10

Telangana & India Latest News: Crime, Politics, Weather, Aadhaar, Elections & Space Updates

Zaheerabad murder, ₹20 coin scam, Aamir Shakeel setback, water scarcity, veggies 10% up, leopard sightings, Aadhaar updates, Shubhanshu return


Zaheerabad murder case solved, Hyderabad ₹20 coin scam,ex-MLA Shakeel court setback, election season looms. Water scarcity rises, vegetable prices +10%, Mahbubnagar leopard sightings, voter list panic, Aadhaar updates for children and junior colleges. Revanth criticized by Jagadish, Dheeraj Kumar passes, AIMIM Hindu corporator resigns, Shubhanshu Shukla returns from space, Assam demolitions; Spain heatwave kills 10,180.

Latest Telangana & India news highlights: crime, politics, weather, Aadhaar, elections, space missions, and social updates


Telangana aur Hyderabad ki Khabrein


₹20 ka sikka bechkar ₹50 lakh dene ka jhaansa -Purane Shehar ke buzurg shehri ko online dhokha.

Hyderabad ke Purane Shehar, Darul Shifa mein rehne wale 68 saal ke buzurg shehri ek cyber fraud ke shikar ho gaye. Yeh waqea ek nakli YouTube advertisement dekhne ke baad shuru hua, jismein dawa kiya gaya tha ki ek ₹20 ka sikka ₹50 lakh mein kharida jayega. 

Is lalach mein aakar prabhavit shakhs ne video mein diye gaye number par contact kiya. Wahan ek aadmi ne apne aap ko Raj Gyani ke naam se introduce karwaya.

Dhokebaaz ne sikke kharidne mein dilchaspi dikhate hue pehle file banwane ke bahaane ₹1,500 maange. Uske baad mukhtalif bahaane bana kar lagataar paise mangte rahe aur alag-alag adaaygiyan karwate rahe. 

Prabhavit shehri in jhooti baton par bharosa karta raha aur aakhirkar usne kul milakar ₹14,600 tak kho diye. Baad mein dhokebaaz ne aur ₹1 lakh ka mutalba bhi kar diya, jis par prabhavit ko ehsaas hua ki woh ek badi cyber fraud ka shikar ban gaya hai.

Police awaam ko muttahida tor par khabar dar kar rahi hai ke woh online fraud se hoshiyar rahen, khaas taur par un schemes se jo rozmarra ki cheezon jaise sikkon ko asadharan munafa dene ka dawa karti hain. 

Kabhi bhi kisi ajnabi ko bina tasdeeq paise transfer na karein aur social media ya video platforms par chalne wali ghair mamooli pesh-kashon se satark rahen. Cyber mujrim aksar jaali pehchaan aur jazbaati tactics istemal karke bharosa jeet lete hain.

Logon se darkhwast hai ke tamaam paighamaat, call records aur len-den ke saboot mehfooz rakhein. Agar aap cyber fraud ka shikar ho jayein to foran apne qareebi police station ya cyber cell se rabta karein, aur 1930 par call karke bhi report darj karwa sakte hain.


Saabiq Rukn-e-Assembly Aamir Shakeel ko adalat se bada dhakka laga. 

Telangana ke Bodhan ke former MLA Aamir Shakeel ne Panjagutta Police Station mein darj muqaddama khatam karne ke liye High Court mein darkhwast di thi, lekin High Court ne unki yeh darkhwast mustarad kar di.

Shakeel ke wakeel ne adalat mein yeh stance liya ki police ne Shakeel ke khilaf jhootha case darj kiya hai. Lekin Public Prosecutor P. Nageshwar Rao ne kaha ki is case mein abhi charge sheet file karni baaki hai. Dono taraf ke daleel sunne ke baad High Court ne Shakeel ki darkhwast ko rad kar diya.

Yeh bhi wazeh hai ki Praja Bhavan ke saamne barricades ko takkar dene ke maamle mein Aamir Shakeel ke bete Sahil ke khilaf pehle case darj hua tha. Baad mein Sahil ko bachane ki koshish karne par Aamir Shakeel ke khilaf bhi muqaddama darj kiya gaya.


Shehar mein jaldi hi election ka mahaul ban sakta hai. Teen halqon mein zimni intakhabaat hone ka imkaan hai.

