News Round-up Ek Nazar ma
Telangana aur Hyderabad ki Khabrein
Telangana mein tenduye ki movement se log daraaye gaye, doosri taraf Kokapet aur Hyderabad ke real estate rates ne naye records bana diye. Kahin tarkariyon ki badhti qeematein logon ko pareshaan kar rahi hain, toh Tamil Nadu mein do buson ki takkar ne halaat bigaade. Maharashtra ke college mein Muslim talba ko haraas kiya gaya, Bollywood ke legend Dharmender ke inteqaal par poora mulk udaas raha aur PM Modi aur Rashtrapati Murmu ne ta'ziyat ka izhaar kiya. Saath hi Saudi Crown Prince ke America daure ko duniya bhar mein record coverage mili.Sub news ek jagah in simple Hinglish #Bharatbataonews.
Naveen Yadav Ki Kal Halaf Bardari
Jubilee Hills Assembly halqe ke nau muntakhab Congress MLA Naveen Kumar Yadav 26 November ko apne ohde ka halaf lenge. Congress ke zaraaye ke mutabik Speaker Assembly G Prasad Kumar ke Chamber mein Naveen Kumar se halaf liya jaayega aur tamam tayariyan mukammal kar li gayi hain.
Ahm Shakhsiyaat Ki Shirkat
Is program mein Chief Minister Revanth Reddy, Deputy Chief Minister Bhatti Vikramarka, Telangana Congress Umoor ki Incharge Meenakshi Natarajan, riyasat ke wuzra, PCC Sadar Mahesh Kumar Goud aur deegar siyasi qaydain shirkat karne wale hain.
By-Election Mein Bari Jeet
Yaad rahe ke haal hi mein Jubilee Hills ke zimni intikhab mein Naveen Kumar Yadav ne Congress ummeedwaar ki haisiyat se apne qareebi muqable ki BRS ummeedwaar M Sunitha ko 24,658 voton ki aksariyat se shikast di thi. Is jeet ke baad halafe bardari ka yeh marhala Congress ke liye ahm samjha ja raha hai.
Hyderabad Kokapet Mein Zameen Ki Amazing Auction
Hyderabad ke Kokapet ke aas paas waqay ilaaqe ne ek aur bada record bana diya hai. Kokapet Nayapole ke Survey Number 17 aur 18 ki zameen ki online auction mein ek acre ki qeemat ₹137.25 crore tak pahunch gayi. Yeh Hyderabad ke real estate sector ke liye bahut aham khoj maana jaa raha hai.
Minimum Reserve Price Se Kaafi Zyada Bidding
HMDA ke tehat plots ki online auction ka notification pehle hi issue kiya gaya tha. Iss auction mein ek acre ki minimum qeemat ₹99 crore rakhi gayi thi, lekin bidding ke dauraan price tezi se badhti rahi aur aakhir mein ₹137.25 crore per acre tak pahunch gayi. Yeh bidding Hyderabad ki tezi se badhti property demand ko ek baar phir saamne laati hai.
Pehle Bhi Raidurgam Mein Record Bid Lagi Thi
Isse pehle Raidurgam mein 7.67 acre land ki Telangana State Industrial Infrastructure Corporation ne auction ki thi. Wahan ek company ne total ₹1357 crore ki bid lagayi thi aur wahan per acre price ₹177 crore tak pahunch gayi thi. Minimum price ₹101 crore rakhi gayi thi lekin competition ke wajah se bidding ka level kaafi upar chala gaya.
Real Estate Market Hyderabad Mein Tezi Se Barh Raha Hai
Kokapet ki haali auction ek aur saboot hai ki Hyderabad ka real estate sector abhi bhi boom mode mein hai. Land demand tezi se badh rahi hai aur investors aur builders dono hi is area ko future investment hub ke taur par dekh rahe hain. Kokapet IT hub, Ring Road aur infrastructure development ki wajah se investors ka top choice ban chuka hai.
Hyderabad ke real estate experts ka kehna hai ki agar development isi speed se hoti rahi toh Kokapet aur nearby ilaaqe aane wale kuch saalon mein India ke sabse mehngi real estate zones mein shamil ho sakte hain.
