10

Desh Duniya Ki Khabrein: Montha Toofan,Andhra aur Tamil Nadu mein barish, Germany Bird Flu Tak

 News Round-up Ek Nazar ma


Sabik MLC Ka Dhamaka.Qawaid Ki Khilafwarzi-143 Busen Zabt.Jubilee Hills Congress Umeedwar.Rahul Gandhi Ne Jis Auto Mein Safar Kiya.KTR Ki Koshishon Se Khaleej Mein Fanse.Telangana Ki Market Mein Kai Mashhoor Brands.Hyderabad Mein Nashe Mein Dhut Naujawano.Karimnagar Zile Mein Taalibaat.Indiramma Imana Scheme.Telangana Mein Baarish Se.K. Kavitha Ki Aasif Se Mulaqaat.Montha Toofan, Telangana.Montha Ka Matlab.Montha Toofan: Andhra Aur Tamil Nadu.Bird Flu Ne Germany Ko Zad Mein


Aaj ki badi khabrein: Montha toofan, Andhra aur Tamil Nadu mein barish, Germany bird flu update.

Telangana aur Hyderabad ki Khabrein


Hyderabad Ma Nashe Mein Dhut Naujawano Ke Bike Par 

Hyderabad ke Shamshabad ilaake mein chand naujawano ne nashe ki haalat mein motorcycle par khatarnaak stunts dikhakar logon mein khauf phaila diya. Inka video social media par viral ho gaya hai, jisme ye log bina helmet ke aur high speed par bike ko wheelie aur zig-zag style mein chalate nazar aa rahe hain.

Police Ne Shuru Kiya Action

Video ke viral hone ke baad Shamshabad Police ne foran karwai shuru kar di. Police ne CCTV footage aur social media clips ke zariye in naujawano ki pehchaan karne ka kaam shuru kar diya hai. Hukkaam ne kaha ki is tarah ke stunts na sirf jaan ko khatra hai balki dusre logon ki safety par bhi asar daal rahe hain.

Hyderabad Mein Aise Waqeaat Ka Izafa

Police ke mutabiq Hyderabad ke mukhtalif ilaakon mein nashe mein dhut naujawano ke stunts aur rash driving ke waqeaat barh rahe hain. Authorities ne chetavani di hai ki agar koi bhi aise kartab karta pakda gaya to uske khilaf sakht karwai aur case darj kiya jaayega.

Police ne awaam se appeal ki hai ki aise waqeaat dekhte hi foran police ko ittila dein taaki shaher mein suraksha aur qanoon-o-aman barkarar rahe.


Jubilee Hills Congress Deegar Rowdy Sheeters Ke Khilaf Karwai

Jubilee Hills ke intekhabaat ke madde nazar West Zone Police ne sakht karwai shuru kar di hai. Madhuranagar Police ne 74 rowdy sheeters ke khilaaf action liya hai, jismein Congress umeedwar Naveen Yadav ke walid Channa Sri Sailam Yadav bhi shaamil hain.

Rowdy Sheeters Par Police Ki Nazar

Police ne bataya ki Naveen Yadav ke chhote bhai Ramesh Yadav ko bhi paaband-e-muchalka kiya gaya hai. Jubilee Hills area mein police ne intekhabaat ke douran law and order banaye rakhne ke liye yeh karwaiyan shuru ki hain.

Intikhabaati Mahol Mein Siyasi Garmiyan

Jubilee Hills ke halqe mein intekhabaati tayyariyon ke saath police rowdy elements par nazar banaye hue hai. West Zone Police ke mutabiq ab tak 100 se zyada rowdy anasir ko paaband-e-muchalka kiya gaya hai taaki election ke douran aman aur qanoon ki surat halat barkarar rahe.


Sabik MLC Ka Dhamaka, 3 Mahine Mein Gir Jaayegi Hukumat

Telangana ki siyasat mein ek naya hungama mach gaya hai. Sabik MLC Dilip Kumar ne ek bada bayan diya hai. Unka kehna hai ki Revanth Reddy ki Congress hukumat agle 3 mahine mein girne wali hai.

