya. Anganwadi centers ka mayar badhega, Nutrition Plan jald, Indiramma sarkar ghareebon ka sahara. Teenmar Mallanna ke khilaf protest, 35 talibaat ki tabiyat kharab, Instagram stunt aur cab attack Hyderabad mein. Madhavi Latha BJP ka naya chehra, sarkari schemes ke naam par dhokha, Telangana monsoon kamzor, P. Saroja Devi ka inteqal, Punjab ne muqaddas kitaabon ki be-adbi par sakht saza manzoor, Delhi-Punjab gaali dene mein aage, London airport plane haadsa, Trump ne Putin ko 50 din mein jung band karne ki dhamki di.
Telangana aur Hyderabad ki Khabrein
Hyderabad Firing: Park Mein Ek Aadmi Halaak
Hyderabad ke Malakpet ke ek park mein firing hui jismein ek aadmi ki jaan chali gayi. Mangal ki subah Malakpet ke Shalihana Nagar Park mein yeh goli baari ka waqya hua. Naam na maloom logon ne ek aadmi par goliyan chala di, jiske natije mein Chandu Rathod naam ka aadmi wahin par hi halaak ho gaya.
Yeh goli baari subah ke waqt hui jab log roz ki tarah park mein walk kar rahe the. Firing ki awaaz sunte hi logon mein afra tafri mach gayi aur sab jaaye waqya ki taraf bhaage. Wahan pohanchne par Chandu Rathod khoon mein latpat haalat mein murda mila.
Mukaami logon ne turant police ko inform kiya. Police team ne pohanch kar tahqeeqat shuru kar di.
Abhi tak firing ki asal wajah aur hamla karne walon ki pehchaan saamne nahi aayi hai. Police ne lash ko postmortem ke liye bhej diya hai aur CCTV footage aur doosre sabooton ki madad se maamle ki tah tak pohanchne ki koshish kar rahi hai.
Chief Minister Revanth Reddy Ka Ailaan: Agle 2 Saal Mein 1 Lakh Sarkari Naukriyan
Chief Minister Revanth Reddy ne Suryapet ziley ke Tungathurthy Assembly halqe ke Tirumalgiri mein naye ration cards baante. Uske baad jalse-aam mein baat karte hue unhone elaan kiya ki aane wale 2 saal mein 1 lakh sarkari naukriyan di jayengi.Unhone kaha ki Congress sarkar ke sirf 1 saal mein hi 50,000 se zyada sarkari naukriyan di ja chuki hain, aur ab woh waada karte hain ki agle 2 saal mein aur 1 lakh naujawanon ko sarkari naukri milegi. Iska zimma woh khud lenge.
CM ne kaha ki BRS sarkar ke daur mein sirf naukriyon ke notifications jaari hote the, lekin court cases ke zariye un appointments ko rok diya jaata tha. Aise 10 saal tak BRS ne naujawanon ko gumraah kiya aur unki zindagi se khela.
Unhone awaam se appeal ki ke BRS ko aane wale local elections mein theek sabaq sikhaya jaye, taaki naujawanon ka mustaqbil behtar ban sake.
Anganwadi Centers Ka Mayar Badhega, Nutrition Plan Jald Aayega
Wazir Panchayat Raj aur Mahboob Bara-e-Khawateen-o-Atfaal Seethakka ne kaha ki Telangana ke Anganwadi Centers poore mulk ke liye misaal ban rahe hain. CM Revanth Reddy ke hukum par Anganwadi Centers mein bachchon ko poshtik khana ke saath-saath padhai ka intezam bhi kiya ja raha hai.Unhone kaha ki Telangana Rising 2047 plan ke tehat Anganwadi Centers mein aur zyada facilities di jayengi aur unka mayar aur behtar banaya jayega. Hyderabad ke Begumpet mein Tourism Plaza mein ek taqreeb mein baat karte hue Wazir Seethakka ne kaha ki Anganwadi Centers ko aur mazboot banane ke liye hukoomat ne women self-help groups ki madad lene ka faisla kiya hai, taaki haamila khawateen aur chote bachon ko achhi ghiza mil sake.
