10

Desh Duniya Ki Khabrein : Telangana Se Iran Tak Ke Ahm Updates

 News Round-up Ek Nazar ma


Telangana aur Andhra Pradesh se lekar Maharashtra aur Chhattisgarh tak kaafi badi khabrein saamne aayi hain. Kahin Osmania University ma ghair mayaari khaane par ehtejaaj, toh kahin Jubilee Hills aur Jangaon mein siyasi aur awaami mudde garm. Iske saath Iran ka America ko do-took paigham, Chhattisgarh mein train accident, aur Andhra mein halke zalzale ke jhatke bhi mehsoos hue. Mausamiyat ne teen din tak baarish ki pesh-qash bhi di hai, jabke 5 November ko Beaver Supermoon ka nayaab manzar asmaan par chamkega.



Telangana aur Hyderabad ki Khabrein


Jubilee Hills Ma Muslim Qabristan Ka Masla Dec, Tak Hal Hoga

Chief Minister Ka Aqallati Raaye Dahindon Se Wada

Chief Minister Revanth Reddy ne aqallati raaye dahindon ko yaqeen dilaya hai ke December tak Jubilee Hills mein Muslim qabristan ka masla hal kar diya jayega. Unhone kaha ke qabristan ke liye arazi allot ki jayegi taaki purani pareshani door ho sake.

Rahamat Nagar Mein CM Ka Road Show Aur Khitaab

Chief Minister ne Jubilee Hills ke zimni chunav ke silsile mein Congress ke ummeedwaar Naveen Yadav ki muhim ke dauran Rahamat Nagar Division mein Road Show ke baad Corner Meeting se khitaab kiya. Unhone kaha ke hukoomat aqallati biradari ke masail ke hal ke liye pur azm hai aur har zaroori qadam uthaya jaayega.


Jubilee Hills Ma 14 November Ko 2023 Ki Tareekh Repeat: KTR

BRS Working Sadar Ka Bayan Zimni Intikhab Par

BRS Working Sadar K. T. Rama Rao ne kaha hai ke Jubilee Hills ke zimni intikhab mein party ke ummeedwar ne parcha-e-namzadgi daakhil karte hi kaamyaabi haasil kar li hai. Unhone kaha ke raaye dehi sirf ek zaabta aur zaroori process hai.

Congress Par Jhoothe Waadon Ka Ilzaam

KTR ne apne bayan mein kaha ke 14 November ko Jubilee Hills mein 2023 ki tareekh dohrayi jayegi. Unhone Congress par jhoothe waadon ke zariye awaam ko dhokha dene ka ilzaam lagaya aur kaha ke log is baar sach aur jhoot mein farq samajh chuke hain.


Masjid Hakeem Meer Wazir Ali Fateh Darwaza Ma Conference

Baghdad Sharif Ke Sajjada Nasheen Ka Khusoosi Khitaab Aaj

Hyderabad ke Fateh Darwaza mein waqeh Masjid Hakeem Meer Wazir Ali mein aaj 5 November ko baad Namaz-e-Maghrib Ghaus-e-Azam Conference muntaqid hogi. Is conference mein Baghdad Sharif ke Sajjada Nasheen Hazrat Peer Shaikh Syed Khalid Mansooruddin Al Gillani khusoosi khitaab karenge.

Ijtima Mein Sharik Honge Zyada Tar Mumineen

Conference mein Hyderabad aur aas-paas ke ilaakon se kai mumineen ke shamil hone ki umeed hai. Program ka maqsad Hazrat Ghaus-e-Azam (R.A.) ke paighaam aur taleemaat ko yaad karna aur unke paighaam ko aaj ke daur mein aam karna hai.


Osmania University Mein Ghair Mayaari Khana

Tulaba Ka Ehtejaaj Aur Contractor Ka Laparwah Jawab

Osmania University mein ghair mayaari khaane ki shikayat par tulaba ne shadeed ehtejaaj kiya jisse campus mein kasheedgi phail gayi. Tulaba ne Godavari Hostel ke samne jama hokar ilzaam lagaya ke contractor naqis aur muzirr-e-sehat khana faraham kar raha hai jisse kai tulaba bimaar pad gaye hain.

