10

Telangana Aur Desh Ki Aaj Ki Taaza Khabrein - 5 August 2025

5 August 2025 - Aaj ki Taaza Khabrein | Hyderabad, India, International

Aaj ki Hyderabad, Telangana aur Desh-Videsh ki Taaza Khabrein | Bharat Batao

Blog News

Shuru karte hain

Hamare is Blog ke segment News mein aap sabka swagat hai. Is blog mein aap read sakte hain bahut saari khabrein. Toh chaliye shuru karte hain is blog aur dekhte hain aaj ki taaza khabrein.

Gas Cylinder Blast: 6 Injured, 3 in Critical Condition in Adilabad, Telangana

Telangana ke Adilabad zille mein ek dukhdai haadsa hua jab ek gas cylinder blast ho gaya. Yeh blast ek ghar mein cylinder leak hone ke baad hua, jismein achanak aag lag gayi. Aag ke chalte 6 log buri tarah se jhulas gaye.

ocal reports ke mutabiq, yeh haadsa Toudasam Sonerao ke ghar mein khana banate waqt hua. Aag lagte hi, purv sarpanch Bandari Sridhar Reddy aur aas-paas ke logon ne zakhmiyon ko Both ke sarkari hospital le jaakar bharti karaya. Shuruaati ilaaj ke baad, unhe Adilabad ke RIMS hospital bhej diya gaya behtar treatment ke liye.

Filhaal, 6 mein se 3 logon ki haalat naazuk batayi ja rahi hai. Haadse ki jaankari milte hi SHO Srisai bhi hospital gaye aur zakhmiyon se mulaqaat ki.

BC Reservation: Congress Ka 3 Din Ka "Chalo Delhi" Program

Pasmanda samaj ke logon ko shiksha, naukri aur nikaay chunavon mein 42% reservation dene ke liye Congress ne ek bada kadam uthaya hai. Is maang ko lekar kendra sarkar par dabaav banane ke liye 5 se 7 August tak Congress ne ek "Chalo Delhi" andolan shuru kiya hai

Chief Minister Revanth Reddy ne cabinet meeting mein is ka faisla kiya. Revanth Reddy ke saath kai mantri aur Congress ke bade neta bhi Delhi mein rahenge aur Rashtrapati Droupadi Murmu se milne ki koshish karenge. Congress ko ummeed hai ki Rahul Gandhi ki agwaai mein 7 August ko reservation ke bills approve karne ki appeal ki jayegi.

Isi maamle par MLC Kavitha, jo Telangana Jagruti ki adhyaksh hain, unhone bhi BC reservation ke liye 72 ghante ki bhookh hadtaal ka ailan kiya hai. Unhone sarkar se is hadtaal ke liye ijazat maangi hai. Kavitha ne Congress aur BJP par 42% reservation ka vaada na nibhane ka aarop lagaya aur kaha ki yeh sab sirf ek drama hai. Unhone yeh bhi poocha ki Rahul Gandhi aur Priyanka Gandhi ne kabhi Parliament mein BC reservation par kyun baat nahi ki.

Kavitha Ka BC Reservation Ke Liye Bhookh Hartal Ka Ailan

Unhone sarkar se maang ki hai ki is protest ke liye turant ijazat di jaye. Kavitha ne bataya ki BC community mein 20 group hain jisme 112 jaatein aati hain, aur har din 40 jaaton ko apni baat rakhne ka mauka milega. Isliye 3 din tak bina khaaye-piye, Gandhiwadi tareeke se peaceful protest kiya jaayega.

Kavitha ne Congress aur BJP par aarop lagaya ki dono parties ne 42% reservation ka wada poora nahi kiya. Unhone BJP ke dharne ko "comedy show" bataya – jaise ek chor dusre chor ko dosh de raha ho. Kavitha ne kaha ki wo darrne wali nahi hain, balki Telangana ke haq ke liye ladne wali hain.

Unhone yeh bhi poocha ki jab BC reservation itna important mudda hai, toh Rahul Gandhi aur Priyanka Gandhi ne kabhi Parliament mein is par kyu nahi bola? Agar sach mein unhe President se milna hota, toh kya milne ka time nahi milta? Kavitha ne appeal ki hai ki sarkar turant is bhookh hartal ke liye permission de.

BRS Ko Election Commission Ka Izlas Mein Daawat

Election Commission ne BRS (Bharat Rashtra Samithi) ke kuch netaon ko 5 August ko Delhi mein hone wali rajneetik parties ki meeting mein shaamil hone ke liye bulaya hai. Yeh meeting dopahar 3 baje rakhi gayi hai.