Hyderabad ke teen Assembly halqon mein by-elections zimni intakhabaat ke asaar nazar aa rahe hain. Jubilee Hills Assembly halqe ke zimni intakhabaat ke saath do aur halqon mein bhi election hone ki soorat ban rahi hai. 

Jubilee Hills ke MLA Maganti Gopinath ki wafat ke baad is seat par election ka process shuru hone wala tha. Isi dauran Goshamahal ke MLA Raja Singh ke apni party se mustafi hone par is seat ke bhi khaali hone ke chances badh gaye hain.

In do halqon ke zimni intakhabaat ki baat chalte chalte ab Khairtabad Assembly halqe ke MLA D. Nagender ke bhi mustafi hone ki khabrein aane lagi hain. Zaraye ke mutabiq Nagender ne aam intakhabaat mein BRS ko chhod kar Congress ticket par Secunderabad Parliament seat se chunav lada tha. Unhe andesha hai ke adalat mein chal rahe case mein unhe shikast ho sakti hai. Isi wajah se woh khud mustafi hokar dobara chunav ladne ka plan bana rahe hain.

Filhal Jubilee Hills ke zimni intakhabaat ke aelaan ka koi official asar nahi hai. Lekin BJP Raja Singh ke istifa par sakht ravaiyya ikhtiyar karke Goshamahal mein zimni intakhabaat ko yaqeeni banana chahti hai. Ab Khairtabad ke MLA bhi apne siyasi mustaqbil ko mehfooz banane ke liye mustafi hone ki strategy bana rahe hain, jisse Khairtabad mein bhi zimni intakhabaat ka raasta khul sakta hai.


Shehar mein pani ki qillat, tankers ki demand mein tez izafa.

Hyderabad shehar mein peene ke pani ki kami ka silsila shuru ho gaya hai. Monsoon ke kamzor padne ke natije mein shehar ke kai ilaaqon mein sirf peene ke pani hi nahi, balki rozmarra ke kaamon ke liye bhi pani ki qillat mehsoos ki ja rahi hai. Isi wajah se tankers ki demand mein tez izafa dekha ja raha hai.

Mehkama-e-Aab Risaani ki report ke mutabiq shehar mein borewell khushk hone ki shikayaton ke baad tankers ki talab mein 36% tak izafa hua hai. 

Ab beshtar ilaqon mein borewells kaam karna band kar chuke hain, jiske baad log Mehkama-e-Aab Risaani se paani ke tankers mangwa rahe hain.

Pichle saal ke muqable mein is saal maah-e-July mein tankers ki booking mein bada farq dekha gaya hai. 14 July 2024 ko 63,724 tankers book kiye gaye the, jabki is saal 14 July ko yeh tadaad badhkar 86,520 tak pahunch gayi -jo ke seedha 36% ka izafa hai.


Asaduddin Owaisi ki party ko jhatka - waahid non-Muslim corporator Aruna Upadhyay ne MIM se istifa de diya.

All India Majlis-e-Ittehadul Muslimeen AIMIM ke Madhya Pradesh mein waahid Hindu counselor Aruna Upadhyay ne party se istifa de diya hai. 

Hyderabad ke markazi dafter ko 14 July ko bheje gaye khat mein unhone kaha ki woh zaati wajuhaat ki wajah se Core Committee aur party ke rukn se resign kar rahi hain.

Aruna Upadhyay ne media ko bataya ki woh kisi doosri party join nahi kar rahi, lekin Khargone Municipal Council ke independent counselor ke taur par apna kaam jaari rakhenge. 

Unhone kaha ki tabdeeli-e-mazhab aur musalsal harassment ke ilzaamaat ki wajah se istifa dena pada. Aruna ke shauhar aur kuch logon ne bhi un par logon ko Islam qubool karne ka ilzaam lagaya tha.

Guzishta kuch dino se Aruna Upadhyay party ke andar daani jhagde se pareshan thi. Party chhodne ke baad woh phir surkhiyon mein aa gayi hain. Khat mein unhone likha:

Main Aruna Upadhyay, Ward Number 2 Counselor, Municipality Khargone, ne aapki party MIM ke ticket par election ladi aur jeeti. Main apni zaati wajuhaat ki wajah se Core Committee aur party ke rukn se istifa de rahi hoon aur aazaadana taur par Counselor ki haisiyat se apni zimmedariyan ada karti rahungi. Isliye mera istifa qubool kiya jaaye.

