10

Telangana & Hyderabad 2025 News, Nalgonda Case, Elections, Health, Weather & Banking Updates

News Round-up Ek Nazar ma


Nalgonda rape mein 32 saal saza, Osmania Hospital ki nai building tayyar, Basti Dawakhane ghareebon ke liye, Jubilee Hills by-election, Salman Khan ki namzadgi mustarad, Sheikh Riyaz encounter, MBT leader nazarband, cellphone driving par karwai, Transport check posts band, sone-chandi qeemat giri, Hyderabad mein Kashmiri seb, firing, Telangana baarish, Rashtrapati helicopter hadsa, banking badlaav, Waqf Act ijlaas, SIR meeting, Arabpati jode ka 29 kharab daana.



Nalgonda rape case, Jubilee Hills by-election, Osmania Hospital building, Basti Dawakhane, Hyderabad baarish, sone-chandi prices, Rashtrapati Murmu helicopter hadsa, aur banking reforms.


Telangana aur Hyderabad ki Khabrein


Jubilee Hills By-Election

  • Jubilee Hills Assembly seat ke zimni intekhab ke liye ab tak 316 afraad ne apni namzadgiyan daakhil ki hain. 
  • Aakhri din hi 189 ummeedwaron ne apne papers jama karaye, jisse total ta‘adaad 316 tak pahunch gayi.
  • Sheikhpet Tehsildar office ke bahar namzadgi file karne ke liye ummeedwaron ka rush dekha gaya. 
  • Congress hukumat ke khilaf Outer Ring Road Project ke issue par logon ne zyada ta‘adaad mein hissah liya, aur Mala ilaqe se bhi kai log pahunche.
  • Raat der tak election officials ne 189 namzadgi forms receive kiye, lekin aadhi raat ke baad bhi kai ummeedwar daftar ke andar maujood rahe. Is surat-e-haal ko dekhte hue Election Commission ne faisla kiya ke 22 October tak namzadgi forms qabool kiye ja sakte hain.


Salman Khan ki Namzadgi Mustarad

  • Jubilee Hills Assembly ke zimni intekhabaat se pehle ek badi khabar saamne aayi hai -Hyderabad Youth Care HYC ke ummeedwar Salman Khan ki namzadgi mustarad kar di gayi hai.
  • Returning Officer ne form ki jaach ke dauraan kuch khamiyaan paayi, jinke buniyad par Salman Khan ka nomination reject kar diya gaya. 
  • Officer ke mutabiq, form mein di gayi maloomat aur documents mein kuch gair-tasdeeqi details mili hain.
  • Jubilee Hills halqe mein zimni intekhab ki tayyariyan tez ho gayi hain, aur polling 11 November ko hone wali hai.


MBT Leader Amjadullah Khan Khalid Nazarband

  • Majlis Bachao Tehreek MBT ke leader Amjadullah Khan Khalid ko unke ghar par hi police ne nazarband kar liya. Yeh waqiya Nizamabad police encounter mein Sheikh Riyaz ke khandaan se mulaqat ke irade ke baad hua.
  • Khabron ke mutabiq, Amjadullah Khan ne Sheikh Riyaz ke wali-e-khandaan se phone par baat karke encounter par shikayat uthayi thi aur insaaf aur tahqiqaat ki maang ki thi. 
  • Uske baad kal subah jab woh Nizamabad jaane ki tayyari kar rahe the, tab Dabirpura police team unke ghar pahunchi aur unhein makaan ke andar hi nazarband kar diya.
  • Isi dauraan, Chanchalguda ilaqe mein bhi kuch aur MBT supporters ko rok diya gaya. MBT ke tarjumaan ne kaha ke woh Sheikh Riyaz ke encounter aur Police Constable Pramod Kumar ke qatl dono mamlaat ki aazad aur insaaf-pasand tahqiqaat chahte hain.
  • Unhone zor diya ke insaaf tab tak nahi milega jab tak Sheikh Riyaz ke khandaan ko poora sach aur insaaf nahi mil jaata, aur MBT apna mutalba jaari rakhegi.


