Desh duniya ki khabrein : Bihar Election Results, Telangana Updates, UK Storm Claudius – Aaj Ki Top News Highlights
News Round-up Ek Nazar ma
Bihar aur Telangana ki siyasat se lekar UK ke mausam tak aaj ki badi khabrein yeh rahi: Jubilee Hills by-election ka hungama, Bihar elections ke tehelka nataij, AIMIM aur Muslim ummidwaron ki kamyabi, leaders ke bayan, Telangana traffic data,aur UK mein Toofan Claudius ka khatra, Sub news ek Jagah Simple Hinglish mein.
Telangana aur Hyderabad ki Khabrein
Jubilee Hills By Election Result
Jubilee Hills by election mein Congress ke Naveen Yadav ki bhaari aksariyat se jeet BJP ummidwar ki zamanat zapt
Vote Counting Aur Official Tasdeeq
Jubilee Hills by election ki vote counting poori ho chuki hai aur Returning Officer Sai Ram ne Congress ummidwar Naveen Yadav ki shandar jeet ki tasdeeq kar di hai
Candidates Ne Kitne Vote Liye
Naveen Yadav ne 98988 vote hasil karte hue faisla kun bartari banayi
BRS ummidwar Maganti Sunitha ko 74259 vote mile
BJP ummidwar Linga Deepak Reddy sirf 1761 vote hi hasil kar sake
BJP Zamanat Zapt Hone Ki Wajah
Matlooba sharai vote hasil na hone ki wajah se BJP ummidwar ki zamanat zapt ho gayi
Congress Ka Parcham Aur Naveen Yadav Ki Maqbooliyat
Naveen Yadav ne total 24729 vote ki bhaari aksariyat se kamyabi hasil karte hue Jubilee Hills mein Congress ka parcham lehra diya
Yeh kamyabi na sirf Congress ke liye ek aham siyasi peshraft hai balki halqe mein Naveen Yadav ki mazboot maqbooliyat ka bhi wazeh saboot hai
NCP Candidate Passes Away
Jubilee Hills by-election ke nataij se pehle afsosnaak haadsa
Jubilee Hills by-election ke result aane se kuch ghante pehle ek dukh bhari khabar saamne aayi, jahan Nationalist Congress Party ke 40 saal ke candidate Mohammed Anwar achanak intiqaal kar gaye. Unhone seene mein dard ki shikayat ki thi.
Waqia Ka Pas-e-Manzar
Voton ki ginti shuru hone se thodi der pehle hi unki maut ho gayi, jis se siyasi halqon mein gham aur hairani ki lehar daud gayi. Maloom hua ke woh Kotla Vijay Bhaskar Reddy Stadium mein vote counting ka intezar kar rahe the.
Zehni Dabaav Aur Tabaiyat Bigadna
Anwar kuch dinon se zehni pressure mein the aur jaise-jaise ginti ka waqt qareeb aa raha tha, unka stress barhta ja raha tha. Isi beech unhone seene mein dard mehsoos kiya aur unhe jaldi se Hospital le jaya gaya. Doctors ne check karne ke baad unhe dead declare kar diya.
Siyasi Halqon Mein Gham
Anwar ki achanak maut se unke ghar walon aur supporters ko bada dhakka laga. Woh Erragadda ke Lal Nagar mein rehte the aur local level par falahi kaam kiya karte the. Idhar Jubilee Hills by-election ke liye counting ka intezam pura tha aur unhe 78 votes mile. Lekin unki achanak wafaat ne poora intikhabi maahaul udaas kar diya.
