10

Telangana & India News Today: Sher Sightings, Internet Blackout, Manhole Incident, Group 1 Exams & More

 Telangana & India: Mancherial mein sher, Telangana Secretariat Internet blackout, Old City manhole incident, Group 1 exams, food raids, festival security, Gandipet flood gates, 




Collage of Telangana news highlights: lion near road, Secretariat building, child near manhole, police and festival security, Gandipet flood gates,

Adaab dosto!

Telangana aur desh bhar se aaj ki taza khabrein afra-tafri aur eham updates se bhari hui hain. Mancherial mein sadak ke kinare sher dikhne par logon mein sansani phail gayi, aur Telangana Secretariat mein Internet blackout se tamam online services thap ho gayi. High Court ne faisla diya ki social media par sirf siyasi tanqid par case nahi banega. Hyderabad ke Old City mein 6 saal ki bachchi manhole mein gir gayi, jise KTR ne “circus ya hukumat?” kehkar hukumat ki laparwahi par sawal uthaya. Adilabad slab girna, food safety raids, Hanumakonda student death, Group 1 exams dobara, Bodhan youth arrest, Medak National Lok Adalat, festival security plans, Gandipet flood gates, Aishwarya Rai photos court order, French social media ban proposal bhi shamil hain.

Telangana Ki Khabrein

Telangana ke Mancherial district mein road ke kinare sher dikhne par logon mein afra-tafri mach gayi.


Mancherial ke Jannaram mandal mein sher ke aane se logon mein dar aur ghabrahat phail gayi hai. Friday subah Sangaraiya Peth Dagapalli road par sher ko dekha gaya. Woh road ke paas culvert par baith kar zor se dahadta hua nazar aaya. Is dauran wahan se guzarne wale drivers ne apne mobile phone par sher ki video record kar li. Is incident ke baad officials ne logon ko alert rehne ki appeal ki hai aur kaha hai ki koi bhi aadmi akela travel na kare.

Telangana Secretariat mein Internet blackout ke baad tamam online services bandh ho gayi. 

Secretariat mein achanak internet rukne se pura system freeze ho gaya. Online kaam atak gaya, sarkari files pending ho gayi aur kaam ke liye aane wale visitors ne zyada gussa dikhaya. Sources ke mutabiq internet shutdown ki wajah se sirf sarkari staff hi nahi, balki Secretariat aane wale public representatives aur aam log bhi badi mushkil mein pad gaye. Logon ka kehna hai ki agar itne bade system mein internet hi na chale to state ki governance aage kaise badegi? Yaad rahe, kuch din pehle Revanth Reddy sarkar ke dauran Hyderabad mein large scale par TGS PDCL ke electric poles par lage Internet cables cut kiye gaye the. Us incident ke baad sheher ke kai areas mein internet services badly effected hui thi. Ab social media par users mazaak banate hue keh rahe hain, “jis gadde ko aap khodte ho, usi mein girte ho.” Yeh situation ek baar phir sarkar ki performance par bada sawal uthati hai ki aakhir is serious crisis ko kaise handle kiya jayega.

Government & Politics

BC Reservation

Telangana sarkar ne panchayat aur municipalities mein 42% BC reservation ka elaan kiya. Telangana government ne panchayaton aur baldiyaat mein 42% BC quota provide karte hue GO issue kar diya hai. Panchayaton ke liye BC reservation ka GO number 67 aur municipalities ke liye GO number 68 jari hua. Yeh bhi yaad rahe ki recently cabinet ne decide kiya tha ki panchayat reservations par pichli sarkar ki lagayi gayi restriction ko hata kar naye orders issue kiye jayenge.

Social media par sirf siyasi tanqid par case register nahi ho sakta, Telangana High Court ka faisla. 

Telangana High Court ne ek important decision dete hue kaha ki sirf political criticism ya sakht words mein social media par di gayi opinion par criminal cases file nahi kiye ja sakte. Justice N. Tukaramji ne Durgam Shashidhar Goud ke khilaf file ki gayi teen FIRs ko cancel karte hue clear kiya ki agar koi post violence, hatred ya social disturbance create na kare to usko case banane ki wajah nahi maana jaa sakta. Court ne kaha ki political criticism ek citizen ka basic right hai jo Article 19(1)(A) ke under protected hai. Shashidhar Goud ne CM Revanth Reddy aur sarkar par social media ke zariye sakht comments kiye the jiske chalte unko cases ka samna karna pada aur 20 din jail mein rehna pada. Lekin Court ne kaha ki yeh sirf political opinion tha.

