10

Desh duniya ki Khabrein Hyderabad Se America Tak – Hack, Blast, Bird Flu Aur Weather Update

News Round-up Ek Nazar ma

Telangana aur Hyderabad ki Khabrein


Hyderabad mein naqli lady constable giraftaar, Telangana ke ministers ke WhatsApp groups hack, Madhura Nagar mein gas cylinder blast se ek khaatoon halaak, Prakasham zille mein sher ki maujoodgi se khauf, Telangana mein sardi kam aur baarish ka alert, Facebook Groups ka naya nickname feature aur America mein Bird Flu se pehli insaani maut report. Sub news ek jagah in Simple hinlish mein. #Hinglishnews


Aaj ki top news Hyderabad hack gas blast sher weather update Facebook feature aur Bird Flu



Hyderabad Se Chennai Bullet Train Ke Liye Survey Ka Aagaaz

Hyderabad Chennai 778 km lambi High Speed Rail corridor project mein ab ek aham peshraft hui hai. South Central Railway ne Tamil Nadu hukoomat ko detailed report pesh kar di hai aur tracks bichhane ke survey ke liye approval ki darkhwast bhi bhej di hai. Is development ke baad project par kaam aur tez hone ki umeed hai.

Survey Approval Jald Di Jaayegi

Chennai Unified Metropolitan Transport Authority ke Special Officer Jiya Kumar ne tasdeeq ki hai ki hukoomat jald hi survey ke kaam ko approval degi. Unhone bataya ki approval ke baad detailed project report ka jaiza liya jayega aur ek mahine ke andar final report taiyar kar di jayegi. Tamil Nadu hukoomat ki request par corridor plan mein thoda tabdeeli bhi ki gayi hai aur ab Tirupati ko bhi route mein shamil kar liya gaya hai. Pehle Sri City aur Gudur ko hi corridor ka hissa banaya gaya tha.

Nayi Rahdari Se Safar Ka Waqt Kam

Nayi high speed rail line banne ke baad Hyderabad se Chennai ka maujooda 12 ghante ka safar sirf 2 ghante 20 minute mein mukammal ho jayega. Project ke mutabiq Tamil Nadu mein do stations honge. Chennai Central aur Chennai Ring Road ko route mein shamil kiya gaya hai.

Economic Hub Banane Mein Madad

Is bullet train route ke qayam se Telangana Andhra Pradesh Karnataka aur Tamil Nadu ke darmiyan economic hub develop karne mein madad milegi. Yeh project na sirf safar ko tezi se kam karega balki trade business aur tourism ko bhi boost karega.


Taleem Yafta Naujawanon Ke Liye Muft Rozgaar Courses

Muft Assured Employment Courses Ka Ijaaz
Taleem yafta naujawanon ke liye Muft Zamin Rozgaar Courses Quran Foundation ke zere ehtemaam Hyderabad ke Purane Sheher mein mehnge courses bilkul muft faraham kiye ja rahe hain Yeh jamaatein Educational Social Cultural Organization ke taavun se chalaayi jaa rahi hain.

Kin Naujawanon Ko Mauqa Milega

Ek press note mein kaha gaya hai ki Graduate aur aakhri semester ke toulba aur taalibaat aur rozgaar ke mutalashi naujawan in tarbiyati courses se faida utha sakte hain Yeh jamaatein 24 November se shuru hongi Courses mein Cyber Security Engineer Full Stack Development AI Build Course SOC Analyst Networking CCNA aur deegar courses shamil hain BE BTech BCom Computers BCA Working Professionals aur rozgaar ke khwahishmand darkhwast daakhil kar sakte hain.

Classes Kahaan Hongi Aur Rabta Kaise Karein

Jamaaton ka ehtemaam Talent Development Center Pehli Manzil Urdu Ghar Mughal Pura Hyderabad mein kiya jaayega Tafseelat ke liye Career Guidance Council se phone number 9989077273 par rabta kiya jaa sakta hai.


Hyderabad Mein Naqli Mahila Constable Giraftaar

Ajeeb O Ghareeb Waqya

Hyderabad mein ek hairan kar dene wala waqya samne aaya jahan ek khaatoon ne bina kisi sarkari job ke police constable ki uniform pehen kar asli police ke saath duty ki Woh kai bade events aur VVIP programs mein security duty karti rahi aur kisi ko shak tak nahi hua. 