Dilip Kumar Ka Bayan

Dilip Kumar ne kaha ki Munugode ke Congress MLA Komatireddy Rajgopal Reddy ke saath 30 se 40 Congress ke MLAs hain jo kisi bhi waqt hukumat se alag ho sakte hain. Unka ye bhi kehna hai ki Revanth Reddy ka waqt ab khatam ho chuka hai aur ab unhe ghar baithkar apni kismat ka intezaar karna chahiye.

Siyasi Halchal Tez

Is bayan ke baad Telangana ki siyasat mein nayi halchal dekhne ko mil rahi hai. Ab log ye sawal kar rahe hain ki kya sach mein Congress hukumat apni zameen kho rahi hai? Dilip Kumar ke is bayan ne Revanth Reddy sarkar ko lekar naye siyasi andeshon ko janam de diya hai.


Qawaid Ki Khilafwarzi Par Private Travels Ki 143 Busen Zabt

Kurnool mein ek haadse ke baad dono Telugu riyasaton mein Private Travels par RTA hukkaam ne karwai tez kar di hai. Kanoon ki khilafwarzi karte hue chalai ja rahi buson ke khilaaf RTA team ab sakht action le rahi hai.

Telangana Mein Bade Paimane Par Karwai

Sirf teen dino ke dauraan Telangana mein 143 Private Travels ki busen zabt ki gayi hain. Inmein se sirf 27 October ko 54 busen RTA ne apni custody mein le li. Yeh karwaiyaan Hyderabad, Ranga Reddy aur Medchal-Malkajgiri ilaakon mein jaari hain.

Qanooni Ulangan Par Action

RTO hukkaam ke mutabiq kai Private Travels companies Road Tax, Fire Safety, Insurance, Vehicle Fitness, Speed Limit aur Seating Capacity jaise zaroori qawaneen ka palan nahi kar rahi hain. Kuch companies buson ko illegal tours ke taur par chala rahi hain aur kuch jagahon par duplicate permits ka bhi istemal ho raha hai.

Jurmaane Aur Zabti

In khilafwarziyon par RTA ne 25 se 27 October tak ₹36,06,000 ke jurmaane lagaye hain. Hukoomat ne ye bhi kaha hai ki agar Private Travels ne qawaneen ka palan nahi kiya to aur sakht karwai ki jayegi.


Rahul Gandhi Auto Ma Safar Kiya Usi Auto Ma KTR Sawar Hue

Telangana mein siyasat ka ek dilchasp manzar dekhne ko mila jab BRS ke senior leader aur sabik riyasati wazir K. T. Rama Rao ne usi auto mein safar kiya jismein kuch waqt pehle Rahul Gandhi ne bhi safar kiya tha.

KTR Ka Auto Mein Safar

KTR ne apne qayaamgah se Telangana Bhavan jaane ke liye apni car chhodkar ek auto mein safar karna pasand kiya. Raaste mein unhone auto-driver Masrat Ali se baat ki. Masrat Ali ne bataya ki isi auto mein Rahul Gandhi bhi chale the aur unhone us waqt auto-drivers se kai waade kiye the, lekin ab tak koi waada poora nahi hua.

Masrat Ali ne ye bhi kaha ki 2 saal pehle unka apna auto tha, lekin masail aur karz ke bawajood ab woh kisi aur ka auto chala rahe hain.

Auto-Drivers Ke Masail Par KTR Ka Bayan

KTR ne auto-driver ki baat dhyaan se suni aur kaha ki woh hukumat se 161 auto-drivers ke pending dues dene ki maang karenge. Unhone Congress hukumat par waade todne ka ilzam lagaya.