Commissioner Police Ka Raat Der Ka Daura Aur Gasht
Hyderabad ke Police Commissioner V C Sajjanar ne guzishta raat South West Zone mein der tak khud gasht karte hue law and order ka jaayza liya aur shehriyon ki security ko behtar banane ke liye liye ja rahe iqdamaat ka mushaahida kiya.
Baghair Protocol Raat Ka Surprise Visit
Baghair siren aur baghair kisi pehle se ittila ke unhone Langer House Police Station ke hudood mein MD Lines, Hashim Nagar aur Defense Colony ke kai ilaqon ka visit kiya. Iss dauraan unhone chand Rowdy Sheeters ke gharon par bhi jaa kar unka purana ravaiyya, ab ka profession aur unki lifestyle ke baare mein maloomat li aur sakht warning di ke agar dubara crime mein shamil hue toh unke khilaaf sakht action liya jaayega.
Raat 12 Se Subah 3 Baje Tak Monitoring
Commissioner Police ne raat 12 baje se subah 3 baje tak Langer Houz aur Toli Chowki Police Stations ke hudood mein important roads, chowks aur sensitive spots ka bhi inspection kiya. Unhone Toli Chowki ke hotels dukaanon aur der raat tak khule rehne wale commercial centers ka bhi jaayza liya aur owners ko hidaayat di ke muqarrar time se zyada kaam na karein.
Duty Par Maujood Police Se Baatcheet
Gasht ke dauraan Commissioner Police ne duty par maujood police staff se baatcheet ki unke gasht points response system aur unko darpesh masail ka jaayza liya aur behtar policing ke liye zaruri instructions diye.
Deer Raat ma Ghumne Walon Ko Hyderabad Police Ka Intebah
Chabutra Mission ke tehat Bandlaguda Police ne raat ke waqt nagraani aur sakht kar di hai taaki sadkon par bina wajah ghoomne waale naujawaan, sharab ya nasha karne waale aur logon ko pareshaan karne waale afraad par control rakha ja sake. Iss mission ka maqsad shehriyon ki safety ko ensure karna aur sadkon par hungama rokna hai.
Raat Ko Achanak Gasht Aur Checking
Peer ki raat Bandlaguda ke Inspector Devender ne achanak mukhtalif ilaqon ka daura kiya. Unhone qabristaan ke aas paas, veeran galiyon aur un jagahon ka jaayza liya jahan naujawaan jama hote hain. Iss dauraan kai naujawaan sadak ke kinaare baithe ya motorcycle par ghoomte mile aur kuch log sunsaan jagahon par tehalte nazar aaye.
Baghair Wajah Ghoomne Par Warning
Police ne poochgach ki toh kuch naujawaanon ne kaha ki woh kaam se ghar ja rahe hain jabki kuch ne alag alag wajahen batayi. Inspector Devender ne baghair wajah der raat ghoomne waalon ko sakht warning di aur unko security discipline aur kanooni nataaij ke baare mein bataya. Uske baad unhe ghar jaane ki ijazat de di gayi.
Raat Ki Nagraani Se Law And Order Majboot
Officials ka kehna hai ki yeh steps shehar mein law and order ko mazboot banaye rakhne ke liye bahut zaroori hain. Raat ke waqt harassment nasha aur illegal activities mein izafa hota hai isliye nagraani ko strong kiya ja raha hai. Police ka kehna hai ki aise measures se public nuisance kam hoga aur raat ke crimes mein bhi kami aayegi. Bandlaguda Police ne kaha hai ki shehar ki aman waal halat barkarar rakhne ke liye aise surprise inspections regular kiye jaayenge.
20 Din Ki Dulhan Sadak Haadse Ma Halaak Shohar Zakhmi
Telangana ke Siddipet zille mein ek dardnaak sadak haadsa hua jahan ek nai naveli dulhan halak ho gayi aur uska shohar hospital mein zindagi aur maut se ladh raha hai. Yeh haadsa Siddipet ke Medurdi mandal ke Pedda Chipiyal ke kareeb Peer ke roz pesh aaya.
Haadse Ki Tafseel
Hadsa tab hua jab 24 saal ki Prenithi aur uske shohar Sai Kumar motorcycle par Siddipet se Hyderabad jaa rahe the. Yeh joda mulazimat ke silsile mein Hyderabad ja raha tha, tabhi peeche se tez raftaar tractor ne unko takkar maar di.