Unhone bataya ki Telangana Nutrition Plan jald hi jaari hoga. Iske liye CM Revanth Reddy ke hukum par ek badi meeting bulayi jayegi jismein mahireen ke saath milkar Telangana Nutrition Policy ka ailaan kiya jayega.
Wazir ne ye bhi bataya ki pichle saal sailaab ke nuqsaan ke baad Gopalapuram Jalapalli road bridge ko ₹33 crore ki laagat se dobara taameer kiya ja raha hai.
Indiramma Sarkar Ghareebon Ka Mazboot Sahara Wazir Revenue
Wazir Revenue P. Srinivas Reddy ne kaha ki Indiramma Sarkar ghareeb logon ke liye ek mazboot sahaara ban kar kaam kar rahi hai. Unhone Khammam zila ke Tirumalayapalem mandal mein kai taraqqiyati kaamon ka sang-e-buniyad rakha. Is mauqe par unhone bataya ki aaj se poore Telangana mein 5,55,000 naye ration cards jaari kiye ja rahe hain.Unhone kaha ki hukoomat ne ₹22,500 crore ka budget rakh kar 45 lakh Indiramma makaan banane ki manzoori di hai. Har saal Indiramma makaan ke liye manzoori di jayegi aur jo log is ke ahl honge unhe makaan zaroor milega.
Wazir ne ye bhi bataya ki pichle saal sailaab ke nuqsaan ke baad Gopalapuram Jalapalli road bridge ko ₹33 crore ki laagat se dobara taameer kiya ja raha hai.
Teenmar Mallanna Ke Khilaaf Telangana Jagruthi Ka Shadeed Ehtejaj
Sadar Telangana Jagruthi aur BRS ki Rukn-e-Qanoonsaaz Council Kavitha ke khilaaf Teenmar Mallanna ne naa-zaiba aur tauheen aamez alfaaz ka istemaal kiya. Is baat par Telangana Jagruthi ke karkunan ne riyasat ke kai ilaakon mein shadeed gham aur ghussa ka izhaar kiya.Hyderabad, Nizamabad, Karimnagar, Warangal, Khammam, Mahbubnagar, Nalgonda, Sangareddy aur kai doosre ilaqon mein Jagruthi ke karkunan ne ehtejaaji dharne diye aur mukaami police stations mein Teenmar Mallanna ke khilaaf shikayat darj karwayi.
Karkunan ka kehna hai ki ek awaami numainda hote hue Teenmar Mallanna ka aise ghair ikhlaaqi alfaaz istemaal karna bilkul qabool nahi. Kavitha sirf ek muntakhib awaami numainda nahi balki Telangana mein khawateen ki izzat aur waqaar ki nishani hain. Aise alfaaz ka istemaal dar-asal har us khatoon ki tauheen hai jo siyasi ya samaaji maidan mein apna kirdaar ada kar rahi hai.
School Mein Nashte Ke Baad 35 Talibaat Ki Tabiyat Kharab
Telangana ke Nalgonda zila ke Devarakonda mandal ke Mudigonda Ashram Girijan Balika School mein kal subah nashta karne ke baad lagbhag 35 ladkiyon ki tabiyat kharab ho gayi. Sabhi talibaat ko turant Devarakonda sarkari hospital le jaya gaya jahan unka ilaaj jaari hai.
Waqye ki khabar milte hi mohkame aur school ke zimmedar afsar foran harkat mein aa gaye. Doctoron ne bataya ki mutassira talibaat ki haalat ab theek aur mustahkam hai. Ehtiyaatan sabhi ka musalsal tibbi muayna kiya ja raha hai.
