10

Desh duniya ki khabrein: Telangana Bus, Odisha ke Bachche Maut, UP Wazir Bayan, Japan Aag

News Round-up Ek Nazar ma

Telangana aur Hyderabad ki Khabrein


Telangana mein Kaveri Travels ki bus se achanak dhuan uthne par musafir raat bhar pareshaan rahe, Odisha mein chips packet ka khilauna nigalne se 4 saal ke bachche ki maut ho gayi, UP ke Wazir Raghuraj Singh ke mutanaaza bayaan par hungama macha, BJP leader Shahnawaz Hussain ne kaha ki Musalmanon ke liye Modi se behtar rahnuma nahin,Japan ke Saganoushi mein aag se 170 se zyada imaaratein jal kar tabah ho gayi. Sub news ek jagah in Simple hinglish mein.


Telangana bus se dhuan, Odisha mein bachcha ka khilauna nigalna, UP Wazir Raghuraj Singh ka mutanaaza bayaan aur Japan Oita mein bhayanak aag ka drishya.




Hyderabad Mein Sardi Aur Kohar Ka Asar

Shehar Ke Ilaqon Mein Ghani Kohar

Hyderabad ke kai ilaqon mein sardi ke saath ghani kohar dekhi gayi. Shahpur, Medchal, BHEL, RC Puram aur University of Hyderabad ke aas paas kohar ki wajah se subah ki rawangi dheemi nazar aayi. Aam taur par mashroof sadkon par aaj khamoshi ka mahaul tha.

Walkers Aur Joggers Ki Sargarmiyaan

Sardi aur kohar ke bawajood kai afraad subah ki sair aur jogging ke liye parkon aur sadkon ka rukh karte dikhe. Yousufguda ke Krishna Kanth Park ke bila shumool kai parkon mein walkers ne kohar kam hone ke baad hi apni routine shuru ki. Is dauraan chai aur coffee peene waale logon ki tadaad mein bhi izaafa dekha gaya.

Zaeef Shehriyon Ki Ehtiyaat

Tez sardi aur kohar ki wajah se zaeef shehriyon ne ehtiyaat ko tarjeeh di aur apni sargarmiyan had tak mehsood rakhi. Unhone subah ki thand se bachne ke liye bahar nikalne ka waqt badla.

Police Ka Ehtiyaati Mashwara

Kohar ke pesh e nazar shehar ke teenon Police Commissionerates ne motorists ko ehtiyaat baratne ka mashwara diya hai. Police ne kaha ki gaadi chalaney waqt low beam headlights istemaal karein aur high beam se gurez karein. Fog waale ilaqon mein daakhil hote hi fog lights on karne ki talqeen bhi ki gayi.


Khawateen Ke Liye Muft Courses Ka Aagaaz

Har Umar Ki Khawateen Ke Liye Mauqa

Princess Zahera Women Empowerment Center ki taraf se har umar ki khawateen ke liye mukhtalif muft courses ka ehtemaam kiya gaya hai. Yeh courses 3 mahine ke honge aur takmeel ke baad certificate bhi diya jaayega.

Taleemi Aur Skill Based Courses

In courses mein Pre Primary Teachers Training, MS Office, Calligraphy, Online Offline Urdu aur Online Offline 100 Roza Deeni Course shaamil hai. Is Deeni Course mein 20 Suraton ki Tafseer, 40 Ahadith, 20 Duaayein aur Fiqah aur Tajweed ka dars diya jaayega.

Cooking Fitness Aur Wellness Sessions

Center ki taraf se muft pakwaan classes offline, muft fitness session offline, wellness session online aur offline aur Tafseer online ka bhi ehtemaam kiya gaya hai. Library ki sahulat bhi faraham ki jaayegi.

Kazipura Mein Jamaatein

Yeh tamaam classes Kazipura mein chalayi jaayengi.


