10

Hyderabad & Telangana Latest News: Darinde Baap, Toofani Baarish, ₹20 Lakh Muawza & Updates

Hyderabad & Telangana latest news: Musi nadi qatl, Toli Chowki hiran case, ₹20L muawza, toofani baarish, Jashn-e-Milad juloos & CM Revanth Reddy updates.



Hyderabad aur Telangana ki latest news highlights: Musi nadi incident, toofani baarish, Telangana Jagriti ka muawza, Jashn-e-Milad-un-Nabi juloos aur CM Revanth Reddy ki badhai.


Adaab dosto!

Hyderabad aur Telangana se aaj ki khabrein kaafi shocking aur important hain. Purane Sheher mein darinde baap ne 3 saal ke bete ko Musi nadi mein phenka, aur Toli Chowki mein hiran ka gosht bechne wale do log giraftar hue. Sheher mein Jashn-e-Milad-un-Nabi ka juloos nikala gaya, aur CM Revant Reddy ne Engineer's Day par engineers ko badhai di. Telangana Jagriti ki mehnat rang laayi, ₹20 lakh muawza declare hua, aur Liberation Day ko sarkari taur par manane ki demand bhi hai. Fee reimbursement aur scholarships mein deri se colleges band honge. Passport Seva Kendra shift ho raha hai, Srisailam tunnel mein 8 workers abhi nahi mile, Hyderabad mein toofani baarish aur court incidents bhi hue.doha qatar.


Hyderabad aur  Telangana Ki Khabrein


Jashn-e-Milad-un-Nabi ka Hyderabad mein juloos

Jashn-e-Milad-un-Nabi ke mauke par Hyderabad sheher mein ek religious aur traditional juloos nikala gaya. Is juloos mein roohani aqeedat ki gehri jhalak saaf dikhai di. Juloos ki shuruat sheher ki tareekhi Mecca Masjid se hui. Falaknuma, Misrigunj, aur Charminar se bhi pur-aman juloos nikale gaye.

Logo ne sabz parcham lehrate hue Hazrat Mohammad (S.A.W.) ki taleemat ko yaad kiya aur ek doosre ko mubarakbad di. Police ne aman aur shanti banaye rakhne ke liye sakht security arrangements kiye the. 3,000 se zyada police officers, RAF, City Armed Reserve, Commissioner Task Force, City Quick Response Team aur local police ko alag-alag jagahon par deploy kiya gaya tha. Is mauke par durood-o-salam ke nazrane aur naatkhani ne juloos mein roohaniyat aur barhadi.


Hyderabad: Darinde baap ne 3 saal ke bete ko maar ke Musi nadi mein phenka

Hyderabad ke Purane Sheher mein ek dil dehla dene wala waqia hua hai. Bollaram area mein police ke mutabik, 35-saala Mohammad Akbar ne apne teen saal ke bete Mohammad Anas ka qatl kar ke uski laash Musi nadi mein daal di. Akbar sabzi bechta hai aur uski biwi Sana Begum ek hospital mein caretaker hai. Unke do bete hain, ek 7 saal ka aur doosra, jiska qatl hua, 3 saal ka. Anas kuch dino se beemar tha, jiski wajah se miyan-biwi ke beech jhagde hote rehte the.

Jumme ki raat ko jab Sana duty par gayi thi, subah Akbar ne Anas ka gala takiye se ghont kar qatl kar diya. Phir usne laash ek thele mein daal kar bike par Naya Pul bridge se Musi nadi mein phenk diya. Agli subah woh police station gaya aur bataya ki uska beta ghum ho gaya hai. Usne jhooth bola ki rishtedaron ne bacche ko ghar ke paas chhoda tha aur phir woh gayab ho gaya.

Police ko uspar shak hua, toh unhone phone records aur CCTV footage check ki. Footage mein Akbar subah ke waqt ek thela le jaate hue dikha. Sakhti se poochhtachh karne par usne apna jurm maan liya. Police ne qatl ka case darj kar ke jaanch shuru kar di hai, aur bacche ki laash ki talaash Musi nadi mein jaari hai.


Toli Chowki mein hiran ka gosht bechne wale do log giraftar

Toli Chowki police ne do logon ko giraftar kiya hai, jo allegedly hiran ka gosht bech rahe the. Police ne unke paas se 10 kilo hiran ka gosht aur hiran ke teen seeng baramad kiye. Giraftar logon mein Mohammad Saleem Musa Umar (37), jo peshe se doctor hai, aur Mohammad Iqbal Umar (48), jo ek real estate businessman hai, shaamil hain. Dono par hiran ka shikar karne aur uska gosht apne paas rakhne ka ilzaam hai. Police ne dono ko aage ki kaarwai ke liye forest department ke hawale kar diya hai.


Hyderabad mein naya Passport Seva Kendra nahi ban raha

Central Ministry of External Affairs ne Hyderabad mein kisi bhi naye Passport Seva Kendra ko approval nahi diya hai. Jo Passport Seva Kendra 16 September ko Mahatma Gandhi Bus Station Metro ki building mein shuru hoga, woh asal mein Ameerpet ke Aditya Trade Centre mein kaam karne wale Passport Seva Kendra ko wahan shift kiya ja raha hai.