Justice Tukaramji ne kuch guidelines dete hue kaha ki defamation complaint sirf wahi person kar sakta hai jo directly affected ho. Police FIR register karne se pehle initial enquiry kare aur Public Prosecutor ki advice le. Sirf wahi posts punishable hongi jo violence ya hatred ko provoke karein. Political motives par based complaints ko turant close kiya jaye. Court ne saaf kaha ki government ya Chief Minister par criticism ko criminal case ki buniyad banana fundamental freedoms ki violation hai. Agar sach mein izzat ko nuksaan hua hai to Chief Minister ko khud personally complaint file karni chahiye.


City and Public Services

Hyderabad ke Old City mein municipality ki laparwahi, 6 saal ki bachchi manhole mein gir gayi. 

Hyderabad ke Old City mein municipal negligence ka ek serious incident samne aaya hai. Maula Ka Chilla area mein ek 6 year old ladki manhole mein gir padi. Ladki school ja rahi thi aur uske kandhe par school bag bhi tha. Khushkismati se paas hi ek lady maujood thi jisne turant bachchi ko drain se bahar nikal liya. Local logon ka kehna hai ki open manhole cover chhodne ki wajah se yeh accident hua. Affected bachchi ke parents aur area ke residents ne municipality officials ki negligence par sakht gussa dikhaya.

Revanth Reddy sarkar chala rahe hain ya circus?” Manhole incident par KTR ka sawal. 

BRS Working President K.T. Rama Rao ne Congress government ki negligence par sakht criticism kiya. Unhone kaha ki Revanth Reddy ki sarkar ne administration ko bilkul hawaale kar diya hai. Yakutpura mein ek chhoti bachchi ke khule manhole mein girne ke incident par KTR ne strong reaction diya. Unhone sawal uthaya, “Revanth Reddy sarkar chala rahe hain ya circus?”

KTR ne kaha ki sarkari departments ki negligence ki wajah se ek bachchi open manhole mein gir gayi. Khushkismati se uski jaan bach gayi, warna uske family par bada azaab toot padta. Unhone ilzam lagaya ki galti accept karne ke bajaye municipal related departments ek dusre par blame daal rahe hain. GHMC keh raha hai ki yeh Hydra ki galti hai, Hydra bol raha hai ki yeh Water Board ki zimmedari hai, jabki Water Board saaf keh raha hai ki iska unse koi lena dena nahi hai.

KTR ne kaha ki Revanth Reddy ne related departments ko sirf paisa kamane ka zariya bana diya hai, aur inke under departments ke beech bilkul coordination nahi hai. Iska nuksan sheher ki public ko uthana pad raha hai.


Community & Social Work

Salare Millat Auto scheme ka Nampally mein aagaz, zero down payment par provide kiya ja raha hai. 


MLA Majid Hussain ka bayan. Barrister aur President All India Majlis-e-Ittehadul Muslimeen aur MP Hyderabad ki hidayat par Janab Mohammad Majid Hussain, MLA Nampally ne Salare Millat Auto scheme ka elaan kiya. Majid Hussain ne media se baat karte hue bataya ki Nampally AIMIM ki taraf se naye autos zero down payment par diye ja rahe hain. Is scheme ke tehat ₹1 bhi dene ki zaroorat nahi hogi. Majid Hussain ne kaha ki jab unhone auto drivers se baat ki to unhone khushi dikhayi. Without down payment auto milne par woh khush hain. Auto drivers ka kehna tha ki rented autos chala kar mushkil se ₹500 kama paate hain. Aise mein Majlis ki taraf se without down payment auto provide karna unke liye na-mumkin lag raha tha. Majid Hussain ne kaha ki autos provide karne ke liye processing fees aur company ke liye initial fees AIMIM pay karegi. Auto ka complete owner banane ki zimmedari bhi li ja rahi hai. Nampally Majlis ke camp office Humayun Nagar se poori details li ja sakti hain. Applicants auto drivers ke paas license, Aadhar, bank details aur Nampally residence proof hona zaroori hai.