Bus Acid Ke Tanker Se Takra Gayi 
Bada Hadsa Tal Gaya

Mahbubnagar Mein Khauf Ka Lamha

Telangana ke zille Mahbubnagar mein ek bada hadsa tal gaya. Ek private travel ki bus ne Jumerat ki subah Mahbubnagar Jatacharla ke qareeb Macharam flyover par Hydrochloride Acid le jaane wale tanker ko takkar de di. Is takkar ke baad musafiron mein khauf ki lehar daud gayi

Saare Musafir Mehfooz Rahe

Hukkam ke mutabiq tamaam musafir mehfooz rahe. Bus mein lagbhag 40 musafir safar kar rahe the. Bus Andhra Pradesh ke Chittoor se Hyderabad aa rahi thi. Bus ne peeche se tanker ko takkar di jiske natije mein Hydrochloride Acid sarak par beh gaya aur muqami ilaaqe mein dhuan phail gaya

Driver Ki Tezi Se Ki Gayi Harkat

Bus driver ne chaukasi dikhate hue foran tamaam musafiron ko utar diya. Kuch musafir emergency exit se bahar nikal aaye. Is hadse mein chand afraad ko halki choten aayi. Reports ke mutabiq hadse ke baad aag nahi lagi aur isi wajah se ek bada hadsa tal gaya. Fire tenders mauke par pahunche aur mulazmeen ne surte haal par qabu pa liya

Highway Par Traffic Mutasir Hua

Hadse ke baad National Highway Number 44 par traffic mutasir hua. Hukkam ne hadse ka shikar bus ke musafiron ko doosri bus mein Hyderabad muntaqil kar diya


Mutasireen Ke Ahlekhana Jiddah Pahunche

Ahlekhana Ka Jiddah Safar

Saudi Arab mein rava hafte pesh aaye khaufnaak sadak hadse ke mutasireen ke ahlekhana Chaar Shambe ki subah Jiddah pahunche. Telangana Haj Committee ne Mangal ki raat 35 afraad aur committee ke teen ohdedaaron ke liye safar ka intezam kiya. Yeh sab woh log hain jo hadse mein jaabahak hone walon ke qaribi rishtedaar hain

Mazid Afraad Ka Rawana Hona

Telangana Haj Committee ke Chairman Syed Ghulam Afzal Biyabani Khusro Pasha ne bataya ki mazeed aath afraad aaj ya kal Saudi Arab rawana honge. Yeh parwaazon ki dastiyabi par inhesaar karta hai. Saudi Arab pahunchne ke baad mutasir khandaanon ke afraad ka DNA test kiya jaayega. Inke namune hadse mein jhulaskar naqaabile shanakht hone wali lashon se liye gaye DNA se milaye jaayenge. Shinakht ki tauzeeq ke baad marhumeen ki tadfeen Saudi Arab mein hi ki jaayegi

Marhumeen Ki Tadfeen Ka Imkaan

AIMIM ke MLA Mohammad Majid Hussain ne bataya ki zyada imkanaat hain ki marhumeen ki tadfeen Jannat ul Baqi mein ki jaayegi jo Madinah Munawwarah ka qadeem aur tareekhi qabristan hai

Muawze Aur Madad Par Baat Cheet

Saudi Hukumat ki taraf se abhi tak mutasireen ke liye kisi muawze ka elaan nahin hua. Wazir e Aqaliyati Umur Mohammad Azharuddin Principal Secretary B Shafiullah aur MLA Majid Hussain par mushtamil teen rukni waft Saudi Hukkam se mulaqat karke insurance aur maali madad ke maamle par baat cheet karega aur is hawale se agla elaan karega.


Governor Ki Qayadat Mein Waft Saudi Arab Rawana

Hindustan Ka Aala Satahi Waft Saudi Arab Pahuncha

Saudi Arab ke shehar Madinah Munawwarah ke qareeb 17 November ko Hyderabad ke Umrah zaairin ke bus hadse ke baad relief karwaiyon ki nigraani ke liye Andhra Pradesh ke Governor Justice S Abdul Nazeer ki qayadat mein Hukumat e Hind ka aala satahi waft aaj Saudi Arab rawana hua. Wizaarat e Kharija ki taraf se tashkil kiya gaya yeh waft Saudi Hukkam aur khaas taur par Wizaarat e Haj Umrah ke saath rabte mein rehkar imdaad iqdamaat aur marhumeen ke aakhri rasumaat ke amal mein taawun karega. Waft mein Wizaarat e Kharija ke Secretary Arun Kumar Chatterjee bhi shaamil hain

