News Round-up Ek Nazar ma
Hyderabad se lekar Delhi aur America tak aaj ki badi khabrein – Miyapur mai HMDA ne unchi imarat gira di, KTR ne Revanth Reddy par BJP se rishton ka ilzaam lagaya, Andhra Pradesh ke mandir mai bhagdad se 10 log halak, Delhi ka naam Indraprastha rakhne ki maang, RBI ne bataya ₹2000 ke 98% note waapas, aur America mai sone ke toilet ki neelami hone wali hai.
Telangana aur Hyderabad ki Kharein
Hyderabad Mein Mausam Normal Hua
Baarish Ka Silsila Ruka, Shehar Mein Raahat
Hyderabad mein baarish ka silsila ab ruk gaya hai aur mausam normal ho gaya hai. Pehle kuch dinon se chal rahi lagataar baarish ab kam ho gayi hai, jisse shehar ke logon ne raahat ki saans li hai.
Samandari Toofan Mantha Kamzor Pada
IMD ke mutabik, samandari toofan Mantha ab kamzor pad gaya hai aur Telangana se door chala gaya hai. Isi wajah se shehar mein baarish ka zor dheere dheere kam hua.
Rozmarra Ki Zindagi Dobara Raftaar Mein
IMD ne bataya hai ki Hyderabad ke liye ab koi nayi mausam warning jaari nahi ki gayi hai. Iske baad shehar mein rozmarra ke kaam phir se normal raftaar se chalne lage hain.
Jeddah Se Hyderabad Aane Waale Plane Mai Bomb Ki Khabar
Indigo Flight Par Bomb Threat Ka Email Mila
Saudi Arab ke Jeddah se Hyderabad ke Shamshabad Airport aane waale Indigo plane mai bomb hone ki khabar mili. Yeh ittla ek email ke zariye authorities tak pahunchi, jiske baad fauran action liya gaya.
Emergency Landing Mumbai Mai
Surakhya ke madde nazar plane ko Shamshabad Airport ke bajaye Mumbai Airport par utaarne ka faisla liya gaya. Plane jaise hi Mumbai pohcha, wahan Bomb Squad, Police aur Airport Security staff ne mil kar flight ki poori talaashi li.
Sab Control Mai, Investigation Jaari
Initial reports ke mutabik sab kuch control mai hai aur abhi tak koi khatarnaak cheez nahi mili hai. Authorities ne kaha hai ke investigation jaari hai aur har pehlu se jaanch ki ja rahi hai.
Hyderabad Metro: Timing Mein Tabdeeli Ka Elan
Ab Metro Sirf Raat 11 Baje Tak Chalegi
Hyderabad Metro Rail ne apne operation timings mein tabdeeli ka elan kiya hai. Ab Metro Train subah 6:00 baje se lekar raat 11:00 baje tak hi chalegi. Pehle Metro ka timing subah 6:00 baje se raat 11:45 tak hota tha, lekin ab ise 45 minute pehle band karne ka faisla liya gaya hai.
3 November Se Naye Timings Lagu Honge
Hyderabad Metro Rail ke mutabik yeh naye timings 3 November se lagu honge. Is faisle ka asar un musafiron par padega jo der raat apni manzil ke liye ravana hote hain.
Musafiron Ko Ho Sakti Hai Pareshani
Metro ke 45 minute pehle band hone se raat 11:00 ke baad safar karne wale logon ko thodi mushkil ka saamna karna pad sakta hai. Authorities ne kaha hai ki yeh faisla operational reasons aur safety ko dekhte hue liya gaya hai.
Hyderabad: Ghair-Kanooni Imarat Girai Gayi
HMDA Ki Kaarvayi Miyapur Mein
Hyderabad ke Miyapur area ke Survey Number 100 mein ek unchi imarat ko HMDA ne gira diya. Yeh imarat ghair-kanooni taur par taamir ki gayi thi. Muqami logon ne HMDA ko shikayat di thi ki survey numbers badal kar illegal construction ki gayi hai.
Ghair-Kanooni Taamir Par Action
Jaankari ke mutabik, taamir karne walon ne HMDA ki hisaarbandi hata kar building banana shuru kar diya tha. Jab HMDA ko is baat ka pata chala, to unhone foran action lete hue building ko gira diya.