Yaad rahe, saal 2022 ke baladiyaat elections mein woh chaar ummeedwaron mein se ek thi jo AIMIM ke ticket par jeeti thi. Unki jeet ne sabki tawajjah apni taraf khinchi, kyunki Ward 2 ki 70% aabaadi Muslim thi, lekin MIM ne Hindu candidate ko field kiya aur jeet dilayi. Ab Aruna Upadhyay ne AIMIM ka saath chhod diya hai.


Tarkaariyon ki qeemat mein 10% ka izafa.

Riyasat Telangana mein kam baarish ke sabab tarkaariyon ki paidaawar mein kami aayi hai, jiski wajah se qeematon mein tezi se izafa ho gaya hai. Guzishta saal ke muqable mein is saal tarkaariyon ki qeemat mein 10% ka izafa record kiya gaya hai.

Telangana mein har saal lagbhag 12.94 lakh acre zameen par sabzi aur phalon ki kasht hoti hai. Ismein 70% kasht monsoon se pehle April mein shuru hoti hai aur June tak fasal bazaar mein aa jaati hai. Is wajah se is dauraan sabziyon ki qeematein aam taur par stable rehti hain aur July mein aur kam ho jaati hain.

Lekin is saal June mein baarish tawaqqo ke mutabiq nahi hui, jiski wajah se faslon par asar pada. Tamatar, bhindi, kakdi, kaddoo, tonda aur turai jaise sabzion ki paidaawar mein nuksaan hua, jis se total supply kam ho gayi.

Har saal monsoon mein lagbhag 6 lakh acre zameen par sabziyon ki kasht hoti thi, lekin is saal sirf 4.2 lakh acre par hi kasht hui. Sangareddy, Vikarabad, Siddipet aur Yadadri jaison azla mein kasht mein 30% ki kami dekhi gayi.

Market mein demand ke muqable mein supply kam hone ki wajah se June se hi qeematon mein zabardast izafa aaya hai, aur aane wale mahinon mein aur izafa hone ka imkaan hai.

Riyasat mein sabziyon ki kasht kam hone ke sabab taajir Maharashtra, Karnataka, Andhra Pradesh aur doosri riyasaton se sabzi import kar rahe hain. Supply-demand ke gap ka faida uthakar taajiron ne qeematein aur badha di hain. Retail bazaar mein bhi prices mein achi khaasi tezi dekhi gayi hai:

  • French beans ₹55 (14 June) se badhkar ₹90 kilo ho gayi.

  • Hari mirch ₹45 se ₹60 tak pahunch gayi.

  • Shimla mirch ₹55 se ₹80 tak badhi.

  • Bhindi ₹35 se ₹45 tak pahunch gayi.


Zaheerabad: Namaz ke liye jaane waale ek naujawan ke qatl ka raaz khul gaya. Kaale jadoo ke shubhe mein qatl ka inkishaaf hua.

Telangana ke Zaheerabad mein sansani paida karne waale qatl ke is case ko police ne suljha liya hai.

 Kaala jadoo bhanamati karne ke shubhe mein Mohammad Tajuddin ka qatl karne waale teen afraad ko police ne giraftar karke adalati tehweel mein bhej diya.

Jo teen log giraftar hue unmein Mohammad Hasan Qureshi, Sheikh Mukarram aur Akbar shaamil hain. DSP Sahida Naik ne media ko bataya ki kuch din pehle in teenon ko shak hua tha ki Mohammad Tajuddin kaala jadoo kar raha hai. Unhone kai baar use warning bhi di thi. Lekin maqtool ka rawayya nahi badla, is wajah se unhone qatl ka plan banaya.

Itwaar ke din jab Tajuddin Jama Masjid namaz ke liye jaa raha tha, tab mulzimon ne use sochi-samjhi sazish ke tahat ek jagah le jaakar zere-tameer imarat ke paas maar-peet ki. Uske baad uska gala rassi se gher kar ghont diya aur tez dhaar hathiyar se gala kaat diya.


Mahbubnagar mein do tenduon ki maujoodgi se shehar mein sansani.

Telangana ke Mahbubnagar mein do tenduon ke bastiyon ke qareeb aane se awaam mein khauf phail gaya. Pehle ek tendua dekha gaya tha, aur ab do tendue nazar aane par authorities ne pinjre, CCTV cameras aur drone ke zariye monitoring shuru kar di hai.