Harish Rao Bhi Hue Shamil

Isi silsile mein BRS ke sabik wazir T. Harish Rao ne bhi auto mein safar karte hue auto-drivers ke masail jaane. Unhone kaha ki Congress party ne 2 saal pehle auto-drivers ko ₹12,000 saalana madad dene ka waada kiya tha, lekin ab tak ye waada pura nahi hua. Harish Rao ne daawa kiya ki hukumat par abhi bhi ₹1,500 crore ka bqaya hai.

Unhone kaha ki BRS party auto-drivers ke haq ke liye awaz uthati rahegi aur hukumat par waade poore karne ka dabao banaye rakhegi.


KTR Ki Koshishon Se Gulf Ma Fanse Telangana Ke Mazdoor

Telangana ke BRS leader aur sabik wazir K. T. Rama Rao ki koshishon se Muscat mein fansa ek Telangana mazdoor aakhirkar apne watan laut aaya hai.

Muscat Mein Fansa Telangana Ka Mazdoor

Rajan Sircilla zila ke Biswapur gaon ke rehne wale B. Gorayya do mahine pehle naukri ke liye Muscat gaya tha. Wahan pahunchne ke baad uski company ke malik ne uska passport zabt kar liya aur poori tankhwa bhi nahi di. Is wajah se Gorayya Muscat mein fans gaya tha aur ghar laut nahi paa raha tha.

KTR Ne Video Dekhkar Madad Ki

Gorayya ne ek video jaari karke KTR se madad ki appeal ki. Ye video dekhkar KTR ne foran action liya aur 12 October ko Muscat mein Bharat ke embassy officials se raabta kiya. KTR ne Gorayya ke passport ki waapsi aur safe return ke liye zaroori intizaam karwaye.

Watan Laut Kar Shukriya Ada Kiya

KTR aur Muscat ke Shaikh Ahmed ki madad se Gorayya ab Hyderabad airport wapas pahunch gaya. Wahan usne apne ghar walon se milkar sukoon ka saans liya aur K. T. Rama Rao ka tah-e-dil se shukriya ada kiya.

KTR Ka Bayan

KTR ne kaha ki Telangana sarkar aur BRS party hamesha overseas mazdooron ke welfare ke liye tayyar hai. Unhone bataya ki agar koi Telangana ka shehri bahar fans jaye, to unki madad foran priority par ki jayegi.


Telangana Ma Kai Mashhoor Brands Ke Naqli Engine Oil 

Telangana ke bazaaron mein aajkal naqli engine oil ka karobar tezi se badh raha hai. Gaadiyon ke badhte istemaal ke saath hi fake oil sellers ne bhi apni jaga bana li hai. Log gaadiyon ko behtar condition mein rakhne ke liye engine oil tabdeel karte hain, lekin ab market mein mashhoor brands ke naam par nakli engine oil khule aam bik raha hai.

Mashhoor Brands Ke Naam Par Nakli Tel

Market mein aise kai sellers mil rahe hain jo asal brands ke label lagakar duplicate oil bech rahe hain. Ye oil bottles dekhne mein asli lagti hain, lekin andar bhara hua tel ghatiya quality ka hota hai. Hyderabad mein har ghar mein ek bike aur har das mein se chhe logon ke paas car hai, jisse engine oil ki demand badh gayi hai — aur isi demand ka fayda uthate hue naqli oil sellers sakriya ho gaye hain.

Jaali Engine Oil Pehchanne Ke Tareeqe

Maahireen ka kehna hai ki thodi si ehtiyaat se aap fake engine oil ko pehchan sakte hain:

  • Packing aur seal par asliyat ka hologram ya QR code hona chahiye.

  • Label par printing clear aur smudge-free ho.

  • Asli brand ki bottle par company ka logo aur batch number likha hota hai.

  • Kam qeemat ya chemical smell aaye toh wo nakli ho sakta hai.

  • Bottle par agar company ka authorized sticker na ho, toh use kharidne se parhez karein.

