10

Telangana & Hyderabad Ki Taaza Khabrein 2025: Crime, Politics, Weather Aur Public Updates

 Hyderabad aur Telangana se aaj ki taaza khabrein: crime, politics, baarish, ration cards aur public updates ka complete roundup.

Hyderabad aur Telangana se lekar desh-videsh tak aaj ki taaza khabrein: Hyderabad mein ek baap ne apni beti ko maar dala, school principal par bachchon se majdoori karwane ka ilzaam laga. 

KTR ne Road Safety Cess ke faisle ki mazammat ki, Telangana ke Mulugu zila mein Maoist pamphlets se sanasani, aur Safed Ration Cards ki sankhya 1 crore ke paar pahunch gayi. Agle 10 din baarish ka prediction bhi hai.

Hyderabad aur Telangana ki aaj ki taaza khabrein, including crime, politics, weather aur public updates.

Telangana aur Hyderabad Ki Khabrein

  1. Ek Baap Ne Apni Hi Beti Ko Maar Dala

    Hyderabad: Police ke mutabik, Venkatesh naam ka aadmi nashhe ki haalat mein der raat ghar wapas aaya. Uski patni ne usko shant karne ki koshish ki, lekin baat badi ho gayi. Tab unki choti beti Bhavinya achanak ro padi, jispar gusse mein aakar Venkatesh ne uski taange pakad liin. 

Patni ne beech mein rokne ki koshish ki, lekin uski koshishon ke bawajood Venkatesh ne bacchi ko baar-baar farsh par zordaar patak diya. Bacchi ke sir par gehri chotein pad gayi aur use andaruni chot (internal trauma) laga. Jaldi se parivaar ne use Surpet ke sarkari hospital le gaya, jahan doctors ne use ventilator par lagaya. 

Afsos ki baat ye hai ki agli subah Bhavinya ne apni zakhmon ke chalte jaan de di. Waqt par bhagne ki koshish karte hue Venkatesh ko padosiyon ne pakad liya aur police ke hawale kar diya. Police ne is maamle mein FIR darj kar li hai aur aage ki jaanch jari hai.


  1. School Principal Par Bachchon Se Majdoori Karwane Ka Ilzaam

    Telangana ke Jagatal shehar mein ek bada maamla saamne aaya hai. Purani Pet sarkari high school ke principal D. Tirupati ko bachchon se mazdoori karwane ke ilzaam mein suspend kar diya gaya hai. Yeh kadam tab uthaya gaya jab akhbaron mein tasveerein aur reports saamne aayi, jisme school ke students ko furniture uthate aur alag-alag kaam karte hue dikhaya gaya tha.

Zila collector ne is par turant sakht orders diye, aur kaha ki aisi ghatnaein bachchon ke hakon ki khilafwarzi hain. Collector ne yeh bhi kaha ki school mein education ka standard bana rehna chahiye, na ki bachchon ko majdoori karwayi jaye. District Education Officer ne bhi jaanch ke baad turant karwai hone ki tasdiq ki.

Bachchon ke guardians ka kehna hai ki yeh waqia na sirf educational institutions mein bad-intezami ko dikhata hai, balki bachchon ki suraksha aur unki hifazat ke liye ek gambhir chetavni bhi hai. Is case ko ab aur gehraai se investigate kiya ja raha hai, taaki future mein aisi ghalti dobara na ho.


  1. 'Main Kis Party Mein Hu, Speaker Faisla Karenge'

    MLA Kodam Srihari ne kaha hai ki woh kis party mein hain, iska faisla ab Assembly Speaker karenge. Unhone bataya ki BRS ki shikayat par jin 10 Assembly members ko notice bheja gaya hai, unmein woh khud bhi shamil hain. Srihari ne Speaker se likhit jawab dene ke liye ek mahine ka waqt maanga tha, jise Speaker ne manzoor kar liya hai.

Srihari ne apne bayan mein kaha ki BRS ko dusri partiyon ke members ke Congress mein shamil hone par ilzaam lagane ka moral right nahi hai. Unhone yaad dilaya ki jab BRS sarkar mein thi, tab unhone bhi Congress, Telugu Desam aur Communist party ke kai MLAs ko apni party mein shamil kar liya tha. Us waqt unhe yeh faisla sahi lag raha tha, lekin aaj jab aisa Congress ke saath ho raha hai to usko galat kehna theek nahi hai.