Muqaami awaam ki report par police aur Mehkama-e-Janglaat ne us jagah ka jaiza liya jahan tendue dekhe gaye. Ab tak jungli janwaron ki koi aur taza activity samne nahi aayi hai.


Revanth Reddy ne Telangana ke liye kuch nahi kiya, sirf jhoothe daave kar rahe hain -Jagadish Reddy ne kaha.

BRS ke senior leader aur Suryapet MLA Jagadish Reddy ne Wazir-e-Aala Telangana Revanth Reddy par sakht tanqeed ki. Unhone kaha ki Revanth Reddy ne Telangana ke liye koi kaam nahi kiya aur unke paas fakhr se batane ke liye kuch bhi nahi hai.

Mangal ko Telangana Bhavan mein BRS Party leaders ke saath media se baat karte hue Jagadish Reddy ne ilzaam lagaya ki Revanth Reddy sirf khayali kaarname ginna rahe hain aur unki baaton mein koi haqeeqat nahi hai.

Unhone kaha ki Revanth Reddy aane‑jaane apni hadein paar karke jhoothe bayanat de rahe hain aur ghair‑shaista zubaan ka istemal kar rahe hain. 

Revanth Reddy ke daawon ko galat sabit karte hue Jagadish Reddy ne wazeh kiya ki BRS hukumat ke dauran 6,47,479 naye ration cards jaari kiye gaye the, aur is liye Revanth Reddy ka ye kehna ke kuch nahi kiya gaya, jhooth hai.

Nalgonda mein zaraayi taraqqi ka zikr karte hue Jagadish Reddy ne kaha ki BRS hukumat ne Nalgonda ko dhaan ki paidaawar mein mulk ka Number One zila banaya aur paidaawar ko 3 lakh metric ton se badhakar 40 lakh metric ton tak le gaya. 

Yadadri Power Plant, teen Medical Colleges aur Yadadri Mandir ki taraqqi bhi KCR hukumat ke daur mein hui. Unhone sawal kiya, "Revanth Reddy ne ek bhi bada mansooba shuru kiya hai kya?"

Jagadish Reddy ne kaha ki fil‑haal woh mutahida Nalgonda zila se BRS ke akele MLA hain, lekin agar aaj elections hote hain toh BRS 12 mein se 12 seats jeetegi. Unhone challenge karte hue kaha ki aane wale elections mein Congress ka ek bhi ummeedwar kaamyab nahi hoga.


Desh ki Khabrein 


Bihar mein voter list ki safai ke asraat - shehar ke logon mein bhi fikr.

Election Commission ke Bihar mein voter list fehrist-e-raaye ki tanqeeh aur naamon ki safai ke bawajood Hyderabad ke rehne walon mein bhi tashweesh paida ho gayi hai. 

Log apne voter ID cards mein maujood ghaltiyan durust karwane GHMC ke daftaron ke chakkar laga rahe hain.

Logon se maloom hua ke Hyderabad aur Secunderabad ke rehaishi apne birth certificates sadaqat‑nama‑e‑paidaish aur apne marhoomeen ke death certificates sadaqat‑nama‑e‑amwaat bhi theek karwane lage hain. 

Kyunki Bihar ke intikhabat se pehle jo action Election Commission ne liye hain, unki khabrein mulk ke mukhtalif ilaqon mein pareshani ki wajah ban rahi hain, log samajh rahe hain ke election se pehle ghaltiyon ko theek karwana zaroori hai.

Jo log voter ID mein correction karwa rahe hain, woh keh rahe hain ke election se pehle koi bhi ghalti rehne se mushkil paida ho sakti hai, isliye woh jaldi se jaldi yeh kaam mukammal karna chahte hain.

 Kuch shahrion ka yeh bhi khayal hai ke sarkari iqdamaat ke zariye Election Commission waise hi kaam kar raha hai jaise NRC jaisa amal shuru ho - is khauf ke sabab bhi log apne dastavez theek karwa rahe hain.

GHMC ke officials ne bataya hai ke aakhri chand hafton mein documents ki durusti ke liye darkhwaston mein kafi izafa hua hai. Jin logon ke Aadhaar cards mein ghaltiyan hain, woh bhi Aadhaar corrections ke liye apply kar rahe hain. 