Police Security Ke Beech Operation
Demolition ke dauran site par HMDA ke officers ke saath bhaari police force bhi maujood thi taaki koi afra tafri na ho. Poora operation HMDA ki nigrani mein safe tareeke se anjaam diya gaya.
CM Revanth Reddy: Samaj Ke Har Tabqe Ki Taraqi Ke Liye Hai
Hukumat Ka Commitment Taraqqi Aur Welfare Ke Liye
Chief Minister Revanth Reddy ne kaha ki Telangana ki Congress hukumat samaaj ke har tabqe ki taraqqi aur welfare ke liye poori tarah committed hai. Unhone kaha ki hukumat apne sab vaadon ko ek ek karke poora kar rahi hai. Unhone bataya ki Mohammed Nazaruddin ko cabinet mein shaamil karne ka vaada bhi poora kiya gaya hai, jiske khilaf BJP aur BRS ne aitraaz uthaya hai.
Kamzor Maali Halaat Ke Bawajood Vaadon Par Amal
CM Revanth Reddy ne kaha ki Telangana ke maali halaat mushkil hone ke bawajood Congress apne vaadon ko amli jaama pehna rahi hai. Har ek promise par kaam ho raha hai aur awaam se jo kaha gaya tha usay nibhaaya jaa raha hai.
Borabanda Mein Corner Meeting Mein CM Ka Khitaab
Chief Minister ne Jublie Hills ke Borabanda area mein Congress ke candidate Naveen Yadav ki election campaign ke dauran corner meeting mein ye baatein kahi. Unhone kaha ki BRS aur BJP ke beech ek secret alliance hai aur dono milkar Telangana ki taraqqi mein rukaavat ban rahe hain.
BRS Par Hamla Aur Jublie Hills Ki Siyasat
Revanth Reddy ne kaha ki 10 saal tak hukoomat mein rehne ke bawajood BRS ne Jublie Hills ke liye koi kaam nahi kiya. Is wajah se awaam ne BRS ko reject kar diya hai. Unhone kaha ki car ab shed tak pahunch chuki hai aur ab uska wapas aana mumkin nahi.
Congress Candidate Par Bharosa Aur Appeal
CM ne kaha ki Jublie Hills ke logon ne pehle M Gopinath ko teen baar elect kiya lekin unhone awaami masail hal nahi kiye. Ab Congress ne by-elections mein ek naujawan leader ko candidate banaya hai jo awaam se appeal karte hain ki unhe bhaari majority se jeet dilayein. CM ne wada kiya ki Congress ki jeet ke baad Jublie Hills ko misaali halqe ke taur par develop kiya jayega.
Sadak Haadse Ke Baad 3 KM Tak Traffic Jam
Malkajgiri Mein Traffic Ka Bura Haal
Zila Medchal Malkajgiri mein ek sadak haadse ke baad lagbhag 3 km tak traffic jam ho gaya. Kal raat Malkajgiri ke Hakimpet ilaake mein Rajiv Rahdaari par ek bus ka steering toot gaya tha.
Driver Ki Alertness Se Tal Gaya Haadsa
Bus ka steering fail hone ke bawajood driver ne samay par control kar liya aur badi musibat se haadsa tal gaya. Bus ko kisi tarah rukwa liya gaya jisse bade nuksaan se bacha jaa saka.
Traffic System Mein Khalal Aur Police Ki Action
Is incident ke baad Rajiv Rahdaari par traffic system puri tarah se bigad gaya aur lambe samay tak 3 km tak gaadiyan line mein fasi rahi. Baad mein police wahan pahunchi aur poori mehnat se traffic ko normal kar diya.
Ab Joote Chappal Bhi Mehfooz Nahi Rahe
Shehar Mein Chappal Chor Gaye Sargaram
Shehar mein ab qeemti saamaan ke saath-saath joote aur chappal bhi mehfooz nahi rahe. Zaraye ke mutabik, Albi Nagar ke Omkar Nagar aur Shakti Nagar ilaake mein chappalon ke chor sargaram hain.
Raat Ke Waqt Chori Ka Waqiya
Mangal ki raat der raat choron ne char alag jagahon aur ek apartment ke saamne rakhe hue joote chappal chura liye. Yeh saara manzar CCTV footage mein qaid ho gaya hai.
