10

Telangana Aur Desh duniya Ki Khabrein : Sardi, Traffic Reforms, UPSC, Hospital Updates, Rishwat Aur Toofaan

 News Round-up Ek Nazar ma


Telangana
mein sardi badh rahi hai aur traffic nizaam ko behtar banane ke liye monorail aur skywalks ke plans taiyaar hain. UPSC interviews ke liye 43 candidates Telangana se select hue. Govinda aur Dharmendra hospital se discharge, Mulugu police ke SI aur constable rishwat mein giraftartoofaan ke cases bhi charcha mein. Sub news ek jagah in Simple hinglish mein.



Telangana aur desh ki taaza khabrein – sardi, traffic updates, UPSC candidates, hospital discharges, police rishwat aur toofaan ka scene

Telangana aur Hyderabad ki Khabrein



Hyderabad Ma Traffic Ko Muassar Banane Ki  Mansoobabandi

Riyasati hukumat Hyderabad mein traffic aur transport nizaam ko aur muassar banane ke liye jaame mansoobabandi kar rahi hai.

IT Corridors Mein Behtari

Ittelaat ke mutabik IT corridors mein last mile connectivity behtar banane ke liye monorail aur skywalks ke mansoobe taiyaar kiye ja rahe hain.

Skywalks Aur Monorail Ka Kaam

Hukumat monorail ke saath marboot skywalks taameer karne par gaur kar rahi hai taaki traffic ka bojh kam ho aur aam shehriyon ko sahoolat mile. In skywalks ke kaam ke liye commercial imaaraton ke maalikaan ki ijaazat laazmi hogi, jiska ohdedaar jaayza le rahe hain.

Fund Aur Partnership Ka Tareeqa

Skywalks ko CSR funds ke zariye aur monorail ko Public-Private Partnership model ke tahet taameer karne ka mansooba hai. Ohdedaaron ka kehna hai ki Chief Minister ki jaanib se is mansoobe ko jald hi manzoori milne ka imkaan hai.


Asad Owaisi Ko Parliamentary Committee Ka Rukn Naamazad

All India Majlis-e-Ittehadul Muslimeen ke sadr aur Hyderabad ke rukn-e-parliament, Asaduddin Owaisi, ko Jammu and Kashmir Reorganisation Tarmeemi Bill 2025 aur Union Territories Tarmeemi Bill 2025 par qaayam mushtarika parliamentary committee ka rukn naamazad kiya gaya hai.

Committee Ki Sadarat

Is committee ki sadarat Lok Sabha ke rukn Aparajita Sarangi kar rahi hain.

Bills Ka Maqsad

Yeh dono bill Aain ki 130th Tarmeemi Bill 2025 ke package ka hissa hain. Inka maqsad un awaami numaindon ko qanooni wazaahat faraham karna hai jo sangeen faujdaari muqaddamaat mein apne ohde barqarar rakhte hain.


Chanchalguda Jail Mein Do Rowdy Sheeters Mein Tasaadum

Hyderabad ke Chanchalguda Jail mein shadiid kashidgi paida ho gayi.

Jhadap Ka Waqya

Ittelaat ke mutabik, do rowdy sheeters ke darmiyaan jhadap achanak pur-tashaddud rukh ikhtiyaar kar gaya. Iske baad jail ke andar aur baahar high alert nafiz kar diya gaya.

Zakhmi Qaidi Aur Tafseelaat

Dastgir naam ke qaidi ne rowdy sheeter Jaabari par hamla kiya, jiske natije mein Jaabari shadiid zakhmi ho gaya. Police ne zakhmi qaidi ko faori taur par hospital muntaqil kiya. Jhadap ke dauraan mulaqaat room ke sheeshe toot gaye.

Purani Dushmani

Bataya jaata hai ki dono qaidiyon ke darmiyaan purani dushmani thi. Jaabari is waqt ek muqaddame mein remand qaidi ke taur par Chanchalguda Jail mein qaid hai.


14 November Se Sarkari Dawa-khanon Ma YSR Kits Ki Taqseem

Mahbubnagar ke MLA A.N.M. Srinivas Reddy ne elaan kiya hai ki sarkari aspatalon mein baccho ko janam dene wali khawateen ko YSR Kit faraham ki jaayegi.

Asha Karkun Ki Khidmaat

MLA ne kaha ki Asha karkun sehat amma ke shobe mein ladne wale sipahiyon ke taur par khidmat anjaam de rahe hain. Unhone kaha ki haamla khawateen ko mashwara faraham karna, unki sehat par nazar rakhna aur mehfooz delivery ke liye bedari paida karne mein Asha karkunon ki khidmaat anmol hain.