Election Commission ke Bihar mein voter list ki safai ke dauran jo documents maange ja rahe hain, unko jama karne mein log masroof nazar aa rahe hain.

Logon mein yeh khauf bhi paida ho raha hai ke jab Telangana mein kabhi election honge, toh voter list ki tasdeeq aur durusti ke naam par aise hi actions yahan bhi ho sakte hain. Isliye log keh rahe hain ke zaroori documents ready rakhna koi ghalat baat nahi.

Shehriyon ko tasalli dene aur ghalat fehmi door karne ke liye foran awareness aur information campaign chalana zaroori hai, taake awaam be‑wajah pareshan na ho aur zaroori corrections araam se karwa sakein.


5 se 7 saal ke bachon ke Aadhaar biometric details fauri update karein - Markazi Hukumat ki hidaayat.

Markazi Hukumat ne walidain ko hidaayat di hai ke apne paanch se saat saal ke bachon ke Aadhaar Cards mein biometric details, jaise fingerprints aur iris scan, fauri taur par update karwaayein. Agar bacche 7 saal se zyada ke ho gaye hain, toh update ke liye ₹100 fees deni hogi. Warna Aadhaar Card ghair‑fa’aal ho sakta hai.

Electronics aur IT Wizarat ke mutabiq 5 saal se kam umar ke bachon ke Aadhaar Cards mein sirf naam, tareekh-e-paidaish aur pata darj hota hai, kyunki is umar mein biometrics mukammal taur par develop nahi hote. Lekin 5 saal ke baad pehli martaba fingerprints aur iris scan lena zaroori hota hai, jise First Mandatory Biometric Update kehte hain aur yeh muft hai.

7 saal se ooper ke bachon ke liye agar biometric update na karwaya jaaye, toh UIDAI ke mutabiq Aadhaar Card ghair‑fa’aal ho sakta hai. Is liye walidain ko SMS ke zariye yaad-dahani bhi bheji ja rahi hai.

Hukumat ne kaha hai ke school admissions, exams aur dusri sarkari services ke liye Aadhaar zaroori ho chuka hai. Isliye kisi pareshani se bachne ke liye walidain waqt par apne bachon ke Aadhaar details update karwa lein.


Junior Colleges mein students ke liye Aadhaar Camps ka intazam.

Department of Posts aur UIDAI ke officials ne Secretary, Board of Intermediate Education Krishna Aditya IAS se mulaqat ki aur riyasat ke tamaam Intermediate Colleges mein talaba ke liye biometric update ke liye Aadhaar Camps ke in’aqad ka jaiza liya. 

15 se 17 saal umar ke students ke liye Aadhaar biometric update lazmi hai. NEET, JEE, EAMCET aur dusre competitive exams mein shirkaat ke liye Aadhaar zaroori hai, isliye ise barwaqt update karna aham hai.

Postal Department ke Headquarters Region ke tehat 138 Post Office Aadhaar Sewa Kendra khidmaat de rahe hain. UIDAI ke ittefaq se post offices ke nazdeek Aadhaar Sewa Kendras qaayam kiye gaye hain jahan naye Aadhaar enrollment ke saath biometric services bhi dastiyaab hain.

Headquarters Region mein 2019 se 8.5 lakh Aadhaar-related kaamon ko mukammal kiya gaya hai. Secretary Board of Intermediate Education Krishna Aditya ne Postal Department ki services ko saraaha aur Junior Colleges mein Aadhaar Camps ke liye mukammal taawun ka yaqeen dilaya. Unhone kaha ki tamaam colleges ko is silsile mein hidaayat jaari ki jaayengi.

Postal Department ki jaanib se marhale-waar taur par Junior Colleges mein Aadhaar Camps ka intazam kiya jaayega. Tamaam Sarkari aur Private Junior Colleges ke Principals, Staff aur students se appeal ki gayi hai ke woh apne colleges mein is sahoolat ka faida uthayein.


Film actor Dheeraj Kumar ka dehaant ho gaya.

70 aur 80 ke dahake ke mashhoor actor, television producer aur director Dheeraj Kumar ka Andheri ke Kokilaben Dhirubhai Ambani Hospital mein dehaant ho gaya. 

Woh 79 saal ke the. Unhone apne filmy career ka aaghaz film Raaton Ka Raja se kiya tha, jismein Shatrughan Sinha ne villain ka kirdar ada kiya tha. 