Srihari ne spasht kiya ki ab yeh faisla Speaker ke haath mein hai, aur woh jo bhi decision lenge wahi antim hoga.


  1. KTR Ne Road Safety Cess Ke Faisle Ki Mazammat Ki

    BRS ke working president K.T. Rama Rao (KTR) ne state mein nayi gaadiyon par Road Safety Cess lagane ke Congress sarkar ke faisle ki tez ninda ki hai. Unhone demand ki hai ki sarkar apne is faisle par dobara soch-vichar kare.

Social media platform ‘X’ par apni baat rakhte hue KTR ne kaha ki is naye cess se nayi gaadi kharidne walon par ₹2,000 se ₹10,000 tak ka extra financial bojh padega. KTR ne yeh bhi yaad dilaya ki Supreme Court ne road accidents rokne ke liye road safety ke kadam uthane ke nirdesh diye the, lekin Congress sarkar naye taxes lagakar public ke khilaf policies bana rahi hai.

KTR ne apne statement mein kaha ki real estate sector pehle hi thapp pada hai, jo state ki aay ka ek important source tha. Ab sarkar naye taxes laga kar aam logon ki mushkilen aur badha rahi hai. Unhone Chief Minister Revant Reddy par aarop lagaya ki woh apne chunavi waade poore karne ke bajaye, public par naye taxes thop kar unhe loot rahe hain.

BRS ne is faisle ki sakht mazammat karte hue kaha hai ki party public ke issues ko uthati rahegi aur aise faislon ka virodh karti rahegi.


  1. Telangana Ke Mulugu Zile Mein Maoist Pamphlets Se Sanasani

    Telangana ke Mulugu zila mein Maoist pamphlets milne ke baad area mein sanasani mach gayi hai. Zile ke Venkatapuram mandal mein yeh leaflets mile, jisme CPI (Maoist) ne janta se apna 21vaan foundation week manane ki appeal ki hai.

Yeh pamphlets Patrapuram Tekula Boru gaon ke paas, Bhadrachalam–Venkatapuram state highway par mile. Maoist central committee ne logon se appeal ki hai ki 21 se 27 October tak desh bhar mein is din ko revolutionary jazbe ke saath manaya jaye.

Committee ne apne message mein yeh bhi kaha ki Operation Kagar ko harane ke liye ek mazboot movement tayar karna zaroori hai. Is development ke baad security agencies ne area mein apni activities aur monitoring ko aur tez kar diya hai.


  1. Hyderabad Train Se Takkar Mein 3 Log Zakhmi, 2 Ki Maut

    Secunderabad ke Bolaram railway station ke paas ek khaufnaak hadsa hua, jisme teen naujawano ko railway tracks par chalne ke dauran tez raftaar train ne takkar maar di. Is hadse mein do log mauke par hi marr gaye, jabki ek serious roop se ghayal hua.

Area ke locals ne turant railway staff aur police ko inform kiya. Police ne laashon ko post-mortem ke liye bhej diya, aur ghayal naujawan ko turant hospital le jaya gaya, jahan doctors ne unki haalat ko nazuk bataya.

Marne walon ki shanakht abhi tak nahi ho paayi hai. Police ne is maamle mein case darj kar ke jaanch shuru kar di hai aur witnesses se baat kar rahi hai. Security aur safety measures ko lekar railway authorities bhi alert ho gaye hain.


  1. Telangana Mein Safed Ration Cards Ki Sankhya 1 Crore Ke Paar

    Telangana mein safed ration cards ki sankhya ab ek record level par pahunch gayi hai. Pichhle ek mahine mein 1,51,000 naye ration cards baante gaye, jisse total cards ki sankhya 1 crore se zyada ho gayi hai.

September ke quota ke mutabik, ration cards ki sankhya 99,70,832 thi, jo ab 1,12,22,324 tak badh gayi hai. Naye ration card paane wale parivar October se iska fayda utha paayenge.

Sarkar ne Dussehra ke tohfe ke roop mein in parivaron ke liye barik chawal baantne ka bhi intezam kiya hai, taaki ration cards ka practical fayda bhi un tak pohonche. Ye kadam gareeb aur zaruratmand parivaron ke liye ek badi sahayata sabit hoga.