Nakli Tel Se Gaadi Ka Nuksan

Experts ke mutabiq nakli engine oil gaadi ke engine ko serious damage pahucha sakta hai. Aise oil ka istemaal karne se engine overheat, jam ya performance down ho sakti hai. Sirf kuch paisa bachane ke chakkar mein duplicate oil kharidna mehenga sabit ho sakta hai.

Safe Kharidari Ka Mashwara

Engine oil hamesha authorized dealers ya service centers se hi khariden. Original oil hi gaadi ki umr badhata hai aur performance ko stable rakhta hai. Fake oil se door rehna hi aapke vehicle aur pocket dono ke liye behtar hai.


Karimnagar Ma bachi ki Izzat Se Khelne Wala Attender Giraftar

Telangana ke Karimnagar zila mein ek sharmnaak waqea samne aaya. Gangadhara Government School ke attender Yaqoob par ilzaam hai ki usne school mein chhupkar hidden camera laga diya tha aur talibaat ki izzat se khel raha tha. Jab camera ka pata chala to maamla samne aya aur police ne foran karwai shuru kar di.

Camera Ki Daryaft Aur Zabt

School staff ne jab camera dekha to unhone police ko ittila ki. Police pohanch kar camera ko zabt kar liya. Zabt ke baad police ne Yaqoob ko giraftar kar liya aur uske khilaf tahqiqat shuru kar di.

Ilzaam Aur Shikayat

Ilzam hai ki Yaqoob ne chhupkar talibaat ki videos banayi aur in videos ka durust istemal nahi kiya. Kuch shikayati bayanon ke mutabiq usne videos dikhakar talibaat ko pareshan bhi kiya.

Police Ki Taqarri Aur Agla Qadam

Karimnagar police ne bataya ki maamle ki tafseeli tahqiqat jaari hai. Bandi Sanjay Kumar ne maamle ki jaanch aur mukammal saboot jabt karne ki demand ki. Police ne kaha hai ki tamam videos aur saboot ko zabt karke mulzim ke khilaf qanooni karwai ki jayegi.

Ahem Paigham

Is waqye se school aur walidain mein pareshani phail gayi hai. Police ne awaam se appeal ki hai ki agar kisi ke paas is se judi koi maloomat ho to foran police ko ittila karein taaki tezi se aur barhkar karwai ho sake.


Indiramma Imkana Scheme: Raqam Ki Adaygi Mamoli Tabdeeli

Telangana hukoomat ne Indiramma Imkana Scheme ke tahat makaanaat ki taameer ke liye raqam ki adaaygi ke tareeqe mein chhoti tabdeeli ki hai. Is scheme ka maqsad gareeb aur mustahiq logon ko makaan banane ke liye maali madad faraham karna hai.

Adaaygi Ka Naya Tareeqa

Hukkaam ke mutabiq ab ghar ki taameer ke mukammal hone ke baad hukoomat taraf se ₹1 lakh rupaye jama karaye jaayenge. Baaki ki raqam mustahiq afraad ke bank khaaton mein seedha transfer ki jaayegi.

Tabdeeli Ki Wajah

Zimmedar afsaron ne bataya ki ye tabdeeli construction ke technical aur financial reasons ki wajah se ki gayi hai. Isse taameer ke kaam ko behtar tareeke se monitor karne aur fund misuse ko rokne mein madad milegi.

Scheme Ka Maqsad

Indiramma Imkana Scheme ke zariye hukoomat ka maksad hai ki har gareeb ke sar par apna makaan ho aur logon ko apni rehayi aur izzat bhari zindagi mil sake. Is tabdeeli ke bawajood scheme ke tamam faide mustahiq logon tak pahunchte rahenge.


Telangana Ma Baarish Se Kisaan Pareshaan, Dhaan Ki Mushkil

Telangana mein kuch din pehle hui baarish ne kisaanon ki khushiyan adhoori kar di. Dhaan ki kataai jaari hai aur paani ki wajah se dhaan geela reh gaya hai. Ab sarkari kharidari mein rukawat aa rahi hai aur kisaan apne anaj ko bechne mein pareshan hai.