Embassy Aur Consulate Ka Kaam

Wizaarat ke mutabiq Riyadh mein Bhartiya Sifarkhana aur Jiddah mein Qonsalkhana mutasireen ki shinakht ke amal ko tez karne ke liye muqami hukkam ke saath milkar kaam kar rahe hain. Saath hi mutasir khandaanon ke Saudi safar mein bhi sahulat faraham ki ja rahi hai

Telangana Haj Committee Ki Governor Se Mulaqat

Isi dauraan Telangana Haj Committee ke Sadarnashin Khusro Biyabani aur Timris ke Sadr Faheem Qureshi ne Governor S Abdul Nazeer se mulaqat ki aur hadse ke baad Telangana Hukumat ki taraf se jaabag afraad ki shinakht aur tadfeen ke liye kiye jaane wale iqdamaat se waqif karwaya

Zaairin Ka Safar Aur Hadsa

Yeh baat waazeh hai ki Hyderabad ke mukhtalif tour operators ki taraf se 54 afraad 9 November ko Umre ki adaigi ke liye Makkah rawana hue the. Umre ke baad 54 mein se 4 afraad alag se car ke zariye Madinah rawana hue jabki mazeed 4 zaati wajuhaat ki wajah se Makkah mein ruk gaye. Baaqi 46 zaairin us bus mein sawaar the jo hadse ka shikar hui. Hadse mein bus mukammal taur par jal gayi aur 46 mein se 45 afraad mauke par hi jaabag ho gaye. Sirf ek shakhs Mohammad Abdul Shoaib zinda bach paaye.


Jume Ke Mauke Par Ijtemaai Dua e Maghfirat Ki Appeal

Masaajid Ki Committees Se Darkhwast

Mohtamid Sirajul Ulama Academy Maulana Mohammad Zamauddin Husami ne riyasat Telangana aur deegar riyasaton ki tamaam masaajid ki intezami committees se appeal ki hai ki woh Jume ke mauke par apni masaajid mein Namaz e Juma ke baad Madinah Munawwarah ke qareeb pesh aaye sadak hadse mein riyasat Telangana ke shehar Hyderabad aur deegar shehron ke shaheed Umrah zaaireen ke liye ijtemaai taur par Dua e Maghfirat ka elaan karein. Saath hi unke rishtedaaron ke liye sabr e jameel aur zakhmi hone walon ke liye jald sehatyabi ki dua ki jaaye

Shohada Ke Khandaan Se Hamdardi

Maulana Husami ne kaha ki is waqt sab ki zimmedari hai ki hum shohada ke khandaan ke gham mein shareek hote hue duaon ke zariye unki madad karein. Allah Taala in sab ki shahadaton ko qabool farmaye aur apne fazl se unhein jannat mein aala muqaam ata farmaaye.


Telangana Ke 1 Crore Khawateen Ma Saadiyon Ki Taqseem

Indira Gandhi Ki Youm e Pedaish Par Program Ka Aagaaz

Chief Minister Revanth Reddy ne riyasat ki 1 crore khawateen mein 1 crore saadiyon ki taqseem ke program ka aagaaz kiya. Saabiq Wazir e Azam Indira Gandhi ki youm e pedaish ke mauke par Chief Minister ne Necklace Road par waqe Indira Gandhi ke mujassame par gul e aqidat pesh kiye aur khawateen mein saadiyon ki taqseem shuru ki

Women Empowerment Ke Tehat Scheme Ki Shuruaat

Women empowerment ke tehat hukumat ne gareeb aur mustahiq 1 crore khawateen ko miyaari saadiyon ki taqseem ka faisla kiya hai. Chief Minister ne kaha ki scheme ka aagaaz Indira Gandhi ki youm e pedaish par kiya ja raha hai jiska amal do marahil mein hoga. Unhone bataya ki pehle marhale mein dehi ilaqon ki khawateen mein Indiramma saadiyan taqseem ki jaayengi aur 9 December ko Telangana Tali mujassime ki taseem ke din pehla marhala mukammal hoga. Shehri ilaqon ki khawateen mein 1 March se 8 March tak Bain ul Aqwami Youm e Khawateen ke mauke par 65 lakh saadiyan taqseem ki jaayengi