Kishan Reddy Ka Reaction
Majlis ki wajah se hi Congress ko mili jeet Jubilee Hills by poll ke nateeje par Kishan Reddy ka radde amal
BJP Zamanat Na Bachane Par Radde Amal
Jubilee Hills by election mein BJP apni zamanat bhi na bacha saki is par Markazi Wazir aur BJP leader Kishan Reddy ne radde amal ka izhar kiya
Unhone kaha ki Jubilee Hills mein BJP ne apni taraf se poori koshish ki
Majlis Ki Himayat Ki Wajah Se Congress Jeeti
Kishan Reddy ka kehna tha ki Majlis ki himayat aur paise ke istemal ki wajah se hi Congress kamyab hui hai
Unhone bataya ki party is shikast ka tajzia kar rahi hai
BJP Ki Halqe Mein Kamzor Position
Kishan Reddy ne kaha ki Jubilee Hills mein BJP ki zameen mazboot nahi hai
Yahan tak ki ilaake mein party ka Corporator bhi maujood nahi
Iske bawajood BJP ne apni poori taaqat laga kar intikhabi muhim chalayi
MIM Ki Pushtpanahi Se Congress Ko Faida
Unke mutabiq Jubilee Hills ke by election mein MIM ki pushtpanahi aur paiso ki taqseem ki wajah se hi Congress jeet saki
Unhone kaha ki Jubilee Hills ke nateeje ka jaiza liya ja raha hai aur awaam ke faisle ko sar aankhon par rakha jaega
BJP Ka Agla Focus Balli Intikhabat
Kishan Reddy ne kaha ki BJP ab balli intikhabat par apni tavajjoh markooz kar rahi hai
Chief Minister Ka Statement
Jubilee Hills ka natija hukoomat ke falahi aur taraqqiyati kaamon ka nateeja Chief Minister ka bayan
Raydahindon Ne Taraqqi Aur Falahi Kaamon Ko Pasand Kiya
Chief Minister Revanth Reddy ne kaha ki Jubilee Hills ke raydahindon ne hukoomat ki taraqqiyati aur falahi schemes ki taeed karte hue zimni chunav mein Congress ke ummidwar Naveen Yadav ko kamyab banaya
Unhone dawa kiya ki hukoomat ke kaamon par logon ka bharosa iss jeet se wazeh hota hai
Press Conference Mein Hukoomati Rawayya Ka Zikr
Deputy Chief Minister Bhatti Vikramarka Pradesh Congress President Mahesh Kumar Goud aur riyasti wuzra Uttam Kumar Reddy Venkat Reddy Sreenivas Reddy V Sri Hari Punam Prabhakar Vivek Venkat Swamy aur doosre numayandgon ke saath press conference mein Chief Minister ne BRS aur BJP qaideen ko mashwara diya
Unhone kaha ki woh hukoomat par tanqeed karne ke bajaye taraqqiyati schemes mein taawun karein
Do Saal Tak Taraqqi Par Tavajjoh Ka Mashwara
Revanth Reddy ne kaha ki aainda do barson tak tarakki aur falahi kaamon mein mil kar kaam kiya jaaye
Unhone kaha ki election se ek saal pehle dobara siyasat ki jaa sakti hai aur iss se pehle awam ki bhalai ko ahemiyat di jaye
Kamyabi Par Shukriya Ada Kiya
Chief Minister ne intikhabi muhim mein hissa lene waale wuzra awaami numaindon aur karkunon ka shukriya ada kiya
Unhone taeed karne waali tamam parties ka bhi tashakkur kiya
BRS Ki Candidate Ka Allegation
Jubilee Hills ka intikhabi amal ghair jamhoori tha M Sunitha Gopinath ka ilzam
Congress Par Sangin Ilzamaat
Jubilee Hills by poll ke nateeje saamne aane ke baad BRS ki ummidwar M Sunitha Gopinath ne Congress par sangin ilzamaat lagaye
Unhone kaha ki yeh jeet haqeeqi nahi balki intikhabi dhaandhli aur gundagardi ka nateeja hai
Akhlaqi Jeet BRS Ki Hiz Ke Mutabiq
Sunitha ka kehna tha ki asal akhlaqi jeet BRS ki hi hui hai
Media se baat cheet karte hue unhone kaha ki Jamhooriyat mein Congress ne ghair jamhoori tareeqe se apni jeet darj ki