Uniform Aur Duty Ka Safar

Uma Bharti naam ki is khaatoon ne police constable ka imtihaan diya tha lekin pass nahi ho saki Jis ke baad usne khud hi police ki wardi kharidi aur mukhtalif sarkari events mein shamil hona shuru kar diya Woh Secretariat mein Telangana Talli statue unveiling Khairatabad Ganesh Visarjan aur kai VVIP visits ke dauran security areas mein nazar aayi Aur asli police bhi use police personnel samajh kar saath duty par rakhti rahi.

Police Ki Nazron Se Bach Gayi

Taftish ke baad pata chala ki woh Cyberabad Police Headquarters tak jaa rahi thi canteen mein employees ki tarah baithi rehti thi Aur kuch educational institutes mein cyber crime awareness ke naam par lectures bhi de rahi thi Kisi ko yeh andaza hi nahi tha ki uske paas na toh police ID tha aur na hi kisi tarah ki official appointment.

Giraftari Aur Case

Bandobast ke dauran jab police ko uske ravaiye par shak hua toh poochtaachh ki gayi Jiske baad sach ka inkishaaf hua Jaddimetla Police ne use giraftaar kar liya aur cheating government impersonation aur illegal police uniform use ke tahat case darj kar diya gaya.

Security System Par Sawal

Yeh waqya sheher ki security checking aur monitoring system par bade sawal khade kar raha hai Police department mein ab is masle par sakht behas ho rahi hai aur system ko aur mazboot banane ki baat ki ja rahi hai.


Madhura Nagar Mein Gas Cylinder Phatne Se Khaatoon Halak

Dhamake Ka Waqya

Hyderabad ke Madhura Nagar area mein ek pakwaan gas cylinder phatne se ek 40 saal ki khaatoon ki maut ho gayi Waqya ek makaan ki pehli manzil par pesh aaya jahan cylinder se gas leak ho rahi thi aur achanak dhamaka ho gaya.

Khaatoon Halak Do Log Zakhmi

Jis khaatoon ki maut hui uski pehchaan Sona Bai ke naam se hui hai Dhamake ke dauran Sona Bai shadeed taur par jhulsti rahi aur uski mauqay par hi maut ho gayi Is haadse mein uske walidain Gopal Singh aur Lalita Bai ko halka sa zakhm laga Dono ko dawaakhane mein ilaaj ke liye shift kiya gaya.

Police Aur Fire Brigade Ki Karwai

Mukami logon ne waqya ki maloomat police aur fire brigade ko di Jiske baad teams ne wahan pahunchkar aag par kaabu paaya Police ne case darj karke tehqeeqat shuru kar di hai aur haadse ki wajah jaanne ki koshish ki ja rahi hai.


Golconda Mein Bachchi Agwa Ka Plan Nakaam

Police Ki Tez Karwai

Golconda mein ek bachchi ko agwa karne ki koshish nakaam ho gayi aur police ne barq raftar karwai karte hue saabiq miyan biwi samet do logon ko giraftar kar liya Bachchi bilkul hifaazat ke saath baaziyaab kar li gayi aur usey uske walidain ke hawale kar diya gaya.

Waqya Ka Aaghaz

Yeh waqya 21 November ki dopahar us waqt samne aaya jab Shaikh Muzammil aur Nusrat Fatima ki 4 saal ki beti Safia Begum ghar ke qareeb laapata ho gayi Waalda ne normal routine ke mutabiq bachchi ko wapas ghar bheja lekin der tak wapas na aane par unhone Golconda police se shikayat darj karwai.

CCTV Footage Se Pehchan

Police ne shikayat milte hi muqaam aur aas paas ke CCTV cameras ka jaiza liya Footage mein ek burqa pehni hui khaatoon aur ek auto driver bachchi ko le jaate hue nazar aaye Masle ki sanjeedgi ko dekhte hue police ne nau special teams tayyar ki aur taftish ko aur tez kar diya.

Agwa Ka Mansuba

Investigations ke dauran maloom hua ki agwa ki planning Samreen Begum aur Mohammed Fayaz ne ki thi Dono talaaq ke baad bhi saath reh rahe the aur paise ki tangi ki wajah se bachchi ko bheek mangwane ke liye istemaal karna chahte the Police ke mutabiq dono ne bachchi ko Salar Nagar Ganj se utha kar auto se Samreen ke ghar chupa diya tha.

Bachchi Ba Hifaazat Wapas

Police ki timely karwai ki wajah se bachchi ko kisi bhi nuqsaan ka saamna nahi karna pada aur usey jaldi dhoondh kar wapas walidain ke hawale kar diya gaya Ghar walon ne police ka shukriya ada kiya aur relief ka izhar kiya.