Hyderabad Ke Nampally Mein 7 Saal Purane Band Makaan Se Insaani Dhaancha Mila
Hyderabad ke Nampally Market ilaaqe mein ek band makaan se insaani dhaancha milne par sansani phail gayi. Yeh waqya Habib Nagar police station ke hudood mein pesh aaya. Mukaami logon ne makaan se uthti tez badboo mehsoos ki aur foran police ko inform kiya. DCP Chandra Mohan ne site par pohanch kar soorat-e-haal ka jaaiza liya.Mukaami afraad ke mutaabiq yeh makaan 7 saal se band tha aur iska maalik bahar ke mulk mein rehta hai. Police ne ibtidaai tahqeeqat shuru kar di hai aur ye pata lagaya ja raha hai ke yeh dhaancha kiska hai. Clues Team ne site se saboot ikhatta kiye.
Zaraye ke mutaabiq haal hi mein ek naujawan is makaan mein gaya tha aur andar ka video banakar social media par share kiya, jo tezi se viral ho gaya.
Police ne us naujawan ko poochtaach ke liye hiraasat mein liya. Usne bataya ke cricket khelte waqt ball makaan ke andar chali gayi thi, aur woh lene gaya tha. Police har pehlu se maamle ki tahqeeqat kar rahi hai.
Justice Aparesh Kumar Singh Telangana Ke Naye Chief Justice Tayinat
Justice Aparesh Kumar Singh ko Telangana High Court ka naya Chief Justice muqarrar kiya gaya hai. Sadar-e-Jamhooriya Droupadi Murmu ne Collegium ki sifaarish ko manzoori de di hai. Isse pehle Justice Aparesh Kumar Tripura High Court ke Chief Justice the. Collegium ne Telangana High Court ke maujooda in-charge Chief Justice Sujoy Paul ko Kolkata High Court transfer karne ki sifaarish ki hai.
Hyderabad mein ek naujawan ne Instagram Reels banane ke liye apni aur doosron ki jaan khatre mein daal di. Aramghar Flyover par ek ladka tez raftaar bike chala raha tha, jabki uski girlfriend bike ke agle hisse par baithkar ghair muazzab andaaz mein harkatein kar rahi thi. Dono ne poora scene video mein record kiya taaki ise social media par upload kiya ja sake.
Hyderabad ke Uppal qareeb kuch nashe mein dhut naujawanon ne horn bajaane ke tanaazay ke baad IT mulazmeen ki cab ka peecha karke hamla kar diya. Naujawanon ne na sirf cab ka taaqub kiya, balki police station ke bahar bhi dobara hamla karne ke iraade se intezaar kiya.
BJP Telangana ki siyasat mein, Raja Singh ke party se nikalne ke baad, ab Lok Sabha Hyderabad se shikast khane wali ummeedwaar Madhavi Latha ko party ka naya chehra banane ki taiyari kar rahi hai.
Aparesh Kumar Singh 7 July 1965 ko paida hue. Unhone Delhi University se LLB kiya. 1990 se 2000 tak unhone Uttar Pradesh High Court mein wakeel ke taur par kaam kiya. 2001 mein woh Jharkhand High Court mein lawyer ke taur par practice karne lage.
April 2021 mein unhe Jharkhand State Legal Service Authority ka Executive Chairman banaya gaya. 2022–2023 tak woh Jharkhand High Court ke acting Chief Justice rahe. 17 April 2023 ko unhe Tripura High Court ka Chief Justice banaya gaya tha. Ab unhe Telangana High Court ka Chief Justice tayinat kiya gaya hai.
Instagram Reels Ke Liye Jode Ka Khatarnaak Stunt Hyderabad Mein
Hyderabad mein ek naujawan ne Instagram Reels banane ke liye apni aur doosron ki jaan khatre mein daal di. Aramghar Flyover par ek ladka tez raftaar bike chala raha tha, jabki uski girlfriend bike ke agle hisse par baithkar ghair muazzab andaaz mein harkatein kar rahi thi. Dono ne poora scene video mein record kiya taaki ise social media par upload kiya ja sake.
Raaste se guzarnay waale doosre bike sawaaron ne inki is khatarnaak harkat ko dekhkar inhe rokne ki koshish ki aur authorities se sakht kaarwai ki maang ki.
Shehriyon ka kehna hai ke aise ghair zimmedaarana stunts na sirf ghair ikhlaaqi hain balki sadkon par bhaari haadsaat ka sabab bhi ban sakte hain.