BRS party ke karyakari adhyaksh aur MLA K. T. Rama Rao is delegation (pratinidhi mandal) ki agwaai karenge. Is team mein MP K. R. Suresh Reddy, Rajya Sabha ke member Vadraju Ravichandra, purv MPs B. Vinod Kumar aur Balaka Suman, aur senior neta R. S. Praveen Kumar bhi shaamil rahenge.

Religious Hate Post Par Warning: Police Ki Logon Se Appeal

Hyderabad ki Cyber Crime Police ne YouTube channels aur aam logon ko ek sakht warning di hai. Police ne kaha hai ki social media par aisa koi bhi video, post ya comment na daala jaaye jisse logon ke beech nafrat phelti ho ya kisi bhi dharm ka apmaan hota ho.

Police ne spasht roop se kaha hai ki agar kisi bhi post ya content ki wajah se firqa-warana dange (communal violence) hote hain, to aise logon ke khilaf kadak kaarwai ki jaayegi. Ye kadam haal hi mein Munda Market mein hue ek ghatna ke baad uthaya gaya hai, jismein social media ke kuch videos ne logon ke jazbaat bhadka diye the.

Police ne sabhi logon se appeal ki hai ki ve zimmedari ke saath social media ka upyog karein aur Hyderabad shahar mein shanti aur bhai-chara banaye rakhne mein madad karein. Aisi posts se bachne ki salah bhi di gayi hai jisse kisi samudaay ko chot pahunchti ho.

Tigers Par Nazar Rakhne Ke Liye Forest Department Ka High-Tech Plan

Telangana ke shehri ilaakon mein tenduon (leopards) ke aane ke mamle badhte ja rahe hain. Is par control paane ke liye Forest Department ne ek high-tech plan banaya hai. Ab yeh faisla liya gaya hai ki tenduon ke gale mein radio collars lagaye jayenge, jisse unki harkaton (movements) par nazar rakhi ja sake. ,Pichhle 2 saalon mein ab tak 7 tendue pakde ja chuke hain – 3 Acre Site se, 3 Chilkur se aur 1 Shamshabad se. In sabhi ko pakad kar wapas jungle mein chhoda gaya tha. Department ka kehna hai ki yeh tendue aksar paani ya shikaar ki talaash mein shehri ilaakon ke paas aa jaate hain, jisse logon mein dar ka mahaul ban jaata hai.Pichle 2 saalon mein 7 tiger pakde gaye hain.

Radio collar ki lagbhag keemat ₹1 lakh hoti hai. Yeh ek saal tak bina battery charge kiye kaam kar sakta hai aur 10,000 hectare tak ke ilaake ko cover karta hai. Forest Department ne sarkar se is yojna ke liye manzoori maangi hai. Manzoori milte hi yeh collars kharid liye jaayenge aur tenduon par lagaye jaayenge, taaki future mein kisi bhi khatre se pehle hi savdhaani li ja sake.

Kishan Reddy Ne National Handloom Day Ki Exhibition Ka Inauguration Kiya

Coal aur mining mantri G. Kishan Reddy ne Madhapur ke Shilparamam mein National Handloom Day ki pradarshani (exhibition) ka udghaatan (shubharambh) kiya. Unhone kaha ki kendra sarkar handloom aur kapda (textile) sector ko aage badhane ke liye poori tarah se pratibaddh (committed) hai. Kishan Reddy ne bataya ki yeh sector desh ki economy (arthvyavastha) ka ek zaroori hissa hai. Yeh sector kariban 5 crore logon ko sidhe (direct) aur asidhe (indirect) roop mein naukri (rozgar) deta hai. Unhone yeh bhi kaha ki krishi (agriculture) ke baad handloom aur textile sector desh ka doosra sabse bada rozgar dene wala kshetra hai.

Old City Metro Corridor: Road Widening Ka Kaam Tezi Se

Purane Hyderabad ke MGBS se Falaknuma tak banne wale naye metro corridor ke liye sadak chauda karne ka kaam tezi se ho raha hai. Hyderabad Metro Limited (HML) ke managing director N. V. S. Reddy ne bataya ki corridor ka design aise banaya gaya hai ki kam se kam logon ki zameen ya properties prabhavit ho. Unhone kaha ki shuru mein lagbhag 1100 properties prabhavit hone ka andaza tha, lekin engineering design ko badal kar ab sirf 900 properties hi prabhavit ho rahi hain. Ab tak 412 logon ki zameen ke adhigrahan (kabze) ke aadesh jaari kiye ja chuke hain aur 380 properties ko hata bhi diya gaya hai. Jin logon ki zameen ya dukaan is kaam ke dauran prabhavit hui hai, unhein ₹360 crore ka muawza bhi diya gaya hai.