YSR Kit Mein Kya Hoga

MLA ne waazeh kiya ki YSR Kits 14 November se sarkari aspatalon mein janam dene wali maaon ko faraham ki jaayengi. Is kit mein powder, kapde, tel, kambal, machhardani, diaper aur bacche ke liye body lotion shaamil honge.

Mashwara

Unhone mashwara diya hai ki Asha karkunon ko har haamla aurat ka barwaqt tibbi mu'ayna karwana chahiye taaki maa aur bacche dono ki sehat mehfooz rahe.


Awaara Kutton Ka Hamla, Chhota Ladka Aankh Se Mehroom

Rangareddy zille mein ek dukhad waqya hua. Ghar ke baahar khel rahe nanhe bacche par awaara kutton ne hamla kar diya jisse ek aankh zaya ho gayi.

Waise Hua Waqya

Zile Rangareddy ke Farooqnagar ke Nangalapally gaon ke rehne wale Janardhan aur Jyoti ka beta, Rithik, teen saal ka, ghar ke baahar khel raha tha. Tabhi achanak awaara kutton ne us par hamla kiya aur baccha zakhmi ho gaya.

Bacche Ka Ilaaj

Zakhmi Rithik ko Shadnagar Sarkari Community Hospital le jaya gaya. Kutton ke hamle se Rithik ki baayein aankh shadeed zakhmi ho gayi. Phir use Hyderabad ke Sarojini Devi Eye Hospital bheja gaya. Doctors ne bacche ka operation kiya lekin natije ke taur par Rithik apni aankh kho baitha.

Gaon Walon Ka Ilzaam

Gaon walon ka kehna hai ki Shahdanagar Municipality ke hudood mein maujood kutte pakad kar unke gaon mein chhod diye gaye. Isi wajah se yeh masla paida hua.

Gaon Walon Ki Mangalbhaavna

Gaon wale chahte hain ki hukkaam faori taur par Rithik ke khandan ki madad karein, kutton ko control karein aur gaon walon ko tahaffuz faraham karein.


Telangana Cabinet Ka Ahm Ijalaas

Telangana Cabinet ka ek aham ijlaas 15 November ko Chief Minister A. Revanth Reddy ki sadarat mein riyasat secretariat mein hone ja raha hai. Ijlaas mein majalis-e-muqami ke zere iltivaa intikhaabaat, pasmanda tabqaat ke liye tahaffuzaat aur doosre aham umoor par tabadla-e-khayal kiye jayenge.

Halka-e-Assembly Jubilee Hills Ka Natija

Halka-e-Assembly Jubilee Hills ke intikhab ke natije 14 November ko elaan kiye jayenge. Iske doosre din hi Cabinet ka yeh aham ijlaas mun’aqid hoga.

Ijlaas Ki Tareekh Mein Tabdeeli

Zaraaye ke mutabiq, yeh ijlaas pehle 7 November ko hone wala tha. Baad mein isse 12 November tak muqarrar kiya gaya tha. Ab intikhabi natije ke doosre din yeh ijlaas karne ka faisla liya gaya hai.


UPSC Ma Exams Interview Ke Liye Telangana Ke 43 Muntaqib

Union Public Service Commission ne Civil Services ke Main Exams ke nataij aaj jaari kiye. Mulk bhar mein exams 22 August se 31 August ke darmiyaan conduct kiye gaye the. Commission ke mutabiq 2736 ummeedwaron ko interview marhale ke liye select kiya gaya hai. Tafseelaat UPSC ki website par dastiyaab hain.

Telangana Ke Ummeedwaron Ka Shandaar Muzahira

Is martaba ke nataij mein Telangana ke ummeedwaron ne shandaar performance dikhaya. Hukumat ke mutabiq interview ke liye select ummeedwaron mein 43 candidates Telangana se hain.

Rajya Scheme Ki Kaamyabi

Yeh tamaam ummeedwar Rajya Vibhag Civils Abhay Hastham Scheme ke tahet sarkari rahnumai aur imdad haasil kar rahe hain. Isse riyasat hukumat ki is scheme ki kaamyabi bhi zaahir hoti hai.


Wazir Konda Surekha Ne Actor Nagarjuna Aur Family Se Maafi 

Telangana ki khaatoon wazir Konda Surekha ne Telugu filmon ke maroof adakaar Nagarjuna aur unke khandan se maafi maang li.

Maamla Kaisa Tha

Unhone adakaar ke khandan ke baare mein kiye gaye qabeele e aitraz tabsare par wazaahat pesh ki.