Nashe Mein Dhut Naujawanon Ne Cab Ka Peecha Karke Hamla Kiya
Hyderabad ke Uppal qareeb kuch nashe mein dhut naujawanon ne horn bajaane ke tanaazay ke baad IT mulazmeen ki cab ka peecha karke hamla kar diya. Naujawanon ne na sirf cab ka taaqub kiya, balki police station ke bahar bhi dobara hamla karne ke iraade se intezaar kiya.
Jaise hi police pohanchi, hamlawar mauqe se faraar ho gaye. Police ne is waqye ke silsile mein muqadma darj karke tahqeeqat shuru kar di hai. Waqye ka video social media par tezi se viral ho gaya hai.
Madhavi Latha Ko Raja Singh Ke Badle BJP Ka Chehra Banaya Ja Raha Hai
BJP Telangana ki siyasat mein, Raja Singh ke party se nikalne ke baad, ab Lok Sabha Hyderabad se shikast khane wali ummeedwaar Madhavi Latha ko party ka naya chehra banane ki taiyari kar rahi hai.Madhavi Latha ab Goshamahal Assembly halqa se muqaabla kar sakti hain.
Markazi hukoomat ki schemes ke naam par kuch cyber dhokhebaaz saada shehriyon ko thagne ki koshish kar rahe hain. Telangana Police ne awaam se chaukas rehne ki appeal ki hai. Yeh dhokhebaaz social media par ye jhoota waada karte hain ke Markaz ki taraf se muft laptops, loans, cycles ya sarkari naukriyan di ja rahi hain—aur isi jhoot se logon ko fasa kar paisa ya zaati maloomat nikal lete hain.
Mehakma-e-Mausamiyat ne kaha hai ki aane wale 24 ghanton mein Kumaram Bheem Asifabad, Mancherial, Jayashankar Bhupalpally, Mulugu, Bhadradri Kothagudem, Khammam aur Suryapet ke kuch ilaqon mein garaj chamak ke saath baarish ho sakti hai.
Telugu filmon ki mashhoor adaakaara P. Saroja Devi ka inteqal ho gaya. Woh kuch arse se zauf aur sehat ke masail se joojh rahi thi. Inki umar 87 saal thi.
Punjab mein mazhabi hum-aahangi ko mazboot banane ke liye CM Bhagwant Mann ki qiyaadat wali Cabinet ne ek ahem faisla liya. Riyasati hukoomat ne Insaad-e-Jurm Bara-e-Punjab Paakeezah Saheefa Bill 2025 ko manzoori de di hai. Is bill ke tehat Quran Pak, Sri Guru Granth Sahib, Bhagwat Gita, Bible aur doosri mazhabi kitaabon ki be-adbi mein shamil kisi bhi shakhs ko sakht saza, hatta ke umar qaid tak di ja sakti hai.
Aapke aas-paas kai log honge jo chhoti-chhoti baaton par gaali de dete hain. Chahe unka maqsad kisi ko be-izzati karna na ho, lekin yeh unki soch aur rawaiye ko dikhata hai. Gaali dena—jo ek tauheen aamez rawaiya mana jata hai-ab is had tak aam ho gaya hai ke logon ki zubaan se bina soch samjhe maa, behen aur beti ke naam ki gaaliyan nikal jati hain.
Zaraye ke mutaabiq, Rukn-e-Assembly Goshamahal ke mustaafi hone ke baad, BJP ne Assembly ki rukniyat se unhe barkhaast karwane ke liye inhiraaf ki kaarwai shuru kar di hai. Party shehar mein Raja Singh ki jagah Madhavi Latha ko promote karne ki mansoobabandi kar rahi hai.