Isi tarah, Toli Chowki mein Sheikhpet nala ke paas Anand Silicon mein chalne wale Passport Seva Kendra ko Raidurg mein shift kiya jayega. Yeh faisla Central Ministry aur Hyderabad Regional Passport Office ne kiya hai. Pehle yeh kaha gaya tha ki naya Passport Seva Kendra ban raha hai, lekin ab officers ne jagahon ka daura kiya aur saaf kiya ki koi naya kendra nahi ban raha, sirf purane kendra ko shift kiya ja raha hai.


Jubliee Hills candidate ka faisla high command karega: Revanth Reddy

Chief Minister Revant Reddy ne Jubilee Hills by-election ke liye division in-charge ke saath meeting ki. Unhone workers se kaha ki woh party ke candidate ko jitane ke liye puri mehnat karein. Unhone advice di ki Congress government dwara kiye ja rahe development ke kaam ko logon tak pahunchaya jaye.

CM ne kaha ki har koi party candidate ko kamiyab banane ke liye hard work kare. Unhone yeh bhi saaf kiya ki party ke candidate ka faisla Congress high command karegi.


Hyderabad mein toofani baarish, naalon mein 3 log beh gaye

Sunday shaam ko Hyderabad ke alag-alag areas mein tez baarish hui. Sirf 1 ghante mein lagbhag 12 cm baarish record ki gayi. Tez baarish ki wajah se nichle ilakon mein paani bhar gaya aur kayi jagahon par accidents hue.

Habib Nagar police station area ke Afzal Sagar nala mein Ramu fisal kar gir gaya. Uske bhanje Arjun ne use bachane ke liye chhalang laga di, lekin woh bhi paani ke tez bahaav mein beh gaya.

Isi tarah Musheerabad mein bhi ek aur hadsa hua, jahan Sunny (24 saal) nala ki deewar par baitha tha ki deewar toot gayi aur woh paani mein beh gaya. Police aur rescue teams teeno logon ki talaash kar rahi hain.


Engineer's Day par CM Revanth Reddy ne Engineers ko di badhai

Chief Minister Revant Reddy ne Engineer's Day ke mauke par state ke sabhi engineers ko badhai di. Unhone kaha ki desh aur state ki development mein engineers ka bahut important role hai. Unhone bataya ki 15 September ko Bharat Ratna Visvesvaraya ke birthday par Engineer's Day manaya jaata hai. CM ne Visvesvaraya ke contributions ko yaad kiya, jinhone modern India ke development mein ek important role nibhaya tha.

Visvesvaraya ne Musi nadi ke flood ko rokne ke liye ek plan bhi banaya tha. Unhone engineers ko unke kaam se inspiration lene ki salah di.


Hyderabad mein toofani baarish, Monday ko bhi baarish ka forecast

Sunday shaam ko toofani baarish ki wajah se Hyderabad ki kayi sadakon par paani bhar gaya aur kayi gharon mein paani ghus gaya. Tez hawaon ke saath hui baarish se traffic bhi bahut affect hua. GHMC aur Traffic Police ne logon se zaroori na hone par bahar na nikalne ki appeal ki.

Monday ko Adilabad, Nirmal, Nizamabad, Vikarabad, Sangareddy, Medak, Kamareddy, Mahbubnagar, aur Narayanpet mein baarish hone ki ummeed hai. Mausam vibhag ne kaha ki kuch jagahon par garaj-chamak aur 30-40 km/h ki raftaar se tez hawaon ke saath baarish ho sakti hai.


Telangana Jagriti ki mehnat rang laayi: ₹20 lakh muawze ka elan

Telangana Jagriti ki struggle ke baad, government ne Kodangal Narayanpet Lift Irrigation Project ke affected farmers ko prati acre ₹20 lakh ka muawza dene ka elan kiya hai. Pehle government sirf ₹14 lakh de rahi thi, lekin Telangana Jagriti ne iske khilaf protest kiya aur farmers ke saath khade rahe.

Unhone saaf kaha ki jab tak ₹20 lakh ka muawza nahi milta, zameen nahi di jayegi. Telangana Jagriti ki continuous efforts ke saamne government ko jhukna pada. Telangana Jagriti ne kaha ki woh hamesha farmers, kamzor aur gareeb logon ke haq ke liye awaaz uthati rahegi.


Telangana Liberation Day ko sarkari taur par manane ki demand

Union Minister Kishan Reddy ne demand ki hai ki jaise Maharashtra aur Karnataka mein Telangana Liberation Day sarkari taur par manaya jaata hai, waise hi Telangana mein bhi manaya jana chahiye. Unhone kaha ki pichli sarkar ne majlis ke dar se ise nahi manaya, aur ab Congress government ko bhi 2 saal ho gaye hain, lekin woh bhi isko sarkari taur par nahi mana rahi hai.