Falaknuma Railway Station Ke Paas Ganja Users Badhe

`Hyderabad ke Falaknuma Railway Station ke aas-paas ganja (nasha) karne wale logon ki sankhya lagataar badhti ja rahi hai. Wahan ke local logon ka kehna hai ki yeh log nasha karne ke baad tez speed se gaadiyan chalaate hain, jisse unhe bahut pareshaani hoti hai. Logon ne Hyderabad Police Commissioner C. V. Anand se appeal ki hai ki is samasya ko seriously liya jaye. Unka kehna hai ki raat ke samay police patrolling badhayi jaye, taaki aas-paas ke log apne aap ko surakshit mehsoos kar saken.

K.T. Rama Rao Ne Muscat Mein Fansi Mahila Ko Wapas Bulaya

Muscat, Oman mein naukri karne gayi Godavari Khani (Telangana) ki ek mahila bahut badi pareshani mein fas gayi thi. Jab uske parivaar ne yeh baat purv mantri K. T. Rama Rao (KTR) ko batayi, to unhone turant madad ke liye kadam uthaya aur us mahila ko surakshit Bharat wapas lane mein madad ki. Jab woh mahila Hindustan wapas aayi, to KTR se milne pahunchi aur bahut emotional ho gayi. Uski aankhon mein aansoo the, aur usne kaha ki agar KTR sahab madad na karte to shayad main kabhi apne ghar wapas na aa paati. Apna dil se shukriya jatane ke liye usne KTR ko rakhi baandhi aur unhein apna bhai bhi maan liya.

L.B. Nagar Se Pidamberpet ₹650 Crore Ka Flyover

Building aur Highways Mantri Komatireddy Venkat Reddy ne LB Nagar se Pidamberpet ke beech ₹650 crore mein ban rahe elevated flyover ka inspection kiya. Unhone adhikariyon ko nirdesh diya ki flyover ka kaam jaldi se jaldi poora kiya jaye. Unhone local logon se milkar traffic ki problems ke baare mein bhi charcha ki. Venkat Reddy ne kaha ki jab ve MP the tab unhone sadkon ko chauda karne ka kaam shuru kiya tha, aur ab mantri ke roop mein is flyover ka plan banwaya hai. Unhone yeh bhi bataya ki Hyderabad se Vijayawada tak ki yatra sirf 2 ghante mein poori ho sake, iske liye Green Field Roads banane ka yojna hai. 6 August ko ve Transport Minister Nitin Gadkari se milkar Telangana mein naye national highways ke kaamon par charcha karenge.Komatireddy Venkat Reddy ne LB Nagar se Pidamberpet tak flyover ka inspection kiya. Unhone kaam ko jald pura karne ke orders diye.

Medigadda Barrage Par Paani Store Karna Dangerous: Uttam Kumar Reddy

Jal Sansadhan Mantri N. Uttam Kumar Reddy ne ek gahri chinta jataate hue kaha hai ki Medigadda Barrage mein pani ikattha karna abhi ke liye bahut khatarnak ho sakta hai. Unka kehna hai ki agar yeh kaam kiya gaya to barrage toot bhi sakta hai, jiska asar Badrachalam sahit aas-paas ke 44 gaonon tak ho sakta hai. Mantri ne yeh bhi ilzaam lagaya ki pichhli sarkar ne Kaleshwaram Project mein bade ghotale kiye aur bahut si kamiyaan chhodi, jiski wajah se aaj aise haalaat ban gaye hain. Inhi sab baton ki jaanch ke liye ek expert team site par bheji gayi hai, jo barrage ki suraksha aur majbooti ki jaanch karegi. Filhaal, mantri ne saaf nirdesh diya hai ki jab tak sab kuch clear nahi hota, tab tak Medigadda mein paani bilkul bhi na bhara jaye. Isi beech, Jurala Project mein bhi paani kaafi tez raftar se aa raha hai. Pichhle shanivaar raat 7:30 baje tak paani ka flow 25 lakh cusecs se ghattkar 2 lakh cusecs tak aa gaya tha. Barrage par zyada dabaav na pade, isliye 17 gates khol diye gaye hain aur 1,68,674 cusecs paani ko chhod diya gaya hai.