Hyderabad Mein Kashmiri Seb

  • Hyderabad mein Himachal Pradesh ke seb ke baad ab Kashmir ke seb market mein aane lage hain. Jammu & Kashmir se rozana seb ke trucks Hyderabad pahunch rahe hain. Pichle hafte, Batasingaram Market mein Jammu & Kashmir aur Himachal Pradesh se kul 19 ton seb aayi.
  • Batasingaram Market ke mutabiq, Kashmir ke seb ki quality behtareen hai. Himachal Pradesh ka Shimla seb mashhoor hai, lekin Kashmir ke seb bhi logon ko pasand hain. September mein shahar ko Kashmir ke seb nahi mile, lekin October se trucks rozana aane lage hain.
  • Shahar mein seb Himachal Pradesh se August ke aakhir se aati hai, aur kisan ya agent market mein laate hain. August aur September ke dauran qeematein zyada hoti hain, lekin October mein supply badhne ke saath qeematein kam ho jaati hain.
  • November se January ke darmiyan takriban 2,500 trucks Himachal Pradesh aur Jammu & Kashmir se Hyderabad aate hain. Ek truck mein 50 se 180 seb per box hote hain. 
  • Retail market mein ek achhe seb ki qeemat takreeban ₹15 hai. Jab trucks ki supply badhti hai, to market mein seb ki qeemat bhi gir jaati hai.


Osmania Hospital ki Nai Building

  • Chief Minister Revanth Reddy ne Osmania Hospital ki nai imarat ka kaam 2 saal ke andar poora karne ke liye hidayat di hai. 
  • Unhone kaha ki hospital ki taamir tez raftaar se aur behtareen quality ke saath mukammal ki jaye.
  • Nai imarat ke liye Bhoshamal Stadium ke paas jagah ka intekhab kiya gaya hai. Chief Minister ne aaj apne ohdedaron ke saath meeting karke hospital ke taamirati kaamon ka jaiza liya aur zaruri hidayatein di.


Hyderabad Firing

  • Hyderabad ke Pocharam ilake mein kal shaam ek firing waqiya hua, jisme ek naujawan Gau Rakshak, Sonu Singh, ko goli lagi. 
  • Waqiya ke mutabiq, Ibrahim naam ke shakhs ne Sonu par goli chalaai, jisse woh zakhmi ho gaya.
  • Jaise hi yeh khabar mili, BJP ke Sadar Ramchander Rao aur MP Etela Rajender turant Secunderabad ke Yashoda Hospital pahunch gaye aur Sonu Singh ka ilaaj ka haal jaana.
  • BJP ne apne bayan mein kaha ki Hyderabad ke Pocharam ilake mein aise waqiya roknay ke liye strict karwai honi chahiye. Unhone zor diya, Hum chahte hain ki hukumat fauri taur par action le aur inke khilaf kanooni karwai ki jaaye.


Basti Dawakhane aur Health Services

  • Wazir-e-Sehat Damodar Raj Narasimha ne kaha ki Basti Dawakhane aur Primary Health Centers ke zariye ghareeb logon ko behtar tibbi khidmat di ja rahi hai.
  •  Unhone BRS Working President KTR ke ilzamaat ko mustarad kar diya, jo unhone Khairatabad ke ek Basti Dawakhane ke daure ke dauraan lagaye the.
  • Wazir-e-Sehat ne bataya ki riyasat bhar mein har din 45,000 se zyada mareez Basti Dawakhanon mein ilaaj karwate hain. Unhone kaha ki dawaon ki koi kami nahi hai, aur 134 tarah ke tests yahan free mein kiye ja rahe hain. Saath hi, mareezon ko reports bhi turant di jaati hain.
  • Unhone kaha ki Basti Dawakhane ke zariye Osmania aur Gandhi Hospitals par mareezon ka pressure kam hua hai. Damodar Raj Narasimha ne ilzaam lagaya ki BRS sarkar ki health services ko badnaam karne ke liye be-buniyad bayanat de rahi hai.
  • Unhone kaha ki Basti Dawakhane ghareebon ke liye rehmat hain, aur doctors aur medical staff poori lagan se kaam kar rahe hain
  • Wazir-e-Sehat ne BRS se appeal ki ke woh Basti Dawakhane ke khilaf muhim band kar dein, kyunki yeh awaam ke liye sasti aur asar-daar sehat seva ka zariya hain.