Kataai Aur Nami Ka Asar

Dhaan ki kataai chal rahi hai. Baarish se anaaj mein nami reh gayi hai. Nami ki wajah se dhaan ka bhaav kam ho raha hai aur kharidari mein dikkatein aa rahi hain. Kisaan keh rahe hain ki agar waqt par kharidari ho to unko nuksaan kam jhelna padega.

Sarkari Kharidari Aur Bazar Ka Tanazur

Is season mein kul 169 lakh metric ton dhaan ki paidaawaar ki ummeed hai. Hukumat ne 80 lakh metric ton kharidne ka irada dikhaya hai. Lekin baarish aur logistical masail ki wajah se bohot se kisaan apna dhaan niji kharidaaron ko de rahe hain. Is se sarkari kharidari ko kisaan tak pahunchna mushkil ho raha hai.

Kisanon Ki Mushkilaat Aur Sambhavit Natija

Kisaan bata rahe hain ki baarish ki wajah se dhaan mein nami rehne se unko anaj bechne mein pareshani ho rahi hai. Agar niti aur behtar intizam na hua to kai kisaan apna dhaan sasti qeemat par bechne par majboor ho sakte hain. Hukumat ne kharidari kendron ko chalane aur majboot karne ke liye koshish shuru ki hai lekin zameeni satah par abhi bhi chunautiyan maujood hain.


K. Kavitha Ki Asif Se Mulaqaat: Bahadur Naujawan Ko Salaam

Telangana Jagruti ki Sadra K. Kavitha ne Nizamabad ke Nehru Nagar pahunchkar ek bahadur naujawan Aasif se mulaqaat ki. Aasif ne haal hi mein ek apradh karne wale ko pakadne ke dauraan zabardast himmat dikhai thi. Is koshish mein Aasif khud bhi zakhmi ho gaye the, lekin unhone haunsla nahi chhoda.

K. Kavitha Ne Aasif Ki Himmat Ko Saraha

Kavitha ne Aasif se milkar unki himmat aur jazbe ki taareef ki. Unhone kaha ki Aasif ne jis hosle aur bahaduri ka muzahira kiya, woh sab ke liye misaal hai. Aasif ne apni jaan ki parwah kiye bagair ek gunahgar ko pakadne mein madad ki, jo ek sachche aur zimmedar shehri ki nishani hai.

Telangana Jagruti Ki Taraf Se Ehsas-e-Tahseen

K. Kavitha ne kaha ki Aasif jaise naujawan Telangana ka fakhar hain. Unhone Aasif ki himmat aur insaniyat ke jazbe ke liye unhein ehsaas-e-tahseen aur inam bhi diya.

Aasif Ke Ghar Walon Ko Bhi Shukriya

Kavitha ne Aasif ke waliden aur ghar walon se bhi mulaqaat ki aur unka shukriya ada kiya ki unhone aise bahadur beta ko tarbiyat di. Unhone kaha ki hukoomat aur samaj ko Aasif jaise logon ko support aur himmat deni chahiye taaki doosre naujawano ko bhi inspiration mil sake.


Montha Toofan: Telangana Ke Kai Azla Mein Baarish Ki Peshgoi

Telangana mein Montha Toofan ke asraat se aane wale chand dino tak baarish aur tez hawaon ki peshgoi ki gayi hai. Meteorological Department ne Hyderabad ke saath riyaasat ke kai azla ke liye Yellow aur Orange Alert jaari kiya hai.

Orange Alert Wale Ilaqe

Peshgoi ke mutabiq, Peddapalli, Bhupalpally aur Mulugu mein aaj tez baarish ke imkaan zyada hain. In ilaqon ke liye Orange Alert jaari kiya gaya hai taaki log ehtiyaat bartein aur zarurat ke bagair bahar na niklein.