CCTV Footage Se Pehchaan Mushkil
Footage mein dekha gaya ki chor apne chehre par mask pehne hue the jisse unki pehchaan mushkil ho gayi. CCTV video viral hone ke baad muqami logon mein khauf aur pareshani ka mahaul paaya jaa raha hai.
Election Commission Se KTR Ke Khilaaf Action Ki Maang
Punnam Prabhakar Ne KTR Par Ilzaam Lagaya
Riyasati Wazir-e-Transport Punnam Prabhakar ne Election Commission se demand kiya hai ki woh KTR ke khilaaf action le. Unhone kaha ki KTR ne voters ko ek vote ke badle ₹5,000 lene ka mashwara diya hai, jo election rules ka saaf tor par ulanghan hai. Punnam Prabhakar ne kaha ki Election Commission ko is bayan ka khud jaayza lena chahiye aur KTR ke khilaaf muqadma darj karna chahiye.
BRS Par Paisa Laga Kar Vote Kharidne Ka Ilzaam
Punnam Prabhakar ne social media par ek video jaari karte hue kaha ki BRS ne apne 10 saal ke daur-e-hukumat mein ghair-kaanooni tareeqe se daulat kamayi aur us paisa se vote khareede. Ab wahi ilzaam BRS Congress par laga rahi hai, jise Congress sakhti se reject karti hai. Unhone yaad dilaya ki Huzurabad ke by-election mein BRS ne ek vote ₹6,000 mein khareeda tha.
Congress Ka KTR Ke Bayan Par Shikayat Ka Faisla
Punnam Prabhakar ne kaha ki Congress party KTR ke in remarks ke khilaaf Election Commission mein shikayat karegi. Unhone kaha ki KTR ke bayan voters ko gumrah karne wale hain aur unke khilaf kanooni karwai zaroori hai.
Jublie Hills Mein Congress Ki Lehar Se BRS Pareshan
Unhone kaha ki Jublie Hills mein Congress ki lehar chal rahi hai aur isi wajah se KTR aur BRS khaufzada hain. Congress ki badhti popularity dekhkar KTR jhoothe aur be-buniyad ilzaam laga rahe hain. Punnam Prabhakar ke mutabik, Jublie Hills ke log ba-shaoor hain aur unhe maloom hai kisne unke liye kaam kiya.
Congress Ka Do Saala Daura BRS Ke 10 Saalon Se Behtar
Punnam Prabhakar ne daawa kiya ki Congress ke do saal ka hukoomat ka daur BRS ke 10 saal ke daur se zyada behtar aur awaam ke haq mein raha hai.
KTR: Welfare Scheme Band Karne Ki Dhamki Dena confusion
Revanth Reddy Par KTR Ka Hamla
BRS ke Working President K T Rama Rao ne kaha ki Chief Minister Revanth Reddy frustration ka shikaar ho gaye hain. Unhone kaha ki Revanth Reddy khud ko ek jung jeetne waale baadshah samajh rahe hain aur voters ko dhamka rahe hain ke agar unhone BRS ko vote diya to welfare schemes band kar di jaayengi. KTR ne kaha ki is tarah ki dhamkiyon ka awaam muh tod jawab degi.
Defeat Ka Khauf Aur Corruption Ke Ilzaam
KTR ke mutabik, haar ke darr se Chief Minister awaam ko dhamkane lage hain. Unhone kaha ki Congress ke do saal ke daur-e-hukumat mein corruption ke naye records bane hain. Congress ka tareeqa hamesha se aisa raha hai — intakhabaat mein vaade karna aur jeetne ke baad unhe bhool jaana.
Dhamkiyon Ka Naya Trend Aur Jublie Hills Ki Siyasat
KTR ne kaha ki ab Congress ke leaders welfare schemes ka hawaala dekar voters ko dara rahe hain. Unhone kaha ki Chief Minister Revanth Reddy ko Jublie Hills mein Congress ki shikast ka andaaza ho gaya hai, isliye gundagardi aur dhamkiyan shuru kar di gayi hain.
Congress Ke Umeedwaron Par Ilzaam
KTR ne yaad dilaya ki pehle Congress ke candidate Naveen Yadav ne voters ko dhamki di thi ke agar unhone vote nahi diya to woh Jublie Hills mein nahi reh sakte. Ab Chief Minister ne welfare schemes band karne ki dhamki dekar naya record banaya hai. KTR ne kaha ki in dhamkiyon se ab koi farq nahi padne wala.