Kishan Reddy ne elan kiya ki agar BJP Telangana mein satta mein aati hai, to woh is din ko sarkari taur par manayegi. Unhone bataya ki 17 September ko Central Ministry of Culture ki dekhrekh mein Secunderabad Parade Ground mein Telangana Liberation Day ka ek bada event hoga.


Telangana mein fee reimbursement aur scholarship mein deri, colleges band honge

Telangana mein fee reimbursement aur scholarships ke fund mein deri ki wajah se, saare private professional aur degree colleges indefinite period ke liye band ho jayenge. Private colleges ki management ne bataya ki unhe government se lagbhag ₹10,000 crore lene hain. Unhone Dashera se pehle kam se kam ₹1,200 crore dene ki appeal ki thi, lekin government ne koi action nahi liya.

Is fund mein deri ki wajah se colleges apne employees ko salary nahi de pa rahe hain. Federation ke mutabik, 15 September se Telangana ke 3,200 colleges band ho jayenge aur padhai nahi hogi.


Srisailam tunnel incident: 200 din baad bhi 8 workers ki laashein nahi nikali

Former Minister KTR ne kaha ki Srisailam Lift Canal tunnel ke collapse hone ke 200 se zyada din baad bhi 8 workers ki laashein nahi nikali gayi hain. Unhone isko Revant Reddy ki 'bhrasht' sarkar ki 'criminal negligence' bataya. KTR ne X par ek post mein kaha ki na to Congress sarkar laashein nikal paayi aur na hi unke parivaron ko muawza diya.

Unhone BJP ki bhi aalochna ki aur kaha ki unhone Kaleshwaram project ke mamuli problem par National Dam Safety Authority ki team ko bheja tha, lekin Srisailam ke mamle mein na to investigation team bheji aur na hi ek bhi sawal kiya. KTR ne Congress aur BJP ke "na-pak gathbandhan" (unholy alliance) par sawal uthaya. Unhone wada kiya ki agar BRS satta mein aayi, to woh un parivaron ko insaaf dilayenge aur is incident ke liye zimmedar logon ke khilaf action lenge.


Telangana mein 17 September se 16 October tak 'Poshan Mahotsav'

Minister Sita ne elan kiya hai ki state government 17 September se 16 October tak poore Telangana mein 'Poshan Mahotsav' (nutrition month) manayegi. Iska maqsad women aur children mein health aur nutrition ko badhana hai. Yeh program anganwadi staff ke through ghar-ghar tak pahunchaya jayega, taaki healthy food ke bare mein awareness badhe. Minister ne public representatives se bhi is initiative mein actively participate karne ki appeal ki hai.


Desh Ki Khabrein

Waqf Act par Supreme Court ka faisla

Supreme Court aaj Waqf Amendment Act 2025 ko challenge karne wali applications par apna interim faisla sunayegi. Ismein Waqf properties ko de-notify karne ke rights jaise mudde shaamil hain. Chief Justice B.R. Gavai ki bench ne 22 May ko is case mein dono parties ki dalilein sunne ke baad apna faisla secure kar liya tha.

Court mein pati ne biwi ko diya 'teen talaq', biwi ne chappal se maara

Uttar Pradesh ke Rampur Court mein ek shocking waqia hua. Pati-patni ke beech jhagde court tak pahunch gaye the. Asiya naam ki ek aurat ne apne pati ke khilaf dahej utpeedan ka case darj karwaya tha.

Friday ki dopehar jab Asiya court mein Family Court ki sunwai ke baad bahar nikli, to uska samna apne pati se hua. Usi dauran pati ne gaali galoch karte hue achanak teen talaq de diya. Yeh sunkar Asiya ne gussey mein apni chappal se pati ko maarne lagi. Wahan maujood logon ne beech bachav kiya.

Videsh Ki Khabrein

Israeli attack ke baad Doha mein 50 se zyada Muslim deshon ki meeting

Israel ki taraf se Doha par hamlon par baat karne ke liye 50 se zyada Muslim deshon ki meeting aaj Qatar ki capital Doha mein hone ja rahi hai. Al Jazeera ki report ke mutabik, jab Hamas ke members Doha mein ek important meeting kar rahe the, tab Israel ne missile attack kar diya.

Yeh attack aise waqt mein hua jab Israel ke foreign minister ne kaha tha ki unhone Trump ke peace proposal ko maan liya hai. Is proposal ke tahat Israel Hamas ke paas bandhi 48 hostages ko chhodne ke badle Palestinian prisoners ko release karega aur ceasefire par agree karega. Is hamle ki United Nations Security Council ne bhi ninda ki hai.


๐Ÿ”น “Saari news ek jagah, sirf Bharat Batao ke saath!


Sub News Ek saat

Inramma Illu Eligiblity 

Weather Update pardhye

Revenue Departments














Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur YouTube video ka content credit pura Shaik Omer ko jata hai. Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.

๐Ÿ”— Connect With Bharat Batao

๐Ÿ–Š️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.

๐Ÿ“Œ Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources

๐Ÿ‘‰ More Updates:
๐Ÿ”— Sarkari Updates | Scam Report | Career & Jobs | Weather Alerts

Comments