Sarkari Scheemon Ke Naam Par Awaam Ko Dhoka Dene Ki Koshish: Police Ki Hidayat
Markazi hukoomat ki schemes ke naam par kuch cyber dhokhebaaz saada shehriyon ko thagne ki koshish kar rahe hain. Telangana Police ne awaam se chaukas rehne ki appeal ki hai. Yeh dhokhebaaz social media par ye jhoota waada karte hain ke Markaz ki taraf se muft laptops, loans, cycles ya sarkari naukriyan di ja rahi hain—aur isi jhoot se logon ko fasa kar paisa ya zaati maloomat nikal lete hain.Police ne logon se kaha hai ke aise messages ya links par jaldbazi mein click na karein. Dhokhebaaz aksar likhte hain ke aap scheme ke mustahiq hain ya nahi jaanchne ke liye is link par click karein, aur message ko teen groups mein forward karne par inaami haqiqatan jaisa daawa bhi karte hain.
Telangana Police ne khabar di hai ke aise links par click karne se aapki zaati maloomat chori ho sakti hai ya aapki mehnat ki kamayee se log mehroom ho sakte hain — is liye sab se darkhwast hai ke sab saoch samajh kar hi action lein aur kisi bhi shaq ke surat mein apne najdeeki police station se rabta karein.
Junub Maghribi Monsoon Telangana Mein Kamzor
Mehakma-e-Mausamiyat ne kaha hai ki aane wale 24 ghanton mein Kumaram Bheem Asifabad, Mancherial, Jayashankar Bhupalpally, Mulugu, Bhadradri Kothagudem, Khammam aur Suryapet ke kuch ilaqon mein garaj chamak ke saath baarish ho sakti hai.
Report ke mutaabiq, aane wale 7 dinon mein Telangana ke kai ilaqon mein halke se moderate ya garaj chamak ke saath baarish ka imkaan hai. Abhi tak Junub Maghribi Monsoon Telangana mein kamzor hi pada hua hai.
Desh ki Khabrein
Telugu Filmon Ki Mashhoor Adaakaara P. Saroja Devi Ka Inteqal
Telugu filmon ki mashhoor adaakaara P. Saroja Devi ka inteqal ho gaya. Woh kuch arse se zauf aur sehat ke masail se joojh rahi thi. Inki umar 87 saal thi.
Woh Bengaluru ke Yeshwanthpur mein waaqe Manipal Hospital mein ilaaj ke dauran duniya se rukhsaat hui. Inki maut se Telugu film industry mein gham ki leher daud gayi.
Punjab Cabinet Ne Muqaddas Kitaabon Ki Be-adbi Par Sakht Saza Ka Bill Manzoor Kiya
Punjab mein mazhabi hum-aahangi ko mazboot banane ke liye CM Bhagwant Mann ki qiyaadat wali Cabinet ne ek ahem faisla liya. Riyasati hukoomat ne Insaad-e-Jurm Bara-e-Punjab Paakeezah Saheefa Bill 2025 ko manzoori de di hai. Is bill ke tehat Quran Pak, Sri Guru Granth Sahib, Bhagwat Gita, Bible aur doosri mazhabi kitaabon ki be-adbi mein shamil kisi bhi shakhs ko sakht saza, hatta ke umar qaid tak di ja sakti hai.CM Bhagwant Mann ne kaha ki is qanoon ke nafaaz se riyasat mein firqa-warana hum-aahangi, aman, shanti aur bhai-chaare ko mazbooti milegi. Unhone ye bhi bataya ki hukoomat ne is qanoonsaazi se pehle tamaam mazhab aur firqon ki raaye bhi li hai.
Muqaddas kitaabon ki be-adbi par seedha faujdaari muqadma darj hoga. Khusoosi adalatein qaaem ki jaayengi taaki muqaddamaat tez raftaar se samaat ho saken. Qusoorwaar ko parole ya pehle se rihaai nahi milegi. Jaan boojhkar, bilaa waasta ya bil-waasta taur par be-adbi mein shaamil kisi bhi fard ko koi riyaayat nahi milegi.
Punjab mein pichle barson mein Sri Guru Granth Sahib aur doosri muqaddas kitaabon ki be-adbi ke waqyaat ne riyasat mein bechaini paida ki thi. In waqyaat ke baad awaam aur mazhabi/samaaji tanzeemon ne sakht qanoon ka mutaalba kiya tha. CM ke daftar ke mutaabiq, ye dil kharaash waqyaat muaashre ko jhanjhod kar chuke the.