Nalgonda Rape Case aur Saza

  • Nalgonda mein ek nabalig ladki ke saath balatkaar karne wale ek naujawan ko 32 saal ki qaid ki saza mili hai. Nalgonda POCSO Court ke in-charge judge Rujja Ramani ne yeh faisla sunaya aur us par ₹75,000 ka jurmana bhi lagaya.
  • Yeh case 2022 mein Nalgonda Two Town police station mein darj hua tha. 20 September 2022 ko Narkatpally mandal ki ek ladki ko Panagal ke G. Chandu ne agwa karke uski izzat loot li thi.
  • Is jurm ke baad police ne G. Chandu ke khilaf case darj karke use giraftar kiya. 
  • Lambi sunwai ke baad, Nalgonda District POCSO Court ne kal faisla sunate hue mulzim ko 32 saal qaid aur ₹75,000 jurmana dene ka hukm diya. Court ne ladki ke parivar ko ₹1 lakh ka muawza bhi dene ka adesh diya.


Sheikh Riyaz Encounter Report

  • Telangana State Minorities Commission ke Chairman Janab Tariq Ansari ne Sheikh Riyaz Encounter par DGP se report pesh karne ki demand ki hai. 
  • Unhone kaha ki Commission ko is encounter ke muta’alliq ek official shikayat mili hai, jisme kuch sawal uthaye gaye hain.
  • Tariq Ansari ne Telangana Police ke amal par apni raaye zahir karte hue kaha ke Commission chahta hai ke poore waqaye ki insaaf-pasand tahqiqaat ki jayein. 
  • Unhone khaas taur par CCS Constable Nizamabad, A. Pramod Kumar ki duty ke dauraan shahadat par afsos ka izhar kiya aur unki khidmat ko saraha.
  • Chairman ne yeh bhi kaha ke kisi jurm ki saza kisi doosre be-gunah fard ko dene ki ijaazat nahi hoti, aur law ke daire mein rahkar har case ki tahqiqat zaruri hai. Commission ne Riyasati DGP se detailed report talabi hai taake asal haqeeqat saamne aa sake.


Cellphone Driving Par Karwai

  • Traffic Police ne gaadi chalate waqt mobile phone ka istemal karne waalon ke khilaf sakti se karwai shuru kar di hai. Police ke mutabiq, ab tak 3,500 cases cellphone use karte hue driving karne walon ke khilaf darj kiye gaye hain.
  • Commissioner of Police V. C. Sajjanar ne apne bayan mein kaha tha ke driving ke dauraan phone par baat karna ya dekhna na sirf jaan lewa ho sakta hai balki traffic rules ki khilafwarzi bhi hai. Unhone chetavani di ke is tarah ke law breakers ke khilaf sakht karwai jaari rahegi.
  • Traffic Police ne appeal ki hai ke log apni aur doosron ki jaan bachane ke liye driving ke waqt cellphone ka istemal na karein, warna jurmana aur license suspension ka samna karna pad sakta hai.