Campus Mein Dharna Aur Naarebaazi

Tulaba ne platein aur bartan utha kar University ke main road par dharna diya aur University intazamiya aur contractor ke khilaaf zor daar naarebaazi ki. Unhone kaha ke jab shikayat ki gayi to contractor ne laparwahi se jawab diya ke jo karna hai kar lo.

Tulaba Ka Mutalaba Aur Intazamiya Se Umeed

Tulaba ne maang ki hai ke naqis khana faraham karne wale contractor ke khilaaf fauri karwai ki jaaye aur hostel mein mayaari aur mehfooz khaane ka intazam kiya jaaye taaki aindah kisi ko sehat ka nuksaan na ho.


Fee Reimbursement Masla Aur Exams

Kayi Marakiz Band Hone Se Tulaba Pareshan

Fee Reimbursement ke masle par taaleemi idaron ki taraf se kal strike ka elaan kiya gaya tha. Iski wajah se pharmacy ke exams dene wale kai tulaba ko musibat ka saamna karna pada, kyunki kai exam centres band the. Kuch colleges ne exams karwaye jabki kuch ne apne idare band rakhe, jisse tulaba uljhan mein pad gaye. Hukoomat ki taraf se bhi is silsile mein koi wazeh hidaayat nahi di gayi, jiski wajah se tulaba aur unke waliden pareshani mein hain.

Tulaba Ka Mutalaba Aur Fikrein

Kai tulaba ne kaha ke hukoomat aur colleges ko pehle se ittla deni chahiye thi ya exams ko multavi kar dena chahiye tha. Aadha hissa exams likh saka jabki kai students reh gaye. Is surat-e-haal ne tulaba ke taaleemi mustaqbil ko lekar unke andar tashweesh paida kar di hai. Ghareeb tulaba pehle hi fee reimbursement ke na milne se pareshan hain aur ab exams ka masla unki fikr aur badha raha hai. Tulaba aur unke sarparaston ne hukoomat se darkhwast ki hai ke woh foran dakhal de aur inhe exams likhne ka doosra mauka de. Riyasat bhar ke private colleges ka strike mangal ke din bhi jaari raha.

JNTU Hyderabad Ka Bayaan Aur Schedule

JNTU Hyderabad ke schedule ke mutabiq, exams fees reimbursement funds ke jari hone ke mutaalbe ke darmiyan bhi jaari hain. University ke Registrar K. Venkateswara Rao ne kaha hai ke B.Pharm ke First Year exams tayshuda schedule ke mutabiq ho rahe hain. Unhone wazeh kiya ke exams mamool ke mutabiq jaari rahenge aur aayinda ke exams bhi plan ke mutabiq hi muntaqid kiye jayenge.


5 November Ko Asmaan Par Beaver Supermoon

Asmaan Mein Nayaab Manzar Dekhne Ka Mauka

5 November ki raat asmaan par ek nayaab manzar dekha jaayega jise Beaver Supermoon kaha jaata hai. Is raat chand aam dinon ke muqable mein zyada bada aur roshan nazar aayega. Yeh falkiyaat ke shaukeen logon ke liye ek dilchasp aur khushgawar lamha hoga.

Beaver Supermoon Kya Hai

Poornima ke dauraan jab chand apni gardish mein zameen ke sabse qareeb aa jaata hai to use Supermoon kaha jaata hai. Is waqt chand aam se zyada bada aur noor se bhara hua dikhai deta hai. Is baar ka Supermoon Beaver Supermoon ke naam se mashhoor hai aur yeh saal ka doosra Supermoon hai.


Mohammad Azharuddin Ke Kalandaan Ka Elaan

Do Mahkame Ki Nayi Zimmedariyan

Telangana mein Chief Minister Revanth Reddy ki qayaadat mein hui Cabinet expansion ke dauraan Senior Congress Leader aur sabiq cricketer Mohammad Azharuddin ko shaamil kiya gaya tha. Aaj unhe nayi aur aham zimmedariyan di gayi hain. Azharuddin ko Minority Welfare ke saath-saath Public Enterprise ke mahkame ka charge bhi diya gaya hai.