Polling Din Ki Badsoolooki Aur Hangama Arayi
Unhone ilzam lagaya ki rai dehi ke din Congress ke qaideen ne ek khaatoon ummidwar ke saath badsoolooki ki
Bade paimane par hangama arayi rigging aur gundagardi ki gayi
Rai dahindon ko daraya dhamkaya gaya aur bokus vote daale gaye
Mukhtalif polling booths par ghair qanooni sargarmiyan jaari rahin aur poora halqa gundagardi ki soorat e haal se guzra
Police Aur Amla Par Laparwahi Ka Ilzam
Sunitha ne kaha ki shikayat ke bawajood police aur intikhabi amla ne koi qadam nahi uthaya
Unhone kaha ki apni zindagi mein aisa intikhab pehli baar dekha
Awam Ka Etemaad Hi Asli Jeet
M Sunitha ne kaha ki agarche nataij unke haq mein nahi aaye lekin unhe awam ka etemaad aur hausla mila
Unhone isko apni asli jeet qaraar diya
Unka kehna tha ki woh nataij se mayoos nahi
Jin logon ne unhe vote diya un sab ka shukriya ada karte hue unhone wada kiya ki woh awaami masail ko hal karne ke liye aur na insaafiyon ke khilaaf BRS ke banner tale hamesha awaam ke darmiyan rahengi
KTR Ka Appeal
Jubilee Hills by election mein shikast se mayoos na ho KTR ka bayan
Karkunon Aur Awam Ko Himmat Rakhne Ki Salah
Bharatiya Rashtra Samithi ke Working President K T Rama Rao ne Telangana Bhavan mein press briefing karte hue kaha ki Jubilee Hills by election mein Congress ki lagbhag 25000 vote ki bartari se shikast ke bawajood party ko mayoos nahi hona chahiye
Unhone kaha ki BRS ne Congress ko jawabdeh thehrane mein kamyabi hasil ki aur Telangana mein ek wazeh mutabaadil ke taur par saamne aayi
Voters Aur Party Qaideen Ka Shukriya
KTR ne kaha ki party ke tamaam qaideen ne mehnat ki aur unki koshish qabil e tareef hai
Unhone un voters ka bhi shukriya ada kiya jinhone BRS ko apna vote diya
Candidates Ne Kitne Vote Hasil Kiye
Congress ummidwar Naveen Yadav ne 98988 vote le kar election jeeta
BRS ummidwar M Sunitha 74259 vote ke saath doosre number par rahi
BJP ke ummidwar L Deepak Reddy 1761 vote ke saath teesre number par aaye
By Election Se BRS Ko Nayi Taqat
KTR ne kaha ki is intikhab ne party ko nayi taaqat aur naya josh diya hai
Unhone bataya ki BRS ne hukmraan Congress Hukoomat ki nakamiyon ko black card ke zariye saamne rakha
Unhone kaha ki jab party ne aqliyyaton ko kabina mein jagah na milne aur auto drivers ke saath na insaafi ke maslon par awaaz uthayi toh hukoomat ko dabaav mein aakar faisle lene pade
Beqayidegiyon Par Shikayat Aur Awami Faisle Ka Ehtiraam
KTR ne kaha ki party ne jaali voter cards ki taqseem aur polling ke din hone waali beqayidegiyon ke baare mein Election Commission ko kayi shikayatein bheji hain
Saath hi unhone kaha ki BRS awaam ke faisle ka ehtiraam karegi
Unhone kaha ki hum intikhabi nataij se mayoos nahi honge aur hum central opposition ke taur par apna kaam jari rakhenge
Telangana High Court Ka Order
24 November tak baladiyaati intikhabat ki tareekhon ka elaan karein Telangana High Court ka hukm
Hukoomat Ko Intikhabat Ki Tareekh Batane Ka Hukm
Telangana High Court ne Juma 14 November ko riyasat hukoomat se kaha hai ki woh 24 November tak baladiyaati intikhabat ki tareekhon ka elaan karein
Adalat ne zor diya hai ki panchayat intikhabat inki miyaad khatam hone ke 6 mahine ke andar karaye jaayein