Jurala Project Se Paani Chhoda Gaya

Jurala Project mein bahut zyada paani aa raha hai. Shanivaar raat 7:30 baje tak paani ka flow 25 lakh cusecs se kam hoke 2 lakh cusecs tak pahunch gaya. Paani ka dabav badhne ke kaaran 17 gates khol diye gaye hain, aur 1,68,674 cusecs paani chhoda ja raha hai. Bijli banane ke liye 24,855 cusecs, Koyala Sagar ke liye 315 cusecs, Netimport ke liye 750 cusecs, left canal ke liye 1,250 cusecs, right canal ke liye 650 cusecs, aur Bheema Lift 2 ke liye 750 cusecs paani chhoda ja raha hai. Kul mila kar 1,99,713 cusecs paani release kiya gaya hai.

Telangana Ke 29 Districts Mein Baarish Ki Prediction

Mausam vibhag ne kaha hai ki agle 48 ghanton mein Telangana ke 29 jilon mein baarish ho sakti hai. Yeh monsoon ke aakhri daur ki shuruaat ka sanket hai. Department ka kehna hai ki August aur September mein aksar jagah baarish hoti rahegi. Jinke jilon mein baarish ki sambhaavna hai unmein Hyderabad, Secunderabad, Adilabad, Nizamabad, Karimnagar aur kai aur jile shaamil hain.

Andhra Pradesh Mein Chattan Girne Se 6 Ki Maut

Andhra Pradesh ke Bapatla zille mein ek granite ki khadaan mein chattan girne se ek dardnaak haadsa hua. Is ghatna mein 6 mazdooron ki jaan chali gayi. Jab haadsa hua, tab mine mein 16 mazdoor kaam kar rahe the. 10 mazdoor ghaayal hue hain, jinmein se 4 ki haalat zyada serious hai. Sabhi ko turant hospital le jaaya gaya. Mukhyamantri N. Chandrababu Naidu ne is durghatna par afsos jataaya hai aur poori jaanch karne ko kaha hai.

Central Government Ne 35 Medicines Ke Daam Kam Kiye

Kendra sarkar ne mariz logon ke liye dawaiyaan sasti karne ka ek bada faisla liya hai. Sarkar ne 35 zaroori dawaiyon ke daam kam karne ka ailan kiya hai. National Pharmaceutical Pricing Authority (NPPA) ne in dawaiyon ke retail daam ghata diye hain. Inmein dil ki bimari, infection, diabetes aur dard ki dawaiyan shaamil hain. Is kadam se mariz aur unke parivaar ko kaafi rahat milegi.

Nitin Gadkari Ke Ghar Bomb Ki Khabar Se Sensation

Transport minister Nitin Gadkari ke Nagpur waale ghar mein bomb hone ki jhoothi khabar se afra-tafri mach gayi. Ek unknown aadmi ne phone par yeh baat boli. Khabar milte hi police aur bomb squad ne turant jaankari lena shuru ki, lekin koi bomb nahi mila. Police ne isse jhoothi call bataya aur kuch hi ghanton mein us aadmi ko pakad liya.

Desh Ke Kai Hisson Mein Baarish

Desh ke kai hisson mein, khaaskar uttar aur purvi regions mein tez baarish ne logon ki rozmarra ki zindagi ko asar mein daal diya hai. Bihar mein nadiyan apne kinare se bahar aa gayi hain. Himachal Pradesh mein 297 sadke baarish ke kaaran band ho gayi hain. Uttar Pradesh mein bhi agle 24-36 ghanton ke andar tez baarish ki warning di gayi hai.

PM Modi Aur Amit Shah Ki President Se Alag-Alag Mulaqat

Ek hi din mein PM Narendra Modi aur Home Minister Amit Shah ne alag-alag tareeke se Rashtrapati Droupadi Murmu se mulaqat ki. Pehle din mein PM Modi mile aur fir shaam ko Amit Shah ne alag se unse mulaqat ki. In dono meetings ne political logo ke beech kai sawal khade kar diye hain. Abhi tak yeh nahi pata chal paya hai ki in mulaqaton ka asli reason kya tha.