Hyderabad Chalti Car Mein Aag Driver Zinda Jala

Hyderabad mein chalti car mein achanak aag lag gayi. Darwaze lock ho gaye aur driver seat par hi jal kar sirf dhaancha bacha. Hyderabad ke musafati ilake Shameerpet mein Outer Ring Road par subah ek dil dukha dene wala hadsa hua. Jahan chalti car mein achanak aag bhadak uthi aur driver andar hi phanskar zinda jal gaya aur driving seat par uska dhaancha reh gaya.

Short Circuit Ki Wajah Se Aag Lagi

Reports ke mutabiq car Shameerpet se Kestara ki taraf ja rahi thi ki beech raste short circuit hua. Sirf kuch seconds mein poori gaadi aag ki lapet mein aa gayi. Aag itni zyada thi ki car ke darwaze automatic lock ho gaye aur driver waqt par bahar nahi nikal paya. Isi wajah se woh gaadi mein hi jhulaskar jaan se haath dho baitha.

Police Aur Firefighters Mauke Par Pahunche

Police ka kehna hai ki jab team wahan pahunchi toh car poori tarah jalkar khak ho chuki thi aur andar sirf driver ka dhaancha tha. Mukami logon ki inform karne par firefighters ne aag par kabu paa liya. Police ne case register kar diya hai aur hadse ki wajah jaanne ke liye investigation shuru kar di gayi hai.

Mukaami Log Socked Mein

Yeh dardnaak waqya Mirzila district mein hua aur isne wahan ke logon ko gehri takleef aur shock mein daal diya. Lokon ka kehna hai ke aisa manzar dekhna bohat darawna aur takleef deh tha.


Shaadi Se Chand Ghanton Pehle Dulhan Ke Baap Ki Maut

Khushiyon se bhare ghar mein achanak maatam chha gaya. Shaadi se kuch ghanton pehle dulhan ke baap ki maut ho gayi. Telangana ke Vikarabad zille mein ek bohot afsosnaak waqya hua. Ek ghar jahan chand ghanton baad shaadi ki khushiyan hone wali thi wahan gham ka mahaul ban gaya. Yeh dil dukha dene wala waqya Telangana ke Vikarabad zille ke Sagar Kurudu gaon mein pesh aaya.

Shaadi Ki Tayaariyan Chal Rahi Theen

Uvanti naam ke ladke ki shaadi ki tayaariyan poori raftaar se chal rahi theen ki uska baap Anantappa achanak guzar gaya. Ghar jahan khushiyan aur shaadi ka josh tha wahan sab log afsos mein doob gaye. Shaadi ki tayaariyon ke silsile mein Anantappa Yalal gaya tha aur wapas aate waqt uski bike phisal gayi. Ghirne ki wajah se woh shadeed zakhmi ho gaya. Uskay zakhmon ki soorat dekhte hue use foran Tandur hospital le jaaya gaya.

Hospital Mein Dauran Ilaaj Maut

Tandur hospital mein ibtidaai ilaaj ke baad doctors ne behtar treatment ke liye usse Hyderabad hospital shift kar diya. Lekin dauran ilaaj uski jaan nahi bach saki aur uski maut ho gayi. Jo ghar shaadi ke liye saj raha tha wahan sab log mayyus ho gaye.

Shamiyana Mein Khushi Ki Jagah Gham

Shaadi ke liye lagaya gaya shamiyana ab khushiyon nahi balki gham ki nishani ban gaya. Jahan dulha aur dulhan ko baithna tha wahan dulhan ke baap ki laash rakhi gayi. Yeh manzar dekhkar jahan bhi log mojood the sab ke aansoo beh nikle. Ek pal mein poora mahaul badal gaya aur ghar mein sirf gham aur khamoshi reh gayi.


Sharab Pi Kar Gaadi Chalate Hue 424 Log Pakde Gaye

Traffic Police Ki Sakh Faisla

Cyberabad Traffic Police ne sharab pee kar gaadi chalane walon ke khilaaf karwai karte hue 424 logon ko pakda Inmein 300 bike sawar 18 three wheelers aur 99 car drivers shamil hain Police ne kaha ki haalat e nashe mein gaadi chalana ek sangheen jurm hai aur kisi bhi waqay ke liye zimmedar ho sakta hai.

Adalat Mein Pesh Kiye Jaayenge

Police ke mutabiq haalat e nashe mein gaadi chalate hue pakde gaye sabhi afraad ko adalat mein pesh kiya jaayega Jahan un par jurmana ya saza lagayi ja sakti hai Traffic Police ne ye bhi kaha ki aise campaigns jari rahenge taake sadkon par safety behtar banayi ja sake.