Infrastructure & Public Safety

Adilabad Collector Office ke slab ka kuch hissa gir gaya, khushqismati se koi nuqsan nahi

Telangana ke Adilabad Collectorate mein Jumerat ko ek sansanikhez waqeya samne aaya, jab imarat ki upar wali manzil ka kuch slab achanak gir gaya. Khushqismati se is haadse mein kisi ki jaan nahi gayi.

Ittilaat ke mutabiq slab dheere-dheere girna shuru hua to wahan maujood mulazimeen ne fauri taur par imarat se bahar nikal kar apni jaan bachayi. Yeh waqeya us waqt hua jab riyasati wazir Jupally ki janib se collectorate mein ek ijlas chal raha tha.

Is sabab se badi tadaad mein sarkari mulazimeen imarat mein maujood the, lekin sab log mehfuz rahe. Waqey ke baad tamam afraad ne sukoon ki saans li.


Food & Governance

Food Safety officers ke schools, hostels aur supermarkets par dhawe – kai khilafwarziyan samne aayi

Commissioner of Food Safety ki teams ne Government Residential Schools, Hostels, Mid-Day Meals, Private Restaurants aur Super Markets ka muayna kiya jismein kai khilafwarziyan pakdi gayi.

๐Ÿ‘‰ Kuch restaurants ke paas food license nahi tha aur woh masnavi rang ka istemal kar rahe the.
๐Ÿ‘‰ Teams ne ek aisa non-food grade canteen bhi dekha jo khane ka samaan zakhira karne ke liye istemal ho raha tha.
๐Ÿ‘‰ Miyad khatm hone wali dalen mili jinko foran zaya kar diya gaya.

Officials ne moong dal, kaale chane aur imli ke samples utha kar laboratory bheje taake quality check kiya ja sake.

Food Safety team ne sarkari schools, hostels aur mid-day meal centers mein bhi inspection kiya aur hifazat-e-sehhat se mutaalliq mashwara diya. KFC, hotels aur mithai ki dukaanein jaise kuch outlets mein bhi license ki kami aur masnavi rang ka istemal paya gaya.

In tamam jagahon ko notice jari kar diya gaya. Commissioner of Food Safety ne is karwai ka update apne X account par share kiya.


Education & Student Safety

Hanumakonda mein 10th class ke student ki maut – parents ne teachers par ilzam lagaya

Telangana ke Hanumakonda ziley ke Nayeem Nagar mein waqey ek private school mein afsosnak waqeya pesh aaya.

๐Ÿ‘‰ 10th class ka student, 15 saal ka Junaid, khel ke maidan mein khelte hue achanak zamin par gir pada aur wahin uski mout ho gayi.
๐Ÿ‘‰ Gawah ke mutabiq uske kaan aur naak se khoon nikal raha tha.
๐Ÿ‘‰ Use fauran hospital le jaya gaya, lekin doctors ne pohonchte hi use dead declare kar diya.

Parents ka ilzam:
Matufi talib-e-ilm ke walidain ka kehna hai ki teachers ne unke bachche ko shadeed mara-peeta, aur isi wajah se uski maut hui.

Abhi tak is waqeye par police aur school administration ki taraf se koi tafseeli bayan saamne nahi aaya.


Government & Recruitment

KTR ka Group 1 Exams dobara karane ka mutalaba, rishwat ilzamaat par aala tahqiqat ki bhi maang

BRS ke Working President KT Rama Rao (KTR) ne High Court ke faisle ke baad hukumat se Group 1 exams dobara karane ka mutalaba kiya hai. High Court ne haal hi mein Group 1 merit list ko mansukh kar diya tha.

๐Ÿ‘‰ KTR ne kaha ki exams ke in‘aqad mein bekayidgiyaan aur be-zabtiyan hui hain aur talba ke mutabiq is mein rishwat-khori tak shamil hai.
๐Ÿ‘‰ Social media par apne bayan mein KTR ne kaha ki talba ne is mamle par saboot bhi pesh kiye, lekin hukumat aur Telangana Public Service Commission ne hat-dharmi dikhayi.
๐Ÿ‘‰ Isi wajah se talba ko High Court se ruju karna pada, aur ab Court ne merit list rad kar di hai.

KTR ke mutalabaat:

  • Dobara Group 1 exams ka in‘aqad kiya jaye.

  • Rishwat-khori ke ilzamaat par aala satai tahqiqat ho.

  • Group 1 ki jaydadon aur Chief Minister ke daftar par lagne wale ilzamaat par hukumat wazahat kare.