Transport Check Posts Band

  • Telangana mein Mehakma-e-Transport ke tamam Check Posts band kar diye gaye hain. Chief Minister Revanth Reddy ne riyasat bhar mein maujood Transport Department ke Check Posts ko turant band karne ki hidayat di. Is hidayat ke mutabiq Transport Department ne aaghaaz karte hue tamam check posts ko barkhast kar diya hai.
  • Chief Minister ne kaha ki check posts band karne ke baad shaam tak report pesh ki jaye. Transport department se kaha gaya hai ke jo staff check posts par majood tha, unko sadkon ki service aur dusre kaamon mein lagaya jaye. 
  • Zila Transport adhikariyon ko hidayat di gayi hai ke woh sadkon par jo rukawat ya fauri bandishen hain, unko hata dein aur naye intezam banayein.
  • Check post ka tamam record aur documents bhi sahi tarah se sambhale aur review kiye jayein. Ohdedaron se kaha gaya hai ke woh offices mein jaa kar naye kaam aur transfer orders likhein, jisme check posts ki barkhastgi aur staff ki jagah darj ho. Check post par maujood staff ko dafatar mein transfer karne ki hidayat di gayi hai.
  • Commissioner Transport ko bhi kaha gaya hai ke woh check posts ki barkhastgi ka amal shaam tak mukammal kar ke report dein.


Telangana Mein Baarish ki Peshgoi

  • Telangana mein aane wale char dinon tak kaafi ilaakon mein baarish ki sambhavana hai. Hyderabad Meteorological Department ke mutabiq, nimnalikhit ilaqon mein kabhi halka, kabhi tez baarish ho sakti hai.
  • Kothagudem, Khammam, Nalgonda, Suryapet, Mahabubabad, Warangal, Hanamkonda, Jangaon, Siddipet, Yadadri Bhuvanagiri, Ranga Reddy, Hyderabad, Medchal-Malkajgiri, Vikarabad, Sangareddy, Medak, Kamareddy, Mahabubnagar, Nagarkurnool, Wanaparthy, Narayanpet, Gadwal.
  • Kuch ilaqon mein, jaise Vikarabad, Sangareddy, Medak, Kamareddy, Mahabubnagar, Nagarkurnool, Wanaparthy, Narayanpet, Gadwal, zyada baarish hone ki sambhavana hai. Saath hi, Nalgonda, Suryapet, Mahabubabad, Warangal, Hanamkonda, Jangaon, Siddipet, Ranga Reddy, Medchal, Vikarabad, Nagarkurnool aur Narayanpet mein bhi baarish ka khatra hai.
  • Is dauraan Jayashankar Bhupalpally, Mulugu, Kothagudem, Khammam, Nalgonda, Suryapet, Mahabubabad, Warangal, Hanamkonda, Jangaon, Siddipet, Yadadri Bhuvanagiri, Ranga Reddy, Hyderabad, Medchal-Malkajgiri, Vikarabad, Sangareddy, Medak, Mahabubnagar, Nagarkurnool, Wanaparthy, Narayanpet aur Gadwal mein halka to tez baarish ke saath bijli chamakne ka bhi khatra hai.
  • Adilabad, Asifabad, Mancherial, Nirmal, Nizamabad, Jagtial, Rajanna Sircilla, Karimnagar, Peddapalli, Jayashankar Bhupalpally, Mulugu, Kothagudem, Nalgonda, Suryapet, Mahabubabad aur Hanamkonda mein bhi baarish ki sambhavana hai.
  • Telangana Mehakma-e-Mausmiyat ne in ilaakon ke liye Yellow Alert jaari kar diya hai. Logon se kaha gaya hai ke baarish aur bijli ke dauran savdhani barte aur zarurat na ho to safar na karein.


Desh ki Khabrein


Sone aur Chandi ki Qeematon mein Kami

  • Haal hi mein sone aur chandi ki qeematon mein noticeable kami dekhi ja rahi hai. Hyderabad ki market ke mutabiq, sone ki qeemat mein takreeban ₹9,000 se zyada ki girawat hui hai.
  • Chahar Shambe ki shaam 5 baje, Hyderabad mein sone ki 10 gram ki qeemat ₹1,25,250 tak gir gayi, jabki pehle ye ₹1,14,843 record hui thi. Chandi ki qeemat mein bhi girawat hui hai, jo ab ₹1,58,000 hai.
  • Sirf ek hafte mein chandi ki qeemat mein takreeban ₹28,000 ki kami dekhne ko mili hai, jo market mein investment aur buying trends par asar dal rahi hai.