Azharuddin Aur Majid Hussain Ki Shoaib Se Mulaqaat

Telangana ke Wazir Aqleeyati Mahboob Mohammed Azharuddin ne Secretary Aqleeyati Mahboob B Shafiullah aur Nampally ke MLA Majid Hussain ke saath Saudi Arab ke Madina ke qareeb hone wale afsosnaak bus hadse ke wahid zinda bach jaane wale Mohammed Abdul Shoaib se hospital mein mulaqaat ki.

Zinda Bachne Wale Shoaib Se Haalat Poochi Gayi

Mulaqaat ke dauran Wazir Azharuddin ne Shoaib ki sehat ka poora haal maloom kiya aur yaqeen dilaya ki Telangana hukoomat unki aur unke khandaan ki puri madad karegi. MLA Majid Hussain ne bhi Shoaib ko himmat di aur kaha ki hukoomat unke saath har qadam par khadi hai. Unhone kaha ki unka ilaaj jazbaati support aur zaruri sahooliyat mein koi kami nahi rehne di jayegi.

Shoaib Ki Sehat Mein Sudhaar

Hospital mein mulaqaat ke baad Wazir Azharuddin ne media se baat karte hue bataya ki Shoaib ki sehat pehle ke muqable mein behtar hai aur woh tezi se theek ho rahe hain. Unhone bataya ki unhone MLA Majid Hussain aur B Shafiullah ke saath milkar Shoaib se unki tibbi haalat zehni soorat aur hadse ke dauran kya guzri is par tafseel se guftagu kiye.


Jamiat Ulema e Hind Telangana Ke Intakhaabaat Mein Jhadap

Jamiat Ulema e Hind Telangana ke Sadrati intakhaabaat ke dauran do groups mein jhadap hui aur ek shakhs zakhmi ho gaya. Intakhaabaat Hafte ke din Hyderabad ke Shivram Palli mein waqe Islami darsgah Jame Islamia Darul Uloom mein munakid ho rahe the jahan mahaul achanak kashida ho gaya.

Campus Mein Dakhal Par Tanaav

Reports ke mutabiq Jamiat Ulema e Hind Telangana ke General Secretary Maulana Hafiz Khaliq Ahmad Sabir ke supporters ne Maulana Abdul Qawi ko campus mein daakhil hone se rok diya. Isi baat par dono taraf se behas shuru hui jo dheere dheere jhadap mein tabdeel ho gayi. Dono groups ke darmiyan shor sharaba aur tanaav barhta gaya.

Police Ne Haalat Samhalne Ki Koshish Ki

Mukami police wahan pahunchkar soorate haal ko control karne ki koshish karti rahi. Lekin dhakka mukki ke dauran ek shakhs zakhmi ho gaya aur use khoon behne ki haalat mein hospital le jaya gaya. Waqye ke baad darsgah ke aas paas police ki zyada nafri tainaat kar di gayi aur haalat par nazar rakhi ja rahi hai.

Sadr Ki Wafaat Ke Baad Intakhaabaat

Yeh baat samne aayi hai ki Jamiat Ulema e Hind Telangana ke Sadr Maulana Peer Shabbir Ahmad ke inteqal ke baad naya Sadr chunne ke liye intakhaabaat ho rahe hain. Isi process ke dauran yeh nakhushgawar soorat e haal paida hui. Filhaal mahaul tense zaroor hai lekin police ke mutabiq haalat control mein hain. Police ne dono grohon se appeal ki hai ki wo aman aur sabr ka muzahira karein.


Mohammed Ali Shabbir Ne CM Ka Shukriya Ada Kiya

Saudi Arab mein Umrah pilgrims ke bus hadse mein jaan loss hone ke baad paida hone wali soorat e haal ko sambhalne mein waqt par aur sahi faisle lene par Riyasati Hukoomat ke Musheer Mohammed Ali Shabbir ne Chief Minister A Revanth Reddy ka shukriya ada kiya. Unhone kaha ki Chief Minister ne foran reaction diya aur kai agencies ke saath milkar affected families ko poori madad pahunchayi.

Hukoomat Ne Foran Action Liya

Mohammed Ali Shabbir ne bataya ki jaise hi hadse ki khabar mili Chief Minister ne zimmedar officers ko active kar diya aur Haj House mein ek emergency meeting bhi bulayi. Wahan soorat e haal ka detail mein jaiza liya gaya aur mutasireen ke ghar walon se baat karne ke baad ek faisla hua. Khandan ke kehne par is baat par ittefaq hua ki kyunki ye log muqaddas zameen par wafaat paye hain isliye unko Madina mein dafnaaya jaaye.