Revanth Reddy Ka Faisla Aur Maqsad

Zarai ke mutabiq Chief Minister Revanth Reddy ne yeh faisla aqallati biradari ki numaindagi ko mazboot karne aur awaami idaron ke intazamaat ko behtar banane ke liye liya hai. Azharuddin pehle se hi sports ke shobe mein apni khidmat aur maqbooliyat ke liye mashhoor rahe hain aur ab pehli martaba riyasati cabinet mein shaamil kiye gaye hain.

Aqallati Umur Aur Public Enterprises Mein Ahm Kirdar

Minority Welfare ke tehat Azharuddin ab Scholarship, Rozgar Schemes, Haj Committee, Waqf Board aur dusre aqallati idaron ki performance ka jaiza lenge. Public Enterprises ke Wazir ke taur par unka dhyaan riyasat ke sarkari idaron aur corporations ki karkardagi ko behtar banane par rahega.


Police Akka Program Ka Aaghaz

Khawateen Aur Talibaat Ke Tahaffuz Ke Liye Naya Qadam

Adilabad zila police ne khawateen aur talibaat ke tahaffuz aur aagaahi ke liye pehli baar ek khaas program shuru kiya hai jise Police Akka kaha gaya hai. Is program ka maqsad talibaat ko sexual harassment, eve-teasing, social media jurm, good touch aur bad touch jaise mauzuaat par jaankari aur bedari dena hai.

Program Ka Iftitah Aur Police Ki Pehal

Yeh program Tuesday ke din Zila SP Akhil Mahajan IPS ke zariye Samaji Behbood School mein shuru kiya gaya jahan 250 se zyada talibaat ne hissa liya. Zila SP ne bataya ki har police station se ek khaatoon constable ko Police Akka ke taur par muqarrar kiya gaya hai. Yeh constables har hafte do se teen din schools aur colleges ka daura karengi, talibaat se seedha milkar unke masail samjhenΰ€—ी aur unhe qanoon aur tahaffuz ke baare mein aagaah karengi.

Dehi Ilaakon Mein Bhi Bedari Muhim

SP ne kaha ki Police Akka program ke tehat gaon aur dehi ilaqon mein bhi khaas bedari programs munazzam kiye jayenge. Is ka maqsad talibaat aur khawateen mein yeh bharosa paida karna hai ke agar unke saath koi nainsaafi ya zulm ho toh woh bina jhijhak Police ko ittila dein.

Jurm Ke Khilaf Karwai Aur Madad Ka Yaqeen

Zila SP ne wazeh kiya ki eve-teasing, bachpan ki shaadi, social media par hirasani, jaali accounts se blackmailing aur mohabbat ke naam par dhokhadahi jaise jurm par police poori koshish se qaabu paane ki koshish karegi. Mutasirra talibaat aur khawateen ki pehchaan khufiya rakhi jayegi aur unhe insaaf dilaane ke liye mukammal madad di jayegi.


Taandoor Ke Paas RTC Bus Accident

Ek Aur Sadak Haadsa Vikarabad Mein

Chevella ke haadse ko guzre abhi ek din bhi nahi hua tha ki Vikarabad zila ke Taandoor ke paas ek aur RTC bus hadse ka shikaar ho gayi. Karnataka ke Gulbarga se Taandoor ki taraf aane wali Karnataka RTC bus samne se aane wali cement lorry se takra gayi.

Zakhmiyon Ki Haalat Aur Police Ki Karwai

Is haadse mein ek musafir ke sar par chot aayi, jabki driver aur conductor ko halka sa zakhm hua. Jaise hi police ko ittila mili, wo turant mauke par pahunch gayi. Gaadiyon ko sadak ke kinare hata kar traffic ko normal kiya gaya. Zakhmiyon ko qareebi hospital mein ilaaj ke liye bhej diya gaya.


CM Aur Wuzra Ki Tasveer Gadhe Par Laga Kar Ehtejaaj

Pulon Ki Taameer Ke Liye Dehaatiyon Ka Anokha Iqdam

Zila Jangaon ke Chitakoduru aur Gongupadu ke gaon walon ne ek anokha ehtejaaj kiya. Unhone Telangana ke Chief Minister A. Revanth Reddy aur Roads and Buildings ke Wazir K. Venkata Reddy ke posteron ke saath juloos nikaal kar apne gaon ko jodne waale lambe arse se pending pulon ki fauri taameer ka mutalaba kiya.