  1. Hyderabad Ke Dangerous History-Sheeter Ko Ek Saal Ke Liye Shehar Se Bahar Kiya

    Hyderabad ke Purana Shehar, Kalapather police station area mein active khatarnaak history-sheeter Mohammed Asad ko ek saal ke liye shehar se bahar kar diya gaya hai. Hyderabad ke Commissioner C.V. Anand ne bataya ki Asad par 11 se zyada serious cases darj hain aur uska behaviour hamesha hinsa-bhara aur dhamki dene wala raha hai.

June 2024 mein Asad ne apne saathi ke saath milkar ek rival gang ke sadasya ka qatl kiya tha. Haal hi mein police ne use aur uske saathiyon ko ek hotel ke paas roka, jab woh kisi dusre gang par hamla karne ki taiyari mein the. Police ne unke kabze se hathiyar, goliyan aur chhuriyan bhi baramad ki.

Commissioner ne kaha ki is kadam ka maksad shahar ki suraksha aur kanoon vyavastha ko banaye rakhna hai, aur aise ghatnaon ko roka ja sake.


  1. RTA Offices Mein Registration Aur License Ke Kaam Mein Tezi

    RTA ke East Zone aur South Zone offices mein gadiyon ke registration, driving licenses aur dusre kaam tezi se ho rahe hain. RTO Officer L. Kishtayya ki nigrani mein, gadiyon ke registration documents aur driving licenses ko usi din post kar diya ja raha hai, taki logon ko jaldi suvidha mil sake.

MLA Akbaruddin Owaisi ne bhi haal hi mein apna license lene ke liye Badlaguda RTA office ka daura kiya tha aur wahan ke kaam se khushi zaahir ki. Unhone RTO officer L. Kishtayya ki kaarkargi ki tareef bhi ki.

Yeh kadam public ke liye sahuliyat badhane aur RTA ke kaam ko efficient banane mein ek important initiative sabit ho raha hai.


  1. Telangana Mein Agle 10 Din Baarish Ki Prediction

    Mausam Vibhag ne agle 10 dinon tak Telangana mein tez baarish hone ki prediction di hai. Sunday ko zyada tar zilon mein baarish ki sambhavna hai, jiske liye kuch zilon ke liye yellow aur orange alert jaari kiya gaya hai.

Department ne sarkari machinery aur officials ko savdhani ke kadam uthane ki salah di hai, taki kisi bhi emergency situation ko turant handle kiya ja sake. Vibhag ne bataya ki shehar ka mausam ajeeb hai: subah se sham tak tez dhoop rehti hai, aur sham hote hi achanak tez baarish shuru ho jaati hai.

Public se bhi appeal ki gayi hai ki wo baarish ke dauran safety measures ka dhyan rakhen aur zarurat padne par alert authorities se sampark karein.


Desh Ki Khabrein

  1. Insaniyat Ki Misal: Hindu Naujawan Ne Muslim Maa-Bete Ko Bachate Hue Jaan Di

    Andhra Pradesh ke Raichoti town mein baarish aur baadh ne ek dukhbhara hadsa paida kiya. Ek 6 saal ka chhota bachcha Ilyas achanak baadh ke tez bahav mein beh gaya. Uska jaan se pyaara beta bachane ke liye uski maa Shaikh Munni bina dare aage badhi, lekin paani ke tez bahav ne maa aur bete dono ko apni lapet mein le liya.

Isi dauran paas khada 30 saal ka Hindu naujawan Ganesh ne yeh manzar dekhkar tadap uthai. Usne insaniyat ki ek misaal pesh karte hue, apni jaan ki parwah kiye bina naale mein chhalang laga di, taaki maa aur bete ko bachaya ja sake. Lekin kismat ko kuch aur hi manzoor tha; woh bhi maut ki beraham lehron mein doob gaya.

Ganesh ki yeh kurbaani, ek Muslim maa aur bete ko bachane ke liye, insaniyat, mohabbat aur bhai-chare ki ek chamakti misaal hai, jise hamesha yaad rakha jayega. Rescue team ne teeno ki laashein ek Kalyan Mandap ke paas se baramad ki.

Ye waqia logon ke liye ek prerna aur himmat ka paigham hai, jo dikhata hai ki insaniyat ke liye apni jaan tak kurbaan ki ja sakti hai.