Yakjehti Aur Himayat Ka Izhar

Mohammed Ali Shabbir ne Chief Minister Revanth Reddy Markazi Hukoomat Saudi officials aur Muslim community ka shukriya ada kiya. Unhone kaha ki gham ke is waqt sab ne milkar himayat aur ekta ka izhar kiya aur mutasireen ke dukh mein saath khade rahe.


Future City Global Summit Ke Baad Awaam Ke Liye Khulegi

Telangana hukoomat ne Future City ke qayam ki tafseelaat se awaam ko waqif karne ke liye faisla kiya hai ki 8 aur 9 December ko hone wale Global Summit ke khatam hote hi 10 se 12 December Future City ko awaam ke liye khol diya jayega. Riyasat mein sarmayakari badhane aur qaumi aur bainul aqwaami idaron ke qayam ke liye hukoomat ne Future City par kaam tez kar diya hai.

Global Summit Mein Future City Ka Taaruf

Aalmi satah par Future City ko samjhane aur promote karne ke liye Telangana Rising 2047 Global Summit 8 aur 9 December ko munakid hoga. Is summit mein duniya bhar ke mashhoor idaron ke numainde shamil honge. Summit ke baad hukoomat 10 se 12 December tak Future City awaam ke liye open karegi jahan log tafseel se daura kar sakenge aur riyasat ke taveel muddat ke tarakki yafta plan ka jaiza le sakenge.

Awaam Ke Liye Special Intizaam

Awaam ke mushahide ke liye Hyderabad aur zilla headquarters se RTC ki special buses chalane ka plan taiyar kiya ja raha hai. Riyasati wuzra aur senior officers awaami daure ke liye facilities ko final kar rahe hain. Indian School of Business ko zimmedari di gayi hai ke woh Telangana Rising Document tayyar kare. Prajab Bhavan mein ek War Room bhi banayi gayi hai.

Awaam Ka Access Ka Maqsad

Umeed ki ja rahi hai ki duniya bhar se taqreeban 2000 delegates summit mein shamil honge. Summit ke foran baad awaam ko Future City dikhane ka maqsad yeh hai ki log hukoomat ke tarakki ke planning aur steps ko samajh sakein aur dekhein ki riyasat bhavishya mein kis simt ja rahi hai.


1 Crore Khawateen Ko Crorepati Banane Ka Nishana Hukooma 

Amazon Ke Darmiyan Baat Cheet

Telangana hukoomat ne riyasat ki 1 crore khawateen ko crorepati banane ka ek badiya nishana muqarrar kiya hai. Is maqsad ke liye hukoomat ne shehri aur dehi ilaqon ki khawateen ki madad ke liye WE Hub ko aage badhaya hai. Ab hukoomat ki koshish hai ke Indira Kranti Pathakam groups ke products ko global market tak le jaya jaaye. Isi silsile mein hukoomat ne Amazon ke saath ek agreement ke liye official baat cheet shuru kar di hai.

Training Aur Support Ke Zariye Taraqqi

Hukoomat khawateen ko business ke liye training aur rehnumai de rahi hai. Saath hi T Fund ke zariye selected start ups ko investment support bhi di ja rahi hai. WE Hub ne is business model ko profitable banane ke liye branding aur packaging support diya hai jisse khawateen ka confidence badha hai.

Beneficiaries Ka Tajurba

Ek beneficiary khaatoon ne bataya ki pehle woh chhota sa business karti thi lekin ab woh permanent e commerce business chala rahi hai. Gaon ki khawateen ko empower karne ke liye Flagship Rural Innovation Program bhi shuru kiya gaya hai jo manufacturing textiles handlooms food processing aur dusre sectors mein help kar raha hai.

Branding Aur Quality Ka Ahm Kirdaar

Ek expert ne bataya ki sirf product ki quality nahi balki uski presentation aur branding bhi bahut ahm hoti hai. Unhone kaha ki jo cheez achhi tarah se pesh ki jaati hai uski demand naturally badh jaati hai. Amazon ke representatives ne tasdeeq kiya hai ki unke do program Saheli aur Karigar mulk bhar ki khawateen aur hunarmand afraad ko digital platforms par apne products bechne mein madad kar rahe hain.

Waada Haqeeqat Banane Ki Taraf

Chief Minister Revanth Reddy pehle hi keh chuke hain ki Self Help Groups ke products ko international market mein bechne ke liye Amazon ke saath baat cheet chal rahi hai. Yeh sab dekh kar lagta hai ki hukoomat ka khawateen ko crorepati banane ka waada dheere dheere haqeeqat ban raha hai.