Saadiyon Ki Taiyaari Aur Marahil

Unhone kaha ki Sircilla ke handloom workers ko saadiyon ki taiyaari ki zimmedari di gayi hai aur 1 crore saadiyon ki taiyaari mein waqt lag sakta hai. Isi liye pehle marhale mein dehi ilaqon ki khawateen mein taqseem ka amal shuru kiya jaayega


Income Tax Dave ₹5 Crore Bramad, Biryani Hotels Par Karwai

Hotel Malik Ke Ghar Se Badi Raqam Zabt

Income Tax Department ne mashhoor biryani hotels ke maalikon ke gharon par daave kiye, jismein ek hotel malik ke ghar se lagbhag ₹5 crore cash baramad hua hai. Yeh karwai tax aur business records ki jaanch ke silsile mein ki gayi.

Pehle Bhi Kai Hotels Par Talashi

Isse pehle Pista House, Mehfil aur Shah Ghouse jaise bade naamon par bhi IT hukkam ne talashi li thi. In talashiyon ke dauran officials ne kaafi hard disks, documents aur business transactions se mutalliq record zabt kiya.

Online Orders Ki Tafseelat Ghaib

Investigation se yeh bhi maloom hua ki in hotels mein online orders se mutalliq sahi details maujood nahi thi, jo IT department ke liye shuba  ka bais bani.

30 Muqamaat Par Badi Karwai

Kal ki is bade operation mein 30 locations par daave kiye gaye jismein 35 se zyada IT teams hissa leti nazar aayi. Karwai abhi jaari hai aur kuch aur aham khulasaat samne aane ki umeed hai.


Telangana Mein Shadeed Sardi: Yellow Alert Jaari

Sangareddy, Medak, Kamareddy Samet Kai Zilon Mein Alert

Telangana mein aainda do din tak shadeed thand aur tez sardi ki lehr jaari rehne ka imkaan hai. Mehkama-e-Mausmiyat ne Sangareddy, Medak, Kamareddy, Nirmal aur Adilabad zilon ke liye Yellow Alert jaari kiya hai.

Darja Hararat Mein 4–5°C Tak Kami

Mehkame ke mutabiq minimum temperature mamool se 4 se 5 degree Celsius tak gir sakta hai. Sirpur (Asifabad) mein 6.8°C, Kohir (Sangareddy) mein 7.8°C aur Rudrangi (Rajanna Sircilla) mein 8.0°C record kiya gaya. Riyasat bhar kai maqamaat par darja hararat 14°C se neeche aane ki wajah se doctors ne aawaam ko mohtaat rehne ka mashwara diya hai.

Bay of Bengal Mein Low Pressure Ka Imkaan

Khaleej-e-Bangal mein ek aur low pressure area banne ka imkaan zaahir kiya gaya hai. Iske asraat ke tehat 24 se 27 Nov tak Telangana, Coastal Andhra aur Rayalaseema mein baarish hone ki tawaqqo hai.


Kaveri Travels Ki Bus Mein Dhuan Ne Paida Ki Afra Tafri

Flyover Par Bus Se Achanak Dhuan

Telangana ke Ranga Reddy zille ke Pedamber Peth flyover par us waqt afra tafri mach gayi jab Kaveri Travels ki bus se achanak dhuan uthne laga. Driver ne Hyderabad se Srikakulam jaane waali bus ko fauri taur par flyover par rok kar musafiron ko bahar utaar diya. Overheated taayaron se nikalne waala ghana dhuan kuch hi lamhon mein khauf ka mahaul paida kar gaya.

Musafir Aadhi Raat Sardi Mein Pareshan

Bus rukte hi 26 musafir aadhi raat ki shadeed sardi mein sarak par thithurne par majboor ho gaye. Khawateen bachche aur buzurgh khule aasman tale be basi ki soorat mein khade rahe. Iske bawajood Kaveri Travels ki intezamiya ne mutabadil bus ya kisi qisam ki fauri madad faraham nahi ki.

Pehlay Ke Waqyaat Se Paida Hua Gussa

Musafiron ka gussa isliye bhi zyada tha kyunki chand din pehle isi company ki Hyderabad Bengaluru bus sholon ki lapet mein aakar mukammal jal gayi thi jismein 19 musafiron ki maut hui thi. Logon ka kehna hai ki musalsal aise waqyaat is baat ki daleel hain ki company musafiron ki jaan ko khatre mein daal rahi hai aur intezamiya ki laparwahi kisi bade sanihe ka sabab ban sakti hai.