BC Reservation Par Wazahat Aur Election Commission Ka Rawaiya
Samaat ke dauraan Adalat ne kaha ki humne sirf BC Reservation par aitraz uthaya hai aur intikhabat karane par koi aitraz nahi
Riyasati Election Commission ne bataya ki woh un dehaton ko chhodkar intikhabat karane ka iraada rakhta hai jahan BC Reservation ka masla maujood hai
High Court ne Election Commission ke is juzvi rawaiye par ad e itminan ka izhar kiya
Baladiyaati Intikhabat Marhale War Karane Se Inkar
Adalat ne kaha ki baladiyaati intikhabat marhale war karana qaabil e amal nahi
Adalat ne 24 November tak intikhab ki tareekhon ka elaan karne ka hukm diya
October mein Telangana Hukoomat ne kaha tha ki woh December tak baladiyaati intikhabat karane ka mansooba bana rahi hai
Zarai ka kehna hai ki hukoomat ne mubaadil mansoobe bhi taiyar kiye hain jo Adalat ke faisle par munhasir hain
BC Reservation Ka Masla Aur Qanooni Pechidaagi
Is se pehle High Court ne us hukoomati faisle par rok laga di thi jismein muqami idaron mein BC ke liye 42 pratishat reservation rakha gaya tha
Is par riyasat hukoomat ne Supreme Court se rujoo kiya lekin Adalat e Uzma ne kaha ki yeh masla hatmi samaat ke liye dobara High Court mein suna jaaye
Maitri Groups For Adolescent Girls
Nau umar ladkiyon ke liye riyasat geer Maitri Groups ka aaghaz
Telangana Mein Nayi Pehal Ka Iftedah
Telangana mein nau umar ladkiyon ko khud kafeel banane ke liye ek nayi pehal ka aaghaz kiya gaya
Riyasati Wazir Seetha ne Maitri Groups ka iftedah kiya
Maitri Groups Ka Maqsad
Self Help Groups ki tarz par yeh Maitri Groups 15 se 18 baras ki ladkiyon ko ek jagah laayenge
Inka maqsad ladkiyon mein aagahi khud etmadi aur zaroori maharten paida karna hai
Telangana Traffic Accidents Data
Telangana mein saal 2023 ke traffic hadsaat 22903 aur 7660 amwaat
Markazi Vizarat Ka Jaame Mansoba
Markazi Vizarat Road Transport ne qaumi shahraon par traffic hadsaat ki roktham ke liye saal 2030 tak ek jaame mansoba tayar karne ka faisla kiya
Is mansobe mein Road Safety Network aur deegar idaron se taawun liya jaayega
2023 Ke Aadado Shumar Aur Halakatain
Markazi Vizarat ke aadado shumar ke mutabiq saal 2023 mein Telangana mein 22903 traffic hadsaat pesh aaye
In hadsaat mein 7660 afraad ki maut hui
Guzishta saal ke muqable halakaton mein izaafa dekha gaya
Pichle saal 21619 hadsaat mein 7559 amwaat waaqayi hui thi
GDP Par Asar Aur Telangana Ki Position
World Bank report ke mutabiq traffic hadsaat ki wajah se Hindustan ki GDP par saalana 3 se 5 pratishat ka bojh padta hai
Shor beydari aur traffic qawaid par amal ke bawajood Telangana hadsaat aur amwaat ke hesaab se mulk ki Top 10 riyasaton mein shaamil hai
Hadsaat Ki Ahm Wajah Over Speed
Aadado shumar ke mutabiq 70 pratishat hadsaat over speed ke nateeje mein ho rahe hain
Khaangi idaron ne hadsaat mein kami ke liye ek behtareen Action Plan ki sifarish ki hai
Cabinet Reshuffle In Telangana
Congress Hukoomat ke do saal poore hone par Kabina mein tabdeeliyon ka imkaan
Do Saal Ki Takmeel Par Badlav Ka Mansooba
Telangana mein Congress Hukoomat ke do saal mukammal hone par Chief Minister Revanth Reddy Kabina mein tabdeeli ka mansooba bana rahe hain