Telangana Wuzra Aur CMO WhatsApp Media Groups Hack

WhatsApp Groups Hack Hone Ka Mamla

Telangana ke kai wuzra ke media WhatsApp groups ko hackers ne hack kar liya hai Hackers ne riyasat ke aham officials ke groups tak rasai haasil kar li jabki Chief Minister Office ke media group ko bhi nishana banaya gaya Cyber criminals ne SBI ke naam se ek khatarnaak APK file bhejna shuru kar diya hai.

Fake SBI Messages Aur Cyber Warning

Hackers wuzra aur officials ko SBI ke naam par messages bhej rahe hain Jismein unhe Aadhaar update karne ka bolkar APK file download karne ka kaha ja raha hai Cyber Crime Police ne sab ko sakht warning di hai ki yeh file bilkul na kholi jaye kyun ke yeh phone data ko hack kar sakti hai.

High Court Website Bhi Hack Hui

Yeh pehla waqya nahi hai Kuch din pehle Telangana High Court ki website bhi hack hui thi Website ki wajah se court orders download karne ke bajaye users ek gaming site par redirect ho rahe the Is waqye ke baad High Court ke Registrar ne iski complaint Telangana DGP ke paas darj karwayi.

Cyber Security Par Sanjeeda Sawal

Lagataar hacking ke in waqyaat ke baad Telangana ki cyber security par bade sawal uth rahe hain Experts ka kehna hai ke official digital systems ko tighten karna zaroori hai taake future mein is tarah ke hamle rokay ja sake.


Sardi Mein Kami Ka Rujhan

Telangana mein sardi ki lehar mein kami mehsoos ki ja rahi hai aur minimum temperature dobara normal level par aa gaya hai Lekin shumali azla mein sardi ab bhi zyada hai aur darja hararat 10 se 13 degree ke darmiyan record kiya ja raha hai Kumaram Bheem mein sabse kam darja hararat 10.4 degree record hua jo is saal ka ab tak ka kam darja hararat mana ja raha hai.

Junoobi Ilaqon Mein Baarish Ka Imkaan

Mehkama Mausamiyat ne baarish ka alert jaari kar diya hai Bay of Bengal mein low pressure system barqarar hai jo agle 48 ghanton mein aur mazboot ho sakta hai Is system ke asar se aaj aur kal junoobi azla mein halki se ausat baarish hone ka imkaan hai Kuch jagahon par garaj chamak ke saath baarish bhi ho sakti hai.

Do Se Teen Roz Tak Mausam Mein Tabdeeli

Mehkme ke mutabiq agle do se teen din minimum temperature normal range mein rahega Lekin shumali azla mein sardi kam hone ke bawajood kohra padne ka imkaan hai Industrial areas roadsides aur reservoirs ke qareeb visibility kam ho sakti hai.

Shehri Ilaqe Bhi Mutasir

Sheher ke muzafati ilaqe mein raat ke waqt sardi barh rahi hai HCU ke qareeb temperature 16.3 degree record kiya gaya hai Logon ko salaah di ja rahi hai ke subah ke waqt safar karte hue ehtiyaat bartein aur garam kapde istemal karein.


Desh ki Khabrein


Prakasham Zille Mein Sher Ki Maujoodgi Se Khauf

Sher Nazar Aane Par Log Daraas

Prakasham zille ke Bamlapuram gaon ke qareeb ek sher nazar aane ki khabar ne awaam ko khaufzada kar diya Hai Saakshi batata hai ke sher ne Gandichera talab ke paas ek gaay par hamla kiya Jiske baad gaon walon mein bechaini aur khauf barh gaya Log ab gharon se bahar nikalne mein hichkicha rahe hain aur bachon aur pashuon ko khaas taur par gharon mein hi rakha ja raha hai.

Mehkama Janglaat Ki Karwai

Waqya ki maloomat milte hi Mehkama Janglaat ke officials gaon pahunch gaye Unhone logon se appeal ki ke woh ehtiyaat bartein Koi bhi shak ki cheez nazar aaye toh foran intelaa dein Department ne kaha ke kisi ko bhi akela jungle ya khaali jagah ki taraf nahi jaana chahiye aur sab log milkar hifazati hidayaat par amal karein.

Awaam Mein Pareshani

Gaon ke logon ka kehna hai ke pehli baar is ilaqe mein sher dekha gaya hai aur is wajah se sab log pareshan hain Pashuon ko suraksha ke liye band kar diya gaya hai aur zyada tar log apne gharon mein hi mehfooz rehna munasib samajh rahe hain.