Yellow Alert Wale Ilaqe

Nirmal, Nizamabad, Kothagudem, Khammam, Nalgonda, Suryapet, Mahabubabad, Warangal, Hanmakonda, Bhuvanagiri, Vikarabad, Sangareddy, Medak, Kamareddy aur Nagarkurnool mein bhi baarish aur bijli girne ke imkaan hain.

Pehle Se Hui Baarish

Kuch azla jaise Nalgonda, Suryapet, Mahabubabad aur Nagar Kurnool ke chand muqamaat par pehle hi baarish ho chuki hai. Hyderabad aur aas paas ke ilaqon mein bhi badal chhaye hue hain aur halki baarish ka silsila jaari hai.

Ehtiyaati Tadabeer

Maamool se zyada baarish hone ki surat mein logon se appeal ki gayi hai ke woh nadiyon aur talaabon ke paas na jaayein, aur electric poles ke qareeb khade hone se parhez karein.

Department ne kaha hai ke Montha Toofan ke asraat abhi kuch din tak rahenge, is liye sab ko alert rehne ki zarurat hai.


Desh ki Khabrein


Montha Toofan: Andhra Aur Tamil Nadu Mein Baarish

Montha Toofan ne Andhra Pradesh ke saahil ko chhoo liya hai aur ab uska asar Tamil Nadu tak pahunchnay laga hai. Indian Meteorological Department ke Managing Director Prakash Jain ne bataya ki toofan ne apna safar shuru kar diya hai aur saahili ilaakon mein tez hawaon ke saath baarish jaari hai.

Toofan Ka Raasta Aur Taza Haalat

Prakash Jain ke mutabiq, Montha Toofan ka markaz ab Bay of Bengal ke upar hai aur yeh Visakhapatnam se 560 km door hai. Yeh toofan 18 km per hour ki raftaar se aage badh raha hai aur 28 October ki shaam ya raat tak Kakinada ke qareeb Andhra Pradesh ke saahil ko chhoo sakta hai.

Unhone kaha ki kuch saahili azla, jaise East Godavari aur Nellore, mein pehle hi tez hawaon aur musalsal baarish ka silsila shuru ho gaya hai.

Administration Alert Par

East Godavari ki Collector G. Lakshmi Shah ne kaha ki rescue teams ko high alert par rakha gaya hai aur rehne waale logon ko surakshit jagahon par shift karne ka kaam jaari hai.

Modi Aur Naidu Ki Baat-Cheet

Andhra Pradesh ke Chief Minister Chandrababu Naidu ne bataya ki Wazir-e-Azam Narendra Modi ne unse subah phone par toofan ke asraat aur intizamaat ke baare mein baat ki.
Naidu ne kaha ki unhone PM ko relief operations, bachao daston aur administration ke kaam ke baare mein tafseel se brief kiya. Modi ne Markazi Hukumat ki jaanib se poora taawon faraham karne ka yaqeen dilaya.

Aaj Ka Din Ahem

Department ke mutabiq, aaj ke din Montha Toofan mazeed shiddat ikhtiyaar karega, jisse Andhra, Tamil Nadu aur Telangana ke chand ilaakon mein tez baarish aur hawaon ke jhonkon ka khatra barh gaya hai.

Authorities ne logon se appeal ki hai ke be-wajah bahar na niklein aur apne ilaqe ke weather updates aur local administration ke instructions par amal karein.


Montha Ka Matlab: Khushbu-daar Phal Ya Khoobsurat Phool

Montha Toofan ke naam ke maayne aur asal ke baare mein ab tafseelaat saamne aayi hain. Meteorological Department ke mutabiq, Montha ek khushbu-daar phal ya khoobsurat phool ka matlab rakhta hai.

Yeh naam Thailand ne diya tha, jo North Indian Ocean mein banne waale toofano ke liye tay ki gayi fehrist ka hissa hai.

Naam Kaise Rakhe Jaate Hain

Har toofan ka naam World Meteorological Organization WMO ke Regional Committee ke zariye rakha jaata hai, jisme 13 desh shaamil hain -jaise India, Bangladesh, Pakistan, Myanmar, Sri Lanka, Maldives, Oman, Thailand aur Iran.