Unhone wuzra ke qalamdan badalne aur do naye wuzra ko shaamil karne ka irada zahir kiya hai
High Command Se Ijazat Aur Karkardagi Ka Jaiza
Ba wasooq zarai ka kehna hai ki Chief Minister ne is silsile mein Congress High Command se ijazat talab ki hai
7 December ko hukoomat ke do saal poore honge aur is se pehle wuzra ki karkardagi ka tafseeli jaiza liya ja raha hai
Bataya jaata hai ki High Command ko wuzra ki karkardagi par report pesh ki gayi hai
Naaqis karkardagi waale wuzra ko Kabina se nikal kar naye chehron ko mauqa dene ka imkaan hai
BC Tabqe Ko Bada Oda Dene Par Ghour
Telangana mein Pasmanda tabqaat ko 42 pratishat tahaffuzat ki farahmi mein qanooni rukawaton ke baad Chief Minister ek nayi siyasi strategy par ghour kar rahe hain
Bataya jaata hai ki woh BC tabqe se talluq rakhne waale kisi qaid ko Deputy Chief Minister banane ka soch rahe hain
Desh ki Khabrein
AIMIM in Bihar Elections
Seemanchal mein Majlis ka shandar performance – paanchon halqon mein bhaari aksariyat ke saath tareekhi jeet
Bihar Assembly Elections mein All India Majlis-e-Ittehadul Muslimeen ne zabardast performance dikhate hue Seemanchal ke paanch halqon mein shandar kamyabi hasil ki. Majlis ne is dafa ghair-mamooli jeet darj karwate hue apni siyasi maujoodgi ko aur mazboot kiya.
Amour Assembly
Amour se Majlis ke senior leader Akhtarul Iman ne 38,943 vote ki bhaari aksariyat ke saath zabardast jeet hasil ki aur dushmanon ko koyi mauqa nahi diya.
Kochadhaman
Kochadhaman mein Sarwar Alam ne 23,21 se zyada vote ki bartari ke saath apne mukhalifeen ko aasani se piche chhod diya.
Bahadurganj
Bahadurganj halqe se Mohammed Tausif Alam ne 28,726 vote ki aksariyat se jeet kar apna muqaam aur mazboot banaya.
Jokihat
Jokihat Assembly mein Ghulam Sarwar ne 27,251 vote ki seedhi bartari se apni fatah ko yaqeen bana liya.
Harlakhi
Harlakhi halqe mein Mohammed Murshid Alam ne 28,803 vote ki bhaari aksariyat se tareekhi jeet darj karwaai.
Seemanchal Ki Siyasi Fiza Mein Tabdeeli
Paanchon halqon mein AIMIM ki yeh shandar kamyabi na sirf party ki taaqat ko barhati hai, balki Seemanchal ki siyasi hawa mein ek nayi tabdeeli ka raasta bhi tayar kar rahi hai.
Asaduddin Owaisi on Bihar Victory
Bihar mein Majlis ki kamyabi Allah ka karam aur awaam ka shukriya — Owaisi ka bayan
Majlis-e-Ittehadul Muslimeen ke Sadar aur Hyderabad ke MP Barrister Asaduddin Owaisi ne Bihar Elections mein party ke paanch ummidwaron ki kamyabi par Allah ka shukr ada kiya aur Bihar ke awaam ka tah-e-dil se shukriya ada kiya. Unhone kaha ki Bihar ke logon ne Majlis ke tamam candidates ko vote diya aur mohabbat se nawaza, jis ka nateeja paanch halqon mein shandar kamyabi ki soorat mein nikla.
Guzishta Intikhabat Ka Zikr
Owaisi ne kaha ki pichhle intikhabat mein unke chaar arkaan-e-assembly ko khareed liya gaya tha, lekin is baar un halqon ke awaam ne dobara Majlis par e’tmaad karte hue party ko jeet di. Unke mutabiq ye faisla awaam ki soch aur unke bharose ko darshata hai.
Jubilee Hills Ka Shukriya
Owaisi ne Jubilee Hills ke Congress ummidwar Naveen Yadav ki taeed ki thi. Jubilee Hills mein Naveen Yadav ki jeet par unhone wahan ke awaam ka bhi shukriya ada kiya aur kaha ki logon ne unki appeal par sakaratmak jawab diya.