BRS Ki Jeet Ka Daawa
KTR ne kaha ki jitna Congress voters ko daraane ki koshish karegi, utna hi zyada BRS ki aksariyat badhegi. Unhone kaha ki Congress ne awaam se kiya koi bhi vaada poora nahi kiya. Ab Jublie Hills mein Congress ki shikast ke baad hi hukumat ko apni ghalti ka ehsaas hoga. KTR ne awaam se appeal ki ki woh BRS ko bhaari aksariyat se jeet dilayein.
Telangana: Congress Workers Ka BRS Office Par Hamla
Mulugu Mein Political Clashes
Telangana ke Mulugu mein Congress workers ne BRS party ke office par hamla kar diya. Unhone aag lagakar jhanda badal diya. Baddha Kottam zille ke Mulugu mein Congress aur BRS workers ke beech takraav ka waqiya samne aaya hai. Milne wali jaankari ke mutabik, Congress ke workers ne BRS ke office par attack kiya.
Office Mein Tod Phod Aur Aag
Attack karne wale logon ne office ke andar tod phod ki, furniture ko aag laga di aur compound mein lage flex boards faad diye. Uske baad unhone BRS office par kabza karte hue Congress ke rang aur jhanda laga diya. Yeh bhi bataya ja raha hai ki woh log pehle se hi apne saath Congress ke stickers, flex aur rang lekar aaye the.
Aag Se Nuksaan Aur Tension Ka Mahaul
Is dauran lagi aag ke chalte aas paas ke gharon mein short circuit hua jisse kuch gharon ka samaan bhi kharab ho gaya. Waqiya ke baad poore ilaake mein tension fail gayi aur mahaul garam ho gaya.
Fees Na Dene Par Private Colleges Band Karne Ka Faisla
Hukumat Par Federation Ka Dabao
Telangana ke Private Professional Colleges Federation ne elaan kiya hai ki agar hukumat ne kal tak fees reimbursement ke arrears jaari karne ka faisla nahi liya, toh 3 November se rajya bhar ke private colleges ko anishchit samay ke liye band kar diya jaayega.
Fees Reimbursement Arrears Par Narazgi
Federation ke mutabik, hukumat ne kai mahino se fees reimbursement ke paise release nahi kiye hain jisse colleges ko financial mushkilen ho rahi hain. Unhone kaha ki baar baar hukumat ko yaad dilane ke bawajood ab tak koi positive response nahi mila.
3 November Se Shuru Hogi Hartal
Federation ne spasht kaha hai ki agar arrears jaari karne ka faisla turant nahi liya gaya toh 3 November se poore Telangana mein private professional colleges bandh rahenge jab tak unki maang poori nahi hoti.
Desh ki Khabrein
Andhra Pradesh Mandir Mai Bhagdad, 10 Logon Ki Maut
Srikakulam Mai Khaufnaak Haadsa
Andhra Pradesh ke Srikakulam zille mai ek afsosnaak haadsa pesh aaya. Kashi Boga ke Sri Venkateswara Swamy Mandir mai hafte ke din bhagdad machne se 10 devotees ki maut ho gayi aur kai log zakhmi hue.
Bheed Badhne Se Macha Hungama
Yeh waqya Ekadashi ke mauke par us waqt hua jab mandir mai devotees ki taadaad achanak badh gayi. Bheed ke dabao aur afra-tafri ke beech kai logon ka dum ghut gaya aur kuch log mauke par hi halak ho gaye.
CM Naidu Ne Izhar-e-Gham Kiya
Chief Minister Chandrababu Naidu ne is haadse par gehre dukh ka izhar karte hue marne walon ke khandan se ta’aziyat ki aur zakhmiyon ko behtareen ilaaj dene ke liye hukumat ko hidaayat di.
Delhi Ka Naam Badalne Ki Koshish
Proposal aur Demand
Ab Delhi ka naam badalne ki koshish chal rahi hai. VHP ne Qaumi Darul Hukumat ka naam Indraprastha rakhne ki darkhwast ki. Yeh demand itni hi simit nahi rahi balki is par polity mein bahas shuru ho gayi.