Gadhe Par Tasveer Laga Kar Izaahar-e-Ghussa

Social media par viral ek video mein muzaahireen ko leaders ki tasveer gadhe par lagakar uski parade karte hue dekha gaya. Yeh unka sarkari laaparwahi ke khilaf naraazgi ka izhaar tha.

Police Ka Dakhal Aur Ehtejaaj Ka Khatma

Jaise hi police ko is ehtejaaj ki ittila mili, wo turant mauke par pahunch gayi aur mushtael muzaahireen ko rok kar surat-e-haal par qaboo pa liya.


Kareem Nagar Aur Nalgonda Mein Do Bus Hadsaat

Do Alag-Alag Hadsaat Mein 19 Afraad Zakhmi

Telangana ke zila Kareem Nagar aur Nalgonda mein do alag bus hadsaat pesh aaye jismein kul 19 afraad zakhmi ho gaye. Kareem Nagar ke Timmapur mandal ke Renukunda pul ke qareeb Matpalli Depot ki RTC bus ek tractor se peeche se takra gayi.

Kareem Nagar Mein Shadeed Zakhmi Musafir

Is takkar mein 15 musafir shadeed zakhmi hue jinhe foran Kareem Nagar Hospital muntakil kiya gaya. Haadse ke baad ilake mein kuch der tak traffic ruk gaya jise police ne mauke par pahunchkar normal kar diya.

Nalgonda Mein Private Bus Ka Accident

Nalgonda zila ke Bugga Baavi Gudem ke paas ek private travel bus ne tractor ko takkar maar di jisse tractor mein sawaar char afraad zakhmi ho gaye. Police ne dono maqamaat par case darj karke haadse ki tahqiqat shuru kar di hai.


Machhliyon Ki Muft Taqseem

December Ke Aaqir Tak Kaam Mukammal Karne Ki Hidaayat

Fisheries Minister V. Srinivas Goud ne kaha hai ke riyasat bhar mein chhoti machhliyon ki muft taqseem ka kaam December ke aaqir tak mukammal kar liya jayega. Unhone hidaayat di hai ke tamam zilon mein taqseem ka amal tezi se anjaam diya jaaye taaki is yojna ka poora faida machhuwaron tak pahunch sake.


Teen Din Tak Baarish Ki Pesh-Qash

Hyderabad Aur Mukhtalif Azla Mein Halka Se Ausat Mausam Ka Imkaan

Hyderabad ke saath riyasat ke kai azla mein mangal ki dopahar achanak baarish hui, jisse sadkon par paani jama ho gaya aur traffic ki aamad-o-raft mein rukawat paida hui. Mausamiyat ke idare ne agle teen dinon tak riyasat ke mukhtalif ilaakon mein halki se ausat baarish hone ka imkaan zahir kiya hai.


Desh ki Khabrein


Za’eef Aur Maazoor Voters Ko Ghar Se Vote Dene Ki Sahulat

Election Commission Ka Aham Qadam

Election Commission of India ne 85 saal se zyada umar ke buzurg aur 40 pratishat se zyada maazoor voters ke liye ek khaas sahulat muhayya karai hai jisse woh apne ghar se hi vote de sakte hain.

Jubilee Hills Halqe Mein Amal Ka Aaghaz

Jubilee Hills Assembly Halqe ke Returning Officer P. Sai Ram ne bataya ke buzurg aur maazoor raaye dahindon ke liye ghar se hi voting ki sahulat faraham ki ja rahi hai. Is silsile mein 84 voters jin ki umar 85 saal se zyada hai aur 19 maazoor voters jin ka disability level 40 pratishat se zyada hai unhone Election Commission se darkhwastein di hain.

Officials Ka Ghar Ghar Daura 6 November Tak

Returning Officer ke mutabiq Jubilee Hills halqe ke 103 voters ko Election Commission ke officials unke ghar pahunchkar 6 November tak vote dene ka mauka denge. Yeh qadam un voters ke liye bahut madadgar sabit hoga jo apne sehat ya umar ki wajah se polling booth tak nahi ja sakte.