Unka television serial Kahan Gaye Woh Log bhi bahut maqbool raha.

Manoj Kumar ke saath unki gehri dosti thi aur unhone film Roti, Kapda aur Makaan mein kaam kiya tha. Iske alawa unki ek aur mashhoor film Swami bhi thi, jiska gaana Aaiye Na Balam Kya Karoon Sajni bohot popular hua. 

Dev Anand ki film Heera Panna mein unhone villain ka kirdar ada kiya. Unki ek aur mashhoor film Shirdi Ke Sai Baba bhi hai.

Unke dehaant par Bollywood mein shok ki lehar chh gayi hai.


Shubhanshu Shukla ki khala se kaamyab wapsi - Hindustan ke liye fakhr ka lamha, Lucknow mein jashn.

Bainul-aqwami khalaai station ISS mein 18 din ke scientific mission ke baad Hindustani astronaut Shubhanshu Shukla zameen par mehfooz wapas aa gaye. 

Inki wapsi ki khabar se unke aabaai shehar Lucknow mein khushi ki lehar daud gayi. Unke waalid Shambhu Dayal Shukla aur khandaan ke doosre afraad is mauke par pooja-paath aur duaon mein mashroof rahe.

Shubhanshu ki wapsi Mangal ke roz hui. Wapsi se pehle unke ghar walon ne khusoosi pooja ki aur duaayein ki Shubhanshu bagair kisi mushkil ke wapas laut aaye. 

Lucknow ke Triveni Nagar mein unke aabaai makaan ko roshniyon se sajaya gaya, ghar ke bahar unke urfi naam Shakhs ke posters lagaye gaye aur unke isteqbal ke liye jashn ki taiyariyan shuru ho gayi.

Shubhanshu SpaceX ke Dragon Grace spacecraft se wapas aaye, jo Peer ki shaam ISS se alag hua. Unke saath Mission Commander Peggy Whitson, Poland ke astronaut SΕ‚awosz UznaΕ„ski aur Hungary ke Debur Kapu bhi the. Yeh sab Ax-4 commercial mission ka hissa the.

Shubhanshu Shukla ne 1984 mein Rakesh Sharma ke baad khala ka safar karne wale doosre Hindustani astronaut ki haisiyat se tareekh mein apna naam darj kiya. Yeh Hindustan ki bainul-aqwami khalaai tehqeeq mein badhti hui maujoodgi ka saboot hai.


Assam mein Muslim aqalliyat ke gharon par bulldozer kaarwai ka Jamiat Ulema-e-Hind waft ne jaiza liya.

Jamiat Ulema-e-Hind ke Sadar Maulana Mahmood Asad Madani ki hidaayat par aaj ek aala satah waft ne Assam ke Zila Goalpara ka daura kiya, jahan Ashudubi aur Haschabill ke ilaaqon mein Hukumat-e-Assam ki taraf se 3,973 makaanat ko demolition ke tehat mesmaar kiya gaya. 

In ilaqon ke zyada mutassireen Bangali asal ke Musalmaan hain.

Jamiat Ulema-e-Assam ne be-ghar hue afraad ke liye sar-e-dast khaimon ka intezaam kiya. Waft, Jamiat Ulema-e-Hind ke General Secretary Maulana Mohammad Hakeemuddin Qasmi ki qayaadat mein mutassireen se mulaqat ki aur unke haalaat ka jaiza liya. 

Afraad ki haalat dekh kar waft ko gehra dukh hua aur unhone har mumkin madad ka yaqeen dilaya.

Waft ne Zila Magistrate ke zariye Wazir-e-Aala Assam Hemant Biswa Sharma ke naam ek arz-daasht pesh ki, jismein ihdaami kaarwai ko ghair-insaani, ghair-qanooni aur mazhabi ta’assub par mabni qarar diya gaya. 

Arz-daasht mein kaha gaya ke yeh demolitions sirf un ilaqon mein ki gayi jahan Bangali Musalmaan aabaad the, jabki doosri communities ko nahi chheda gaya, jo imtiazi sulook aur mazhabi bias ka saboot hai.

Arz-daasht mein mazeed kaha gaya ke mutassir afraad guzishta 70-80 saalon se in zameeno par rehaish pazeer hain. Inki aksariyat Brahmaputra Nadi ki tabaah-kariyon se be-ghar hone waale log hain aur sabhi legal residents hain. 