Desh ki Kharein


Markazi Wazir Kiran Rijiju Ne Di Tafseelat

Bus Hadse Par Ghera Gham

Aqaliyati Umur ke Markazi Wazir Kiran Rijiju ne Saudi Arab ke Makkah Madinah shehrah par hone wale almanak bus hadse par gehra gham zahir kiya jismein kai Bhartiya zaairin ki jaan gayi. Unhone bataya ki 17 November 2025 ko Madinah Makkah shehrah par ek almanak sadak hadsa pesh aaya jismein Bhartiya Umrah zaairin ko le jaane wali bus shaamil thi. Ittelaat ke mutabiq bus ek fuel tanker se takra gayi jiske natije mein kai Bhartiya zaairin halak ho gaye

Saudi Hukkam Se Rabta Aur Madad

Wazir ne kaha ki woh Riyadh mein Safarathana aur Jiddah mein Qonsalkhana Saudi Wizaarat e Haj Umrah aur muqami hukkam se rabte mein hain. Jiddah ka Consul General of India surte haal par gehri nazar rakhe hue hai aur tamaam zaruri consular madad faraham kar raha hai jismein hospital ki sahulat aur zaruri rasmi karwaiyon ki aasani shaamil hai

Camp Office Aur Helpline Ka Iqdam

Bataya gaya hai ki CGI ne Madinah mein Bhartiya Haj zaairin ke daftar mein ek camp office qayam kiya hai taaki hadse mein halak hone wale Bhartiya shehriyon ke khandanon ki madad ki jaa sake. Saath hi Qonsalkhana ne marhoom zaairin ke ahlekhana ki madad ke liye ek toll free helpline number bhi faial kiya hai

Wizaarat Aur Embassy Ka Talmeeh

Wizaarat e Aqaliyati Umur Bhartiya Safarathane ke hukkam se rabte mein hai jo mazeed tafseelaat jama kar rahe hain aur har mumkin madad faraham kar rahe hain. Wizaarat ka Haj shoba Jiddah ke CGI se musalsal rabte mein hai. CEO Haj Committee of India ko Jiddah bheja gaya hai taaki zaminni surte haal ka jaayza lein aur CGI ke saath follow up iqdamaat ko marboot kiya jaa sake. Bharat ke Safeer Riyadh mein bhi is maamle ki nigraani kar rahe hain


Markaz Jaldi Hyderabad Metro Ke Liye Taawun Farahami

Taraqqi Ke Kaamon Mein Markaz Ka Pura Saath

Markazi Wazir e Shehri Taraqqi Manohar Lal ne kaha hai ki Telangana mein jaari taraqqiyaati kaamon ke liye Markaz mukammal taawun faraham karega. Unhone kaha ki saal 2047 tak Viksit Bharat ka nishana tabhi haasil ho sakta hai jab mulk ke tamaam ilaqe aur dehaat ki satah tak taraqqi yafta hon. Is maqsad ke liye Markazi aur Riyaasti hukuumaton ko ba hami taawun ke saath aage badhna zaroori hai

Hyderabad Metro Aur Musi Nadi Project Ko Madad

Hyderabad mein mun aqad junubi aur mashriqi riyasaton ke Wuzra e Shehri Taraqqi ke ilaqai ijtima se khitaab karte hue unhone bataya ki Markaz jaldi Hyderabad Metro Rail ke doosre marhale ke liye taawun faraham karega. Iske alawa Musi Nadi ki safai aur ismein nai jaan daalne ke project ke liye bhi Markaz madad dene ke liye tayyar hai


₹10 Aur ₹20 Ke Notes Bazaar Se Gaayab – Chote Noton Ki Killat

Market Mein Shortage Barhta Ja Raha Hai

Bazaar mein ₹10 aur ₹20 ke notes milna mushkil hota ja raha hai. Chote notes ki iss qillat ki wajah se chote taajiron, vendors aur aam logon ko rozmarra ke len-den mein kaafi pareshani ho rahi hai. Yeh masla sirf Telangana ya Andhra Pradesh tak mehdoood nahi, balki poore desh mein dekha ja raha hai.