Shaadi Ke Sirf 20 Din Baad Dardnaak Waqiya
Police ke mutabik inn dono ki shaadi sirf 20 din pehle hui thi aur dono nai zindagi ka aagaz kar rahe the. Takkar ke baad dono ko 108 ambulance ke zariye Gajwel sarkari hospital le jaaya jaa raha tha, lekin raste mein hi Prenithi ki jaan chali gayi.
Shohar Hospital Mein Zere Ilaaj
Sai Kumar ko shadeed chotein aayi hain aur woh abhi bhi hospital mein zere ilaaj hai. Is dardnaak haadse ne poore Chipiyal gaon ko ghamgheen kar diya hai aur log iss achanak hue almiya se sadme mein hain.
Hyderabad Ke Old City Ma Bhayanak Aag se Blast 5 Zakhmi
Hyderabad ke Purane Shehar ke Shalibanda ilaake mein ek electronics showroom mein bhayanak aag lagne ke baad dhamaka hua jismein paanch log jhulass gaye. Yeh waqiya kal raat taqreeban 10 baje ke baad pesh aaya jab Gomti Electronics band kiya jaa raha tha aur achanak showroom mein aag lag gayi. Kuch hi der mein shole buland hone lage aur halaat kharab ho gaye.
CNG Car Mein Dhamaka
Aag ke dauraan showroom ke saamne ek car khadi thi jo CNG se chalne wali batayi ja rahi hai. Aag failte hi iss gaadi mein bhi ek zor ka dhamaka hua jismein kuch log sawaar the. Dhamake ki wajah se log behad zyada jhulass gaye aur aas paas afra tafri mach gayi.
5 Log Hospital Mein Zere Ilaaj
Is haadse mein kul paanch log zakhmi hue hain. Saat hi saat rescue team ne waqt par pahunch kar sab ko phaoran hospital muntaqil kiya. Zakhmiyon ka ilaaj jaari hai aur mahkama police is haadse ki wajah ka jaiza le raha hai.
Desi Murghon Ki Maang Ma Izaafa Chicken Centers Par Bheed
Shehar aur dehi ilaaqon mein aam taur par bahut se log jo hafte mein ek din gosht khate hain wo aksar Itwaar ko chicken mutton ya machhli kharidte hain. Itwaar ke din hamesha meat ki sale zyada hoti hai. Log zyada tar chicken ko tarjeeh dete hain kyunki iska rate kam hota hai aur chicken se alag alag dishes asani se banayi ja sakti hain.
Desi Chicken Shehar Mein Bhi Mashhoor
Pehle Desi Chicken sirf dehi ilaaqon mein hi available hota tha lekin ab shehar mein bhi iski demand tezi se badh rahi hai. Ab kai hotels aur dhabon mein bhi Desi Chicken ke mukhtalif dishes mil rahe hain. Desi murghon ko poora tayyar hone mein kam se kam 4 se 6 mahine lagte hain jabke broiler murge sirf 5 se 9 hafton mein ready ho jaate hain.
Desi Chicken Zyada Sehatmand
Desi murgh kyunki qudrati taur par palta hai isliye uske gosht mein zyada nutrition hoti hai aur iska taste bhi behtar hota hai. Desi murge ki qeemat broiler se zyada hoti hai lekin log phir bhi ise tarjeeh de rahe hain kyunki health ke liye yeh zyada faaydemand mana jaata hai. Desi murghon ki parvarish mein antibiotics aur medicines ka bhi istemaal hota hai lekin kam miqdaar mein.
Sehat Ke Liye Faaydemand
Maahireen ke mutabik Desi Chicken immune system ko mazboot banata hai aur khoon ke safed khuliyon ki tadaad badhata hai jisse seasonal beemariyon se bachne mein madad milti hai. Desi chicken mein B Vitamins khaaskar Vitamin B12 zyada hota hai jo nervous system ko sehatmand rakhta hai. Yeh gosht jism mein energy badhata hai aur metabolism ko behtar banata hai.