Surekha Ka Bayan

Surekha ne social media par kaha unke tabsare ka maqsad kisi ko takleef pohanchana ya Nagarjuna ke khandan ki izzat ko nuksan pohanchana nahi tha. Agar meri kisi baat se ghalatfehmi hui ho to mujhe afsos hai aur main apne bayanat wapas le rahi hoon


Telangana Ke Mulugu PS Ke SI Aur Constable Rishwat Lete Hue

Telangana ke Anti-Corruption Bureau (ACB) ne Siddipet Commissionerate ke Mulugu Police Station mein tainaat Sub-Inspector H.V. Jay Kumar aur unke driver Constable Raju ko rishwat lete hue giraftar kar liya.

Rishwat Ka Maamla

ACB hukkaam ke mutabiq, dono afsaraan ko ₹4,000 rishwat wasool karte hue pakda gaya.

Shikayat Ka Waqya

Tafseelaat ke mutabiq, ek khaatoon ne apni behen ke saath jaaydad ke tanaaze ke silsile mein Mulugu Police Station mein shikayat darj karwai. Is shikayat par kaarwai ke dauraan Sub-Inspector H.V. Jay Kumar aur Constable Raju ne khaatoon se rishwat talab ki.


Telangana Mein Sardi Ki Shiddat Mein Izafa

Telangana mein sardi ki lehar din-ba-din badhti ja rahi hai aur awaam shadeed thithur rahe hain.

Asifabad Mein Darja Hararat

Asifabad ke Sirpur mein darja hararat 7.1°C tak gir gaya. Raat ke auqaat mein darja hararat mein numayaan kami ki wajah se log thithur rahe hain. Agency ilaakon ke kayi dehaaton mein darja hararat single digit tak pahunch gaya hai.

Tiryani Aur Ghar Se Bahar Nikalne Ka Mushkil Halat

Subah Asifabad zille ke Sirpur mein riyasat ka sabse kam darja hararat 7.1°C record kiya gaya, jabki Tiryani mein darja hararat 8.2°C tak gir gaya. Sakht sardi ki wajah se log gharon se baahar nikalne se gurez kar rahe hain.


Desh ki Khbarein


Andhra Ma Aadhi Raat Ke Baad Sarkari Dawa-khane Ma Chor

Andhra Pradesh ke Alluri Sitarama Raju zille ke Araku mein sarkari hospital mein chori ke waqye se sansani phail gayi.

Waqya Ka Tareeqa

Aadhi raat ke waqt, jab mareez neend mein the, ek ajnabi shakhs ward mein daakhil hua aur mareezon ke mobile phone chura le gaya.

CCTV Aur Police Ki Tafteesh

Yeh waqya hospital mein lage CCTV cameras mein mukammal taur par record ho gaya. CCTV footage ki buniyad par police ne tafteesh shuru kar di hai.

Awaam Ka Ilzaam

Chori ka video social media par viral hone ke baad muqami logon mein ghussa paaya ja raha hai. Awaam ka kehna hai ki raat ke auqaat mein hifazati amle ki ghaflat ki wajah se yeh waqya pesh aay. Hindustan ke saraafa bazaaron mein budh ke din sone aur chandi dono ki qeematon mein kaafi tezi dekhi gayi. Sone ki keemat ₹2,000 badh gayi jabki chandi mein ₹5,540 ka izafa hua.


Sone Aur Chandi Ki Qeematon Mein Tezi

Hindustan ke saraafa bazaaron mein budh ke din sone aur chandi dono ki qeematon mein kaafi tezi dekhi gayi. Sone ki keemat ₹2,000 badh gayi jabki chandi mein ₹5,540 ka izafa hua.

Delhi Mein Sona Aur Chandi Ki Nayi Keemat

All India Sarafa Association ke mutabiq budh ke din Darul Hukumat Delhi mein tamaam taxes ke baad 10 gram 99.9% khaalis sona ₹1,27,900 mein farokht hua. Wahi chandi ki keemat bhi badh kar ₹1,61,300 fi kilo tak pahunch gayi.


Delhi Dhamake Ke Baad Social Media Par Ishte’aal-angez Post 

Assam Police ne Delhi ke dhamake ke baad social media par qaabil-e-aitraaz aur ishte’aal-angez post share karne par paanch afraad ko giraftar kiya.

Giraftar Afraad Ki Shanakht

Police ne giraftar afraad ki shanakht Motiur Rahman (Darang), Hasan Ali Mandal (Goalpara), Abdul Latif (Chirang gaon), Vijjul Kamal aur Nur Amin Ahmed (Gonga gaon) ke taur par ki hai.