Unka bedakhal karna insaaf aur insaniyat ke khilaaf hai. Baaz ilaaqon mein demolition ka maksad san'ati ya niji faida tha aur mutassireen ko peshgi ittila tak nahi di gayi, jo qanoon aur Supreme Court ki hidaayat ki khilaf-warzi hai.

Jamiat Ulema-e-Assam ke Sadar Maulana Badruddin Ajmal aur General Secretary Hafiz Bashir Ahmed Qasmi ki ibtidaai report ke mutabiq Zila Goalpara, Dhubri aur Nalbari samet mukhtalif ilaaqon mein 8,115 khandaan mutassir hue, jismein 32,530 se zyada afraad, auratein, bacche aur buzurg shamil hain, be-ghar ho gaye. 

November 2023 se July 2025 tak demolition mein 21 Masajid, 44 Makatib aur Madaaris aur 9 Eidgaahein bhi sammaar ki gayi.

Jamiat Ulema-e-Hind ne mutassireen ke liye panaah-gah aur khaane-peene ka intezaam kiya, lekin yeh abhi na-kaafi hain. Mazeed intezam ki sakht zaroorat hai.


Videsh ki Khabrein


Spain mein shadeed garmi ki lehar ne 10,180 afraad ki zindagi le li.

Guzishta 2 mahine ke dauran Spain mein heat wave ki wajah se 10,180 log halaak ho gaye. Yeh guzishta saal ke isi arse ke muqable mein kai guna zyada hai, jab sirf 114 amwaat record hui thi. 

Marne waalon mein zyadatar afraad ki umar 65 saal se zyada thi aur mutassireen mein khawateen ki taadaad numaya rahi.

Wizarat-e-Mahooliyaat ne soorat-e-haal ko taarikhi shiddat ka qarar dete hue kaha ke mulk mein garmi ki wajah se amwaat ki ghair-mamooli shrah record ki ja rahi hai. 

Aadad-o-shumaar ke mutabiq 16 May se 13 July ke dauran 76 martaba Red Alert jaari kiya gaya, jabki guzishta saal is arse mein koi alert nahi diya gaya tha.


Antim shabd

Shehar aur desh se taaza khabrein, har moqa par har update aap tak - siyasat, samaj, khala, mausam aur sab kuch ek nazar mein!


Related Post: 


Also read news

Table of Content


Sarkari Updates Admission aur Exams

Telangana TGEAMCET 2025 Counselling Schedule Released Full guide

TG-SET December 2025: Osmania University State Eligibility Test Details



TSPSC Group 2 Certificates Verification 2025: 4th Schedule 23-25 September

Telangana Me Caste Certificate Lena Hua Easy – MeeSeva Naya System 2025


Hyderabad Updates

Jubilee Hills Zimni Chunav 2025: Final Voter List Jaari, 3.98 Lakh Voters Darj


Weather Updates TG



Telangana News







Telagana Schemes



Bharat Updates




Maharashtra Heavy Rain 2025: 11 Halaak, Mumbai-Thane Red Alert

Supreme Court Notice on Umar Khalid & Sharjeel Imam Bail Pleas | Delhi Riots UAPA Case 2025

Rahul Gandhi ne Voter List Irregularities Par Uthaye Sawal, Kaha Democracy Par Attack


Infections aur Health


Bharat Schemes


GST Reform


Videsh News

H-1B Visa Fees Update 2025: Sirf Ek Baar Payment, Naye Applicants Ke Liye



Disclaimer:
 Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.

πŸ”— Connect With Bharat Batao

πŸ–Š️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.

πŸ“Œ Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:

πŸ‘‰ More Updates:
πŸ”— Sarkari Updates | Scam Report | Career & Jobs | Weather Alerts
  • Zaheerabad murder case
  • ₹20 coin scam Hyderabad
  • Former MLA Aamir Shakeel court setback
  • Telangana election news
  • Water scarcity Hyderabad
  • Vegetable price rise 10%
  • Leopard sightings Mahbubnagar
  • Voter list revision panic
  • Aadhaar biometric update children
  • Junior college Aadhaar camps
  • Revanth Reddy Telangana criticism
  • Film actor Dheeraj Kumar passes away
  • AIMIM non-Muslim corporator resigns
  • Shubhanshu Shukla space return
  • Assam demolition news
  • Spain heatwave deaths

Comments