Nutrition Se Bharpoor
Jin logon mein Vitamin B12 ki kami hoti hai unke liye Desi Murgh khaana faaydemand mana jaata hai. Warzish ya physically active logon ke liye bhi yeh gosht behtareen hai. Yeh Omega 3 aur Omega 6 fatty acids se bharpoor hota hai jo healthy fats mein shamil hain. Isse jism mein inflammation kam hoti hai aur dil sehatmand rehta hai. Kuch maahireen yeh bhi kehte hain ki Desi Chicken cancer se bachav mein bhi madad kar sakta hai.
Desi chicken ka istemaal musalsal kiya jaye toh sehat behtar rehti hai aur jism ko zaroori nutrients milte rehte hain.
Kamareddy Mein Leopard Ki Maujoodgi Se Dar Ka Mahaul
Telangana ke Kamareddy zille ke Nizam Sagar mandal ke Maggi gaon ke paas leopard dekhe jaane ki khabar se logon mein dar aur bechaini phail gayi hai. Raat ke waqt leopard ko road cross karte hue kuch drivers ne apni ankhon se dekha aur us waqt ke scenes mobile phones mein record bhi kiye.
Forest Department Ne Warning Jaari Ki
Forest Department ke officials ne local logon ko alert rehne ko kaha hai. Unhone kaha hai ki koi bhi akela jungle ke paas ya andheri jagahon par jaana avoid kare. Logon ko kaha gaya hai ki bachon aur paltu jaanwaron ko gharon ke aas paas rakhein.
Villagers Ne Leopard Ko Rescue Karne Ka Mutalaba Kiya
Gaon ke log is surat haal se kaafi pareshan hain. Villagers ka kehna hai ki leopard free movement se unki zindagi ko khatra hai. Unhone Forest Department se request ki hai ki leopard ko trap karke safe jagah par shift kiya jaaye taaki gaon ke log chain se reh saken.
Yeh pehli baar nahi hai ki is ilaqe mein leopard dekha gaya ho. Kuch mahine pehle bhi aise hi sightings hui thi, jiske baad authorities ne tracking aur surveillance badhayi thi.
Kamareddy ke local log ab Forest Department ke action ka intezar kar rahe hain aur umeed kar rahe hain ki jaldi hi iss issue ka hal niklega.
CM Ki Narazgi Employees Ko Time Par Salary Na Milne Par
Chief Minister Revanth Reddy ne outsourcing aur contract employees ki salaries waqt par release na karne par Finance Department ke officials par berukhi dikhayi aur hidaayat di ki aage se unki salaries time par di jayein. CM ne pehle bhi Finance Department ko kaha tha ki jo employees temporary taur par kaam kar rahe hain unki salary waqt par release ki jaye.
Salary Delay Par Sakht Naraazgi
Bawajood iske salary delay hone par Chief Minister ne senior officials par naraazgi ka izhaar kiya aur poocha ki kya aap log apne kaam karne ke tareeke mein tabdeeli nahi laayenge. Green Channel ke zariye outsourcing aur contract employees ki salary har mahine release karne ki hidaayat ke bawajood iss par amal nahi ho raha jis par CM ne sawaal uthaya.
Complaints Barhti Ja Rahi Hain
CM ne kaha ki districts se temporary employees ki shikaayatein barhti ja rahi hain. Intelligence aur SB ke saath saath Employees Organizations ki taraf se bhi unko complaints mil rahi hain. Lekin Finance Department salaries release karne mein ab bhi delay kar raha hai.
Pehle Hafte Mein Salary Ki Talab
Chief Minister ne kaha ki sarkar banne ke baad permanent employees ko har mahine ki pehli tareekh ko salary mil rahi hai. Unhone zor diya ki temporary employees ki salary bhi barwaqt release ki jaye aur koshish ho ki unhe pehle hafte mein hi salary mil jaaye.
Tamatar Ki Qeematon Mein Tezi Se Izaafa
Riyasat bhar tamatar ki qeematein phir se tezi se badh rahi hain. Kuch din pehle jo tamatar bahut sasti qeemat par mil raha tha ab woh aam logon ki pohanch se door hota ja raha hai. November ke teesre hafte mein qeematon mein achanak bada uchaal dekha gaya. Sirf 10 din pehle 1 kilo tamatar ₹15 se ₹20 tak tha, jabki ab yahi tamatar ₹60 se ₹80 ke darmiyan bik raha hai.