Muslim Ladke Ko Thappad Maarne Wale Par IndiGo Ne Lagayi Paabandi

Mumbai se Kolkata jaane wali IndiGo flight mein ek passenger ne ek Muslim naujawan ko, jo ghabra gaya tha, thappad maar diya. Is ghatna ka video social media par viral ho gaya. IndiGo airline ne is par apna statement jaari kiya aur kaha ki aise bartav ko wo bilkul bhi bardasht nahi karegi. Airline ne thappad maarne wale vyakti par apni sabhi flights mein safar karne par ban laga diya hai.

Desh Mein Blue Economy Ko Badhaava Dene Par PM Modi Ka Focus

PM Narendra Modi ki leadership mein Bharat Blue Economy yani paani se judi economy ko badhawa dene mein kaafi aage badh raha hai. Gujarat, jiske paas desh ki sabse lambi samundri seema (2,34,062 km) hai, ismein ek important role nibha raha hai. Gujarat mein CM Bhupendra Patel ke netritva mein machhli palan aur machhuaaron ki madad ke liye kai nayi policies start ki gayi hain. Is wajah se Gujarat samudri machhli utpadan mein desh ka doosra sabse bada rajya ban gaya hai.

U.P. Mein Canal Mein Gaadi Girne Se 11 Ki Maut

Uttar Pradesh ke Gonda zille mein ek dukhad road accident hua, jismein 11 logon ki jaan chali gayi. Ek Bolero gaadi, jismein kareeb 15 log baithe the, control se bahar hokar ek nahar mein gir gayi. Sabhi log ek mandir mein pooja karne ja rahe the. Mukhyamantri Yogi Adityanath ne is haadse par afsos jataya hai aur puri ghatna ki jaanch karne ko kaha hai.

Saudi Arab: Employees Ka Medical Insurance Na Karane Par Jurmana

Saudi Arabia mein kaam karne wale foreign workers ke liye medical insurance zaroori hota hai. Is rule ka palan na karne par Saudi Health Insurance Council ne 110 companies ke malik par 25 lakh riyal ka jurmana lagaya hai. Council ne bataya ki jurmana lagane se pehle un companies ko notice bhej kar chetavani di gayi thi ki ve apne workers ka insurance jaldi karva lein. Saudi ka kanoon kehta hai ki har company ko apne sabhi employees ka medical insurance karwana zaroori hai.

๐Ÿ”š Conclusion

Toh dosto, aaj ke blog mein Telangana, Bharat aur duniya ki sabse important aur taaza khabrein humne cover ki. Political updates, haadse, development projects aur safety alerts – sab kuch ek jagah pe. Aise hi sachhi aur useful khabrein paane ke liye Bharat Batao.


Agar aapko yeh blog pasand aaye toh like aur share zarur karein. Blog ko subscribe karein aur Follow button dabayein taaki aapko aisi hi taaza aur important khabrein milti rahein.


Disclaimer: Ye post sirf information ke liye hai. Sari khabrein public aur verified sources aur YouTube video ka content credit pura Shaik Omer Ko jata hai. Koi bhi confusion ya complaint ho toh contact kar sakte hai. Hum fake ya misleading content publish nahi karte.

๐Ÿ”— Connect With Bharat Batao

๐Ÿ–Š️ About the Author

Bharat Batao Team

Hamara mission hai aap tak sahi aur verified news pohchana. Ground level se lekar global headlines tak, hum Bharat Batao ke through bina sensationalism ke clear language me har baat rakhte hai.


๐Ÿ“Œ Sources: All news compiled from public video reference:
Based on viral verfied sources

๐Ÿ‘‰ More Updates:
๐Ÿ”— Sarkari Updates | Scam Report | Career & Jobs | Weather Alerts
๐Ÿ” Related Search Keywords:
4,5 August 2025 news Hyderabad, Telangana latest updates today, Medigadda Barrage danger news,
Jurala project gates open 2025, Muscat Telangana woman rescue KTR, Falaknuma ganja abuse issue,
Old city metro road widening, BC reservation 72 hour protest Kavitha, BRS EC meeting 5 August,
Cyber crime police hate content warning Hyderabad, Leopard tracking radio collar Telangana,
National Handloom Day Shilparamam Hyderabad, Kishan Reddy handloom speech, MGBS to Falaknuma metro update,
Gas cylinder blast Adilabad 6 injured, Ganja abuse near Falaknuma railway station, Telangana heavy rain prediction,
Bapatla granite mine 6 killed, 35 medicine price drop India, Nitin Gadkari house bomb hoax,
UP canal accident 11 dead, Saudi Arabia employee insurance fine, Bharat Batao 4 August blog,
Hyderabad Hinglish news blog, Telangana Hindi Hinglish current affairs