Seemanchal Ki Awaaz
Sadar Majlis ne khaas taur par Seemanchal ke logon ka shukriya ada kiya jinhone Majlis ko apnaya aur apni awaaz banaya. Owaisi ne kaha ki Majlis Seemanchal se insaaf ki ladayi jaari rakhegi aur yeh jeet unki zimmedari ko aur barhati hai.
Awaami Faisle Ka Ehteram
Bayan mein Owaisi ne kaha ki Bihar ke nataij awaami faisla hain aur Majlis is faisle ko poori izzat ke saath qabool karti hai. Unhone Chief Minister Nitish Kumar ke liye bhi nek tamannaon ka izhar kiya.
Seemanchal Ki Taraqqui Par Focus
Owaisi ke mutabiq unki sabse badi khwahish hai ke Seemanchal ka ilaaka tarakki kare. Unhone kaha ki wahan bahaar aaye, nauzaad bachchon ki amwaat rukein, khawateen ki sehat behtar ho, aur zaroori schemes par amal ho. Unhone yeh bhi kaha ki pasmanda ilaakon mein schools, hospitals aur san’atein qayam honi chahiye. Majlis is silsile mein mukammal taawun dene ke liye taiyaar hai.
PM Modi Congress Par Sakht Tanqeed
Bihar Assembly Elections ke final nataij ke baad Delhi mein BJP workers se khitab karte hue PM Narendra Modi ne kaha ke NDA ki zabardast jeet ne ek baar phir sabit kar diya ke awaam unke saath hai.
Congress Ki Haar Par Nishana
Modi ne kaha ke saal 2024 ke baad se Congress chheh riyasaton mein ek bhi election jeetne mein kamyaab nahi ho payi. Unke mutabiq, in chheh riyasaton mein Congress 100 seats tak bhi nahi le aa saki.
PM Modi ne Congress ko (MMC) qarar dete hue kaha ke party ka poora agenda ab isi ke gird ghoom raha hai.
Congress Mein Androoni Tanaav?
PM Modi ne daawa kiya ke Congress ke andar ek naya dhada ubhar raha hai jo party ki manfi siyasat se na-khush hai. Unhone is baat ka ishara diya ke party mein ek aur badi phoot dekhne ko mil sakti hai.
NDA Ki Jeet Se BJP Ka Hausla Buland
Modi ne apne khitab mein kaha ke Bihar ke nataij ne ek baar phir sabit kiya ke log vikas aur stability ko vote de rahe hain. BJP offices mein is jeet ke baad jashn ka mahaul dekhne ko mila.
Bihar Election Loss: Rahul Gandhi Ka Bayan
Election shuru se hi fair nahi the, Rahul Gandhi ka ilzaam
Bihar Assembly Elections mein Azeem Ittehad ki badi shikast ke baad Congress ke senior leader Rahul Gandhi ne apna pehla radde amal pesh kiya. Unhone voters ka shukriya bhi ada kiya aur saath hi poore intikhabi amal par sawal uthaye.
Voters ka shukriya, lekin election par aitraaz
Rahul Gandhi ne Social Media par apne bayan mein kaha ki Bihar ke voters ne zabardast turn-out ke saath apna faisla suna diya aur woh unka tahe dil se shukriya ada karte hain. Saath hi unhone yeh bhi kaha ki yeh intikhab shuru se hi ghair-jaanibdaar nahi the.
Unke mutabiq jab election munsifana na ho toh jeetana mumkin nahi hota.
Nataij chauka dene waale
Congress leader ne kaha ki Bihar ke nateejay hairan kar dene waale hain aur party is par detail mein jaiza legi. Unhone kaha ki in nateejon ke bawajood Congress Aain aur Jamhooriyat ki hifazat ke liye apni koshishon ko rokne wali nahi.
Jamhooriyat ko bachane ki ladayi jaari rahegi
Rahul Gandhi ne apne message mein kaha ki Congress aur INDIA block ab is poori situation ka gehra jaiza lenge aur democracy ki hifazat ke liye apni jung ko aur tez karenge. Unhone isay Aain aur Jamhooriyat ko bachane ki ladayi qaraar diya.