Mukhtalif Shehron Mein Zyada Qeemat
Telangana ke Raidurgam, Warangal aur Khammam markets mein qeematein ₹80 tak pahunch gayi hain. Sirf 15 din mein 50% se zyada izafa record hua hai. Yeh izafa sirf Telangana tak mehdoood nahi balki mulk bhar ke kai riyasaton mein dekhne ko mil raha hai. Iska sabse bada sabab iss saal tamatar ki kam kaasht aur faslon ka kharab hona bataya ja raha hai.
Pehle Sasti Thi Lekin Achanak Mahangi Ho Gayi
Kuch hafton pehle Maharashtra mein tamatar ki qeemat itni kam ho gayi thi ke kai kisaanon ne tamatar sadak par phenk diya tha. Lekin ab haalat bilkul ulat ho gayi hai aur qeemat zor se badh rahi hai. Chandigarh mein 112%, Andhra Pradesh aur Himachal Pradesh mein 40% izafa hua hai. Andhra Pradesh ke wholesale market mein aaj tamatar ₹63 kilo bik raha hai. Guzishta saal isi waqt rozana 700 metric ton tamatar market mein aata tha jabki iss saal sirf 140 metric ton pohanch raha hai.
Tufaan Aur Kharab Mausam Ki Wajah Se Nuqsaan
Iss saal tufaan aur kharab mausam ki wajah se kai ilaaqon mein kheton ko bada nuqsaan pohancha. Tamatar ki fasal buri tarah mutaasir hui jiske baad paidaawar mein zyada kami dekhne ko mili. Andhra Pradesh ke saath Karnataka Maharashtra aur Gujarat mein bhi fasal ko nuqsaan pohancha hai.
Mahireen ka kehna hai ke agar yahi surat-e-haal barqaraar rahi toh agle ek mahine mein tamatar ki qeemat ₹100 kilo tak pohanch sakti hai.
Telangana Bhavan Mein KTR Ki Ahem Meeting
BRS Working President K T Rama Rao ne Telangana Bhavan mein GHMC Corporators ke saath ek ahem meeting ki. Is meeting mein saabiq wuzra, MLAs, MLCs aur GHMC hudood se taluq rakhne wale public representatives ne bhi hissa liya. Talasani Srinivas Yadav aur Sabitha Indra Reddy bhi maujood the.
GHMC Council Meeting Ke Liye Strategy Final
KTR ne GHMC Council Meeting ke liye corporators ko follow karne wali strategy par clear instructions diye. Unhone corporators ki service aur pichle kuch saalon mein kiye gaye kaam ki tarif ki.
Governance Mein Corporators Ka Role
KTR ne kaha ki party ne lagatar 10 saal tak bagair corruption ke acha governance diya aur is poore daur mein corporators ka role kaafi important raha. Unhone khaas taur par COVID ke waqt corporators ke efforts ko saraha.
Opposition Mein Bhi Active Role
KTR ne yeh bhi kaha ki party opposition mein aane ke baad bhi Hyderabad ke corporators ne public issues par strong awaaz uthai. Unhone Jubilee Hills ke recent by election mein corporators ke zimmedarana rawaiye ki bhi tarif ki.
Future Opportunities Ka Assurance
KTR ne corporators ko yaqeen dilaya ki jo log party ke saath mazbooti se khade hain unhe future mein zyada opportunities aur posts milenge. Unhone kaha ki upcoming elections ko sab apna personal election campaign samajhkar dedication se kaam karein aur yaqeen dilaaya ki party phir se strong jeet hasil karegi.
Reservation Aur Delimitation Se Naye Chances
KTR ne bataya ki future mein women reservation aur delimitation ke baad corporators ke liye naye political chances paida honge aur unka mustaqbil mazboot hoga.
Yeh meeting shehri siyasat mein BRS ke future direction ke liye important samjhi ja rahi hai jahan KTR ne clear kiya ki GHMC corporators hi shehar ke masail ko solve karne aur public representation ka central role ada karenge.
Telangana School Fees Ka Faisla Abhi Tak nahi Latka Hua
Telangana mein parents aur guardians ko school fees ke mamle mein kuch raahat milne ki umeed thi. Log tawaqqo kar rahe the ki hukumat private schools ki fees ko regular karne ke liye faisla karegi. Lekin jab zyada schools ne naye academic year ke admissions shuru kar diye hain tab bhi hukumat is bill ko approve nahi kar paayi.