Ye qanoon awaam ke mazhabi jazbaat ke tahfuz ke liye ek mazboot qadam hai. Bill ki manzoori ke baad ab ise Punjab Assembly mein pesh kiya jayega, jahan behas ke baad ise qanoon ka darja diya jayega. Yeh qanoon Punjab mein mazhabi rawadaari aur ehteraam ko farogh dene wala ek ahem sangam sabit ho sakta hai.
Gaaliyan Dene Mein Delhi Waale Sabse Aage, Doosre Number Par Punjab
Aapke aas-paas kai log honge jo chhoti-chhoti baaton par gaali de dete hain. Chahe unka maqsad kisi ko be-izzati karna na ho, lekin yeh unki soch aur rawaiye ko dikhata hai. Gaali dena—jo ek tauheen aamez rawaiya mana jata hai-ab is had tak aam ho gaya hai ke logon ki zubaan se bina soch samjhe maa, behen aur beti ke naam ki gaaliyan nikal jati hain.Gaali dene walon mein sirf mard hi nahi balki college ki ladkiyan aur auratein bhi kafi taadaad mein shamil hain. 'Selfie with Daughters Foundation' ke banee aur Maharshi Dayanand University, Rohtak ke professor Dr. Sunil Jaglan ne is par ek survey kiya.
Survey se pata chala hai ke gaali dene ke maamle mein Delhi sabse aage hai. Survey report ke mutabiq Delhi ke 80% log gaali dete hain. Doosre number par Punjab hai, jahan 78% log rozana baat-baat par gaali nikal dete hain.
Survey ke mutabiq Delhi aur Punjab ke ilawa agar doosri riyasaton ki baat ki jaye to Uttar Pradesh aur Bihar mein 74% log gaali dete hain, Rajasthan mein 68%, aur Haryana mein 62% log maa-behan ki gaaliyan bolte paye gaye.
Maharashtra mein yeh percentage 58%, Gujarat mein 55%, Madhya Pradesh mein 48% aur Uttarakhand mein 45% hai. Iske ilawa Kashmir mein takreeban 15%, aur Shumaal-Mashriq aur kuch doosri riyasaton mein 20–30% log gaaliyan bolte hain.
Survey ka sabse hairat angez pehlu yeh hai ke ladkiyan bhi gaali dene mein ladkon se peeche nahi hain. Report ke mutabiq 30% ladkiyan aur auratein bhi gaali deti hain.
Aajkal school aur college mein maa, behen aur beti ke naam par gaali dena bhi ek aam baat ban gayi hai. Is study mein guzishta 11 saalon ke dauran mukhtalif riyasaton ke 70,000 logon se raye li gayi—jinmein naujawaan, maa-baap, asaatiza, police afsar, doctor, wakeel, tajir, panchayat member aur professors sab shaamil the.
Videsh ki Khabrein
London Airport Ke Qareeb Tayyara Haadse Ka Shikaar
Britain ke London Southend Airport par ek durbhagyashali tayyara haadsa hua. Haadse ka shikaar tayyara Beech B200 Super King tha, jo 13 musaafiron aur 2 crew members ko le ja sakta hai.
Ibtidaai ittelaat ke mutaabiq, tayyara Netherlands se rawana ho raha tha, aur take-off ke kuch hi minute baad haadsa pesh aaya. Abhi tak marne waalon ya zakhmi logon ki sahi taadaad maaloom nahi ho saki. Authorities ne jaaye-haadse ko mehfooz batate hue tahqeeqat shuru kar di hai.
50 Din Ke Andar Jung Band Karo, Trump Ki Putin Ko Dhamki
Amreeki Sadar Donald Trump ne ek baar phir Russia-Ukraine jung ke maamle par Roosi Sadar Vladimir Putin ko dhamki di hai. Trump ne 14 July ko kaha ke agar 50 dinon ke andar Ukraine se jung khatam karne ka koi muahida nahi hua to Russia par sakht mehsoolaat (tariffs) lagaye jayenge. Unka kehna tha ke is dafa Amreeka Russia par 100% secondary tariffs lagayega. Unhone yeh elaan Oval Office mein NATO ke Secretary General Mark Rutte se White House mein mulaqaat ke douran kiya.