  • Is issue par assembly ka khususi ijlas bulaya jaye.

KTR ne Congress par bhi ilzam lagaya ki ikhtedar mein aane ke ek saal ke andar 2 lakh mulazmat dene ka wada karne ke bawajood party ne talba aur berozgar naujawanon ko dhokha diya hai.


Crime & Security

Security Alert – Bodhan Youth Arrested

Telangana ke Bodhan mein ek naujawan ko Delhi Police ne giraftar kar liya hai. Us par ilzam hai ki woh ek special video call app ke zariye ek dehshatgard se rabta mein tha. Naujawan ko hirasat mein lekar Delhi transfer kar diya gaya hai, jahan usse mazeed puch-taach ki ja rahi hai.

๐Ÿ”น Khandani zaray ka kehna hai ki is naujawan ka kisi bhi dehshatgard tanzeem se koi lena dena nahi hai.
๐Ÿ”น Hal hi mein Delhi Police ne Jharkhand ke Ranchi mein dhamaka karne ki sazish ke ilzam mein Danish naam ke ek dehshatgard ko pakda tha.
๐Ÿ”น Uski tafteesh ke dauran hi Bodhan ke naujawan ka naam samne aaya, jiske baad police ne usse hirasat mein liya.

Police ka shuba hai ki dono mulzimeen ek video call app ke zariye contact mein the. Filhaal is mamle ki detail investigation jari hai.


National Lok Adalat – 13 September, Medak District

District Court Medak mein hui press conference mein Secretary District Legal Service Authority, R.S. Sambhavali ne bataya ki 13 September ko Medak district ki tamam adalaton mein National Lok Adalat ka in‘aqad hoga.

๐Ÿ‘‰ Awam se appeal ki gayi hai ki woh isse bharpoor fayda uthayein, kyunki is din mukhtalif qisam ke cases ki yaksoi (settlement) ki jayegi.

✅ Is Lok Adalat mein ye cases hal kiye ja sakte hain:

  • Musalahati (compromise) cases

  • Faujdari (criminal) matters

  • Check bounce cases

  • Traffic violation matters

  • Excise aur sharaab se mutaaliq cases

  • Azdwaji (matrimonial) disputes

  • Deewani (civil) muqadmat

  • Chit fund aur dusre pending cases – agar dono fareeq razi ho jayein

๐Ÿ‘ฉ‍⚖️ Secretary R.S. Sambhavali ne kaha ki muqadmat ke fareeq log is sunahre mauqe ka fayda uthayein aur apne cases ka amicable settlement karne ki koshish karein.


Police Commissioner C.V. Anand Reviews Security Plans for Milad, Dussehra & Other Festivals

Hyderabad Police Commissioner C.V. Anand ne kaha ki pehle (12–13 saal pehle) Ganesh tyohar ke baad exams khatm samjhe jaate the, lekin ab naye challenges hain – jaise Milad-un-Nabi ka juloos (14 September) aur Dussehra (23 September se) jismein Durga Mata ke buton ki sthapna aur mandapon ki tanseeb hoti hai.

๐Ÿ‘‰ Iske alawa Bathukamma, Dandiya aur Ravan Dahan jaise events bhi hone wale hain jahan logon ki badi tadad shamil hoti hai.

๐Ÿ‘ฎ‍♂️ C.V. Anand ne bataya ki shehar ki tamam police force aur officers ke saath ek lambi video conference ki gayi, jismein unhein hidayat di gayi ki:

  • Milad juloos (14 September)

  • Durga Mata sthapna (22 September tak)

  • Aur baqi tamam festivals

ke dauran security aur ehteyati iqdamaat ko mazboot banaya jaye.

✅ Conference ke dauran officers ne apni tayyariyan share ki aur Commissioner ne unhe Ganesh utsav aur pichle programs ke dauran behtareen performance ke liye mubarakbad bhi di.


Flood & Water Management – Gandipet Six Gates Opened

Balai ilaqon mein shadeed barish ke baad Usman Sagar (Gandipet) ka pani ka level zabardast barh gaya. Is surat-e-hal ko dekhte hue Water Board hukkaam ne project ke chhe darwaze 4 feet tak utha kar 2652 cusec pani ko Musa Nadi mein chhodna shuru kar diya.