Education Commission Ne Draft Bill Tayyar Karke Hukumat Ko Diya
Telangana Education Commission ne March mein school managements, parents organizations aur stakeholders se baatcheet karke ek draft tayyar kiya tha. Iss draft ko hukumat ko submit bhi kar diya gaya tha. Iske baad hukumat ne ek sub committee banayi jo draft ka review kare. Officers ke mutabik committee ne kuch choti tabdeeliyon ke baad final draft do mahine pehle authorities ko de diya aur ab senior officials is draft ka jaayza le rahe hain.
Delay Ki Wajah Se Parents Mein Naraazgi Barh Rahi Hai
Sources ke mutabik private schools ki fees regulate karne mein ho rahi delay ki wajah se parents mein naraazgi barh rahi hai. Education Commission ko parents ki taraf se mil rahe feedback se bhi waaqif karwa diya gaya hai. Commission ne state ke schools ko categories mein divide karke unke liye fees structure decide karne ki recommendation di hai.
Hukumat January Se Pehle Faisla Karne Ki Koshish Mein
Education Department ke officials ne bataya hai ki unhe pata hai ke kuch schools mein admissions already shuru ho chuke hain. Iss wajah se koshish ho rahi hai ki January ke pehle bill ko approve kar diya jaaye taaki parents ko relief mil sake. Department ke officers un schools ki list bhi collect kar rahe hain jahan admissions aur interview process shuru ho gaya hai.
Telangana ke hazaron parents ab is baat ka intezar kar rahe hain ke hukumat kab tak fees ko regularize karne ka final faisla leti hai.
Tarkariyon Ki Qeemat Mein Izafa Aur Awam Ki Pareshani
Telangana mein khaaskar Hyderabad mein tarkariyon ki qeemat badhne se log pareshaan ho rahe hain. Tarkariyon ki barhti hui prices ne awaam ki jeb par izafi bojh daal diya hai. Bataya jaa raha hai ki riyasat mein barish der tak jaari rehne ki wajah se faslon ko nuksaaan pahuncha aur isi wajah se tarkariyon ki supply kam ho gayi jiska asar seedha prices par pada.
Barish Se Kaasht Mutaasir
Agriculture Department ke ohdedaron ne kaha ki Telangana ke mukhtalif districts aur Hyderabad aur Secunderabad ke aas paas jo tarkariyon ugayi jaati hain unhe guzishta mahine ke aakhiri hafton mein barish ki wajah se kaafi nuqsaan hua. Is wajah se supply kam ho gayi aur prices barhne lage. Ohdedaron ke mutabik agar mausam agle do hafton tak normal raha toh prices wapas normal level par aasakti hain.
Transportation Aur Supply Issues
Experts ka kehna hai ki mausami tabdeeliyon ke alawa monsoon ki wajah se faslon ko nuqsaan aur transportation mein aane wali dikkat ne bhi prices barhane mein aham kirdar ada kiya hai. Lekin ab Agriculture Department aur Transport Department ki taraf se situation par control paane ki koshish ki jaa rahi hai. Department ka kehna hai ki jald hi prices ko control mein lane ke liye effective steps liye jaayenge taa'ke awaam ko raahat mil sake.
Agle Do Hafton Mein Prices Kam Hone Ki Umeed
Agar mausam normal raha toh agle kuch hafton mein tarkariyon ki supply behtar ho jayegi aur qeematein wapas mamool par aane lagengi. Rythu Bazaars ke alawa weekly markets mein bhi prices badhne ka rujhan dekha jaa raha hai lekin umeed ki jaa rahi hai ki situation jaldi behtar hogi.
Shehri awaam ka kehna hai ki rozmarrah ki zaroori tarkariyon ki qeemat barhne se ghar ka monthly budget mutasir ho raha hai aur hukumat se demand ki jaa rahi hai ki prices ko jaldi control kiya jaaye.
Desh ki Khabrein
Tamil Nadu Mein Khaufnaak Road Haadsa
Tamil Nadu ke Tenkasi zila mein ek bura road accident hua. Idaikal aur Kamraj ke paas do private buson ke darmiyan seedhi takkar hui. Takkar itni sakht thi ki dono buson ka agla hissa poori tarah tabah ho gaya.