Facebook Groups Mein Users Ke Liye Naya Feature

Technology company Meta ne Facebook Groups ke liye ek naya feature introduce kiya hai jisse users ab apni identity chhupa kar ya real name ke bajaye apni marzi ka nickname aur avatar use kar sakenge.

Group Members Ab Nickname Ke Saath Post Kar Sakte Hain

Is feature ke tehat Group ke members ab apni posts kisi bhi specific nickname ke saath share kar sakte hain agar Group admins ne is feature ko allow kiya ho. Meta ke mutabiq isko activate karne ke liye Group Admins ko permission deni hogi aur kuch haalaat mein alag se members ki individual approval bhi zaroori hogi.

Real Name Aur Nickname Ke Darmiyan Switch Karne Ki Suhoolat

Ek dafa permission milne ke baad users apne real name ya nickname ke darmiyan aasaani se switch kar sakte hain. Nickname ko Meta ke Community Standards aur Terms of Service ke mutabiq hona bhi zaroori hai.

Avatar Ka Option Bhi Available

Naya nickname choose karte waqt users ko ek avatar select karne ka bhi option milega jismein zyadatar aisi tasveeren hongi jahan animals chashma pehne hue dikhaye jaate hain.


Murshidabad Ma Babri Masjid Naam Se Masjid Ki Buniyad 

Murshidabad mein 6 December ko Babri Masjid ke naam se masjid ka sang e buniyad rakhne ka elaan kiya gaya hai jiske baad siyasi mahaul garam ho gaya hai. Trinamool Congress ke MLA Hamidullah Kabir ke is announcement par BJP ne shadeed reaction diya hai.

TMC MLA Ka Bayan Aur Mansuba

Trinamool Congress ke MLA Hamidullah Kabir ne claim kiya hai ke Babri Masjid ka sang e buniyad 6 December ko Beldanga Murshidabad mein rakha jaayega. Yeh tareekh Babri Masjid ki shahadat ki 33veen barsi bhi hai.

Unhone media se baat karte hue kaha ke is program mein kai Muslim leaders hissa lenge. Unke mutabiq yeh project mukammal hone mein lagbhag 3 saal lagenge aur mukhtalif Muslim qaayedeen is program ka hissa honge.

BJP Ka Tez Reaction

Hamidullah Kabir ke bayan ke baad BJP ne sakht reaction diya. BJP ka kehna hai ke Trinamool Congress elections se pehle mazhabi jazbaat ko siyasi faide ke liye use kar rahi hai.

BJP ka ilzaam hai ke hukmaran party mazhabi pehchaan ko weapon banakar awaam ko taqseem karne ki koshish kar rahi hai.


Rahul Gandhi Ka Daawa SSR Ke Naam Par Mulk Bhar Muskil 

Lok Sabha mein Opposition Leader aur Congress leader Rahul Gandhi ne ek baar phir Election Commission par teez tanqeed ki hai. Unhone kaha ke Voter List ke Special Summary Revision ke naam par poore mulk mein pareshani aur afra tafri machi hui hai. Rahul Gandhi ka kehna hai ke yeh kisi tarah ka reform nahi balki zabardasti thopa gaya zulm hai.

Social Media Par Reaction

Rahul Gandhi ne 12 riyasaton aur union territories mein chal rahe is process ke mutaliq social media platform X par apna reaction diya. Unhone likha ke SSR ke chalte sirf teen hafton mein 16 BLOs ki jaan chali gayi. Rahul ke mutabiq unki maut ki wajah stress aur heart attack tha.

Voter List Aur System Par Sawal

Rahul Gandhi ka kehna hai ke Election Commission ne aisa system banaya hai jismein shehriyon ko apna naam talash karne ke liye 22 saal purani voter list ke hazaron safhe palatne pad rahe hain. Unka kaha hai ke is tareeke ka maqsad yeh hai ke asal voters thak kar dekhna chhod dein aur vote chori asaani se ki jaaye.

Unhone yeh bhi kaha ke Hindustan duniya ke liye modern software banata hai lekin ECI ab bhi kagaz ke dher jama karne par zor de raha hai. Agar niyat theek hoti to voter list digital hoti search karne ke qabil hoti aur transparency aur accountability ko waqt dekar behtar banaya jaata.

Saazish Ya Naakaami

Rahul Gandhi ne kaha ke SSR koi ghalati ya naakaami nahi balki ek sochi samjhi chaal hai. Unka kehna hai ke shehriyon ko pareshan kiya jaa raha hai aur BLOs ki maut ko collateral damage samajhkar ignore kiya jaa raha hai. Rahul ke mutabiq is poore process ka asli maqsad ikhtedaar ki hifaazat hai jismein jamhooriyat ko qurban kiya jaa raha hai.