๐Ÿ‘‰ Is waqt jheel mein 2000 cusec pani musalsal dakhil ho raha hai.
๐Ÿ‘‰ Darwaze khulne se Musa Nadi ka pani ka level bhi barh gaya hai.
๐Ÿ‘‰ Sailabi pani Narsingi aur Manchirevula ke darmiyan culvert ke upar se beh raha hai, jiske liye hukkaam ne aamad-o-raft dono taraf se band kar diya hai.

⚠️ Musa Nadi mein pani ke bahao mein tezi aane par Municipal, Revenue aur Police mehkaam nasheb ilaqon ke awam ko chaukas kar rahe hain aur ehteyati tadabeer ikhtiyar karne ki appeal kar rahe hain.


Court Orders: Aishwarya Rai’s Pictures Cannot Be Used Without Permission

Hal hi mein mashhoor adakara Aishwarya Rai ne Delhi High Court ka rukh kiya tha kyunki unki tasveer bagair ijazat istemal ki ja rahi thi.

⚖️ Aaj adalat ne faisla suna diya hai:

  • Ab se koi bhi shakhs Aishwarya Rai ki tasveer unki permission ke bagair use nahi kar sakta.

  • Adalat ne kaha ki tasveer ke galat istemal se na sirf mali nuqsan hua balki izzat aur shakhsi waqar bhi thes pohcha.

  • Aishwarya Rai ke tash’hiri aur zaati huqooq ki mukammal hifazat ki jayegi.

Ye faisla celebrities ke personal image rights ko mazbooti deta hai aur unauthorized use ko rokta hai.


Videsh Ki Khabrein

French Parliamentarians Demand Ban on Social Media for Users Under 15

Bachchon par social media ke galat asarat ko dekhte hue poori duniya mein tashweesh barh rahi hai.

๐Ÿ‡ซ๐Ÿ‡ท France ki Parliament committee ne 15 saal se kam umar ke bachchon ke liye social media par pabandi lagane ka mutalaba kiya hai.

  • Saath hi, 15 se 18 saal ke naujawanon ke liye raat mein digital curfew lagane ki bhi sifarish ki gayi hai.

Committee ne khandanon, social media experts aur maahir shakhsiyat ki gawahi ke baad yeh report tayar ki hai.

⚠️ Isse pehle France ke President Emmanuel Macron ke office ne bhi ishara diya tha ki bachchon aur naujawanon ke liye social media par restrictions lagayi ja sakti hain.

  • Wazeh ho ki Australia ne bhi 16 saal se kam umar ke logon ke liye social media par pabandi ke liye apna qanooni framework tayar karna shuru kar diya hai.

Ye move bachchon ki mental health aur digital safety ko madde nazar rakh kar kiya ja raha hai.


Antim Shabd:

Aaj ki khabrein hum sab ko yaad dilati hain ki suraksha, accountability aur civic awareness kitni zaroori hai. Chahe yeh wildlife safety ho, online services, school aur public safety, ya social media ke huqooq—har citizen aur hukumat ki zimmedari hai ki woh suraksha aur insaaf ko yaqini banaye. Logon ko chahiye ki woh hamesha chaukas rahein, zimmedari se kaam lein aur kanooni aur suraksha ke niyamon ka paalan karein. Hukumat aur awam milkar hi shehron aur riyasat ko surakshit, behter aur insaafi bana sakte hain.


Kuch apke related News Article



Adhaar Number se Ration Card Status 



Pm Viksit Bharat Youjna 2025 



Ai Clone aur Deepfake Scam se kaise bache





Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur YouTube video ka content credit pura Shaik Omer ko jata hai. Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.

๐Ÿ”— Connect With Bharat Batao

๐Ÿ–Š️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.

๐Ÿ“Œ Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources

๐Ÿ‘‰ More Updates:
๐Ÿ”— Sarkari Updates | Scam Report | Career & Jobs | Weather Alerts
๐Ÿ” Related Search Keywords:
Telangana latest news 2025, Hyderabad news blog, Telangana monsoon updates, Telangana Secretariat internet news, Old City Hyderabad incidents, KTR latest updates, Group 1 exams news, Revanth Reddy government update, Adilabad Collectorate news, Food Safety Telangana raids, GST food delivery update, Hanumakonda student death news, Bodhan youth arrest news, Medak Lok Adalat 2025, Hyderabad festival security updates, Gandipet flood alert, Aishwarya Rai image rights case, MP CM Dr. Yadav initiatives, French social media law news, Bharat Batao Telangana blog

Comments