Buson Ki Manzil Aur Takkar Ka Waqt
Ek bus Madurai se Shengottai jaa rahi thi aur doosri bus Tenkasi se Kovilpatti ki taraf jaa rahi thi. Dono buson ki raftaar tez thi aur aamne saamne ke collision mein chhe log haadse ki jagah par hi jaan se gaye. Is haadse mein 28 log zakhmi hue hain aur kuch ki halat abhi bhi naazuk hai. Is wajah se halaakaton mein aur izafa hone ka khatra barqarar hai.
Rescue Operation Aur Hospital Intiqaal
Police aur medical teams ne foran rescue shuru kiya. Zakhmi logon ko Tenkasi Government Hospital shift kiya gaya. Haadse ke baad road par lambi traffic jam lag gayi aur ilaqe mein afra tafri ka mahaul ho gaya.
Investigation Jaari
Police ne haadse ki wajah maloom karne ke liye investigation shuru kar diya hai. Local logon ke mutabiq is raaste par kai dafa speed aur overtaking ki wajah se haadse hote rahe hain.
Awaam Mein Pareshani
Haadse ke baad aas paas ke ilaqon mein logon mein fikr aur gham ka mahaul hai. Logon ne sarkar se yeh demand ki hai ki is route par speed control aur safety ke liye sakht qadam uthaye jaayen.
Thane Mein College Ke Andar Namaz Ka Masla
Maharashtra ke Thane ke Kalyan mein Ideal College ke teen Muslim students par ilzaam hai ki unhein Jumme ke din ek khaali classroom mein Namaz padhne par kuch Hindu tanzeemon ke logon ne haraas kiya aur maafi maangne par majboor kiya. Yeh waaqia tab saamne aaya jab iska video social media par viral hua.
Video Mein Kya Nazar Aaya
Viral video mein dikhaya gaya ke Vishwa Hindu Parishad aur Bajrang Dal ke kuch members students par mazhabi jazbaat ko thes pohnchane ka ilzaam laga rahe hain. Ek aur video mein teen students kaan pakad kar baithak karte hue aur maafi maangte hue dikhayi dete hain. Video mein yeh bhi nazar aata hai ke unhen Chatrapati Shivaji Maharaj ki tasveer ke saamne jhukaya gaya aur aas paas maujood log Jai Shri Ram ke naare laga rahe the.
Parents Aur Public Ka Reaction
Is waaqia par parents ne college management aur police ki kaarkardagi par sakht naraazgi ka izhaar kiya. Ek walid ne kaha ke uske bete ko zabardasti jhukaya gaya aur logo ke saamne zaleel kiya gaya jabke us waqt usse tahaffuz ki zarurat thi.
College Ka Bayaan
College administration ka kehna hai ke yeh ek internal masla hai aur students ne college ke rules ki khilaaf warzi ki hai kyunke campus mein kisi bhi mazhabi activity ki ijazat nahi hoti.
Opposition Aur Community Ka Mutalba
Muqami Muslim tanzeemon aur Opposition leaders ne is waaqia ko mazhabi dhamki aur aaini huqooq ki khilaaf warzi qaraar diya hai. Unka kehna hai ke is masle par sakht kanooni kaarwai aur police ke rawaiye ki investigation zaruri hai.
🖊️ About the Author
Bharat Batao Team
Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.
Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.📌Sources: All news compiled from public video reference, Based on viral verified sources.
- Siddipet sadak haadsa
- Hyderabad Shalibanda aag dhamaka
- Naveen Yadav halaf bardari
- Temporary employees salary delay
- Commissioner Sajjanar raat gasht
- Bandlaguda Chabutra Mission
- Tamatar qeemat mein izafa
- Desi chicken demand
- Warangal dulhan dhokha
- KTR GHMC corporators meeting
- Kamareddy leopard sighting
- School fees regularization Telangana
- Kokapet land auction record
- Sabzi qeemat aur supply issue
- Tamil Nadu bus takkar
- Thane college namaz controversy
- Dharmendra inteqaal breaking news
- PM Rashtrapati taaziyat
- Saudi Crown Prince America visit
- News Round-up Ek Nazar ma
- Hinglish news
- Hindi hinglish news

Comments
Post a Comment