Dehaati Ilaaqon Mein Zyada Asar

Dehaati aur shehri gareeb tabqa iss kami ka sabse zyada asar mehsoos kar raha hai, kyunki inmein se bohot se log abhi bhi digital payments ke aadat mein poori tarah shift nahi hue. Chote notes unke liye zaroori hain.

RBI Ne Sikke Zyada Circulate Kiye

RBI ke mutabiq ₹10 aur ₹20 ke notes kam ho rahe hain, jabki in denominations ke sikke zyada miqdaar mein circulate kiye ja rahe hain. Lekin ground level par sikke bhi poori tarah available nahi ho pa rahe.

Taajiron Ki Badi Fariyaad

Chote taajiron ka kehna hai ki pichle 2 saal se chote notes ki kami barkarar hai. Bank notes ki jagah sikke zyada bhej rahe hain, lekin woh bhi demand ke hisaab se kaafi nahi. Is kami ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ki agar koi ₹10 ke note ka bundle chahta hai, toh us par ₹400 extra dene padte hain — yaani lagbhag 40% commission. ₹20 ke bundle par ₹500 aur ₹50 wale bundle par ₹300 commission liya ja raha hai.

Noton Ki Circulation Mein Kamee Ka Sabab

RBI ke data ke mutabiq 31 March 2024 tak ₹2, ₹5, ₹10, aur ₹20 ke notes circulation mein pichle saal ke muqable kam ho gaye. Wahi ₹50, ₹100, ₹200, aur ₹500 ke notes ki demand badh gayi hai.
Iss wajah se daily transactions mein choti currency ki shortage aur zyada intense ho gayi hai.


Chips Packet Ma Chhupa Khilauna Nigalne Se Bachche Ki Maut

Chaar Saala Bachcha Afsosnak Waqye Ka Shikar

Odisha ke Kandhamal zille mein ek nihayat afsosnak waqya pesh aaya jahan chips packet ke andar maujood chhota khilauna nigalne se chaar saala bachcha dam tod gaya. Masumo Haapada gaon ke rehne waale Ranjit Pradhan ne Mangal ke roz apne bete Bigal ke liye chips ka packet kharida tha.

Khilauna Munh Mein Daalne Se Haadsa

Packet kholne par ismein ek chhoti khilauna bandook paayi gayi. Waalidein ki ghair maujoodgi mein bachche ne is khilaune se khelna shuru kiya aur achanak use munh mein daal kar nigal liya. Khilauna gale mein phans gaya jisse bachcha saans na le saka aur behosh ho gaya. Waalidein ne khilauna nikaalne ki koshish ki lekin kamyab na ho sake.

Hospital Pohanchne Se Pehle Bachcha Kuch Na Bach Saka

Bachche ko fauri taur par 30 kilometre door waqe Health Center muntaqil kiya gaya lekin doctors ne muayna karne ke baad use murda qaraar de diya. Muqami police afsar ke mutabiq is waqye par ab tak koi shikayat darj nahi karayi gayi hai.


Yogi Ke Wazir Ka Mutanaaza Bayaan

Masjid Aur Madarson Ko Band Karne Ka Daawa

Uttar Pradesh ke Darja Haasil Wazir Thakur Raghuraj Singh ne Aligarh mein media se baat karte hue kaha ki masjidon aur madarson par taale lagane chahiye aur aqaliyati idaaron ko band kar dena chahiye. Unke is bayan par shadeed radd e amal zaahir kiya ja raha hai.

Musalmanon Ko Lekar Sakht Alfaaz

Thakur Raghuraj Singh ne kaha ki Musalman jitna padha likha hota hai utna hi bada dehshatgard ban jaata hai. Unhonne Muslim Universities ko dehshatgardon ka gadh qaraar diya aur kaha ki zyada tar dehshatgardi se jude logon ka taalluq madarson aur masjidon se hota hai.

Madarson Aur Masjidon Ko Band Karne Ki Baat

Unhonne daawa kiya ki dehshatgardi ko khatam karne ke liye madarson aur masjidon ko fauri taur par band kar dena chahiye. Unke mutabiq koi bhi mazhabi rehnuma Delhi dhamakon par awaz nahi utha raha jis se unki mulawwat ka andaza lagta hai.