Praveen Khandelwal Ka Khat
BJP ke rukun Parliament Praveen Khandelwal ne bhi Union Home Minister Amit Shah ko khat likh kar yeh guzarish ki. Unka kehna hai ki Indraprastha naam se shehar ki history aur culture ki jadain zinda hongi. Unhone is badlav ke faide bayan kiye.
Station aur Airport Ke Naam Badalne Ki Mang
Praveen Khandelwal ne Purani Delhi Railway Station aur International Airport ke naam badalne ki bhi maang uthayi. Unka kehna hai ki desh ke dusre tareekhi shehron ke naam unki jadon ke mutabiq badle gaye hain. Toh Delhi ko bhi apna asli ya purana naam milna chahiye.
₹2000 Ke 98.37% Notes Waapas Ho Gaye: RBI
Notes Ki Vaapsi Ka Aakhri Haal
RBI ke mutabik ₹2,000 ke lagbhag 98.37% notes bazaar se waapas ho chuke hain. May 2023 mai Reserve Bank ne ₹2,000 ke notes ko circulation se nikalne ka faisla kiya tha. Us waqt bazaar mai ₹3.56 lakh crore ke notes maujood the.
Rakam Mai Badi Kami
RBI ki taaza report ke mutabik 31 October tak ₹2,000 ke notes ki total value ghatkar ₹5,817 crore reh gayi. Matlab zyada-tar logon ne apne notes jama kara diye hain aur system mai ab sirf chhoti rakam bachi hai.
Abhi Bhi Mauka Hai Jama Karne Ka
Jo ₹2,000 ke notes ab bhi logon ke paas hain, unhe RBI ko bhejkar bank accounts mai jama karwaya jaa sakta hai. RBI ne spasht kiya hai ki abhi bhi logon ke paas apne notes wapas karne ka poora mauka hai.
Videsh ki Khabrein
America Mai Sone Ke Toilet Ki Neelami
Duniya Ka Sabse Mehenga Toilet Bikne Ko Tayyar
America mai ek sone ka toilet neelami ke liye rakha gaya hai. Iski bidding $10 million US Dollar se shuru hogi. Yeh duniya ka sabse mehenga toilet mana jaa raha hai. Is sone ke toilet ko Italian artist Maurizio Cattelan ne design kiya tha.
Ek Artistic Aur Functional Design
Neelam ghar ke mutabik yeh ek artistic creation hai lekin poori tarah se roz-marra ke istemaal ke liye bhi suitable hai. Log isse ek art piece ke saath-saath functional toilet ke taur par bhi dekh rahe hain.
2019 Ka Mashhoor Golden Toilet Yaad Aaya
Kaha jaa raha hai ki yeh toilet us mashhoor Golden Toilet jaisa hai jo 2019 mai England ke Blenheim Palace se chori ho gaya tha. Dono designs mai kaafi similarities batayi jaa rahi hain.
Neelami Ki Tareekh Aur Qeemat
Sone ke is toilet ki neelami 18 November ko New York mai hogi. Iska weight 101.2 kg hai aur isi ke sone ki value ke hisaab se iski ibtedaai qeemat $10 million tak rakhi gayi hai.
Antim shabdYeh sab khabrein dikhati hain ke siyasat se le kar samaj tak, har jagah halchal jari hai — kahin imaaratein gir rahi hain, kahin siyasat garam hai, aur kahin duniya sone ke toilet tak pahunch gayi hai. Dekhna yeh hai ke agla din kya naye mor laata hai!
Related Post:
  🖊️ About the Author
  Bharat Batao Team
  Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.
 
 Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.📌Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:
 - Hyderabad HMDA demolition
  - Mulugu BRS office attack
  - CM Revanth Reddy
  - KTR bayaan
  - Jublie Hills election
  - Aadhar card naya nizaam
  - UIDAI online updates
  - Aadhar PAN link
  - Hyderabad Metro timing
  - Private colleges band
  - Malkajgiri traffic jam
  - Srikakulam mandir stampede
  - ₹2000 notes RBI update
  - Golden toilet auction
  - Jeddah Hyderabad plane bomb threat
  - Joote chori incidents
  - Hyderabad mausam update
 - News Round-up Ek Nazar ma 
 - Easy Hinglish news 
 - Hindi hinglish news
  
 
Comments
Post a Comment