Bihar Assembly ke liye 10 Muslim ummidwar kamyaab
Bihar Assembly Elections mein 243 seaton ke andar total 10 Muslim ummidwar jeet kar Assembly tak pahuche hain. Is baar ke nataij ne dikhaya hai ki kuch halqon mein Muslim rehnumaon ne mazboot hazri register karwai.
Majlis ke 5 ummidwar jeet gaye
Is intikhab mein All India Majlis-e-Ittehadul Muslimeen ke ummidwaron ne shandaar performance dikhayi. Paanch halqon se Majlis ke candidates ne kamyabi hasil ki aur apni party ka vote bank mazboot banaya.
Congress ke 2 Muslim ummidwar
Doosri taraf Congress ke bhi do Muslim ummidwar kamyaab rahe. Donon halqon mein voters ne in par e’tmaad ka izhar kiya.
RJD ke 2 candidates bhi jeet kar aaye
Rashtriya Janata Dal ke do Muslim nominees ne bhi jeet darj kar Assembly mein apni jagah banayi.
JDU ka ek Muslim ummidwar bhi kamyaab
Kul mila kar 10 Muslim representatives
Is tarah se iss baar Bihar Assembly mein total 10 Muslim representatives pahunch gaye hain, jo misaali numayandagi ke taur par dekha jaa raha hai.
Aane wale zamanay mein in elected members se yeh umeed ki jaa rahi hai ke apne halqon ke masail ko behtar taur par uthayenge aur awam ki awaaz bante rahenge.
Videsh ki Khabrein
UK Weather: Storm Claudius
Bartaniya par ek aur tabahkon toofan – 1 mahine ki baarish sirf 1 din mein
Britain ko ek aur sakht toofan Storm Claudius ka saamna karna pad raha hai, jiske sabab sirf 1 din ke andar 1 mahine ke barabar baarish rikarαΈ ki gayi. Muqami media reports ke mutabiq, is toofan ke chalte kai hisson mein Emergency Weather Warnings jaari ki gayi hain.
Tez Baarish aur Andheri Fiza
Jumay se Hafte ki subah tak England ke kai ilaqon mein shadeed baarish ka intibaah jaari hai. London mein din ke waqt bhi raat jaisi tareeki chha gayi aur poora shehar baarish mein dubta nazar aaya.
Hawaon ki raftaar tez hone ki wajah se kai jagahon par flooding ka khatra barh gaya hai.
Spain aur Portugal mein tabahi ke baad UK mein dastak
Toofan Claudius Spain aur Portugal mein tez baarish aur tufani hawaon ka sabab ban chuka tha. Ab UK, khaas taur par England aur Wales, ke liye Hafte ki subah tak Yellow Weather Warning jaari hai.
Barish, tufani hawaon aur sailaabi surat-e-haal ne awaam ko sakht pareshani mein mubtala kar diya hai. Authorities ne logon ko zaroori ihtiyaat ikhtiyar karne ki hidayat di hai.
Antim shabd
Desh-duniya ki siyasat tez rahi — Jubilee Hills by-poll result, KTR ka bayan, Bihar elections mein NDA ki badi jeet, Majlis ka Seemanchal mein dumdaar performance, Owaisi aur Rahul Gandhi ke reactions, Telangana road safety data, Cabinet reshuffle ki buzz,UK mein Storm Claudius ka asar — har jagah halchal bani hui hai.
Related Post:
π️ About the Author
Bharat Batao Team
Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.
Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.πSources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:
- Jubilee Hills by election result
- Naveen Yadav jeet
- Kishan Reddy reaction
- Revanth Reddy statement
- Telangana High Court order
- Maitri Groups for girls
- Traffic accidents Telangana 2023
- NCP candidate death
- AIMIM Bihar victory
- Asaduddin Owaisi statement
- Bihar election results NDA
- PM Modi comment on Congress
- Rahul Gandhi reaction
- Storm Claudius UK
- News Round-up Ek Nazar ma
- Hinglish news
- Hindi hinglish news

Comments
Post a Comment