Rashtrapati ji ka Helicopter Hadsa

  • Sadar-e-Jamhooriya Droupadi Murmu ka helicopter landing ke dauraan ek taraf jhuk gaya. Yeh waqiya Kerala ke Kochi mein hua, jahan Sadar Murmu ek official daure par thi.
  • Helicopter ke jhukne ke baad Police aur Fire Brigade ne turant sadar ko surakshit bahar nikala. Hukumat ne is incident par poori suraksha ke liye reports maang li hain.
  • Sadar Murmu ne apne daure ke dauraan Raj Bhavan, Sabarimala aur dusre mukhya sthano ka visit kiya. Sabarimala mein Sadar ne puja aur darshan kiye aur Guest House mein khana khakar apna daura continue rakha. Daure ke dauraan badi ta‘adaad mein Police aur security personnel tainat kiye gaye the.


Banking System Mein Badlaav

  • 2026 se banking nizaam mein kaafi bade badlaav hone wale hain. Reserve Bank of India, RBI ne mulk ke banking system ko modern aur transparent banane ke liye tayyari shuru kar di hai.
  •  RBI ne iske awam ke liye rules jaari kiye hain aur in par amal ki guidelines bhi di gayi hain. In ka maqsad hai ke banking khidmaat aur banks ki efficiency dono behtar ho.
  • Agar koi saarif (customer) kisi maamle ki jaankari 3 din ke andar bank ko deta hai, toh uski shikayat ko turant suljhaaya jayega, yaani saarif ko kisi takleef ka samna nahi karna padega. Agar bank waqt par karwai nahi karta, toh ₹25,000 tak ka jurmana lag sakta hai.
  • Saarifeen ke liye ek aur badi tabdeeli hai: agar kisi saarif ka locker bank ki wajah se band ya inaccessible ho, toh bank ko locker ke kiraye ka 100 guna tak dena hoga.
  • Naye qawaneen ke mutabiq, Know Your Customer (KYC) process ko aur aasan aur saal mein ek martaba mukammal kiya jaayega. Isse saarifeen ko bank mein baar-baar jaane ki zaroorat nahi hogi.
  • Loan aur qarz ki repayment ke mamle mein bhi saarifeen ko asani milegi. Agar bank loan ya repayment mein der karta hai, toh jurmana lagaya jayega, jisse customers ko bagair kisi pressure ke apna qarz ada karne ki suvidha milegi.
  • RBI ne ye bhi kaha hai ke banks ghar par jaakar customers ko zaroori khidmat faraham karenge, taaki unhein branch tak na jaana pade.
  • In tabdeeliyon se banking sector ki shaffafiyat badhegi, saarifeen ko behtari milegi aur poora banking nizaam modern aur user-friendly banega.


Waqf Act ke Khilaf Awaami Ijlaas

  • All India Muslim Personal Law Board ne 16 November 2025 ko Delhi ke Ramleela Maidan mein Waqf Tarmeem Qanoon ke khilaf awaami ijlaas karne ka elan kiya hai. Is ijlaas mein tamam log, samajik leaders aur community members hissa lenge.
  • Muslim Personal Law Board ke senior member Dr. Syed Qasim Rasool Ilyas ne bayaan mein kaha ke yeh Tahaffuz-e-Auqaf muhim ka ek aham hissa hai, jisme log apne haq aur awaaz ko saaf taur par rakhenge.
  • Unhone sab se appeal ki hai ke Delhi mein hone wale ijlaas mein badi ta‘adaad mein shirkat karein aur Waqf Tarmeem Qanoon ke khilaf apni awaz uthayein, taaki community ke interests ko suraksha mil sake.