Justice Surya Kant Ne Liya Chief Justice Ka Halaf

Supreme Court ke 53vein Chief Justice ke taur par Justice Surya Kant ne Peer ke roz halaf uthaya. Isse pehle Chief Justice B R Gavai ki muddhat Itwaar ko khatam ho gayi thi jiske baad Justice Surya Kant ne naya ohda sambhaal liya.

Haryana Se Pehle Chief Justice

Justice Surya Kant ne ek naya record bhi banaya kyunki woh Hindustan ki adaalati tareekh mein Haryana se taluq rakhne wale pehle Chief Justice of India ban gaye.

Muddhat Kab Tak Rahegi

Justice Surya Kant ab 9 February 2027 tak Chief Justice ke taur par zimmedariyan ada karenge.


Videsh ki Khabrein


America Mein Bird Flu Se Pehli Insaani Maut

America mein Bird Flu ki nayaab beemari H5N5 ki wajah se pehli insaani maut report hui hai. Is case ke baad mulk ke health departments mutaharik ho gaye hain aur monitoring ko sakht kar diya gaya hai.

Risk Kitna Hai

Maahireen ne tasdeeq ki hai ki iss waqt aam logon ke liye kisi badi paimana par khatra nahi hai. Washington State Department of Health ke mutabiq marne wala shakhs Grays Harbor County ka ek buzurg tha jo pehle se kai sehat ke masail ka shikar tha aur uska immune system kamzor tha.

Virus Ka Asar Aur Waja

Health experts ke mutabiq pehle se maujood beemariyon aur kamzor mudafiaati nizaam ki wajah se virus ne sangeen surat ikhtiyar ki aur jaanlewa pechida mushkilaat paida huein.

Virus Ka Raabta Kaise Hua

Mutasira shakhs ka raabta barah raast gharelu parindon se tha. Uske ghar ke pichhle hissa mein murghiyan aur doosre parinde rakhe hue the. Kuch din pehle unmein se do parindon ki maut bhi hui thi jisse zyada imkaan hai ke virus wahan se laga ho. Mahireen ka kehna hai ke jangli parindon ka dakhlaa bhi transmission ka sabab ho sakta hai.

Containment Aur Investigation

Hukkaam ke mutabiq mutasira shakhs ke qareebi logon mein Bird Flu ki koi alamat ya transmission ka saboot ab tak nahi mila. CDC ne kaha hai ke virus ke phailaao ke imkaanaat ka jaiza liya ja raha hai.

Virus Ki Jeneitakey Tabdeeli

Virus ka genetic analysis jaari hai aur researchers jaanch kar rahe hain ke koi tabdili ya mutation hua hai ya nahi. Yeh bhi maloom hua hai ke America mein H5N1 strain 2022 se mukhtalif jaanwaron aur chand insano mein paaya ja raha hai aur is par research abhi tak jaari hai.


Antim shabd 

Aaj ki tamaam khabrein batati hain ki duniya aur mulk dono tezi se badal rahe hain. Security se lekar technology aur weather tak har jagah naye challenges saamne aa rahe hain. Humein hamesha hoshiyar rehna chahiye, kanoon ki pabandi karni chahiye aur saath hi saath apni sehat aur safety ko pehle rakhna chahiye.


Related Post:

Desh duniya ki Khabrein, Telangana Congress List, Maharashtra Accident, Trump-Mamdani Meeting


🖊️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.

 Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.📌Sources: All news compiled from public video reference, Based on viral verified sources.

  • naqli mahila constable Hyderabad
  • Telangana ministers WhatsApp hack
  • Madhura Nagar gas cylinder blast
  • Prakasham sher ki maujoodgi
  • sardi kam baarish alert Telangana
  • Facebook Groups nickname feature
  • America Bird Flu H5N5 insani maut
  • Cyberabad traffic 424 drunk driving
  • Golconda bachchi agwa case
  • Hyderabad naqli constable arrest
  • Future City Global Summit
  • Hyderabad Chennai High Speed Rail
  • 1 crore khawateen crorepati Amazon deal
  • Muft rozgaar courses Hyderabad
  • Murshidabad Babri Masjid foundation
  • Rahul Gandhi SSR criticism
  • Justice Surya Kant CJI oath
  • Madhura Nagar Sona Bai halak
  • News Round-up Ek Nazar ma
  • Hinglish news
  • Hindi hinglish news

Comments