        12.    72 Saal Ka Dulha Aur 27 Saal Ki Dulhan

Ukraine se aaye ek couple ki Rajasthan ke Jodhpur mein shaadi hui, jisme dono ki umar mein kaafi antar hai. Dulha Instan Slavf ki umar 72 saal hai, aur dulhan Inni Lena ki umar 27 saal hai. Yeh dono pichhle 4 saal se ek saath reh rahe the.

Bharatiya culture aur parampara se prem hone ki wajah se, unhone ek local event organizer ki madad se poore Hindu riwazon ke mutabik shaadi ki. Yeh shandaar destination wedding Jodhpur ke ek historical kile mein hui, jahan dulha aur dulhan ne traditional Indian attire pehnkar vedic mantras ke beech puja aur rasmein ada ki.

Shaadi ke is event ne Rajasthan ke heritage aur Indian culture ko ek international touch ke saath dikhaya, aur mehmaanon ke liye ek yaadgar anubhav ban gaya.


13.       Urdu Shabdon Ke Istemal Par Hindi News Channels Ko Notice


Vizarat-e-Ittelaat-o-Nashriyat (Ministry of Information and Broadcasting) ne paanch bade Hindi news channels ko notice jari kiya hai. Shikayat mein kaha gaya hai ki yeh channels apni news mein lagbhag 30% Urdu shabdon ka istemal karte hain.

Yeh shikayat 9 September 2025 ko Thane, Maharashtra ke resident S.K. Srivastava ne CPGRAMS portal par darj karwai thi. Srivastava, jo khud ko Qanooni Musheer (legal advisor) batate hain, ne kaha ki Hindi channels rozmarra ki guftagu mein “Tashreef laiye” ya “Sailaab” jaise shabd bolte hain, jinhe ek aam Hindi bolne wala samajh nahi pata.

Unka yeh bhi kehna tha ki Hindi padhe hue BA, MA aur PhD students ko bhi rozgaar ke mauke milne chahiye, aur news channels ko zyada simple aur samajhne layak bhasha ka istemal karna chahiye. Ministry ab is mamle ki aage ki jaanch kar rahi hai aur channels ko jawab dene ka mauka diya gaya hai.


Videsh Ki khabrein

14.     Saudi Arabia Mein Buzurg Nagarikon Ko Public Transport Mein 50% Ki


 Chhoot

Buzurgon ke liye izzat aur kadar har desh mein di jaati hai. Isi silsile mein, Riyadh ke public transport ne buzurgo ke liye ek special announcement kiya hai.

Is announcement ke tehat, 60 saal ya usse zyada umar ke logon ko Riyadh ki buses aur trains ke istemal par 50% ki chhoot di jayegi. Yeh chhoot paane ke liye, national identity card ya Iqama ko stations par maujood sales office mein dikhana hoga.

Is kadam se buzurgo ke liye safar aasan aur kam kharch wala ho jayega, aur unki daily commute mein sahuliyat badegi. Authorities ka kehna hai ki yeh initiative elderly citizens ki suraksha aur comfort ko dhyan mein rakh kar liya gaya hai.

Antim shabd: Yeh updates aapko aaj ki taaza khabron se roobaroo karate hain – suraksha aur jaankari dono ke liye satark rahen.

Table of Content


Daily News






--------------------------------------------------------------------------------------------

Careers 







--------------------------------------------------------------------------------------------

Sarkari Updates Admission aur Exams

Infections aur Health

--------------------------------------------------------------------------------------------

Bharat Updates

Scam aur Deepfake

Hyderabad Updates


Weather Updates TG



Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur YouTube video ka content credit pura Shaik Omer ko jata hai. Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.

🔗 Connect With Bharat Batao

🖊️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.

📌 Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources

  • Hyderabad news 2025
  • Telangana news today
  • Telangana crime updates
  • Hyderabad politics news
  • Telangana weather forecast
  • Ration cards Telangana 2025
  • Hyderabad train accident news
  • Maoist pamphlets Telangana
  • Road Safety Cess news
  • Hindu-Muslim hero story
  • Solar eclipse 2025 India
  • Saudi Arabia senior citizen discount
  • Urdu words in Hindi news
  • School child labor news
  • Destination wedding Jodhpur
  • Comments