Har mulk apni taraf se 13-13 naam bhejta hai, jisse ek lambi list tay hoti hai. Jab bhi koi naya toofan ban’tā hai, list se agla naam use kar liya jaata hai.

Montha Naam Ka Matlab

Montha ek Thai lafz hai, jiska matlab hota hai -

👉 Ek khushbu-daar phal ya khoobsurat phool

Yeh naam tabiyat ki khubsurati aur sakoon ka paighaam deta hai, lekin ab yeh lafz ek tabahkun toofan ke liye istemaal ho raha hai, jo Telangana aur doosre hison mein asar dikha raha hai.


Videsh ki Khabrein


Bird Flu Ne Germany Ko Zad Mein Le Liya: Laakhon Parinday 

Germany mein Bird Flu ne ek baar phir se apni pakad bana li hai. Is bimaari ke tezi se phailne ke baad authorities ne laakhon parindon ko maarne ka faisla kiya hai taaki virus ko rokha ja sake.

Norderburg Mein 80,000 Batakhain Maar Di Gayi

Local media reports ke mutabiq, Norderburg ke ek bade poultry farm mein Bird Flu ke asaar milne ke baad 80,000 batakhon ko maar diya gaya. Health officials ne kaha ke yeh qadam virus ke further spread ko rokne ke liye zaruri tha.

Puri Riyasat Mein Alert

Germany ke Brandenburg aur Lower Saxony ilaakon mein bhi Bird Flu ke cases ki pushti hui hai. In ilaakon mein authorities ne movement restrictions lagayi hain aur farms ko disinfect karne ka kaam jaari hai.

Virus Ka Zariya Aur Asar

Experts ke mutabiq, Bird Flu ka virus zyada tar migration season ke dauraan phailta hai jab parinday ek mulk se doosre mulk tak safar karte hain. Is waqt bhi Europe ke kai hisson mein wild birds mein infection milne ke baad commercial poultry farms tak virus pahunch gaya hai.

Germany Mein Bird Flu Ki Haalat

Germany mein Bird Flu ab endemic surat ikhtiyaar karta ja raha hai - yaani yeh bimaari ab kabhi-kabhi nahi, balki lagataar mojud rehti hai. Lekin sardi ke mosam ke dauraan iska phailna hamesha zyada hota hai.

Authorities ne kaha hai ke agar halat pe kabu na paya gaya toh aur bhi poultry farms ko mass culling zameeni tor par maarne ki karwai se guzarna padega.

Is bimaari ne na sirf poultry industry balki andarooni aur khariji tijarat ko bhi asar mein le liya hai, jisse andon aur murghiyon ki supply par bhi asar pad raha hai.


Antim shabd

Yeh saari khabrein dikhati hain ke duniya bhar mein har jagah kuch na kuch badlav ho raha hai - kahin insaan taiyaari mein hai aur kahin fitrat apni taqat dikh rahi hai.


Related Post:



🖊️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.

 Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.📌Sources: All news compiled from public video reference: Based on viral verified sources:

  • Montha toofan
  • Andhra Tamil Nadu baarish
  • Telangana monsoon update
  • Revanth Reddy sarkar khatra
  • Dilip Kumar bayan
  • KTR auto ride
  • Harish Rao auto drivers
  • Private Travels bus zabt
  • RTA RTO karwai
  • Nakli engine oil
  • Authentic engine oil tips
  • Hyderabad stunt video
  • Karimnagar hidden camera case
  • Jubilee Hills paaband-e-muchalka
  • B. Gorayya Muscat repatriation
  • Aqalliyati muft training
  • Dhaan kharidari mushkilaat
  • Khatoon awaaz cyber fraud
  • 8,000 khaali schools
  • SIR Special Intensive Revision
  • Germany bird flu
  • Kisan aur mandi masail
  • Police arrests and law and order
  • Aasif bahaduri salute

Comments