Antim shabd
Unhone kaha, Main tijarat ko bahut si cheezon ke liye istemaal karta hoon, lekin yeh jung khatam karne mein madadgar sabit hoga.
Trump ne yeh bhi kaha ke Main Putin ko qaatil nahi kehna chahta, lekin woh ek sakht shakhs hain. Unke alfaaz mein, Main Sadar Putin se mayoos hoon, kyunki maine socha tha ki hum do mahine pehle jung ke khatme ke liye ek muaahida kar lenge.
Maine socha woh wahi karte hain jo woh kehte hain. Woh bohot khoobsurat baatein karte hain aur phir raat ko logon par bomb gira dete hain. Mujhe yeh pasand nahi.
Antim shabd
Yeh sab khabrein Telangana aur desh ke mukhtalif shehron se taaza surat-e-haal aur aham waqyaat ko dikhati hain, jo awaam ke liye maloomat aur agahi ka zariya hain.
Related Post:
July Telangana News Highlights – Indiramma Illu Scheme, Hyderabad Crime, Government Jobs & More
Also read news
Table of Content
Daily News
Telangana & India News: Bathukamma, RTC Safar, KTR Campaign, Rahul Gandhi Dhamki, Andhra Pradesh Waqia, Doha Hamla
Careers
2. Maharashtra Police Bharti 2025: Age Limit Mein Chhoot, 15,631 Vacancies Jail Aur Police Vibhag Mein
3. Telangana Revenue Department Jobs 2025: 217 New Posts Approved – Latest Update (11 Sept 2025)
4. Telangana Doctors Recruitment 2025 | 1623 Specialist Posts Apply Online
5. Telangana Govt Job Calendar 2025 Reschedule | 60,000 Sarkari Naukri Ek Saal Me, 1 Lakh Do Saal Me
6. TSRTC Recruitment 2025: Apply Online for 1,743 Driver & Mechanic Posts in Telangana RTC
Sarkari Updates Admission aur Exams
TSPSC Group 2 Certificates Verification 2025: 4th Schedule 23-25 September
Telangana Me Caste Certificate Lena Hua Easy – MeeSeva Naya System 2025
Hyderabad Updates
Scam aur Deepfake
Weather Updates TG
Telangana News
Telangana News
Telagana Schemes
Bharat Updates
Maharashtra Heavy Rain 2025: 11 Halaak, Mumbai-Thane Red Alert
I Love Muhammad ﷺ’ Posters Par 21 Cases, 38 Arrests aur 1,324 Named
Supreme Court Notice on Umar Khalid & Sharjeel Imam Bail Pleas | Delhi Riots UAPA Case 2025
Infections aur Health
Bharat Schemes
GST Reform
Videsh News
H-1B Visa Fees Update 2025: Sirf Ek Baar Payment, Naye Applicants Ke Liye
Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur YouTube video ka content credit pura Shaik Omer ko jata hai. Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.
🔗 Connect With Bharat Batao
🖊️ About the Author
Bharat Batao Team
Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.
📌 Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:
- Hyderabad firing
- CM Revanth Reddy 1 lakh sarkari naukriyan
- Anganwadi centers update
- Nutrition Plan Telangana
- Indiramma sarkar ghareebon ke liye
- Teenmar Mallanna protest Telangana
- School talibaat tabiyat kharab
- Hyderabad Instagram stunt
- Cab attack Hyderabad
- Madhavi Latha BJP chehra
- Sarkari schemes dhokha
- Telangana monsoon update
- P. Saroja Devi inteqal
- Punjab muqaddas kitaabon saza
- Delhi Punjab gaali survey
- London airport plane haadsa
- Trump Putin 50 din dhamki

Comments
Post a Comment