SIR Chalane Par Meeting

  • Election Commission ne mulk bhar mein SIR (Systematic Inspection & Revision) chalane par ek meeting shuru ki hai, jisme Voter List ki jaach aur update par baat ki ja rahi hai. Yeh meeting do dinon tak chalegi aur September ke baad is tarah ka doosra session hai.
  • Ohdedaron ne bataya ki Election Commission tamam riyasaton ke officials ke saath meetings kar rahi hai aur yeh process jari rahegi. 
  • SIR ko pehle un riyasaton mein chalaya jaayega jahan assembly elections 2026 mein hone wale hain. Pehle marhale mein additional riyasaton ko bhi shamil kiya ja sakta hai.
  • Election Commission un riyasaton mein Voter List par khususi sargarm nazar-saani bhi kar rahi hai jahan elections hone wale hain. Assam, Kerala, Puducherry, Tamil Nadu aur Maghribi Bengal mein Assembly elections 2026 mein hone wale hain.
  • Haal hi mein Bihar mein bhi Voter List par special review kiya gaya, jahan 30 September ko naam update aur verification hui thi. SIR process se Voter List ki accuracy aur elections ki transparency behtar hogi.


Videsh ki Khabrein


Arabpati Jode ka Bada Daana

  • Houston ke arabpati jode, Nancy aur Rich Kinder, ne apni 95% daulat, jo taqreeban 29 kharab dollar hai, falaahi kaamon ke liye donate karne ka elan kiya hai.
  • Report ke mutabiq, jode ka kehna hai ki zyada tar raqam Houston ke local welfare projects, parks ki restoration, taalim idaron aur community programs par kharch ki jaayegi.
  • Rich Kinder ne bayaan diya, Hum bahut shukr guzaar hain un logon ke liye jinhone hamari madad ki. Hamara hamesha se yeh iraada raha hai ke jab hum is duniya se jaayen, toh ise behtar chhod kar jaayein, jaisa humne paaya hai.
  • Yeh donation Houston aur community ke liye badi madad aur inspiration sabit hogi.


Antim shabd 

Yeh sab updates aapko Telangana aur Hyderabad ki taaza khabron ka complete overview dete hain, jisme kanooni faisle, sehat, elections, traffic, bazaar, mausam aur philanthropy sab shamil hain.


Related Post: 

Hyderabad Sadak Hadsa, Nizamabad Encounter, Diwali Bazaar, Afghani Mazboot, Pakistan Tamatar ₹700 - 2025 Updates


Also read news

Table of Content


Hyderabad Updates

Jubilee Hills Zimni Chunav 2025: Final Voter List Jaari, 3.98 Lakh Voters Darj


Scam aur Deepfake


Weather Updates TG



Telangana News








Bharat Updates






Maharashtra Heavy Rain 2025: 11 Halaak, Mumbai-Thane Red Alert

I Love Muhammad ﷺ’ Posters Par 21 Cases, 38 Arrests aur 1,324 Named

Supreme Court Notice on Umar Khalid & Sharjeel Imam Bail Pleas | Delhi Riots UAPA Case 2025

Rahul Gandhi ne Voter List Irregularities Par Uthaye Sawal, Kaha Democracy Par Attack


Infections aur Health


GST Reform


🔗 Connect With Bharat Batao

🖊️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.


Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.
📌 Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:
  • Telangana 2025 news
  • Hyderabad latest updates
  • Nalgonda rape case
  • Osmania Hospital new building
  • Basti Dawakhane health services
  • Jubilee Hills by-election
  • Hinglish news
  • Hindi hinglish news
  • Salman Khan nomination rejected
  • Sheikh Riyaz encounter
  • MBT leader Amjadullah Khan Khalid
  • Cellphone driving action
  • Transport check posts closure
  • Gold and silver price drop
  • Hyderabad Kashmiri apples
  • Hyderabad firing incident
  • Telangana rain forecast
  • Rashtrapati helicopter accident
  • Banking system reforms 2026
  • Waqf Act public protest
  • SIR voter list meeting
  • Arab millionaires donation

Comments