Osama Ka Zikr Karne Par Halaat Garam

Media ke sawalon ka jawab dete hue unhonne daawa kiya ki padha likha Musalman bhi dehshatgard hota hai. Is dauran unhonne Osama Bin Laden ka zikr kiya aur kaha ki Osama ek graduate tha jisne America par hamla kiya tha.

AMU Ko Nishaana Banana

Thakur Raghuraj Singh ne Aligarh Muslim University ka bhi zikr kiya aur kaha ki yahan pehle bhi dehshatgardi se mutalliq maamle saamne aa chuke hain isliye iski sanjeedgi se jaanch honi chahiye.

Talaba Ka Sakht Radd E Amal

Unke is bayaan par talaba leader Syed Kaif Hassan ne sakht tanqeed ki aur kaha ki Thakur Raghuraj Singh ki zabaan ek sochi samjhi saazish ka hissa lagti hai. Unhone kaha ki AMU ki shabih ko kharaab karne ke liye iska naam be wajah haaliya tanazaat ke saath joda jaa raha hai.


Muslims Ke Liye PM Modi Se Behtar Rahnuma Nahi Ho Sakta

Shahnawaz Hussain – Simple Hinglish Version

BJP ke senior leader aur former Central Minister Syed Shahnawaz Hussain ka kehna hai ki Bharat mein Musalman puri tarah se mehfooz hain aur PM Narendra Modi se behtar leader Musalmanon ko nahi mil sakta.

IANS se baat karte hue unhone kaha ki duniya mein Musalmanon ke liye Bharat se zyada behtar mulk, Hinduon se behtar dost aur Modi se behtar rehnuma kahin nahi milta. Lekin kuch log baar-baar Bharat ki badnaam karne ki koshish karte rehte hain.

Unhone kaha ki mulk Aain ke mutabiq chalta hai, jahan aman, sukoon aur bhai-chaare ka mahaul hai. RSS chief Mohan Bhagwat ke bayaan par jawab dete hue Shahnawaz ne kaha ki Bharat ek Hindu Rashtra hai isme koi shakk nahi, aur is baat par fakhr bhi hai. Saath hi yeh mulk hamesha Constitution ke usool follow karta hai aur sabhi shehriyon ko barabari ke huqooq deta hai.


Videsh ki Kharein


Japan Mein 170 Imaratein Aag Se Tabaah 

Japan ke south mein ek coastal city Saganoushi, Oita mein Mangal shaam ko achanak lagne wali aag ne 170 se zyada imaratein jala kar tabah kar di. Fire department ke mutabiq Wednesday subah tak bhi aag par poora qaboo nahi paaya jaa saka tha.

Shehar Oita, Tokyo se lagbhag 770 km door hai. Aag bhadakne ke baad 175 logon ko wahan se nikaal kar safe jagah par shift kiya gaya. Aag ki wajah abhi tak clear nahi ho saki hai, jabki ek shakhs laapata bataya ja raha hai. Tehqeeqaat jaari hain.


Antim Shabd

In tamaam waqyaat se yeh saaf dikhai deta hai ki ek taraf safar aur suraksha se judi laparwahi logon ki jaan ko khatre mein daal rahi hai, doosri taraf siyasat mein bhadkau bayaan mahaul ko aur tanafuz bana rahe hain. Be-gunah logon ki zindagi, aman aur insaaf ki hifazat hi aaj sabse badi zarurat hai.


Related Post:

Desh duniya ki Khabrein Online Slowdown Rishwatkhor Pakde Gaye Dhoka ma Aur Gaza Ko Imdaad


🖊️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.

 Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.📌Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources.

👉 More Updates:
🔗 Sarkari Updates | Scam Report | Career & Jobs | Weather Alerts
  • Telangana bus dhuan
  • Kaveri Travels incident
  • Odisha bachcha maut
  • Chips packet toy incident
  • UP Wazir Raghuraj Singh bayaan
  • BJP Shahnawaz Hussain statement
  • Japan Oita fire
  • Saganoushi area aag
  • Imaratein tabah
  • Muslim leadership Modi
  • Bus safety news Telangana
  • Minority protection India
  • Japan fire rescue
  • News Round-up Ek Nazar ma
  • Hinglish news
  • Hindi hinglish news

Comments