Andhra Pradesh Mein Halke Zalzale Ke Jhatke

Alluri Sitarama Raju Zila Mein 3.7 Shiddat Ka Earthquake Mehsoos

Andhra Pradesh ke zila Alluri Sitarama Raju mein mangal ki subah logon ne halke zalzale ke jhatke mehsoos kiye. Mehkma-e-Mausmiyat ke mutabiq, zalzale ki shiddat Richter scale par 3.7 record ki gayi. Khushqismati se kisi nuqsaan ki ittila nahi mili.


Lady Teacher Ne Bachchon Se Pair Dabwaye

Waqiya Kahan Hua

Andhra Pradesh ke Malla Patti Mandal ke Band Palli Ladkiyon ke Girijan Ashram School mein ek ajeeb waqiya saamne aaya

Kya Hua

Ek lady teacher ne class ke bachchiyon se apne pair dabwaye. Yeh video kuch der baad social media par viral ho gaya

Mehkma-e-Taleem Ka Elan

Mehkma-e-Taleem ke afsaron ne kaha hai ki us teacher ko pehle hi show cause notice diya ja chuka hai aur ab is maamle ki tehqeeqat ka hukm de diya gaya hai


Maharashtra Baladi Intakhaabaat Ka Elaan 

Maharashtra Riyasati Election Commission ne baldiyaati (local body) intakhaabaat ki tareekhon ka elaan kar diya hai.

➡️ Raaye dehi (voting): 2 December

➡️ Vote ki ginti (counting): 3 December

➡️ Namzadgi (nomination) ki shuruaat: 10 November se

Zaabta-e-Ikhlaq (Code of Conduct) riyasat bhar mein naafiz kar diya gaya hai.


Chhattisgarh Mein Do Trains Ke Darmiyaan Hadsa

Chhattisgarh ke Balasore zille mein ek khaufnaak train hadsa hua. Korba-Balastar train Jharam Nagar station ke paas ek khadi maalgaadi se takra gayi.

Halaak Aur Zakhmi

Is hadse mein kam az kam 10 log halaak ho gaye, aur kai musafir zakhmi hue.

Railway Team Aur Bachao Kaam

Railway administration aur bachao teams mauke par pohanch kar imdad ka kaam jaari rakhe hue hain.


Videsh ki Khabrein


Iran Ke Supreme Leader Ka America Ko Do Saaf Paigham

Pehla Paigham

Iran ke Supreme Leader Ayatollah Ali Khamenei ne kaha hai ki jab tak America Israel ki hukoomat ki himayat band nahi karta, Iran iske saath koi taawun nahi karega

Doosra Paigham

Tehran mein tulaba se khitaab karte hue unhone kaha ki kabhi kabhi American hukkaam Iran se taawun ki khwahish zaahir karte hain, magar jab tak woh Israel ki pushtpanahi mukammal taur par khatam nahi karte, kisi qism ka ishtiraaq mumkin nahi

Antim shabd

Yani, siyasat se le kar tabiyat tak, dharti se asmaan tak — aaj Bharat aur duniya dono jagah khabrein garm hain.


Related Post:

Desh Duniya Ki Khabrein : Chivvla Hadsa, SIR Update, Hyderabad Crime, Aur Gaza Mein Taleem Ka Aaghaz


πŸ–Š️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.

 Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.πŸ“ŒSources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:

πŸ‘‰ More Updates:
πŸ”— Sarkari Updates | Scam Report | Career & Jobs | Weather Alerts
  • Telangana news
  • Jubilee Hills by-election
  • Osmania University protest
  • Chhattisgarh train accident
  • Andhra Pradesh earthquake
  • Beaver Supermoon 2025
  • Police Akka program
  • Fee Reimbursement news
  • Maharashtra municipal elections
  • Iran Supreme Leader news
  • Hyderabad weather forecast
  • Lady teacher controversy
  • Muslim cemetery Jubilee Hills
  • Kareem Nagar bus accident
  • Nalgonda bus accident
  • Machhliyon ki taqseem
  • News Round-up Ek Nazar ma
  • Hinglish news
  • Hindi hinglish news

Comments