Social Media Par Nazar Aur Karwai

Police zaraaye ke mutabiq, in giraftariyon se pehle online sargarmiyon par kadi nazar rakhi ja rahi thi taaki phirqa-warana munafrat ko hawa dene ya dehshatgardana karwaiyon ki tareef karne ki koshish roki ja sake. Police ne waazeh kiya hai ki riyasat mein social media ke galat istemaal ke khilaaf sakht karwai jaari rahegi.


Govinda Hospital Se Discharge, Gash Kha Kar Gir Pade The

Bollywood ke maaroof adakaar aur saabiq rukn-e-parliament Govinda ki tabiyat achanak bigadne ke baad unhein Mumbai ke Juhu ilaake mein waaqe Caretaker Hospital mein admit karwaya gaya tha. Ilaaj ke baad unhein hospital se discharge kar diya gaya.

Tabiyat Ka Waqya

Ittelaat ke mutabik, Govinda ko achanak chakkar aaya aur behoshi jaisi haalat mehsoos hui. Ghar walon ne faoran unhein aspatal pahunchaya.

Hospital Mein Ilaaj

Hospital zaraaye ke mutabik, hospital mein admit karte waqt adakaar ko behoshi aur zehni uljhan ki haalat mein laaya gaya tha. Doctors ka kehna hai ki unke vitals normal hain aur unhein mukammal aaraam ki hidayat di gayi hai.


Dharmendar Hospital Se Discharge

Bollywood ke senior adakaar Dharmendra ko Mumbai ke Breach Candy Hospital se kal subah discharge kar diya gaya. Woh guzishta chand dinon se zere ilaaj the. 89 saala legendary adakaar ab apne ghar par doctors ki nigraani mein ilaaj jaari rakhenge.

Ghar Par Ilaaj Ka Faisla

Unke molej doctor ne bataya ki ghar par nigraani-o-hifazat ka faisla Dharmendra ke ahl-e-khana ne medical team se mushawarat ke baad kiya hai.

Sehat Mein Behtari

Adakaar ki beti Esha Deol ne tasdeeq ki ki Dharmendra ki sehat mein musalsal behtari aa rahi hai aur woh mustahkam hain.

Afwaahon Ko Galat Qarar

Adakaar aur rukn-e-parliament Hema Malini ne Dharmendra ki haalat se muta’alliq phailne wali afwaahon ko galat qaraar dete hue kaha ki adakaar ki sehat ke baare mein ghair-musaddaqa khabrein phailaana ghair-zimmedarana amal hai.


Videsh ki Khabrein


Philippines Ma Samundari Toofaan Se Halakaton Ki Taadad 259

Philippines mein do haaliya taaqatwar toofaanon ke sabab marne walon ki taadaad 259 ho gayi hai aur laakhon afraad beghar ho gaye. Hukkaam ne yeh ittela di hai.

Typhoon Ving-Wing Ka Asar

National Disaster Risk Reduction and Management Council (NDRRMC) ne kaha ki itwaar ko aane wale taaqatwar Typhoon Ving-Wing mein kam se kam 27 afraad halaaq hue, jabki do deegar laapata hain.

Typhoon Kalimagi Ka Waqya

Ek alaida report ke mutabik, 4 November ko aane wale samundari toofaan Kalimagi ne wast Philippines mein shadeed sailaab aur landsliding ka baais bana. Is aafat mein 232 afraad halaaq, 112 laapata aur 500 se zyada zakhmi hue.

Zyadatar Amwaat Ka Sooba

Toofaan ki wajah se hone wali zyadatar amwaat sooba Cebu mein record ki gayi.


Antim shabd 

Telangana aur desh mein haalaat tez hain, sardi, traffic reforms, UPSC interviews, hospital discharges, police rishwat,  toofaan ki khabrein awaam ke liye aham sabak hain.


Related Post:

🖊️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.

 Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.📌Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:

👉 More Updates:
🔗 Sarkari Updates | Scam Report | Career & Jobs | Weather Alerts
  • Telangana news
  • Sardi updates Telangana
  • Traffic reforms Hyderabad
  • UPSC interview 2025 Telangana
  • Govinda hospital discharge
  • Dharmendra hospital update
  • Mulugu police rishwat case
  • TB cases worldwide
  • Philippines toofaan news
  • Skywalk monorail Hyderabad
  • YSR kit distribution Telangana
  • Social media misuse arrests
  • Chanchalguda jail jhadap
  • News Round-up Ek Nazar ma
  • Hinglish news
  • Hindi hinglish news

Comments